Teri tasveer ajj anssuo se sajai hai
Mui yah rajaai bhi koi rajaai hai
Thund ne itani cheekh pukar muchaai hai
Heater ko deta nahi kuch bhi sujhaai hai
Teri amma ne ajj phir ki mujhse ladaai hai
Sun rahe ho, ya kaano main rui phir dabai hai
Bittu ne ajj phir se chinttu ki, ki pitaai hai
Baap ki tarah bacho ne bhi zindagi meri khai hai
Per tumhaare bin, yaad tumhari bahoot aai hai
Teri tasveer ajj phir anssuo se sajaai hai
Nice poem Pooja Ji...
yeh judayi me likhi kavita hai jaise koi khat(patra)... mai yeh maan kar chalti hu k pati patni se duur hai ... may be job k liye (abroad) ... aur patni apne din bhar ki baatein us se share karti hai ... par yeh baatein pati se nahi keh paati ...
raat k waqt jab sara kaam khatm kar k woh bistar par aati hai to usey apne pati ki yaad toot kar aati hai aur usey us pal kuchh nahi bhata ... rajayi khali khali aur kisi kaam ki nahi lagti...
Us ka dhayan apne aas paas ki cheezo par jata hai aur kehti hai k sardi bohat zyada hai aur us k saamne heater bhi fail hai ... kash is pal woh yaha hote...
fir woh ghar ki taraf aati hai aur shikayat karti hai ke hamesha ki trah saas ne ladayi ki hai aur bachcho ne maara mari ... sath isey bhi apne pati ki roz marra ki aadto se jodti jati hai ...
saari baatein keh dene k baad woh phir kehti hai ke jo bhi ho tumhare bina kuchh achha nahi lagta aur tum bohat yaad aate ho ...
hope mai theek samajh paayi hu
-------------------------
°ღ•ŚÁßÁ●•٠•˙