Do Chehre..... By Masoom Shahzada

by Masoom Shahzada on October 13, 2013, 07:14:48 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3408 times)
Masoom Shahzada
Guest
Update 1

"Ham park tak ho aaye, bhabhi" Hamne Salma bhabhi se kahaa jo kitchen me kuch kar rahi thi
.
"HaaN, par jaldi aana" Kitchen se hi bhabhi ki aawaj aayi
.
Hamaare Jawed bhayya ko bachpan se hi padaayi ka badaa shauk tha. We pad likh-likhkar desh ke ak jaane-maane scientist ban gaye. Jabki hamaari to kitaabe dekhkar hi jaan sookh jaya karti thi. Kisi tarah ro-dhokar inter paas kiya aur kheti me Abbu ka hath bataane lage.  Abhi pichle saal hi hamne Jawed bhayya ki shadi ki thi, we Salma bhabhi ko bhi shahar hi le aaye. Aur ham wahi gaav me Ammi-Abbu ke sath rahte rahe. Hamara jab bhi dil karta yahaaN shahar aa jate aur kaai-kaai din bhayya-bhabhi ke sath rahte. Jaise aaj hi ham fir se yahaaN aaye the
.
Khair bhabhi se izazat lekar ham park ki taraf chal diye. Kuch hi door sadak paar ak lamba-chaura khoobsurat park tha. Ham usme aa gaye. Shaam dhal aayi thi esliye park me achchi-khasi bheed thi. Log 2-2, 4-4 ke group banaaye ghaas par baithe baateiN kar rahe the. Ham bhi chaaro aour nazre ghumakar apne liye koi jagah talaash karne lege. Ham apni nazre edhar-udhar ghuma rahe the ki ak larki pe jaakar hamaari aankhe ruk gayi. Jo door park ke ak kone me apne ghutno me sar diye baithi thi
.
Hamne socha jaror bechari ko koi gam ya pareshani hai, esliye aese baithi hai. En shahar walo ko to koi farq nahi parta. Par ham gaanv se hai. Hamaare paas dil hai. Chalkar dekh lete hai, kyaa pataa ham uski koi madad kar paaye
.
Ham uski taraf chal diye, aur uske saamne jaakar ruke sirf do kadam ke faasle par..."Suniye"
.
Hamaare aawaj par usne apna sar ghutno se nikalkar gardan uthakar hame dekha aur aankho se aesa ishara kiya, jaise poch rahi ho... "Kya baat hai"
.
Hamaari nazre uske chahre par padi aur wahi jamkar rah gayi. Bhare-bhare dudhiya gaal, bilkul patle halke gulabi-gulabi hont, sutwa naak, udaasi me dubi halki kaali badi-badi aankhe, gol thuddi, naajuk si peshani, kamar tak aate lambe-ghane kale baal, chehre par faili bachcho si masoomiyat, lag nahi rahaa tha ki wo esi duniya ki waasi hai. Hamne etni khoobsurat larki pahli baar dekhi thi
.
"Kaun hai aap? Kyaa chahte hai?"
.
Ek pal ko Hamaari samajh na aaye kyaa jawaab de, fir ham bole..."Aap akeli kyoN baithi hai?"
.
"Aap saath baithna chaahte hai. Aaye" Usne apne paas baithne ka ishara kiya. Ham halka sa muskurakar uske pahluun me baith gaye. Ham dekh rahe the ki uske chehre par kisi bhi kism ke jajbaat nahi the, aur aankhe udaasi me dubi huyi lag rahi thi. Hamse rahaa na gayaa. Hamne poch hi liya..."Etni udaas kyoN hai aap?"
.
"Bahut akeli huun na esliye"
.
Uski baato me zaraa bhi ajnabipan nahi tha. Hame usse baat karna achcha lag rahaa tha.. Hamne apna dahina haath uski taraf badaya aur bole.."Ab nahi rahegi... Friends"
.
"Aap jaante nahi kiski taraf dosti ka hath badaa rahe hai" wo halka sa muskurayi aur hamara hath thaam liya
.
"To usme kyaa ab jaan lete hai..... Ham Zunair Ali aur aap?" ham bole to wo kuch rahasaymay dhang se muskurayi aur boli..."Asli naam sunoge to dar jaaoge esliye jo chaho bula sakte ho"
.
Ham hont sikud kar halka sa muskuraaye aur bole..."Muskaan kaisa rahega"
.
"Muskaan hi kyoN"
.
"Es naam se hame dar nahi lagega esliye" Hamaari baat par wo khilkhilakar hasne lagi. Ham bhi uska sath dene lage
.
Theek usi waqat ak shor sa utha aur kaai aawaje hamaare kaano me padne lagi..."Bachaao... Maaro..... Chhod do.... Chhod do mujhe.... Jinda na bachne paaye... Bachaao... Aah.... Nahii...."
.
Hamne dekha ak larka cheekhta-chillata park me dakhil hua, uske piche kaai log the. Jinke haatho me chhuri, chaku, hockey, cycle ki chain wagerah the. Unhone ne us larke ko gher liya aur maarne lage. Ye dekhkar ham ghabrake khare ho gaye
.
Wo ladka.."Bachaao... Bachaao" Chillata rahaa par koi uski madad ke liye nahi aaya. We log maarte rahe jab tak ki wo mar nahi gayaa. Kaam khatam karke we log nikal gaye. Unke jaate hi baaki log bhi park se jaane lage. Dhire-dhire park khali hone lagaa
.
Hamne edhar-udhar dekha, Muskaan bhi nazar nahi aa rahi thi. Shaayad wo ye sab dekhkar darkar chali gayi thi. Ham bhi park se nikal aaye aur bhayya ke ghar ki taraf chal diye
.
Jab ham ghar pahunche to dekha bhabhi sahan me ak chair par baithi hai, shayad wo kitchen ka kaam nibta chuki thi. Ham unke saamne chair par jaakar baith gaye. Bhabhi ne muskuraakar hame dekha..."Badi jaldi aa gaye"
.
Ham chaahkar bhi jawaab me na muskura paaye
.
"Kyaa baat hai? Tum kuch pareshaan nazar aa rahe ho"
.
Ham bhabhi ko us larke ke baare me bataane lage. Fir aese hi baat chal nikli. Ham dono devar-bhabhi raate gaye tak baateiN karte rahe. Raat ke 09 baje bhabhi chair se uthti huyi boli..."Khana laga leti hu. Tumhaare bhayya to kisi experiment me lage hai aaj-kal. Aaye na aaye unka koi bharosa nahi"
.
Kuch der baad hamne khana khaya aur sone chale gaye

----------------
(...Jari)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Wo Jo Andhaa Hai Kharaa Rahne Do......Masoom Shahzada by Masoom Shahzada in Ghazals « 1 2  All »
SadiyoN Se Laila Majnu Ki Kabre.....masoom shahzada by Masoom Shahzada in Ghazals « 1 2  All »
Jaadui Saanp.... By Masoom Shahzada by Masoom Shahzada in General Stories
MaiN To Bachcho Ke Khilone...... Masoom Shahzada by Masoom Shahzada in Miscellaneous Shayri
Missing You My Love...... masoom shahzada by Masoom Shahzada in Miscellaneous Shayri
masoom shahjada
Guest
«Reply #1 on: October 13, 2013, 07:28:31 PM »
Update 2

Kuch der baad hamne khana khaya aur sone chale gaye. Jaise hi ham bed par lete hamaare dimaag me us larke ki maut ka manzar ghumne lagaa. Fir apne aap hamara khayaal Muskaan ki taraf chalaa gayaa. Use sochte-sochte ham gahri nind me chale gaye
.
Agli subah bhabhi ko kuch shoping karne jana tha. Wo hame bhi apne saath kheench le gayi. Kuch der tak bhabhi ghar ka saman kharidti rahi fir Bhabhi ladies section me chali gayi to ham aese hi mall me edhar-udhar ghomkar time pass karne lage. Ham first flor pe the ki hamne aese hi niche dekha to hame ground flor par Muskaan khari nazar aayi
.
Ham stairs se hokar niche utre aur theek uske piche jaakar bole..."Muskaan... Aap yahaaN kyaa  kar rahi hai?"
.
Wo palti aur hame dekhkar bare jaandaar tarike se muskurayi..."Kuch kaam hai"
.
"Kyaa kaam hai?"
.
"Kaam ki janoge to dar jaaoge..."
.
Uski baat par ham hans pare, kal jab hamne naam pocha tha tab bhi wo aese hi boli thi. Ham thora raazdaari se bole.."Aap kaheeN koi  Terrorist to nahi hai?"
.
"Nahi.... par mera naam aur kaam jaan lene ke baad aap mere aas-paas bhi nahi fatkoge.. Hazaaro saal baad koi dost banaa hai.. MaiN use khona nahi chahti"
.
"Ha ha ha... Hazaaro saalo baad.... Ha ha ha.... Aapki baateiN kam se kam hamaari samajh se baahar hai"
.
Hamaari baat par wo muskuraakar rah gayi. Koi jawaab na diya. Kuch der baad ham fir se bole..."Achcha Muskaan apna mobile number to de"
.
"Kis waaaste"
.
"Kabhi aapse baat karne ka dil kiya na, us waaste"
.
"Jab bhi baat karne ka dil kare. Mujhe man hi man ak baar aawaj lagaa lena. MaiN khud aapke paas pahunch jaaongi"
.
Uski es baat par hame lagaa ki wo hame apne baare me kuch batana nahi chaahti. Pahle naaam, fir kaam aur ab mobile number, hamaare tino sawaalo ko wo mazaak me udaa le gayi.. Hame buraa lagaa.. Ham bole..."Muskaan ye baat galat hai.... Lagta hai aap hame apna dost nahi maanti"
.
"Bilkul maanti huun. Kisi din mauka mila to saabit bhi kar dungi"
.
Uski baat par ham soch hi rahe the ki kya jawaab de ki tabhi ak cheekh hamaare kaano me padi. Hamne edhar-udhar dekha to paya ak larka first flor se niche gir rahaa hai. Dekhte hi dekhte wo sar ke bal niche gira. Tarbooj ki maafik uske sar ke do tukde ho gaye aur uska bheja wagerah nikalkar edhar-udhar bikhar gayaa
.
Baraa hi dil dahla dene wala manzar tha. Hamaare pore badan me kapkapi daur gayi. Hamse wo na dekha gaya. Hamne wahaaN se najre hataakar apne paas khari Muskaan ki taraf dekha. Par ye kyaa?  Muskaan to wahaaN thi hi nahii. Hamaari nazare edhar-udhar sab jagah ghom aayi par wo kaheeN nazar na aayi
.
"Zunair, tum yahaaN ho.. MaiN upar tumhe dund(Search) rahi thi..... Kyaa huaa? Ye bheer kyoN lagi hai?" Bhabhi hamaari talaash me niche aa gayi thi. Hamne dekha unke haatho me bahut saare shoping begs hai. Jinhe wo bari mushkil se samhaal pa rahi hai
.
Hamne aage badkar unke haatho se begs liye aur bole..."Koi ladka upar se girkar mar gayaa hai"
.
Fir ham ghar aa gaye. Ghar aakar dekha to paya, Bhayya Sofe par baithe hai. Hame shoping begs se ladaa-fudaa dekhkar muskuraate huye bole..."Kyaa baat hai bhaai, Devar-bhabhi bari shoping karte fir rahe ho"
.
"Aap to kabhi shoping karaate nahi ho. Esliye Socha chhote bhaai ki hi jebe khali karaa di jaaye" Bhabhi hasti huyi boli aur kitchen me chali gayi
.
Ham aage bare, Bhayya se haath milaya aur unhi ke baraabar me sofe par baith gaye. Bhabhi lunch tayyar karne lagi aur ham dono bhaai baate karne lage
.
Kuch der baad ham tino lunch kar rahe the. Tab Bhayya bole..."Zunair, tum kuch din yaheeN rahna. Ak problem me fans gayaa huun. Esliye shaayad maiN kuch din  tak ghar na aa sakuun"
.
"Jee Bhayya" Hamne Bhayya ki baat hamesha ki tarah maan li aur wese bhi es baar kuch din ka to ham sochkar bhi aaye the
.
"Kyaa problem aa gayi hai" Bhabhi boli
.
"Meri lab assitant Cristina ko tum janti hi ho na?"
.
"Ha jaanti huun"
.
"Jaanwaro me taaqat aur tezi insaano se kaai gunaa jyada hoti hai. Aaj-kal ham ak aesi gas ka nirmaan kar rahe the. Jisme hamne jaanwaro ke guno ko dala hai. Wo gas agar kisi inshaan ke sampark me aa jaaye to uske jiwaanu insaan ke sharir me prawes kar jaayege aur uske sharir me jaanwaro si tezi aur taqat aa jayegi. Kal jab Cristina lab me thi to jaane kaise wo gas leak hone lagi. Cristina uske sampark me aa gayi. Kal hi se wo behosh hai"
.
"Aap log bhi pagal hai. Ulte-pulte experiment karte rahte hai" Bhabhi ki baat par Bhayya muskurakar rah gaye
.
Lunch karke Bhayya wapis chale gaye aur ham dono devar-bhabhi T.V. Dekhne baith gaye. Kuch der bhabhi hamaare sath baithi T.V dekhti rahi fir apne kamre me chali gayi
.
Sham me ham aese hi ghumne nikal gaye. Laute tab tak bhabhi dinner tayyar kar chuki thi. Hamne dinner kiya aur apne-2 kamro me chale gaye. Ham bed par laite to Muskaan aur uski rahasaymay bate yad aane lagi
.
"Muskaan aapse baat karne ke man hai. Aa jaaye"

----------------
(...Jari)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #2 on: October 13, 2013, 07:39:29 PM »
Update 3

"Muskaan aapse baat karne ka dil hai, aa jaaye" Hamne bina soche yu hi kahaa aur fir apne es pagalpan par ham khud hi hasne lage. Bhala aese bhi koi aa sakta hai kya? Ham bhi jane kya-kya sochne lagte hai. Kuch der aur ham Muskaan ko sochte rahe fir hamara dhayaan mall me mare us larke ki taraf chala gaya
.
Tabhi doorbail bajne ki aawaj hamaare kaano me padi.."Etni raat gaye kaun aa gaya. Shaayad Bhayya honge" ham khud se bole. Bhabhi dekh legi ye sochkar ham bed se nahi uthe
.
Kuch der baad bhabhi hame aawaje deti kamre me aayi.."Zunair.... Zunair... Zunair... So gaye kyaa?"
.
"Nahi bhabhi"
.
"Tumse milne koi aaya hai" Bhabhi ke chehre par shararti muskaan bikhri huyi thi
.
"Hamse... Hamse milne kaun aaya hai" Ham hairaan huye. Hamaari hairani ja'ej bhi thi. Es shahar me to hame koi janta hi nahi tha
.
"Muskaan"
.
Bhabhi ke jawaab par ham harbra ke uth khare huye aur fati-fati nazro se bhabhi ko dekhne lage aur khud se barbaraaye..."Kamaal ho gayaa ye to"
.
"Kyaa bole tum" Bhabhi Shaayad sahi se sun nahi payi  thi
.
"Kuch nahi"
.
"Wo dring room me hai. Tum chalo. MaiN chaay lekar aati huun" Salma bhabhi shakki nazro se hamko dekhti huyi kamre se nikal gayi
.
Ham bed se utre, sleeper pairo me daale aur dring-room me aa gaye. Muskaan sofe par baithi thi. Hame dekhkar wo bari jaandaar tarike se muskuraayi. Ham es waqat etne hairaan the ki uski muskuraahat ka jawaab muskuraahat se na de paaye.. Ham uske saamne chair pe baith'te huye bole..."Aapko hamaare ghar ka pataa kahaaN se mila"
.
"Oh come on Zunair, Jawed bhai ko shahar me kaun nahi janta"
.
"Par etni raat ko hamaari yaad kaise aa gayi"
.
"Ghar laut rahi thi. Raaste me aapka ghar dikha to sochi milti chaluun. Aur fir subah mall me bin bataaye gayab ho gayi thi esliye milna to banta hi tha na?"
.
Muskaan ki baat par hame yakin huaa ki hamara pukarna aur uska aa jana sab ak ittefaak tha. Warna ham to yahi soche baithe the ki wo hamaare pukaarne se hi aayi hai. Hamne mathe par apna hath mara aur socha ham bhi kitne pagal hai. Yesa bhi ho sakta hai kyaa? Jaisa ham soch rahe the
.
Saamne baithi Muskaan ke honto par hamaari es harkat par muskuraahat aur gahri ho gayi. Tab hi bhabhi chaay aur sath me namkeen,biskit aur snaks wagerah lekar aa gayi. Muskaan aur hame ak-ak cup pakraane ke baad bhabhi apna cup uthate huye boli..."HaaN to bhai ab batao tum dono kahaaN aur kab mile?"
.
"Kal shaam mile the ham dono park me" Jawaab Muskaan ne diya. Aesi hi halki-fulki bato ke dauraan chaay pi gayi. Jyadatar bhabhi aur Muskaan hi bat karti rahi. Hame to bas ak-do bar hi bolne ka mauka mila. Chaay peekar Muskaan uth khari huyi aur boli..."Achcha bhabhi ab chalti huun...... Izzazat de"
.
"Nahi bilkul nahi. Raat ke 11 baj chuke hai. Ye jaane ka time nahi hai. Raat to tumhe yahee gujarni paregi" Bhabhi ne jaise hukm sa diya
.
"Bhabhi kaash me ruk pati. Par bahut jarori kaam hai. MaiN chaahkar bhi nahi ruk sakti" Muskaan bhi jaane ka faisla kiye baithi thi. Kafi der tak bhabhi aur Muskaan dono me bahas hoti rahi. Aakhirkaar bhabhi ko hi haar manni pari
.
Bhabhi aur ham use gate tak chhodne aaye. Bahar koi vechile na khara pakar bhabhi boli..."Kisse jaongi tum"
.
"Main road se kuch na kuch to mil hi jaayega"
.
Muskaan ke jawaab par bhabhi hamaari taraf ghumi aur boli.."Zunair... Car lekar Muskaan ko ghar tak chhod aao. Etni raaat gaye ladki ka akele bahar jana theek nahi"
.
Kuch der baad Muskaan aur ham car me baithe the aur car road par daur rahi thi
.
"Bhabhi bahut sweet hai na" Muskaan boli thi. Zaraa hi der me wo bhabhi se ghul-mil gayi thi
.
"HaaN" Hamne jawaab diya aur song play kar diya....
"Pyaar ka pahlaa khat likhne me waqat to lagta hai.
Naye parindo ko uddne me waqat to lagta hai
"
.
"Wow aap bhi Jagjeet Singh ke fan hai. Bahut dino bad sun rahi huun unhe" Muskaan khushi se chahki aur aankhe band karke gazal enjoy karne lagi
.
"Jism kii baat nahii thii unke dil tak jana tha.
Lambii doori tay karne me waqat to lagta hai.

Pyaar ka pahlaa khat likhne me waqat to lagta hai

Gaant agar lag jaaye to fir rishte ho ya door
Laakh kare koshish khulne me waqat to lagta hai
"
.
"Bas yahii utaaar do" Muskaan ki aawaj hamaare kaano me pari to hamne car roki. Wo apni taraf ka darwaja kholi aur utarkar khari ho gayi. Aur muskuraane lagi. Hamne muskuraate huye car mori aur wapas chal diye
.
Raaste me hame yaad aaya ki es Muskaan ko kaise maloom huaa ki Jawed hamaare Bhayya hai. Hamne to kabhi nahi bataya. Ye Muskaan ki bachchi jab bhi milti hai. Kaai sawaal chhod jaati hai. Khair agli baar milegi to pochege
.
Jald hi ham ghar pahunch gaye. Bhabhi hamaare intizaar me jag hi rahi thi. Hame dekhkar shararat se boli.."Launda jawaan ho gayaa aur hame khabar bhi nahi huyi"
.
 Bhabhi ki baat par ham muskurakar rah gaye
.
"Waise larki meri devraani banne layak hai"

----------------------
(...Jari)
Logged
aqsh
Guest
«Reply #3 on: October 13, 2013, 07:44:07 PM »
hmmmm aage ke update bhi jaldi post karo masoom... jaldi lagi hai woh haadson ki devi muskaan ke baare mein jaanne ki...
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #4 on: October 13, 2013, 07:52:47 PM »
Update 4

"Waise  larki meri devrani banne layak hai"
.
"Bhabhi aap bhi na" Ham sharma gaye.  Ye bhabhi bhi jaane kyaa-kyaa sochti rahti hai
.
"Chalo achcha hai tumne larki khud dhund li warna mujhe hi edhar-udhar dhakke khaane parte" Bhabhi aaj full mode me hame ched rahi thi
.
"Bhabhi aesa kuch nahi hai jaisa aap soch rahi hai. Muskaan hamaari dost hai bassss" Ham bas par kuch jyada hi jor daalte huye bole aur bhabhi se bachne ke liye kamre ki jaanib bad gaye
.
Piche se bhabhi haste huye kah rahi thi..."Dost se dilbar bante waqat hi kitna lagta hai"
.
Ham bed par jaakar let gaye aur socha jaisa bhabhi kah rahi hai agar aesa ho jaaye to harz hi kyaa hai. Kitni khoobsurat, masoom aur pyaari hai Muskaan, aur fir hamaari dost bhi hai. Kyaa dost se achcha koi hamsafar ho sakta hai
.
Hamne apne dil ko tatola. Charo taraf ak roshni si faili nazar aayi. Pore badan me ak sarsaari daur gayi. Ak ajeeb sa ahsaas hone lagaa. Dil ki dharkane tez ho gayi. Chehre par ak dilkash muskuraahat aakar khelne lagi. Ak khushi ka ahsas hampar haavi hone lagaa. Be-panaah khushi ka aksaas
.
Ye kyaa ho rahaa hai hame?
KaheeN hame pyaar to nahii ho gayaa?
HaaN hame pyaar ho gayaa hai.
Muskaan se pyaar ho gayaa hai
Dil kiyaa ye cheekh-cheekh ke kahuun..
.
Ak hi pal me duniya badal gayi thi.  Hame sab badla-badla nazar aane lagaa tha. Sab kuch pyara lagne lagaa tha. Baar-baar hasi honto pe aakar thahar rahi thi. Diwaaro ko takte rahna bhi achcha lagne lagaa tha. Karwat badalte-badalte ruk-kar use sochna achcha lagne lagaa tha
.
Palko ko girakaar der tak jhapkaaye rakhna bhi khushi de rahaa tha. Kuch sochte-sochte ruk kar aese hi ham hasne lagte the
.
Khushi ka ye aalam tha ki nind nahi aa rahi thi. Aankhe band karte to wo saamne aa jaati. Kholte to diwaaro par uska chehra nazar aane lagta. Aesa lag rahaa tha jaise hawa'ao me uski khusbu ghul gayi hai. Ham gahri-gahri saans lekar use apne andar utaarne ki koshish kar rahe the
.
Kuch samajh nahi aa rahaa tha kyaa kare. Kabhi uthkar baith jaate to kabhi let jaate. Aesa ahsaas kabhi nahi huaa tha. Hame apni haalat par Amzad Saahab ki gazal yaad aa gayi...

"Bheed me ek ajnabi ka samna achcha laga
Sabse chupkar wo kisi ka dekhna achcha laga

Surmayi aankho ke niche fool se khilne lage
Kahte-kahte kuch kisa ka sochna achcha laga

Baat to kuch bhi nahi thi lekin uska akdam
Hath ko honto pe rakhkar rokna achcha laga
"
.
Subah kisi ke jhinjhodne par hamaari aankhe khuli. Ham uthe to dekha, hame uthane wali bhabhi thi. Jinke chehre par ghabraahat havi thi aur aankhe aansu'ao se bhari huyi thi. Ham bole.."Kya huaa bhabhi"
.
"Wo hospital se call aayi thi tere bhayya admit hai"
.
"Kya huaa bhayya ko" Ham jaldi se uth baithe
.
"Kuch nahi bataya bas jaldi aane ka bola"
.
Ham jaldi se bhabhi ko lekar hospital pahunche. Bhayya ICU me the. Unki haalat behad naajuk thi. Bhabhi, bhayya ko es haal me dekhkar tut gayi. Unki palko ki baandh todkar aansu gaalo par bahne lage. Hamne unhe lage lagaa liya aur tasalli di.."Bhabhi Allah par barosha rakhe. Wo sab achcha karega"
.
Halaaki bhabhi se kam dukhi ham bhi nahi the. Par ham ro nahi sakte the. Aurat hone ka ye hi to fayda hai ki wo rokar apna gam halka kar leti hai. Par ham mard log aesa nahi kar paate, andar hi andar ghut'te rahte hai
.
Bhabhi rokar apna gam halka kar rahi thi aur ham apne dukh ko andar hi dabaaye huye the. Agar ham bhi tut jaate to bhabhi ko kaun samhaalta. Hamne bhabhi ko bench pe baithaya, pani pilaya aur tasalli di. Wo chup ho gayi aur Khuda se duwa'ae maangne lagi
.
Aur ham es khauj me nikal gaye ki bhayya ki ye haaalat kaise huyi. Jyada kuch to pata nahi lag paya.. Bas etna pataa laga ki ye sab karaa-dhara Cristina ka hai. Lab me  mojud 50 logo me se sirf bhayya hi jinda bache the
.
Bhayya second floor par admit the ham tahalte huye fist flor par aa gaye the. Ham aese hi galiyaare me khare the ki ak jabardast shor hamaare kaano me padne lagaa. Saamne galiyaare se log shor machaate huye hamaari taraf hi bade chale aa rahe the
.
Hamne ak-do se pochne ki koshish kee ki kyaa huaa, par es shor me kisi ne hamaari nahii suni. We kyoN bhaag rahe the jald hi hame maloom ho gayaa. Hamaari aankho ne saamne se ak ajeeb sa jeev aata dekha. Jiske daant khoob lambe aur nukile the. Haatho ke nakhoon chaaku jitne lambe aur usse bhi tez nazar aa rahe the
.
Pore jism par kaale ghane baal the. Aankho ki jagah do dahakte huye angaaro ne le li thi. Chehra kisi jaanwar aur larki se mil-jul kar banaa tha
.
Wo etna khatarnaak tha ki dekhte  hi hamaare pore badan me kapkapi daur gayi. Wo apne raaste me aane waale har insaan ko cheerta-farta tezi se hamaari taraf hi baraa chalaa aa rahaa tha
.
Hamne bhi bhaag jana chaha par ham etna dar gaye the ki hamaare kadam bhari ho gaye. Ham apni jagah se hil bhi na paaye. Patthar ki trah khare us jeev ko dekhte rahe

-------------
(...Jari)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #5 on: October 13, 2013, 08:01:45 PM »
Update 5

Wo hame apne saamne es tarah khadaa paakar aag bhabhola ho gayaa. Usne sher si dahaad lagaakar hamaare upar chalaang lagaa di
.
Theek usi waqat ak dhakka hame lagaa. Ham door ja gire. Hame dhakka dene wale ne us jeev ka hamlaa apne upar le liya tha. Wo dono ak dosre se lipte huye reling todte huye niche gir gaye. Ham sirf uski ak jhalak dekh paaye..."Muskaan"
.
Wo Muskaan thi. Hame bachaane wali Muskaan thi. Ham jaldi se uthe, niche jhanka, koi nazar na aaya. Ham seediyo ki taraf bhaage. Pore galiyaare me khoon ki chaadar si bichh gayi thi. Jagah-jagah laashe padi thi. Ham bhagte huye niche pahunche. Paaglo ki tarah har jagah chakraate fire par  na to kahee Muskaan nazar aayi aur na hi wo jeev
.
Thakkar ham seediyo par hi sar thaam ke baith gaye. Hame ye bhi ahsaas nahi tha ki aansu hamaari palko se tut-tutkar baraabar galo par girte ja rahe the. Muskaan bilkul theek boli thi. Usne sabit kar diya tha ki wo hamko dost maanti thi. Hame bachane ke liye usne apni jaan gavaa di thi
.
Hame har taraf andhera nazar aa raha tha. Aesa lag raha tha jaise jism se jaan nikal li gayi ho..."Kuch khona kuch pana chalta rahta hai... Saanso ka afsana chalta rahta hai" hamari pocket me rakhe mobile ne ahsas dilaya ki ham abhi jinda hai. Hamne aankhe saaf ki mobile pocket se nikala. Screen par baar-baar bhabhi flash ho raha tha
.
"Hello"
.
"KahaaN ho Zunair? Tum theek to ho na? Etni der se tumhara number engage kyoN ja raha tha" Bhabhi ki aawaj me ghabrahat saaf jhalak rahi thi
.
"Ham theek hai. Signal problem hai shayad"
.
"Tumhare bhayya ko hosh aa gaya hai. We tumse milna chahte hai"
.
"Bas abhi aa rahe hai" Ham uthe aur tez-tez kadmo se seediya tay karke second flor par  gaye
.
"Kaisi tabiyat hai bhayya" ham bhabhi ki side me bench par baith gaye
.
"Achchi hai. Zunair, Cristina ko jald se jald rokna bahut jarori hai. Warna wo pore shahar ko tabaah kar degi. Mujha abhi pata chalaa ki wo es hospital me bhi aa pahunchi thi"
.
"Aaap tension na le bhayya. Police es kaam me lag chuki hogi"
.
"Cristina ko rokna Police ke bas ki bat nahi hai, Zunair"
.
"KyoN"
.
"Uski body aesi hai ki lagne se pahle uske jakham bhar jayege. Aur uske sharir me jaane wali bullet ko wo pal bhar me baahar nikal degi. Bas use rokne ka ak hi tarika hai"
.
"Kya"
.
"Maine ak anti-dose banayi hai. Kisi trah wo uske sharir me chali jaye to wo normal ho jayegi"
.
"KahaaN milegi wo anti-dose"
.
"Meri Lab me" Jawed bhayya ne hame uski location achche se samjhayi
.
"Bhayya aur apna khayal rakhna" Hamne bhabhi ki taraf rukh kiya, bole aur nikal gaye
.
Sadke sunsaan thi. Ekka-dukka gadiya hi nazar aa rahi thi. HaaN Police jaror kasrat se sadko par dikhayi de rahi thi. Bhayya ki lab door nahi thi. Ham jald hi wahaa ja pahunche. Lab buri trah tut-fut ka shikar thi
.
Anti-dose talaash karne me hame kafi mahnat karni padi. Wo ak halka haraa sa liquid tha. Jo ak chooti si bottle me tha. Hamne bottle apni jeb me daal li
.
Anti-dose to hamne haasil kar li thi. Par kaise use Cristina ke jism me pahunchaye samajh nahi aa raha tha. Esi ki planing karne ham wapis hospital aa gaye
.
Hopital me pahle se jyada sannata pasra tha. Koi bhi nazar nahi aa raha tha. Ham dhayaan na dete huye seediya tay karke second floor par aa gaye. Jab ham gaye the to second flor par kuch nahi tha par ab yahaa lashe hi lashe nazar aa rahi thi. Hamaare dil ki dharkane tej ho gayi. Ham dhadakte dil se ICU ke saamne pahunche. ICU ka gate tuta hua tha. Ham andar dakhil ho gaye
.
Bed par bhayya aur bhabhi ke dhad nazar aa rahe the. Sar niche ak kone me pade the. Hamaare pero me taqat na rahi. Ham ghutno par gir gaye aur dahaade maar maarkar rone lage
.
Jindagi me pahli baar ham aese roye the. Bahut der tak aese hi rote rahe. Fir ham uthe bhayya aur bhabhi dono ke saro ko uthakar unke dhado se jod diye
.
Ab hamari rago me khoon ubalne lagaa tha. Gussa dimag par chadna suru ho gaya tha. Ham dahade..."Bhayya ya to aapko marne wala es duniya me nahi rahega ya ham nahi rahege"
.
Jab aadmi kisi kam ko karne ka  azam, pakka irada kar le to himmat apne aap aa jati hai. Ham bhi apne andar aesi hi himmat mahsos kar rahe the. Ham niche sadak par aakar ruke aur edhar-udhar dekhte sochne lage Cristina kahaaN mil sakti hai.
.
Hamari nazar jo dayi taraf gayi to hame Muskaan apni jaanib aati nazar aayi. Hame lagaa ye hamaari aankho ka dhoka hai. Hamne apni aaankhe mali , dobara dekha, wakai Muskaan hamari taraf aa rahi thi. Ye hamaari aankho ka dhoka nahi tha
.
Muskaan ko dekhkar ham sab-kuch bhool gaye. Ham betahasha Muskaan ki taraf bhage aur usse lipat gaye. Jajbaat ki siddat me hamne use jor se apni baanho me bheench liya
.
"Aaochh kyaa karte ho"
.
Khushi me es waqat ham pagal se huye ja rahe the. Hamne uske maathe, gaal, naak, hont, aankh thuddi sabko chumte chale gaye
.
Muskaan ne hame pakadkar sidha kiya.."Kya ho gaya hai tumhe? Kyaa kiye ja rahe ho?"

--------------
(...Jari)
Logged
aqsh
Guest
«Reply #6 on: October 13, 2013, 08:03:44 PM »
Hmmmm naya twist aa gaya... keep writing....
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #7 on: October 13, 2013, 08:09:07 PM »
Update 6

"Tum jinda ho" Ham sirf etna hi kah sake
"Ha mujhe kya hona tha"
"Tumhe wo Cristina ne mar dala tha hospital me"
"Kya kah rahe ho? M kisi hospital nahi gayi. Abhi news me Jawed Bhai ke chot lagne ka suna to milne aayi hu"
.
Muskaan ke milne ki khushi me ham sab bhol gaye the. Muskaan ne fir se yaad dila dala. Hamari aankho se aansu nikalne lage..."Maar dala, usne bhayya-bhabhi ko maar dala"
Muskaan ne bina kuch kahe hame apne sine me chupa liya aur anguliyo se hmare bal swarne lagi
.
"Ham use jinda nahi chodege. Maar dalege use... Jaan le lege uski" Hichkiyo ke beech hamne kaha. Kafi der tak ham Muskaan ke sine me sar diye rote rahe. Fir usne hame khud se alag kiya aur hmare aansu saf karne lagi
.
"Kaha mil sakti h ye Cristina" Ham khud se barbraye the. Muskaan hmare bilkul pas khari thi esliye usne saf suna tha. Wo kuch pal ajeeb si nazro se hame dekhti rahi fir boli..."Maine abhi kuch der pahle Police ko Cristina ke piche Shivaji park jate dekha tha"
.
Muskaan ki baat par ham bina kuch kahe car ki taraf bhage aur kuch hi pal baad hamari car farrate bharte huye Shivaji park ki taraf ja rahi thi
.
Bahut jald ham apni manjil tak pahunch gaye. Hamne Shivaji park ke samne car roki. Andar se goliyo ke chalne ki aawaj aa rahi thi. Par park ki diware kafi unchi thi esliye bahar se kuch nazar nahi aa raha tha
.
Ham car se utre aur park ke gate ki taraf chal diye. Park ka gate paar kiya to dekha.. 20-25 Police ke jawaano ki ak tukri ne Cristina ko gher rakhkha hai. Aur us par goliye barsa rahe hai
.
Par Cristina ki furti ko dekhkar ham hairan rah gaye. Wo kisi bhi goli ko apne badan se chokar nahi gujarne de rahi thi. Hamaari nazro ne dahsat ka ak aur manzar dekha. Cristina ak police ke jawaan ki taraf badi. Apne chaku jaise nakhuno se uski gardan par waar kiya, uski gardan dhad se alag hokar door ja giri
.
Palak jhapkte hi wo dosre jawaan ke pas pahunchi, uska bhi yahi haal kiya. Kuch hi der baad, saare police ke jawaano ki laashe edhar-udhar padi nazar aa rahi thi. Maut ka ye tamasha dekhkar hamara pora badan pashine se sarabor ho gaya
.
Tabhi Kisi ne hmare kandhe par hath rakha. Ham chauke piche mude, Muskaan thi.."Tum... Tum... YahaaN kyoN aa gayi.. Jaao... YahaaN se chali jaao"
.
Muskaan chup rahi. Bas hamaari aankho me jhankti rahi. Hame uski aankho me ak dard sa nazar aa raha tha
.
Cristina ki nazar ham dono par pad chuki thi, wo dahadti huyi hamari janib hi bad rahi thi. Muskaan ne bhi Cristina ki taraf badna suru kar diya. Hamne Muskaan ki baanhe pakadke rokna chaha, par wo apni baah chudakar aage badti rahi
.
Cristina ne Muskaan ki gardan par apne panjo se waar kiya. Par ye kya hamari aankhe fati rah gayi. Cristina ke chaku jaise nakhon bina koi nuksaan pahunchaye Muskaan ki gardan ke aar-paar nikal gaye
.
Muskaan ne Cristina ko dhakka diya. Cristina door ja giri, girte hi uthi, tezi se Muskaan ki taraf aayi aur Muskaan ke dono haatho ko thaamkar sar se uncha utha liya. Wo Muskaan ko jameen par patak dena chahti thi ki tabhi hamne ak karishma dekha. Muskaan ne hawa me jhulte-jhulte Cristina ko ghumaya aur jameen par patak dala
.
"Zunair kyaa kar rahe ho. Jaldi anti-dose injection me dalo aur ese lagaa do" Cristina se ladte-ladte Muskaan boli to hame hosh aaya. Hamne jaldi se anti-dose injection me li aur Cristina ki taraf bade. Es waqat Cristina ne jor se Muskaan ko apni baanho me jakad rakhkha tha
.
Muskaan ke chehre par pilapan failne lagaa tha. Hamne injection Cristina ki kamar me ghonp diya. Cristina ne Muskaan ko chodkar ham par waar karna chaha. Par Muskaan ne uske haath pakad liye
.
Cristina ne jhatka dekar Muskaan ko ak taraf uchaal diya aur khud jameen par girkar tadapne lagi. Uske pore badan se kaale-kaale baal gayab hone lage. Nakhun chhote hone suru ho gaye. Chehra badalne laga. Wo normal hone lagi
.
Hamne edhar-udhar dekha, paas hi ak gun padi thi. Hamne use uthaya aur Cristina ko nishana bnane hi wale the ki Muskaan hamaare samne aa gayi.."Kyaa kar rahe ho"
.
"Samne se hat jaao Muskaan, ham ese jinda nahi chodege. Esne hamare Bhayya-bhabhi ko mara hai"
.
"Jisne bhayya-bhabhi ko mara tha us jaanwar ko tum maar chuke ho. Ab ye ak begunaah ladki hai. Jiski maut aaj nahi likhi hai" Muskaan ne hamaare hatho se gun cheenkar fek di
.
"Kaun ho tum? Ye sab kaise kiya tumne" Hamne Cristina se dhayaan hataakar Muskaan ko ghorte huye pocha

----------------
(...Jari)
Logged
aqsh
Guest
«Reply #8 on: October 13, 2013, 08:14:49 PM »
hmmm niceeeeeeeee kaafi suspense le aaye tum...
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #9 on: October 13, 2013, 08:16:13 PM »
good
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #10 on: October 13, 2013, 08:16:59 PM »
Update 7

"Kaun ho tum? Aur ye sab kese kiya tumne" Hamne Cristina se dhayaan hataakar Muskaan ko ghorte huye pocha
.
"Abhi kuch mat pocho. Bas ak baar gale se lagaa lo" Ham kuch kahte usse pahle hi wo hamaare gale lag gayi. Aur agle hi pal gaayab ho gayi. Ham hairani ka putla bane rah gaye. Ab ye manne ke alawa koi chara hi nahi tha ki Muskaan bhoot thi. Esiliye wo hamesha apne baare me bataane se katraati thi
.
Halki-halki aah ki aawaj par hamara dhayaan Cristina par gaya. Wo akdam normal ho chuki thi aur uthkar baithne ki koshish kar rahi thi. Wo bilkul janmjaat nangi thi. Hame apni jaanib dekhta paakar apne hatho se apne tan ko dhakne ki koshish karne lagi. Hamne apni nazar us par se hatayi. Ak police ke jawaan ke kapde utaare aur bina uski taraf dekhe, uski taraf uchaal diye
.
"Yaha kya hua? En logo ko kisne mara? Aur m yaha kese aayi?" Kapde pahankar wo ghabrayi si hmare pas aayi
.
"Thoda sa dimag par zor dalo. Yaad karo... Sab malom ho jayega" ham bole aur bina us par nazar dale chal diye
.
Jawed bhayya aur Salma bhabhi ki lash lekar jab ham gaanv pahunche to kohraam bach gaya.  Jawaan maute huyi thi, shayad hi gaanv me koi aesa bacha ho jiski aankhe nam na huyi ho. Ammi aur Abbu ka to bura haal ho gayaa. Ammi to rote-rote kaai baar behosh huyi
.
Bhayya aur Bhabhi ki lasho ko nahlaakar kafnaya gaya aur fir dafnane ke liye kabristaan le chale. Abbu ke kandhe bilkul jhuk gaye the. Unke kandho par sabse badaa bojh tha. Ak baap ke kandho par bete ka zanaza. Ham log bhayya aur bhabhi ko kabro me dafnaake aa gaye
.
Kahte hai ki marne waalo ke sath mara nahi jata aur kisi ke hone na hone se jindagi ruk nahi jati. Hamaari jindagi bhi chal rahi thi. Bhayya bhabhi hame rah-rahkar yaad aate aur kabhi-kabhi Muskaan bhi
.
Ak din ham apne khet me ghaas par aankh band kiye lete the. Kisi ke kadmo ki aahat huyi. Hamne aankhe kholi to dekha Muskaan khari muskura rahi hai. Ham ak jhatke me uth khare huye aur maare hairat sirf etna hi bol paaye..."Tum"
.
"Baith jaao , baithkar araam se bate karte hai" Wo ghaas par baithte huye boli
.
"Kaun ho tum? Aur hmare piche kyoN padi thi?" Ham khare rahe. Thoda dar bhi lag rahaa tha. Pahle jab bhi mile the hame pata tha ki wo ak ladki hai. Par es baar ham ye jaante the ki wo ak bhoot hai
.
"Baith jaao sab batati hu" Usne kahaa to ham baith gaye
.
Wo kuch der chup rahi fir bolna shuru kiya..."MaiN maut hun. Logo ki jaan nikaalkar aasmano tak pahuchana mera kaam hai. Hame chote-chote ilaake diye jate hai. Har ilaake ki alag maut hoti hai. Jaise mujhe us shahar aur aas-paas ka ilaka mila hua tha
.
Ham log kaai ropo me rahte hai. Mujhe insaani roop pasand tha, esliye insaan bankar rahti thi. MaiN hazaaro lakho saalo se us shahar me marne wale logo ki jaan nikalti rahi
.
MaiN maut thi esliye hone wali ghatnaao ka mujhe pahle hi pataa lag jata tha. Aur bhi bahut si khobi thi mere andar jaise kisi ke baare me bhi sab kuch jaan sakti thi.. Khair us din maiN park me us ladke ka intizaar kar rahi thi, jiski maut us din park me huyi, taki uski jaan nikaal sakun
.
Tum mere paas aaye aur dosti ka haath badaya. Hazaro saalo me aesa pahli baar hua tha, mujhe achcha laga. Socha chalo koi to hoga jisse has bol liya karugi. Agle din maiN mall me marne wale ladke ki jaan nikaalne ke liye gayi thi. Tum waha bhi takra gaye
.
Usi raat tumne mujhe pukara aur maiN chali aayi. Bhabhi se milkar hasi-mazaak karna bahut achcha laga. Mere baare me jaankar tum dar jaate aur mujhse door bhagne lagte esliye apni sachchayi tumhe batane se katrati rahi
.
Us din asptaal me tumhari maut ho jani thi par maiN us Cristina bheed gayi aur tumhe marne na diya. Mere es kaam par mujhe bahut daant padi par meri pahli aur aakhiri galti maankar chhod diya gaya
.
Ham jis roop me ham rahte hai uski kuch feeling bhi hamaare andar aa jati hai. MaiN ladki bankar rahti thi. Esliye mere andar ladkiyo wali feeling thi
.
Us din hospital ke bahar jab tumne mujhe banho me bhencha aur mujhe chuma to mera dil dhadak utha. Mujhe tumse pyar ho gaya. Ab Shivaji Park me tumhari maut tay ki gayi thi. Par tumhare pyar me maiN bahak gayi aur apne farz ko thokar markar Cristina se takra gayi
.
Par es baar mujhe mafi nahi mili. Mujhe wapis aasman par bula liya gaya. Aur meri jagah kisi aur ko waha bhej diya gaya. Tumhari yaad me m har roj GOD ke aage roti-bilakhti,ghirgirati rahi. Unhe mujhpar raham aa gaya aur kuch sal ki jindagi tumhe tohfe me de di sath hi tumhari jitni saanse mere nasib me likhkar mujhe ak aam ladki banakar yaha bhej diya"
.
Muskaan apni bat khatam karke hame dekhne lagi. Hamara dimag sunn ho chuka tha. Kuch samajh nahi aa raha tha. Muhabbat hamare samne khadi thi. Wo muhabbat jisne do bar hamari jan bachayi thi. Hamari jindagi to usi ki amanat thi. Hamne sar jhatka aur bole.."Tum kya thi hamne nahi suna. Ham bas etna jante h ki tum Muskan ho.. Hmara Pyar.. Hmari Muskan"
Hamne muskrakar baanhe faila di wo hmari banho me sama gayi
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #11 on: October 13, 2013, 08:19:20 PM »
THE END
Logged
aqsh
Guest
«Reply #12 on: October 13, 2013, 08:28:26 PM »
Hmmmmm ending sahi nahi lagi masoom...sirf ek story ke hisaab se theek hai..
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 24 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #13 on: October 13, 2013, 08:49:46 PM »
nice
Logged
mkv
Guest
«Reply #14 on: October 13, 2013, 10:56:08 PM »
Thoda hi padh paaya hun bhai
aap to story pe hi concentrate kar rahe ho..
badhiya
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 04:10:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.241 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer