shabnam si mahak

by @kaash on July 15, 2009, 03:28:50 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3052 times)
@kaash
Guest
shabnam si mahak jaise baaton me
phoolon si komalta aisi aakhon me

madhoshi kahen ya kahen beqaraari
khyaalaat bhi jhoome khushnuma aahon se

ulfat pe likhen ya sabab-e-ulfat pe
qatil har ada khumaari ke saayon me


Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: July 15, 2009, 10:43:53 PM »
Very nice and beautiful creation Kaash ji. icon_thumleft Applause Applause Applause
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #2 on: July 16, 2009, 04:40:29 PM »
Wah wah very nice
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: July 16, 2009, 04:48:52 PM »
Please see Ricky's Post in this thread. Jis tarah se Ricky ne Kavita ko apne shabdo main bayan kiya hai ki Pooja apni kavita main kaya kahna chah rahi hai.. ussi tarah se is section mai likhi kavita ko hum sab ne apne shabdo main bayan karna hai ki Hume kavita parr kar kaya arth samjh aaye hai...

http://www.yoindia.com/shayariadab/critics-and-review-only-forum/tumko-jo-baharo-mai-dekha-hota-example-thread-t14898.0.html
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: July 23, 2009, 04:07:40 PM »
School mai Kabir ji ke aor Tulsidaad ji ke doho ka sarlarth kiya karti thi .. uske baad ajj koshish karne lagi hu.. agar koi arth sahi na samjh saku to maaf kijiega. waise 5th line ka sarlarth mere liye mushkil hoga kyun ki bahoot gahri urdu mai likh gaye hai app...

shabnam si mahak jaise baaton me
phoolon si komalta aisi aakhon me

Yaha per kavi apni premika ko man mai rakhte hue uske vaktitave ka varnan kar rahe hi ki shabdnam ki tarah sundarta se bharpoor wo baate karti hai, jiski anubhuti ka aanad ek mehak ki tarah parteet hota hai. Aor uske ankho ki masumiyat is tarah jaise komal phool ho!!

Quote
madhoshi kahen ya kahen beqaraari
khyaalaat bhi jhoome khushnuma aahon se

yaha kavi kah rahe hai ki uski soch se se he ek khumari, ek madhoshi mehsoos hoti hai aor aise alam mai jaise uske khayalaat bhi madhosh ho jaate hai! jhumane lagte hai.

Bahoot achi lines lagi yah Kaash ji.. padne wala insaan in shabdo se such much madhoshi ka alam mehsoos karta hai..


Quote
ulfat pe likhen ya sabab-e-ulfat pe
qatil har ada khumaari ke saayon me

First line mere liye difficult hai phir bhi koshish karne lagi hu; Internet search main Ulfat is 'Lovely to be with'. so yahi arth smajh kar likhne lagi hu.

jiske sath rahna acha lagta hai, bahoot payara lagta hai, uske baare main jab likha jaata hai to wo waqat bhi bahoot pyara lagta hai.. jaise ki kavi kahna chah rahe ho ki jab wo sath nahi tab bas uske he khayalo main rahna kavi ko acha lagta hai. aor yah khumari ka jo waqat hai yah bhi bahoot he dilkash jaan leva hai jaise ki unki premika.



Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #5 on: October 11, 2009, 11:30:05 AM »
wah ji wa kiya baat hai,
bohat khoob.
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #6 on: March 11, 2010, 07:41:18 AM »
Very Nice Kaash Ji... Try karti hu samajhne ki Usual Smile


shabnam si mahak jaise baaton me
phoolon si komalta aisi aakhon me
Shayar apne mehboob me khoya hua hai aur yaha uski khubsurti bayan karta hai. Uski baato ko shabnam jaisi khushbu aur aankho ko phoolo jaisee nazuk kehta hai...

 
Quote
madhoshi kahen ya kahen beqaraari
khyaalaat bhi jhoome khushnuma aahon se
waah ....
yaha kehta hai ke usko sochte hi khumar aane lagta hai ... yeh uski yaad ki madhoshi hai ya mai hi bekarar hone laga hu ...


 
Quote
ulfat pe likhen ya sabab-e-ulfat pe
qatil har ada khumaari ke saayon me
yeh to kamal ki soch hai Kaash Ji...

Shayar yaha thode confusion ka izhar karta hai ... ke shayari likhein par kis par, mehboob ki mohabbat par ya mohabbat ki wajah par ... dono hi same hai kyunki unke mehboob ki har ada mohabbat k saye me qatil si lagti hai ...

hope justice kar payi hu
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: March 24, 2010, 11:02:14 PM »
Bahut khoob likha hai aapne Kaash ji...!!!

shabnam si mahak jaise baaton me
phoolon si komalta aisi aakhon me

madhoshi kahen ya kahen beqaraari
khyaalaat bhi jhoome khushnuma aahon se

ulfat pe likhen ya sabab-e-ulfat pe
qatil har ada khumaari ke saayon me



Logged
Surindernarang
Guest
«Reply #8 on: October 24, 2010, 05:41:32 PM »
Phoolon ki pankhdion jaise honth,
Shabnam ke katre nashili aankhon me,
Kafi hain madhosh karne ke liye,
Ek hum hi nahi, aur bhi hain marne ke liye.
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: October 24, 2010, 05:47:16 PM »
shabnam si mahak jaise baaton me
phoolon si komalta aisi aakhon me

madhoshi kahen ya kahen beqaraari
khyaalaat bhi jhoome khushnuma aahon se

ulfat pe likhen ya sabab-e-ulfat pe
qatil har ada khumaari ke saayon me




bht khubbb ji..
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 08:29:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.302 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer