Haqeeqat - ek ansuni daastan

by asif biswas on September 12, 2011, 04:44:03 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 17274 times)
asif biswas
Guest
BAARISHO MEIN THANDH LOGO KO KAANPNE PAR MAZBUR KAR RAHI THI LOG JALDI JALDI APNE GAHR AUR KISI JAGAH JAA RAHE THEY BAARISH AUR ISS TUFAANI RAAT SE BACHNE KE LIYE THANDAA MAUSAM MEIN BAARISH KE SAATH BIJLI KHADHAK RAHI THI

PLACE – TRANSLYVANIA ROMAN
TIME – 10 :23 PM

WO SHAKS EK BADE SE CHURCH KE UPAR BANE MURTI PAR BAITHA THA AUR NICHE DIKH RAHE NAZAARE KO DEKH RAHA THA HAR TARAF MAANO KITNA UJALA SAA HO MAANO ANDHERE MEIN BHI KITANI ROSHNI HO ANDHERO KE BICHO BICH AISI JAGAH MEIN REHNA KISI SWARG SE KAM NAA LAGE

UDHAR BIJLIYAA DUAD SI RAHI THI AUR AUR SHEHER SE KOSO DUR THA WO CEMENTRY EK KABLUSTAN

KHANDHAR BANI HUYI SI WO JAGAH JO KI SHEHER SE KAAFI HATKAR THI WAHAN BAARISH AUR KHADHAKTI BIJALI EK BHAYANAK WATAVARAN BANAA RAHI THI JISE DEKH MAANO LAG RAHA THA KI KITANI UJADE HUYE HAI YAHAN KA WAATAVARAN KITNE DUKHI HAI MAANO INKE TUTEY HUYE SAPNE HO AUR UNHI SAPNO MEIN HAI USKI ZINDAGI US SHAKS KI JISE SIRF ZINDAGI MEIN MILAA DUKH AUR DARD OOSKI KHUSHI AANE SE PEHLE OOSSE CHEEN LI GAYI AUR AAJ WO SHAKS BAN GAYA HAI EK LAASH JO KI MAANO KITANE MITTIYO MEIN DABAA INSAANO KE LIYE MARR CHUKAA HAI

KAHANI KO 1 SAAL PEHLE LE JAATE HAI

EK CHOTE SE GHAR MEIN PAIDA HUA EK LARKA JISKA NAAM THA shawn USKI ZINDAGI EKDUM BADALNE WAALI THI JAB USNE PEHLI BAAR GUITAR HAATH MEIN UTHAYA AUR OOSSE BAJANE LAGAA LEKIN SHAYAD WO ABHI ITNA CHOTAA THA KI OOSSE GUITAR BHI SAMBHAL SAKTE THEY

MEHEZ 10 SAAL KI UMAR MEIN WO EK GUITAR KA DIWANA THA

OOSSE GUITAR ABHI BAJNE KE KAGAAR PAR HI THI KI AA GAYA GUITAR SHOP KAA MAALIK

MAALIK – OH MY GOD TU NAHI SUDHREGA ABE GUITAR LENA HAI TO PAISA CHAHIYE AUR TUJH JAISE PHOKHAT BAAP KI AULAD KO GUITAR CHHAIYE NAA MURAAD NIKAL JAA YAHAN SE MAALIK NE OOSE GHASIT KAR BAHAR FIAKH DIYA

NAMAKUL AGAR DOBARA MERE SHOP KE AASPAAS BHI NAZAR AAYA NAA TO POLICE SE ARREST KARWAA DUNGA CHAL NIKAL YAHAN SE BHAAG

LARKA AFSOS KAR WAHAN SE NIKAL GAYA USKI GARIBI USKI LAACHARI OOSKE LIYE EK ZEHER THI AISA ZEHER JISME KOI REHNA NAHI CHAHEGA LARKA GHAR AAYA

AUR APNE BAAP SE KAHA

DADDY MUJHE EK GUITAR CHAHIYE

DADDY – TU FHIR WOHI ZIDD PAKAD LI KAHAN NAA MERE PAAS ZEHER KHAANE KE BHI PAISE NAHI HAI TU JAA BADDH MEIN PADHTA LIKHTA TOH HAI NAHII BAS GUITAR BAJAYEGA YAHIN SHAUK HAI TERA TERI MAA KO MARE HUYE 10 SAAL BEET GAYE HAI AUR SAALI NE AISE BACCHE KO MERE CHODH DIYAA TU JAA AUR MERE LIYE EK SHRAAB KI BOTTLE LAA YE LE PAKAD

Shawn MAAYUS HOKAR WAAPIS BAHAR NIKLAA OOSKI ZINDAGI ITNI KHARAB KYU THI YE OOSE BHI NAHI PATA THAA

Shawn AAKHIR KAAR BADAA HONE LAGAA AUR BADHNE LAGAA USKA DIMAAG BHI AUR FHIR HUAA OOSSE EK SHAKS SE MULAQAT USKA NAAM THA Anthony

Mr Anthony ne oosse pucha ooski sangeet ki kitani lagan hai oose kya pasand hai aur uski dili maqsad kya hai ? in sab sawaalo ke baat mr Anthony ko us bachche par dayaa aa gayi aur unhone oose apne paas rakh liyaa

Baap ki maut ho chuki thi ab shawn 16 saal ka thaa aur ooske zindagi mein tha sirf Anthony uncle kaa haath padhai likhai ke baad raj apne haatho mein wo guitar thaamtha aur oose bajaata jise sun mr Anthony ka dil bhar jaata

Aakhir kaar aakhir wo muqaam mein pahuch gaya wo shaks wo raj jise ooski banne ki dili iccha thi naa jaane kitne saalo se

shawn ek rockstar ban gaya aur uski zindagi maano ek train ki raftaar ki tarah badalne lagi jiska oose andaza bhi nahi tha

shawn ab ek naye raah par tha ooski music hit hone lagi aur ooske saath hi banne lagaaa ooski zindagi khushnumaa


shawn ki music hits hoti jaa rahi thi aur overseas market mein bhi ooski cd’s ke demand ban gaye log cassettes mein bhi ooske gaane sunte

Larkiyo kaa deewana logo ka chahita ban chukaa tha har kisi ke dil mein ooski jagah ban chuki thi roz press conferenece aur naa jaane kitne interviews dete bhi nahi thakta tha raj ka mann

Lekin jald hi…………


shawn ke rivals oosse ootne hi jalte they

Aur unme se tha wo shaks bhi

Rocky music industry mein 2nd number par lekin shayad apne rank se ooska dil khush nahi tha’

Rocky apne kamre mein baitha soch mein dubaa tha aur ooske saath baithe they ooske 4 saathi rocky ne cigarette phoonkaa aur kaha toh ye bahut badi baat ban chuki hai ki shawn ek rockstar ban gaya hai ooske paas dhairo daulat aa gayi hai aur main pichle 3 saalo se naa kisi recording studio se mujhe call aaya hai aur naa hi kisi concert ke liye invitation bas jahan dekho wahi shawn shawn shawn aur bas oosi ke naam ke jhande gade hai bas mehez ek saal mein hi oosne itna kuch karke dikhaya aur main mere dad mr dicosta sangeet mein ek bare naami musician aur main bachpan se dilo mein sabke tha ab wohi hai

Ab tum sab log hi jawab do

Rocky ke chehre ko dekhte huye hass padhaa Jordan bhi hahahaha tum naa aakhir tumhara hi oosne buraa nahi kiyaa hum bhi tumhare band ke members hai tumhare diwaale ke saath saath hum bhi doob rahe hai kahin hamari hi banayi huyi popularity hum par hi naa bhaari padh jaaye

Dusre member lampard kaa bhi yahin khyaal tha haa rocky Jordan theek hi keh raha hai ab hum kab tak aise hi karenge aur wo din dur nahi jab paper mein ye likhaa huaa aaye rocky’s death band really dead c’mon you should do something aage ki socho wo shawn hamare faansi kaa fanda ban raha hai

Udhar shawn bhi khush thaa apni is naye album ke hit hone se

shawn pata hai Anthony chacha ye gaana mujhe itna accha kyu lagta hai kyunki main mehez baarah saal ka tha jab maine ye gaane k ilyrics apne school ke copy par likhi thi aur us time mujhe ye wishwas tha ki ek na ek din rockstar banker ye gaana zaroor bajaungaa aur aaj ye sapna sach ho hi gaya

lekin Anthony uncle aap kuch bataa rahe they mujhe ?

Anthony – haa beta jis tarah tumhari popularity badhi hai oosse to yahi lagta hai ki tum ab auro bands ke aankho kaa kaanta ban gaye ho kyunki roman mein to aisa koi bacha hi nahi jo tumhare talent ke bare mein kisi ko pata naa ho

Anthony ne kaha ye meri zindagi kaa ahem maqsad thaa par aap fikar mat kijiye mujhe kuch nahi hogaa jab tak mere paas aapki di huyi ye guitar hai

Anthony uncle ne kaha jaisa tum theek samjho beta lekin main tumhare bhale ke liye keh raha tha theek hai beta

Udhar rocky ke dimaag mein shaitani soch sujhi

Rocky samjho is pathar ko mom mein badlaa jaa sakta hai par ooske liye humhe pyaar ki cheez se os shawn par waar karna hogaa warna aise maar daalna impossible hai

Jordan aur baaki saathi hairaan they par aisa kaun karegi ?

Rocky ne haste huye kaha bas wo plan main naa to andar discuss kar sakta hoo aur naa hi baahar so just wait and watch I can say only this.

Jordan aur baaki saathi bhi ekdusre ka achraz munh dekh rahe they

Udhar shawn apni kaamyaabi se khush tha usne ek car start ki aur jungle ki hawao ki sair karne mein lag gaya

shawn abhi aadhe raaste chalaa tha ki tabhi ooski car ka tyre puncture ho gaya

shawn bahar car se niklaa aur kaha oh god ye tyre ko kya ho gaya ? abe yaar

ab is aadhe jungle mein koi mechanic bhi nahi milega ab kya karu ?

driver ko bhi kahan tha maine yaar samajh nahi aa raha kya karu ??

bijliya khadhakti huyi wo car tezi ke saath badh rahi thi oosi highway ki taraf shawn ki car ke bilkul paas aakar wo car ruki

shawn muskurakar oos car ki taraf gaya jahan oosne dekha ek sundar larki ko car se utarte huye

shawn oose bas dekhta reh gaya oos larki ke resham brown blonde hair khubsurat nazar aur ek kamsin muskaan shawn ke dil mein jagah banane ke liye kaafi thi

shawn palak jhapakte oos car ki taraf aakar bola

may I get a lift? My car’s tyre already punctured

us larki ne kaha oh why not ? aapko kaun nahi lift degaa aap shawn hai naa the super rockstar

shawn ne kaha oh main to palbhar ke liye bhul hi gaya tha ki main famous bhi hoo

oos larki ne apni adaayo ke saath shawn ko apni car mein baitha diya dono nikal pade

larki ne kaha to kahan jaana hai aapko

shawn ne kaha mujhe recording studio chodh dijiye mera wahan par ek singer ke saath meeting hai larki ne kaha oh good

to waise aap ke bare mein to main bahoot kuch jaanti hoo

shawn ne kaha wo to hai puri duniya mere bare mein jaanti hai bytheway sorry main aapka naam nahi puch sakaa what’s your name ?

larki ne azeeb muskurat aur nazar se shawn ko dekhkar kaha luchiaa

shawn – oh aap lagti to nahi translyvania ki kahan se hai aap

luchia – ji darasal main mr ahluwalia ki granddaughter hoo

shawn – arre to wo naami businessman hai is sheher ke but aap to Mexican decent hai shayad

luchia – aapki andaza kaafi accha hai waise aapke paas time hota hai ghumne fhirne kaa

shawn – haa bahut si par main ghumta bhi kisi ke saath nahi hoo bachpan se hi mujhe sabne thukraya ab main akele hi rehta hoo aur akele mein hi khush hoo kaam ke time main dost yaari sab bhul jaata hoo

luchia – wow kaafi acchi baat hai jo insaan apne kaam ko importance deta hai wo yakeenan kamyab hota hai accha aapko recording studio to aa gaya

shawn – thank you aapse dobara mulaqat hogi

shawn ne tissue paper apna number luchia ko de diya

shawn wahan se nikal gaya lekin aakhir oosne luchia ko piche mudhkar dekha luchia ab bhi oosi ko dekh rahi thi

shawn ko wo auro fans se alag lagi maano oosme ek kashish si ho aur wo kashish maano ab uske dil ke gehraaiyo mein bas gayi ho ek pyaar banker shayad isi ko pyaar kehte hai

chaliye shawn raat hi ko ghar aaya aur wo ab bhi khush tha ooska phone bajaa aur oosne phone uthakar kaha hello

udhar se ek mithi si awaaz se shawn ko hairaan kar diya wo luchia thi

shawn ne kaha oh hello hi kaisi ho ? aaj raat kaafi suhani hai

luchia – sahi kaha aapne waise itni suhaani raaton mein agar koi saathi aapke saath ho to fhir baat ban jaaye

shawn ke dil mein ek alag sa feel jaaga – accha theek hai aap chaho to mere saath ghum sakti ho

luchia – kyu aap to itni badi hasti hai aapke saath to kaafi larkiya hongi

shawn – ji bilkul galat samjhaa naa main aisa hoo aur naa larkiyo ke saath ghumna mujhe pasand hai haa agar pyaar ho to alag baat hai

luchia – oh pyaar ke bare mein aapki kaafi knowledge hai par ek accha saathi ke bina duniya mein chalna har kisi ke liye mumkin nahi koi baat nahi khair hum ek cup coffee ke liye chal sakte hai

shawn – I know ki aapko kya lag raha hai ki mere jitane bade rockstar ke saath koi bhi aane ko pagal ho jaaye

aise hi to main samajhta hoo ek pyaar karne waale ko aur ek fan ko mujhe aap jaisi ki hi shayad talaash thi aisa aap samajh sakte ho

luchia – I think so waise aap kaafi acche se kisi ko bhi apni taraf kheench sakte hai

shawn – ji who to hai

coffee ke baad

toh kaisi lagi ?

luchia – coffee?

shawn – ji nahi balki mera saath

luchia – aapkaa saath to mujhe pasand aane lagaa hai par is mein ab bhi ek kami hai aur wo hai aapka pyaar

sach puchiye toh kal ki hamari ye choti mulaqat shayad hamare liye bahut zyada hi alag ho par sach maaniye toh mujhe aapse pyaar ho gaya and I love you whoever you are

shawn ko to maano ek surpised sa ho gaya aur wo luchia ke kareeb aaya aur uske hontho par apne honth rakh diye kuch minuto ke liye shawn luchia mein kho sa gaya uski aankho ek tak dekhne lagaa aur uske kuch hi der baad dono ki aankhen band ho gayi

shawn ne jaldi se oosse alag ho gayaa aur kaha ab to wishwas hai ki ye laakhon ka chahita tumhara humsafar banna chahata hai luchia ne haske kaha ab pura yakeen hai

shawn ki ye zindagi mein aayi luchia ne oose pyaar karne ke moqaam pe pahucha diyaa tha kya shawn ki zindagi mein luchia kaa pyaar mil paayega yeh to aane waali post mein hi pata chalegaaa tab tak ke liye bye bye shabba khair
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
haqeeqat by gumnam in Shayeri for Dard -e- Bewafai
haqeeqat by gulzargul in Shairi - E - Zindagi
*Haqeeqat * by honeyrose in Shairi - E - Zindagi
Haqeeqat dar Haqeeqat by Tasleem ahmad Tasleem in Miscellaneous Shayri
----- /// Ek ansuni fariyaad /// ------ by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard
asif biswas
Guest
«Reply #1 on: September 13, 2011, 05:49:03 PM »
  Luchia ke pyaar aur ooski kashish ne shawn ko uski taraf dekhne par mazbur kar diyaa tha ab oose har jagah ooska hi wo khubsuat chehra dikhne lagaa kya ye pyaar shawn ke liye theek tha

Luchia aur shawn ki zindagi mein unke pyaar ko kareeb kuch mahine ho chale they lekin shayad mr Anthony ko ye baat pataa nahi thi

Ek din concert hone chalaa tha sab log apne sits par baithey they aur saamne khadhaa tha shawn haath mein guitar pakde maano riyaaz kar raha ho tabhi saamne se mr Anthony ko aate huye dekh

shawn ke chehre par khushi si chaa gayi aur kaha uncle Anthony kaise hai aap aa gaye apne tour confirm karaakar

mr Anthony haa beta shayad ab hum naya concert revenue hall mein karenge wahan par kaafi logo ki bheed hogi aur inaami raqam mein tumhe  15 lach ka cash price mil sakta hai samannit hone se

shawn ko ye baat sunkaar kaafi khushi huyi ki wo aakhir itni badi rakam ka maalik ban sakta hai

shaam ko ek sundar si jharno ke theek upar bane pul par intezaar kar raha tha shawn luchia kaa jahan luchia ko dekh oose khushi huyi luchia ko lekar shawn wahan se nikal gayaa

ye roz ki kahani thi dono ki milna julna aur uske baad ghumna fhirnaa aakhir

ye baat jayda din tak mr Anthony se chupi nahi thi

ekdin

luchia – oh c’mon shawn hamari shaadi ke bare mein kya socha hai tum famous ho tumhare paas career sabkuch aa chukhaaa hai aur ye baat mr Anthony uncle se chupi nahi hai tum aisa karo unse baat karke hamari shaadi ki baat keh do

shawn – kya itne jaldi ye decision theek rahega

luchia – oh what do you mean ? theek rahega main tumse pyaar karti hoo tum bhi mujhse pyaar karte ho aur ye baat hum dono se chupi nahi agar sach kahoon to tum rockstar bhi naa hote to main tumse hi shaadi karti because I love you main is rishtey ko naam dena chahti hoo

shawn ke shoulder par haath rakhke luchia oosse yahin keh rahi thi ki itney mein shawn ne kaha haa luchia ab main bhi intezaar nahi kar sakta we should get marry now main aaj hi Anthony uncle se baat kar leta hoo unhone meri bachpan se madad ki hai wo mere ek gguru ke saath saath ek baap hi hai jinke binaa aadesh ke main kisi anchahi raah ko nahi chun sakta main aaj hi hamare rishte ke liye unse baat karta hoo

 time – 10:20 pm
 
 Anthony uncle ek gehri soch mein they

 shawn – uncle main jaanta hoo aapne mujhe kaafi sahara diyaa hai par ab main shaadi karna chahta hoo aur mujhe meri honi waali dulhan bhi pasand aa gayi hai aur main jaanta hoo aap bhi oose swikar kar lenge

 Anthony – main jaanta hoo shawn betey ki tum shaadi karne ke liye utsuk ho par jo zimmedariyo ke kadam tumne bachpan se uthakar aaj tak chale hai unse tum munh nahi mod sakte tum ek rockstar ban chukey ho jis moqaam ki sirf log socha kartey sapne dekha kartey hai aaj oos moqaam par tum khadhe ho ab beta faisla tumhare hi haatho mein hai main tumhe forced nahi karungaa

shawn – nahi uncle Anthony aisa mat boliye music meri zimeedaari nahi meri aadhi zindagi hai jisse main aaj itna aage badh paaya hoo aap ne mere liye wo sab kuch karaa jo shayad ek pita apne bet eke liye karta ho main bhaukhubi apne zimeedaari ko nibhaungaa aap shaadi ke liey haa kar dijiye

 Anthony – hahahaha beta ab tum bade ho gaye ho ab tumhe jab sabkuch kaa samajh aaa chukaa hai to fhir main tumhare is naye rishte dukhi kaise reh sakta hoo bulao hamari aane waali bahu ko jisne hamare chiraag ka haath thaama hai oosse tumhari shaadi karane kaa

shawn khushi se zhoom uthaa aur sidhe bhaagkar car start ki aur luchia ke paas jaane lagaa

shawn – luchia luchia kahan ho tum ? luchia

luchia – kya hua shawn itna chilla kyu rahe ho kya hua ?

Raj – baat hi kuch aisi hai luchia I am so happy tonight

shawn ne ekdum se luchia ko baaho mein sa utha liya aur oose chakkar khaate huye jhulaane lagaa

luchia se gale milne ke baad shawn ne kaha to kaisa lagaa surprise Anthony uncle maan gaye hai

luchia ke chehre par ek muskaan si chaa gayi

luchia ne kaha wow great kisi sapne se kam nahi lag raha sunkar main jaanti thi wo raazi ho jaayenge and lastly tum bhi to yahin chahte they

shawn suno luchia iss saal revenue hall mein mera concert hai tum janna nahi chahti ki jo prise mujhe milega wo humhe aur amir kar dega bas dua karo main ye concert jeet jaooo

luchia – par oosse pehle tumse mujhe shaadi karni hogi isi haftey

shawn – jaisi aapki iccha rani hahahahaha

ek hafte baad hi luchia aur shawn ne shaadi kar li ek church mein jaakar jahah khadhe rockstar shawn ke baaki ke bhi fan they aur news mein bhi ye baat ailaan ho chuki thi

ab bas ghari thi to shawn ke concert ki jo theek ek hafte baad hone waali thi

shawn besavri se intezaar kar rha tha us din kaa jab woe k aur album tayyar karne waala thaaa

shawn tayyari mein lagaa hua tha uski tayaai zoro shoro par thi aur aakhirkaar wo din aa hi gaya

jab wo stage par khadhaa  haatho mein guitar baaki friends apne apne instruments lekar us ghari ka intezaar kar rahe they jab wo apne surili andaaz se sabko fhir se mohit karne waala tha

tabhi lights off hotey hi darshako ki bheed mein shawn ko de rahi wo cheekhe maano uske liye kisi cheer karne ki gunz ho

tabhi gaana shuru huaa aur logo ki taaliya shuru hone lagi

kuch ghante mein darshako mein sannaata chaa gaya aur gaana bajne lagaaa

gaana pure tarike se chal chukaa tha

par shayad shawn ki aankhen kisi aur ko dhundhne mein lagti thi tabhi saamne light sidhe luchia par padi jise dekh shawn mein maano ek tufaan sa jag utha wo jhoom uthaa aur khub masti se gaana gaane lagaa uska baar ishara apni nayi bride luchia par hi jaata tha

luchia oose smile paas kar rahi thi aur wo bhi baakiyo ke saath jhum uthi aakhir 1 ghante tak concert chali aur shawn ne sabse widaayi leni chahi par shayad audience ko aur sunna tha sab once more once more karne lage

shawn ne kaha bas bas sab log aap mujhe sirf 1 minute kaa mauka dijiye jisse main apni gaana aapko sunaa sakoo ya gaana hai kisi special ke liye ye gaana hai unke liye jo sachche dil se kisi se pyaar karte hai aaiye aur gaaiye mere saath

jhoom uthiye mere saath kyunki aaj main aapko India ek desh ka love song sunaungaa

tabhi saamne khadhi luchia ko dekh kar gaane lagaa shawn

dil mein sanam surat aankho mein aashiqui de
mere khuda mujhe tu ek aur zindagi de

kaise karu mohabbat do din ki zindagi mein
ye din to beet jaayenge yuhi hassi hassi mein
jee bhar ke pyaar kar loo aisi mujhe khushi de
mere khuda mujhe tu ek aur zindagi de

dil mein sanam ki surat aankho mein aashiqui de
mere khuda mujhe tu ek aur zindagi de

log jhoom uthey us gaane ko sunkar lekin shayad luchia ke aankho mein aansu dekhkar shawn aage gaane lagaa

saw saal tak sanam ki aankho mein dub jaaoo
saw saal aur ho toh oosko gale lagaaooo
saw saal fhir Milan ki duniya nayi nayi de
mere khuda mujeh tu ek aur zindagi de
dil mein sanam ki surat aankho mein aashiqui de
mere khuda mujeh tu ek aur zindagi de

 woahhhh wohaahhhh aaaaaahh haaaaaaaa haaaaaaaaaaaaaaaaaa

gaana khatam ho chala tha taaliyo ke gunz ke saath sab khushi se jhoom uthey

mr Anthony ne backstage par shawn se kaha waah beta waah aaj tune fakar se mera sar ucha kar diyaa hai

tabhi shawn backstage aakar bag bharne lagaa

tabhi piche se aayi luchia ne oose piche se apni baaho mein bhar liyaa aur kaha to meri jaan aaj tumne kuch alag gaaya

gaana mujeh accha lagaa chahe koi aur hi kyu naa gaata

aakhir ye gaana tumne India ka kyu chunaa?

shawn – kyunki is gaane mein mujhe tumhara pyaar nazar aata hai ye gaana sirf tumhare liyee hai luchia basharte agar tum ise suno mere marne ke baad bhi agar tumhe accha lage toh

luchia ne shawn ke hontho par haath rakhte huye kaha don’t say that again shawn main tumhe khonaa nahi chhati I love you baby aur tumhare binaa main adhuri hoo sab adhure hai meri khushiyaan adhuri hai ye guitar adhuraa hai tum samajh rahi ho main kya kehna chhati hoo

shawn ne kaha bilkul baby but always remember for me ye tumhe meri aur mujhe tumhari hamesha yaad dilaayega

luchia – I will always remember it never forget

shawn  luchia ke gale lag gaya




 
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: September 15, 2011, 06:39:48 AM »
[shawn apne ghar mein baitha beer ki chuskiya le raha thaa ki itney mein cigar munh mein bhare mr Anthony saamne sofe par aakar baith gaye

Anthony – mujhe ummed thi ki tum khare utaroge mere betey aaj tumne baazi maar li

shawn – main jaanta hoo uncle Anthony ki ye sapna mere liye bahut badaa tha aur maine ise krke dikhaa diyaa par main chahta hoo ki kuch din luchia ke saath time spent karu honeymoon manane jaooo taaki luchia ko mere akelepan ka ahesas naa lage waise bhi shaadi ke baad kuch hi dino mein maine concert ki tayyari karne lagaa

Anthony – jaanta hoo beta ab tumhari kandhe mein zimmedaari aur badh gayi hai tumhe ab naaki ek rockstar banker rehna hai balki ek accha pati bhi banker nibhaana haiiii beta main tumse kehne waala tha kuch  ?

shawn – ji kahiye kya kehna tha ?

Anthony – beta jis tarah tumhari popularity badhi hai oosse tumhare dushmano ka badhna ek khatra ban gaya hai ab oon sab ko tum piche chodh chukey ho aur duniya mein aisa koi insaan bhi nahi jo kisi aur ki kamyabi ko dekh naa sake waise hi kuch bands waalo se tum thodha chauknna rehna khasskar us death band se kyunki Miami America mein huye concert se tumne unki band band karwaa di thi tumhare music ke famous hone ki wajah se tumhari success bhi badh gayi aur itna amir hone ke bavjood bhi rocky aur uska death band thapp hone lagaa

Is liye main yeh baat keh raha thaaa tum thodha careful rehna kyunki kahin wo tumhe koi nuksaan naa pahuchaaye

shawn – aap chinta mat kijiye main sab dhyaan rakhungaa

main kal subah hi luchia ko Greenland leke jaa raha hoo ooske kuch dino baad hi main waapis aa jaungaa tab talak aap mere aane waale  concerts ko thodha aage badhaa dijiye

Anthony – theek hai beta jaisi tumhari marzi happy honeymoon

Aur ek muskurahat ke saath shawn wahan se chalaa gaya

Anthony – naa jaane kyu ek darr sa dil mein lag raha hai aaj khushi hai din hai fhir yeh anchaha sa darr kisliye ?

Subah hotey hi car ki raftaar ko tez kiye le jaa raha tha shawn luchia ko

shawn – toh kaise lag raha hai safar ?

luchia – accha hi toh hai bytheway tum Anthony uncle ko akela chodh aaye ye theek nahi kiyaa

shawn – kuch nahi hota security hai naa kadaa pehra deti hai aur abhi in khushiyo mein hum apni khushiyaa bhi bhulna nahi chahte isliye fikar mat karo

shawn pahadiyo ke paas leke luchia ko aaya bola wow kya haseen waadiyaa hai pahad par badal saa mausam kitna suhana hai ye jungle hari bhari si kitani madhak khushbu de rahi hai mera dil to yahin rukne kaa kar raha hai

luchia – aage ek jharna bhi hai main yahan dad ke saath bachpan mein aayi thi

shawn – kya sach mein ?

luchia – haa kyu tumhara bachpan kaisa tha ?

shawn – mera bachpan oos sadakchaap zindagi thaa jiske life mein sirf dukh dard aur garibi ke siwaa kuch nahi thaaa meri maa ke dehaant ho gaya tha dad mujhe paalna nahi chhate they har waqt shraab mein dubey rehtey they ek din Anthony uncle se meri mulaqat unhone maano meri zindagi hi badal di mujeh padhaya likhaaya is kaabil banaya naa jaane main shukriyaa aada kaise adaa karu bas main yahin chahata hoo ki aane waale concert mein main accha pardashan dikhaa saku

luchia – bhul jao oos din ko woe k behta nadi tha jo jaa chukka hai wo samay katt chukaa hai ab main hoo naa tumhare saath Anthony uncle hai naa toh fhir gam kaisa a

shawn ke baahon mein sar rakhke baith gayi luchiaaa

luchia aur shawn ek jharne ke paas aakr wahan se nazare ko dekhne lagey jo ki kaafi khubsurat thaa wahan pe ek khubsurat sa jharnaa tha

shawn ne wahan camp lagaa liyaa aur wahan par baithkar aag jalaane lagaa

luchia ne kaha c’mon shawn is waqt yahan aag mat lagao abhi to din hi hai aur waise bhi mujhe jharne ke paas jaana hai

shawn ne kaha jaisi tumhari marzi jao main aata hoo

par luchia ne shawn ke kandho ko pakadke uthakar saath leke wahan jharne ke paas le gayi dono jharne mein bheegne lage ekdusre se ghumne lagey ekdusre se judhkar tez hawao mein khushi

shawn ne kaha luchia is waadiyo ko dekhe kitani khubsurat hai ye hamari jagah hai yaad hai yahan se kuch duri par main car kharab hone se lift maang raha tha

luchia ne kahaa aur main tumhe dikh gayi sach mein badi hi haseen mulaqat thi woh bhi

shawn ne apne haatho se box nikalkar luchia ko diyaa aur kaha ye loh tumhare liye ek chota sa tohfaa

luchia ne kaha kya hai yeh luchia ne oose kholkar dekhaa oosme kuch chamkilaa saa tha aur wo kuch aur nahi balki diamond ring thaa jise dekh  luchia khushi se hairaan ho gayi

shawn ne kaha ek rockstar hoo toh gift bhi rocking honaa chahiye naa

 luchia – accha lekin tumhara  rocking gift kaafi pasand aaya hai mujhe my dear husband

 shawn – chalo accha lagaa tumhe gift toh pasand aayi aaj yahin raat guzaarte hai

Luchia – nahi agar koi jaanwar aa gaya toh tum mere saath ho aur ye suhana mausam hai main aaj tumhe in raato mein gaana sunaunga jisse tumhara darr kam ho jaaye

shawn – ek minute zaraa abhi aata hoo

shawn car ke pass jaakr dikki kholaa aur aur oos mein se guitar nikaali

luchia – oh c’mon shawn tum guitar ko honeymoon mein bhi nahi chodhna chahtey they hamesha to bajate ho

shawn – haa jaanta hoo is duniya mein ise ne hi to mujhe yahan khadha kiya hai aur isse judaa hona matlab apni zindagi ko thokhar maarne ke barabar hai

aur waise bhi is khuli awaadi mein guitar bajanaa bahut hi sukun aur haseen khushi deta hai

luchia – toh hamare janaab kaa tassavar pura ho gaya ho toh shall we get lunch ? ha ha ha

luchia aur shawn ek dusre ko dekhkar hasne se lagey

shaam kab dhal gayi pata hi nahi chalaa

time – 9:30 pm
place -  woodland mountain valley

charo taraf ghaanaa andhera chaa saa raha thaa aur hawao mein ek alag si thandhak thi pahad nazar nahi aane lagey raat mein chand dekhne mein bahut suhana lag raha tha wahan par

dono bich camp lagaye bich mein campfire lagaye huye dono jashnn sa manaa rahe they

luchia aag sekh rahi thi aur shawn ko dekh rahi thi

shawn bhi luchia ko dekh raha tha pathar par baitha apne haath mein guitar liye luchia ko dekhte dekhte kaha

so tonight I am gonna perform a concert on this mountain vally where I am sitting on a rock and tries to rock every single thing

I am dedicating this song for someone special her name is luchia Fernandez my sweetheart wife



Guitaro ki dhun pakadne lagi shawn ke haatho mein guitar ke swar se ab andhera bhi maano darr saa lage chand bhi maano muskura raha ho ghaass patte aise dekh rahe ho jaise koi audience ho tez hawao mein gaane ki sound dur dur tak fail rahi thi

shawn ne ekdum se gaana shuru kiyaa

dil mera tumse kehta hai tere bina naa jee saku
teri baatein bhule naa jaati aisi lafzon ko main pee saku
tujhpe ye dil aa gaya tere binaa main kabhi nahi royaa

dil mera tumse kehta hai tere binaa naa jee saku
mere dilbar bhul nahi sakta tumhe aisi madhoshi main dekh saku
tujhpe mera dil ab aa gaya tera binaa naa tha kabhi iiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii

guitar ke sound ne mehfil badal di luchia bhi jhoomne si lagi

aye mere dilbar ek baat bataa tujhme aisa kya hai
teri surat mujhe dikhti har taraf aisa nasha hai
mere dilbar maine tumhe chun liyaa ab kise hai pataa
dil mera tumse kehta hai tere binaa main naa jee saku
teri baatein bhule naa jaati aisi lafzo ko main pee saku



gunanati ye waadiyaa hai aisa kya inme khaas hai
mujhe dilbar sirf teri yaadon kaa hi fariyaad hai
mujhe tumse hai pyaar hamesha aisa kyu hua naa jaana kabhi iiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii

dil mera tumse kehta hai tere binaa naa jee saku
teri baatein bhule naa jaati aisi lafzon ko main pee saku uuuuuuuuuuuu

lalalalala lalalalalaa la la la llaaaaaaaaaaaaahhhhh la la la la la laaaaaa la la la laaa la la laa laa laaa laaaa laaa

wohhhh woaaaaaa woaaaa woa woa wou wou woaaaaaaa woaaaaaaa

hmmmmm hmmmmmmmmm hmmmmmm hm hm hm hmmmmmmm dil bar jaani tere binaa main naa jee saku tujhpe dil a gaya hai

guitar ke sound khatam huyi bhi nahi thi ki itney mein luchia shawn ke paas aayi dono ekdusre ki baaho mein sir rakhkar so gaye aur raat ke saath hi sabkuch andhere se dhaakk gayaaa

        kareeb 1 mahine tak luchia ko shawn har jagah lekar ghumaa oose ye ahesaas bhi nahi tha ki wo kitne zimmedariyo ko piche chodhh aaya hai kya hai wo sach wo baatein janne ke liye padhe meri agli post

hello friends kahani bahut aage badh gayi hai sorry meri kahani bahut hi kahaniyo se hatke hai isme maine ye gaana khud hi likhaa hai aur compose bhi karleta agar ye film hoti iske story sabse hatkar hai aur maine kisi film ya Hollywood movies se nahi laaya hai ye ekdum original meri banayi huyi story hai ummed hai aap logo ko pasand aaye pls comment on it agar kuch bhi acchaa naa lage toh aapse ummed judi hai meri shabba khair



 
/color]
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #3 on: September 16, 2011, 04:20:31 PM »
Luchia aur shawn ab bhi khuli waadiyo mein they aur barf ke slider par dono jhul se rahe they pahado ke bich maano kitna sukoon feel ho raha ho unki zindagi bahut hi sahi jaa rahi thi ye khushi ye barfila mausam

Ye hawaaye maano kitna sukoon de rahi ho

Udhar shayad koi khush nahi tha

Rocky – hmmm so to ye hai shawn ka hit gaana jisne croro logo ka dil jeet liyaa

Lampard – dude ise kamala kaa rap aur sound mixing karna aata hai kamala kaa bandaa hai yeh

Rocky ghurr kar lampard ko dekh raha thaa

Rocky – hoo aise hi hit ho jayega hum iska hit hona hi flop kar denge

Lampard – wo kaise ? tumhare paas koi plan hai kya

Rocky – bahut baraa plan hai is baar ki concert par jo agle hafte hone jaa raha hai oosme shawn fhir ek baar apnaa
Rang daalega isse pehle wo guitar chalaaye aur tum main switch ke plug mein paani daal dena fhir dekhna bajane ke saath saath naachne bhi lagega bastard

Uske baad uski maut aur fhir meri zindagi shuru

Mera nayaa career jao Jordan ko is khabar ki ikhtilaa kar dena aur haan kaano kaan bhi shawn aur uske jannewaalo ko iski khabar naa miley alright

Rocky ke dimaag mein koi kurafati plan tha jise wo jald hi anjaam dene ko bekraar sa tha

Udhar shawn aur luchia kaa bhi wohi haal tha wo dono bhi kaafi mazey mein they

Tabhi shawn ne luchia ko kaha chalo ab hamara bhi time ho raha hai humhe bhi isi mahine ghar waapis jaana hogaa

Luchia bhi boli sahi keh rahe ho waise bhi uncle wahan akele hai

Kuch dino mein hi dono waapis translyvania ke liye rawana ho gaye

Udhar shayad naye concert ki baat par Anthony abhi cancel karne hi waala they ki itney mein shawn wahan pahuch gaya aur kaha lagta hai mera sangeet ke saath purana rishta hai mere mann mein tha ki cancel kar dungaa par ab dekho aane waale concert ke liye kaise pagal ho raha hoo

Anthony – tum itney jaldi kyu aa gaye ?

Luchia – aapke binaa reh hi kahan paa raha tha yeh ? aur haa uncle aapko aise yahan akele kaise chodh sakte they aap bhi to yahan akele bore ho rahe hongey aapka bhi khyaal rakhna chahiye humhe

Anthony ne haske kaha – beta meri wajah se tum aur chutti manaa paaye aisa nahi karna chahiye hai main toh yahan theek hi tha

shawn – nahi theek they uncle aur waise bhi main koi concert miss nahi kar sakta ye mere liye bahut garv ki baat hai ki mujhe itney concert mil rahe hai

luchia – theek hai toh fhir agla concert kahan par hone jaa raha hai

Anthony – yahin la ronaves mein shawn tum thodha aaram karlo hum wahan shaam ko chalenge main abhi music company ko call ka deta hoo

shawn – theek hai uncle

 evening – 6:00 pm
 place – music company

Anthony – jaisa ki aap jaante hai ki is saal mein hi shawn ek baut baraa rockstar ban gaya hai iski ek appearance mein ise croro rupiya milne waala hota hai

Music company head – accha hai waise bhi jitna munafa humhe iske recording cassettes aur cd’s bechkar milaa hai utnaa munaafa toh shayad koi kar hi nahi sakta hamare liye

Theek hai kal Saturday hai Saturday night dhoom macchaa do tum shawn

shawn ke hontho par muskurahat chaa gayi aur kaha jaisa aap kahe sir aaphi ne to mujhe in logo se judaaya hai

agle din tayyar tha shawn bhi music ke saath dance bhi oosne shuru kar diyaa jise dekh luchia bhi khushi ke saath paas aakr kahi c’mon chai pee lo shawn

shawn – oh tumhare liye to main zeher bhi pee loo meri jaan luchia

luchia – bas bas apni practice par dhyaan do aur haan ye mat bhulnaa ki aaj ka conert tumhare zindagi kaa important hai tumne saare paise charity par dena chahte ho acchi baat hai

shawn – haan waise bhi croro agar main hi kamaa raha hotaa to kya wo anaath bachche bhuke rehte nahin unse meri ummedde hai unke saath hi main badaa hua hoo wo bhi mere apne hai is duniya mein koi chota gareeb nahi hota har koi ek jaisa hai agar mere show se unka ghar chalta hai to ise main samaan ke saath swikaar karunga

luchia – accha mere rockstar aaj tum jo guitar bajaoge wo ye bajanaa

shawn – wow waise red guitar mera bhi favoraite hai par main hamesha yahin guitar se bajataa hoo

luchia – c’mon shawn mere liye bajaanaa apni wife ke liye

shawn – theek hai aap kahe aur main naa maanoo

ye guitar mere liye bahut khushi ki cheez hai thankyou

shawn luchia ke gale lag gaya aur kehne lagaa I love you baby

luchia – I love you too


raat apne paymaane mein thi idhar bheed umadne lagi tickets counter par bheed aur saare tickets sirf aur sirf shawn ke liye uski music ke betaab diwaane shayad tayyar they is din ke liye


tabhi ek shaks backstage ke piche chupaa saara kaarnaama dekh raha thaa

wo koi aur nahi Jordan tha aur wo shawn ki har harqat par nazar gadaaye baitha hua thaa

tabhi Anthony ne kaha accha beta shawn main zaraa manager se milke aata hoo dekhta hoo sab manage hua ki nahin

shawn – accha uncle

shawn bhi kuch der baad washroom mein ghus gaya bahar do security guard tenaat they

tabhi Jordan ne ek security guard se kaha suniye bahar Anthony sir aap dono ko bulaa rahe hai

ek ne kaha aap kaun hai ?

Jordan sakpakaa sa gaya aur kaha nahin main unka assistant hoo kuch hi dino pehle hire kiyaa hai

Dusre ne kaha theek hai aap bhi saath chaliye

Jordan dheere se piche ki or dekhkar lampard ko aankh maar di jo kone mein chupaa huaa tha tabhi Jordan dono ke saath bahar chala gayaa

Lampard chupke se andar aaya aur usne main switch ke parts kaat diye jo ki guitar ke taar se jude huye they

Lampard mann hi mann khush ho gaya aur kaha ab dekhta hoo kaise bachta hai mr. shawn

Udhar washroom se aane ke baad shawn guitar ko chune lagaa lekin shayad main switch off honey se uski jaan tab talak bach gayi thi

Concert par shawn aa chukaa tha aur bheed ekdum se taaliya bajane lagi uske naam se chillane lagi

Abhi guitar chair par rakhaa hi huaa tha ki itney mein paas jaatey huye shawn ke haath guitar ko pakadne paas aaye

Itney mein lampard ne guitar ka circuits jo main switch se judaa hua tha oose on kar diya jis wajah se guitar mein current aa gaya tha

Aur shayad shawn ki zindagi ab khatam hone mein kuch faasle dur thi

shawn abhi do faasle paas hi aaya tha ki itney mein ek kabutar naa jaane kaise guitar par aa baitha log hairaani se oos drisha ko dekh rahe they

ki itney mein ek zor ka  current ki awaaz ke saath blast hua main switch se aur kabutar jaake stage par gir gaya

wo puri tarike se zakhmi ho gaya thaa

itney mein saari security aur hadhkamp mach si gayi thi aur sab hifazat se shawn ko stage chodhne kehne lagey

shawn ne kaha wait guitar mein current ki wajah se is maasum ko zakhm sehna padaa koi guitar koi nahi chuyegaa

I am requesting pls don’t touch the guitar

Jordan aur lampard wahan se bhaag khadhe huye

Udhar security main switch off kar aaya shawn ne kabutar ko thaam liyaa police ko aane mein samay naa lagaa

Anthony ne kaha beta tum theek to honaa mujhe fikar ho rahi hai I mean kuch hua to nahi

shawn ne kaha nahin kuch nahi hya mujhe

shawn ne jhat se apna jacket utaara aur kabutar ko pakad liaa lekin shayad badkismati se kabutar ki maut ho chuki thi


Anthony ne kaha beta tumhari jaan bach gayi yahin bahut badi baat hai agar luchia ko pata chalega to kya hogaa

shawn ke zehan mein bas yahin baat thi ki aakhir current guitar mein pahucha kaise

police ne kaha aap ka security guard bataa raha hai ki aapke guitar mein cureent mehez hi ek co-incident thi shayad ye sab laaparwaahi ke kaaran hi huaa hogaa don’t worry shawn Anthony sir aap jaa sakte hai

shawn ko dukh tha aur wo car se utarne ke baad hi sidhe ek kabr ke pas aakar kabutar ko dafanane lagaa

luchia ne kaha I am sorry uncle mujeh bahut fikar thi thankgod shawn ki jaan bach gayi I am so glad

Anthony ne kaha uski yahi imaandari aur acchai se main khush hoo

shawn ke dafnane ke baad ek shaks piche se aakar ekdum khadha ho gaya aur shawn ko bolne lagaa hahahaaha teri jaan baksh di gayi tere piche dushmano ka prakop hai tu bach nahi paayega bach nahi paayega tu teri maut nischint hai

shawn ne kaha aap kaun hai ? kya jaante hai mere bare mein main in sab baton par yakeen nahi karta

us shaks ne kaha tujhe yakeen karna hogaa tujhe is duniyaa se jana hi padega teri kismet mein maut hai badla hai nafrat hai dukh hai

shaks tezi se wahan se chillate huye chala gaya

luchia aur Anthony uncle paas aaye aur kaha beta tum theek to honaa wo aadmi kya bak raha tha?

shawn ne kaha kuch nahi pagal hai shayad dimaag kaam nahi karta

luchia shawn ke gale lag kar rone lagi

shawn ne luchia ko chup karaya aur sab car se bangle ki taraf rawana ho gaye



kahani mein suspense aur bhi bharpoor hai
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #4 on: September 18, 2011, 10:49:50 AM »



shawn apne balcony ke bahar khadhaa tha aur yahin soch mein dubaa tha ki kal raat jo kuch bhi hua oosne waaqayi kaafi hadhkamp machaa di thi pehle guitar mein current se uski maut bhi ho sakti thi ek dum se us safed kabutar ka guitar par baithna teesra shawn ko us baba se milna sabkuch maano kitna alag sa tha

abhi shawn tassavar kar hi raha tha ki itney mein aa gayi wahan luchia aur kaha kaise ho shawn subah bhi tumne dhang se naashta nahi kiya don’t think too much it unsafe for you

shawn ne kaha sahi mein luchia ek baat bataao aap maut ke itne kareeb ho aur fhir ekdum se aapki jaan bach gayi par kisi aur ki jaan jaane se aur fhir wo ajeeb sa baba milnaa it’s not just a co-incident wo haadsa saazish bhi ho sakti hai

luchia ne kaha c’mon shawn forget it jo hua so huaa khushi to isi baat par hai ki tumhari jaan bach gayi haa dukh hai ki os bichare maasum jaanwar ki jaan chali gayi lekin duniya mein aisi kaafi haadse hotey hai jo ki dukh hi dukh dete hai

tum wo sab chodho aur aane waale dino ke bare mein socho Anthony uncle kitney pareshaan they tumne dekha nahi kya ? unko tumhari zaroorat hai chalo aao andar


rocky khabhar dekh raha tha aur uske haath mein wine se bhari glass thi

khabar mein baar baar ek hi sawaal it’s a miracle kaise bach gayi shawn ki jaan how is it possible ? kya bhagwan ne oose bacha liya ? kya ye haadsa koi sazish thi? Is haadse hai judey hai kayi sawaal

humne mr shawn se baat ki aur unhone koi jawaab diyaa par hamari tehqeeqat lagi rahegi shawn ki his rehesmayi haadse ke bare mein


rocky ne jhat se glass faikh daala bikha gaye kaanch farsh par

rocky – damn it damn you shawn kaise kaise maine puri planning kar rakhi thi tum marne waale they tum khatam hone waale they kaise bach gaye tum ?

rocky ka telephone bajne lagaa

rocky ne kaha hello

udhar se Jordan apni car mein baitha baat kar raha tha haa hello main Jordan bol raha hoo rocky hum we are unsuccessful humne puri koshish ki but he is survived

rocky – you tum logo ko sharam aani chahiye pata bhi hai kitni fullproof planning ki thi maine tumne oospe paani fhair diyaa kahan pe ho tum log

Jordan – humnee to sabkuch hi kar daala tha naa jaane kaise karke wo shawn bach nikla oos kabutar ki wajah se jo ki guitar par aakar baith gaya but tum chinta mat karo hum jald hi oose maarne ka naya plan sochte hai agar hum wahan se nahi bhaagte to unko shak ho jaata ki khoon humne kiya hai wo isi baat par andhere mein hai ki wo ek haadsa tha

Main aur lampard sheher se thodha dur aaye huye hai

Rocky – chahe kyu naa wo ek superstar hi ho uski maut honaa behad zaroori hai tum dono maamla thand hone tak sheher ke paas nazar bhi mat aana tab talak jab tak main naya plan naa banaa loo oos sadakchaap shawn ki maut ka understand

Jordan ne kaha par tum karoge kya ?

Rocky – wo main tumhe nahi bataa saktaa par jald hi tumhe sabkuch samajh mein aa jaayega


Rocky ne receiver rakh diyaa aur shayad soch mein dub gaya

Udhar Anthony uncle ne kaha beta tum meri baat maano aur kuch dino ke liye concert mat karo it’s too dangerous main jaanta hoo ye kisi ki saazish ho sakti hai you better out to be safe of this danger

shawn ne kaha aap theek hi keh rahe hai waise hi mujhe lagta hai ki wo sab kuch to undercontrol tha par achanak se wo main switch kharab ho jaana us rehesmayi kabutar kaa aana it’s so strange I mean maine apni puri zindagi mein aisa nahi dekha aur wo baba sanki saa wo bhi kya anaab shnaab bol raha tha I don’t know what’s going on?

Anthony uncle – hum to sirf god ka shukriyaada hi karenge jinhone tumhari jaan bachaa li bas itna hi oonse duaa kaarenge tum aisa karo luchia ke saath church jao

shawn – nahi uncle main oos khuda ko bhul chukaa hoo kyunki oosi ki wajah se aaj mera ye haal huaa hai

Anthony nahi beta god hai oonhe buraa naa bolo unhi ki wajah se aaj tum is moqaam pe khadhe unhone tumhari kismet badli tumhe to unka shukra guzaar hona chahiye is duniya mein har koi dukhi to kyaa wo aise hi karne lagega nahi beta ye tumhari galatfehmi hai

shawn – nahi hota mujhse aisa uncle nahi hota main oos khuda se alag ho gaya hoo main wishwas nahi karta ki kuch aisa hota hai aur aap bhi pls ab in sab baato ke baare mein bhul gaya hoo main ab mujhe matlab nahi hai in sab cheezo se main chalta hoo uncle shaam ko aaungaa

Anthony – arre beta meri baat to suno beta mat jao


shawn ko shayad khuda par wishwas nahi tha shayad yahin wajah thi wo itna dur rehta tha


5 mahine baas fhir concert hua

Lekin is baar sabkuch security ke control mein thaa par shayad pehle ki tarah shawn khush aur bhaarpoor nahi tha

Uske guitar mein wo dhun nahi thi sablog hairaani se shawn ki tarf dekh rahe they shawn ke zehan wo baba aur us rehesmayi kabutar ka aana maatar hi koi sanyog nahi tha ye sochte sochte shawn ne tezi se guitar bajaya aur gaane lagaa sab log khush they sabkuch accha chal raha tha lekin shayad shawn ke mann mein to kuch aur hi chal saa raha thaa

shawn ghar pahucha aur ek dum gumsum baitha

Anthony ne bola beta kab tak sochte rahoge jo hua woe k haadsa tha oose bhul jao

shawn ne kaha bhulna chahta hoo uncle par bhul nahi paa raha aakhir jaanna chahta hoo wo kya tha

Anthony ne kaha beta bhagwaan ko tumhari maut manzur nahi thi isliye hi to unhone farishte ke roop mein us kabutar ko bheja beta ise apni khushkismati samjho aise haadse to hotey rehte hai unhe sapna maankar bhulaa do

shawn ne kaha aap theek keh rahe ho in sab cheezo ki wajah se main apna concentration kho raha hoo even aaj ke concert par bhi mera koi khaas reaction nahi tha

Anthony ne shawn ke kandhe par haath rakha aur kaha beta aaj tum ek jalte huye sitare ho jise har koi dekhna chahta hai ooski mauzudgi ka ahesaas karna chahta hai ise yuhi jaaya mat karo apne career apni jimmedariyo ke baare mein socho

shawn ne sar mein haan hilaya







Logged
asif biswas
Guest
«Reply #5 on: September 19, 2011, 05:59:44 PM »
shawn ke zehan mein ab bhi wohi baba ki baat ghum rahi thi who shaks kya kehna chahta tha ? mere liye par kyu ?

zaahir hai ek insaan ke zindagi sawaal to har taraf hai wo oose dhudhne ke liye khuch bhi karna chahta hai waise hi shawn ke mind mein bas wohi baatein thi

aaj ka din kya mod lene waala tha ye kisi ko nahi pataa tha aaj mausam bhi kaafi kharab saa thaa badal ghir rahe they baarisho ki bijali kadhakti to ek bahayank awaaz paida karti

shawn maze par baitha apna nayaa gaane par riyaaz kar raha thaa tabhi light chali gayi

shawn lamp jalakar kamre ki or bhadhaa aur usne jalte huye Deepak se mombatiya jalaayi

shawn waapis bedroom par soyaa padhaa tha itney mein ek phone ki awaaz pure ghar mein gunjne lagi shawn dhire se phone ke liye bed se uthaa aur tez kadmo se dining room ki or jaane lagaa wahan jaate ke sath table par rakhaa phone ka receiver shawn ne uthaya aur kaha hello

udhar se awaaz aayi hello is it shawn?

shawn – yes I am speaking

sir it’s a emergency you should come to our hospital your uncle got accident and he has fatally injured

shawn – I will be there

shawn ka dimaag kharaab ho gayaa aur tez kadmo se wo ghar se bahar sidhe car mein baitha aur paas khadhe security ko kaha ghar ka khyaal rakhna main jald hi pahuchta hoo tezi se car ko daudhate huye shawn pahuch gaya hospital bearish shuru ho chuki thi shawn ko saaf saaf dikhaayi bhi nahi de raha tha fhir bhi wo khoshish kar raha tha shayad oose Anthony uncle ke is ghatna ko sunkar oose chaukaa daala thaa

wo jaldi se car se utaraa aur hospital ke andar bhaaga aur room ke paas hi wo aaya jahan icu aaya thaa

shawn ne kaha where is my uncle ? Anthony

nurse ne kaha he is in icu and in a very critical health

nurse ke jaane ke baad shawn wohi intezaar karta raha tha tabhi saamne se doctor ko aate huye dekh shawn ne kaha sir ab mere uncle kaise hai is everything alright ?

doctor ne kaha everything is now fine bas unhe blood aur glucose chadhaa huya hai you can discharge him next day by the way unki ye haalat car accident se huyi but it’s a miracle ki koi khaas chot nahi aayi it’s really a miracle

doctor ke jaane ke baad shawn andar gayaa jahan bed par laite they Anthony uncle

shawn ne Anthony uncle ka haath pakda aaur kaha uncle kaisi hai aapki tabiyat kyu aapne khud drive kiyaa mujhe kitani fikar thi ki agar aapko kuch ho jaata to main bhi jindaa nahi reh paata aapke binaa waise luchia ne bhi mujhe kuch nahi bataya aur aapki aisi halat ne mujhe aur pagal sa kar diyaa lekin luchia hai kahan

Anthony uncle ne dheere se kaha pata nahi beta luchia mujhe subah se kahin nahi dikhi thi ho sakta hai oose is baare mein pataa naa ho tumhe oose phone kar lena chahiye yahi sahi waqt hai

shawn ne kaha aap theek kehte hai main abhi call kr deta hoo lekin uska number kaam nahi kar raha I think she was in her friend’s home


shawn bahar khadhaa ghadhi ko dekh raha tha

tabhi doctor se baatcheet karne ke baad shawn waapis ghar ki or nikal gayaa aur tabhi bajaa wo call

shawn – hello who’s this ?

ek shaks ne phone kiya tha woh ha ha ha ha dukhi to bahut huye aapke guru Anthony ki accident hone se

shawn – kaun bol raha hai ?

shaks – tumhara purana rival rocky

shawn – rocky main is waqt kisi se baat nahi karna chahta

rocky – apni maashuka ke liye bhi nahi bade hi kathor ho yaar apni gf ke baare mein bhi nahi socha oh my mistake your wife who is in now my hands

shawn – what ?

rocky – haa sahi sunaa naa tumhari luchia mere kabze mein hai aur agar oose zinda dekhna chahte ho to tum 4 pm mein church gate ke bilkul saamne waali kablustan mein aa jao because aaj ke Is suhaane mausam mein ek rockstar se milne ka mauka main kho nahi sakta

shawn – dekho pls oose kuch mat karo aakhir chhate kya ho paisa kitna chahiye tumhe pls oose chodh do

rocky – jaisa kehta hoo waisa karo aur haan police ko batana mat warna ek call wahan police ko tumne kiya yahan tumhari wife ki cheekh tumhe sunaungaa

shawn – theek hai main pahuchta hoo

shawn jhat se haveli se niklaa aur car ko purane cementry ki taraf mod liyaa jaanta nahi ki aaj ka ye din kitna bhaari padega naa jaane kya rang laayega ye raat aaj ki kya hogaa uske saath uski zindagi ke saath

shawn ke pasine chutt rahe they tez garaz ke saath bearish ho rahi thi par shawn ko to sirf uska pyaar hi dikh raha tha uska pyaar luchia ki surat uska ahesaas

shawn baar baar badhbadhaa sa raha tha kahan ho tum luchia ? where are you baby ?agar unhone tumhare saath kuch kiyaa to jaan se maar dungaa unhe oh god kaisi kismet banayi hai tune palbhar mein hi khushiyaa chinna chahta hai meri to meri cheen le par mere apno ko sazaa mat de

oh main bhi kisse keh raha hoo jisne mere liye kabhi kuch kiya hi nahi

shawn toofani ke raftaar ke saath us jagah pahuchne waala thaa

time – 5:30 pm
place – old cementry near church gate translyvania

shawn car se utaraa ghane kale badal badalo mein bijliya kadak si rahi charo taraf ghanaa andhera suraj ka naamonishan bhi nahi aur saamne khadhe 5 larke jo ki death band ke group se they bearish hone lagi tez bearish ek thandhak si sihar uthti sabki sharer mein

saamne khadhaa shawn charo ko dekh raha car ki lights on thi aur saamne baitha tha rocky jo apne shikaar ke intezaar mein maano tadap saa raha thaa shawn paas gaya aur kaha rocky tum mujhe tumse ye ummeed nahi thi

aakhir aisa kyu karaa tumne ? khair main yahan ye jaanne aaya hoo meri luchia kahan hai ?


rocky – oh tumhari luchia dekho dosto ye yahan apni wife ke liye aaya hai iske pyaar ke liye what a majnu yaar rockstar hi kyu bane actor bhi ban jaate

tumhari rockstar banne ke sapne ne mera career to chauphat kar hi diyaa naa tum ab ek famous dashing rockstr ho aur main mera band ek tinke ke barabar bhi nahi humhe hamesha low postion mein rank milti jaise tumne hi saara credit le liyaa ho

shawn pareshaani ke aankho se rocky ki taraf dekh raha tha jo maano tehel saa raha tha tabhi rocky ki niyat bigadhi aur sidhe piche se shawn ne kahaa pls tum chhate ho kya ? mujeh batao main tumhari har shart maanne ke liye bilkul tayyar hoo batao to sahi

rocky – now you saying the right point of our talk look I want my fame and I will give you your love fame or love ? what do you want ? tumahre uncle ko bhi maine hi accident karwaya sorry naa

shawn ke hatho ne mutthi kass li aur kaha what ? saale haramzaade teri itnani himmat mere uncle ko marwaya tune mere family par aanch aane di tujhe chodhungaa nahi

shawn ne rocky ka girebaan pakad liya tabhi sab aage aane lagey

tabhi rocky ne kaha guys chill chill dude you take also chill because tum bhul rahe ho love or fame ?

shawn nahi main aisa nahi hone dungaa mera career meri ye ek zindagi hai main ise aise kho nahi sakta Anthony uncle ke bahut sapne judey hai mere se

rocky – to theek hai tum gavaadiye apni maashuka ko

shawn ne kaha nahi nahin pls luchia ko jaane do tumhe mujhse problem hai main ye sheher kya ye desh chodhke chala jaungaa pls ab to meri luchia ko chodh do

rocky – nahin nahin itani jaldi bhi kya hai mere dost tum aise nahi jaoge balki tum jaoge par ye duniya chodhkr tum marne waale ho mujeh tumhari kismet dikh rahi hai you will finish aaj se shawn the great superstar is dead

shawn ke maathe ki shikaar chadh si gayi aur tabhi piche se hua wo hamlaaa jo sidhe shaawn ke sar par jaa lagaa ek aaahhhh ke saath sshawn piche mudhaa Jordan new o hamla kiyaa tha

rocky car ke upar baith gaya aur kaha action

lampard ne shawn ke gale mein us barbed wire rope ko daala aur oose ghasitta a hua zameen par giraa diya sab log milkar oose tabadtod maarne lage shawn ki saans ghutt rahi thi aur uske tango par laathiya barsaa di thi shawn ko uthakar sabne ek ek karke oose maara laatein ghuso se uska haal buraa kar diyaa uske naak munh se khoon aa raha tha aur wo turant zameen par gir gaya tabhi sabne oose khoob maara par shawn ki nazrein oos rocky ko dekh rahi thi jo ek shaitani haassi se oose dekh raha thaa

shawn ke aankho mein aansu they aur ek hi shabd ooske munh se niklaa aur wo tha meri luchia mujhe lauta do main tumhare haath jodhta hoo pls rocky

par rocky ke dil mein to dayaa thi hi nahi

shawn ko pitkar unhone giraa diyaa

rocky ne kaha bas bhaiyo bas bachche ki jaan loge kyaa ise aakhri baar zaraa iski luchia se milwa do

shawn ne wo awaaz suni piche se luchia aayi huyi oose bol padi shawn shawn my god are you okay shawn kuch bol nahi paa raha tha bearish mein luchia ka bheega hua uska wo chehra dekh raha thaa

luchia ne shawn ko uthaya aur kaha I am here ye tumhe kuch nahi hone denge I am here baby I am here main aa gayi tumhe kuch nahi hogaa mere gale lag jao luchia ek maasum chehre se shawn ke gale lipat gayi aur ekdum se rocky ko dekhne lagi tabhi shawn ek dum se tithak sa gaya jaise hi wo alag huaa apne pait par chaaku lagaa dekha aur ekdum se luchia ko

luchia ki wo muskurahat dekh rocky hasne lagaa luchia my husband I am not yours main rocky ki hoo I am his girlfriend

shawn ke munh se awaaz nahi nikal rahi thi aur usne aakhir keh dala mere saath hi kyu luchia aisa aisa tumne kyu kiyaa ?

luchia – because I am just helping my boyfriend tumhare saath shaadi kaa natak yaad hai wo guitar current haa oos din tumhari baksh di gayi thi upar waale ne par wo bhi kab tak bachate tum akele itne bade rockstar aur uncle jinka maine accident karayaa uske baad rocky ke saath milkar dhoke se tumhe yahan bulaaya luchia rocky ke gale lag gayi aur oose shawn ke saamne kiss kiyaa

luchia ne kaha ise kehte hai pyaar jo maine sirf rocky ke saath hi kiyaa aur hamara rishta that was just a fake relationship to mithi batein pyaar ki kar di aur aaj tum mere saath itne aage badh gaye pata nahi duniyaa mein aisa kaun bewakuf hogaa tumhare jaisaa yaad hai oos din hamari pehli mulaqat main jaanti thi tumhari car ko kharab Jordan ne kiyaa bheech sadak pe ruke aur lift dene ke bahane tumhe fasaya aur aaj itna aage ye khel badh gaya isn’t it so marvelous naa ?

yaa baby dukh to bahut hua ki agar aaj hum in circumstances mein naa hotey to yakeenan main tumse pyar karti par tumhe afsos hone ka mauka bhi nahi milega kyunki maut ke baad to kuch hota hi nahi aakhri ghari gino baby church ke ghar mein ghanta bach raha tha aur yahan koi bebas laachar insaan ghayal padhaa thaa

luchia ne gun nikaala aur sidhe point shawn ki taraf bhadhaa di aur shawn luchia aur rocky ko saath dekh raha tha ooski har baat uske kaan mein gunj rahi thi un logo ki hassi bhi jo oos laachar insaan par hass rahe they uski maut ka jashann manaa rahe they

luchia ne ek aankh maarte huye gun sidhe chest par chalaa daali shawn ki saansein ruk si gayi waqt dhimaa ho gaya aur dusri goli sidhe doosri jagah par aur fhir ek aur goli sabkuch dekhte huye shawn ke aankhen dhundhli si hone lagi ooske baad andhera chaane sa lagaa aur shawn on the spot hi maara gaya mar gaya tha woh mar gayi thi uski zindagi lekin upar waale ne oose bachane ka ek mauka bhi naa diyaa

aaakhir ek mazbur ke saath naainsaafi uski maut par hass rahe un darindo ko kya sazaa milegi shayad nahin nahin milegi unhe koi hai hi nahi is duniya jo insaf dilaaye

aakhir mar gaya thaw o bechara jo sirf khushi dekhna chahta tha mar gaya tha wo dusro ka dukh khatam karna chahta tha shawn maara gaya uski zindagi ke saath naainsaafi huyi aakhir aisa kyu kiyaa kudrat ne oose kya sazaaa mili oose kis baat ki sazaa mili ?

                      to be continued……………………………………










Logged
asif biswas
Guest
«Reply #6 on: September 21, 2011, 04:31:43 PM »
Tez baarisho ke saath sabkuch tham saa gaya tha aur wo charo khadhe maut ka tamasha dekh rahe they

Luchia ne chuppi todi aur kaha guys ab aise hi khadhe mat raho koi bhi agar yahan aakar iski laash dekh lega hum to mare jaayenge

Rocky – luchia pls chill kuch nahi hogaa guys hum cementry ke paas khadhe hai aur yahan koi aata jaata nahi wahan par is ki laash ko baaki laasho ke saath ghaadh denge that’s it aur luchia tum plan ke mutabik car se ghar pahuch jaana aur us Anthony ko ye mat pata chalne dena ki tum shawn se mili bhi thi jao

shawn ki laash ko lekar sab purane kablustan ke paas aakar ghaddhha kod diye aur oosme daal di laash shawn ki

rocky – ab itna kuch kiyaa hai is bechare ne hamare liye hamara bhi farz banta hai ki iski aatma ki shaanti ki minnat kare hahahahaahaha


sab log shawn ko dafnakar wahan se nikal gaye aur sabne decide kiya ki aaj ke baad naa toh wo shawn ke baare mein kuch bolenge aur naahi is ghatna ka zikar karenge shayad yahi unki bachaav ka ek hissa thaa

bearish tham gayi


udhar zyada de tak ye baat na chupp saki ki shawn ki hatya ho gayi hai uski gayab hone ka matlab uski maut ho chuki hai pure roman mein ek kohraam mach sa gaya bade bade news mein telecast huya shawn david ki maut ek mystery kaatil kaa naam ke piche padhe police par shayad unhe bhi kuch haasil naa ho sakaa

Anthony hospital se chootte hi waapis ghar ki or lautey aur ye sab sunkar unhe gehra sadmaa lag gaya par shayad luchia ke iraado ko unhone bhaap liya aur chodh di wo haveli jise shawn ne bade pyaar se banayi thi apne aur apne aane waali parivaar ke liye is naainsaafi se bachne ke liye Anthony ne sheher chodh diyaa

Udhar luchia ne ghar ko zabt kar liyaa aur saari property ki maakin banker rocky se 2nd shaadi kar li jo ki news waalo se chupp naaa saki ab rocky ki death band ne kamala kar daala unke music ki gunz pure sheher suntey aur shawn ke gaane toh bas fm aur kuch fans ke ghar kabhi kabhar sunne ko mil jaate maano koi ooske sangeet ko shardhanji arpit kar raha ho

Aise yuhi saal badal gaye mausam aaya chalaa gaya laash ka pataa naa police ko lagaa aur naa hi Anthony uncle ko ghar maano tut chukaa tha ab uski guitar mein bhi wo dhun nahi thaa jo dhun pehle bajti thi jisse sab oospar aakrashit hotey they mitti se dhak gayi wo guitar bhi jisne laakho fans ke dil mein jagah banaayi

Ab ek bejaan kavaad thi shayad oose bejaan kar diyaa tha binaa aaatma ke har cheeez maano fikhi thi luchia ki aayiaashio se puri haveli ek naapak jagah dikhne lagi thi aur saath hi shuru ho chukaa tha unki zindagi mein wo kaall jo shayad us baat se wo ab tak koso dur they
Haa beta main yahan se wo nazare dekh paa raha hoo jo maine kabhi socha nahi tha ye haraa bharaa sheher tumhari jaan le lega aisa kataayi nahi sochta tha mere bete shawn waapis aa jao is duniya mein mere khaatir is duniya mein tumhare sangeet ke binaa har kuch adhura hai beta meri pukaar suno waapis aa jao ghrajte badalo ki or dekha raha tha Anthony kya uski ye pukaar sun paayega shawn haa wo zaroor lautega oose lautna hogaa apni insaaf ke liye apne logo ke liye apne bewafaai ke liye

Kareeb 10 saal ke baad shuru huaa wo kahani ek baar phir kisi aur desh mein kisi aur bhesh mein kisi aur jagah par kisi aur sabhayta mein kisi aur rang mein kisi aur sharer mein kyunki shawn ki maut ne oose dobara duniya mein aane ke liye mazbur kar diyaa tha apni insaaf ke liye


                To be continued…………….

Kahani ka agla panna main jald hi post karunga kyunki mujhe kahani likhne ke liye nayi soch laani padhti hai aur kahani mein dilchasp mod banane ke liye mujhe aisi baatein sochni padhti hai to ab tak ki yeh kahaani aapke saamne hai ummed hai shaayad pasand aayegi main fhir dohraa doo naa hi ye inspired story hai aur naa hi kisi story se li hai yaa kisi aur author ki hai it’s my own story and I have made it so pls comment as I always say I will be wait and pls stay tuned…
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #7 on: September 23, 2011, 06:25:53 AM »
10 saal beet chukey they aur aakhir kaar fhir sabkuch pehla jaisa to nahi reh sakaa sab kuch apni jagah se bilkul pare thaa bilkul alag saa tha sab kuch badal chukaa tha aur badal chuki thi un logo ki kismet bhi jinhone kaamyabi ko chune ke liye apne haath khoon se rang diye ye bhi naa sochkar ki aaj ki wo taariq unke kaal ko bulwaa rahi thi

Rocky ab kaafi amir ban chukaaa tha shawn ki property kabza karne ke saath saath music ki duniya mein aakhir usne no.1 par position banaa hi li lekin shayad kisi aur ke sar par chadhkar dhokha fareb karkar

Rocky aur baaki death band performance de rahi thi unke gaane sabke dilo mein dhoom machaa rahe they ab rocky ke death band heavy metal instruments ke naam se bhi jaane jaate they sabkuch acche se chal raha tha shayad unko ye bhi nahi pataa ki unka buraa waqt to ab shuru hone waala hai

Udhar shawn ki death ke baad khuda ne ooski dekhi ye naainsaafi ko shayad manzur naa kiyaa shawn ne dobara janam liyaa ek alag shaksiyat ke saath alag chehre ke saath aur usne janam liya India mein dehli mein jis din wo paida hua oos din maano sab khush se they aur tabhi janam hokar niklaa shawn ab shayad ek alag hi larka tha uske maa baap kaun they kisi ko nahi pataa tha ek anaaath bachche ki tarah thaa

Jise koi maanne waala nahi tha uski parvarish kisi ne nahi ki thi oose paala tha father ne

Aaj beta tumhe yahan rehte huye 17 saal hogaye hai kal tum 18 saal ke ho jaoge aur fhir rules ke mutabik tumhe convent chodhna padhega ek nayi zindagi shuru karni padegi main to ye bhi nahi jaan paaya ki tumhare maa baap kaun they kis tarah tum is duniya mein kya maqsad leke aaye mujhe bas itna pataa hai ki tum duniya mein aaye ho koi bari wajah ke liye beta

Raj ne aankho mein aansu liye convent se widaa li aur convent chodh kar wahan se chalaa gaya raj ek kaafi possessive larka tha aur roop tha shawn the great rockstar kaa raj ne ek garage mein job karne lagaa aur wahan uski mulaqat huyi mr oberoi se jo ki businessman they raj ko dekhkar unhe ooska kaam pasand aaya aur Raj ne garage chodh unke yahan kaam karne lagaa mr oberoi oose apna beta maante they kuch hi dino mein padhai puri kar li thi raj ne

Raj ki dosti ek larki se bhi huyi jiskaa naam kajal thaa kajal bahut khubsurat thi par bahut bare baap ki beti thi jiska dil raj par aa gaya thaa

Mr oberoi – lo beta tumhara tohfa

Raj – mera tohfa par mujeh ye bhi nahi pata ki main paida kab huaa tha

Mr oberoi – yakeenan tumhe tumhara bachpan atit yaad naa ho par main ye jaanta hoo ki tum mere bete ho aur ek bete ko ye uske baap ka ek gift hai samjhe raj lo

Raj ne thankyou kaha aur waapis room mein aakar wo gift kholkar dekhne lagaa jisme ek guitar thaa raj ne guitar ko thaama aur oose bajaane lagaa guitar bajate bajate raj ne naa jaane kahan se oose wo dhun yaad si aa gayi

Aur oose bajate waqt yaad aa gaya oose wo naam bhi logo ki gunz awaaze c’mon shawn shawn you rocks

Ye sab suntey hi naa jaane raj guitar ko rokakar ek dum se saans lene lagaa aur tabhi oos haath ne raj ke kandhe par haath rakhaa

Raj ne palatkar dekhaa saamne koi aur nahi kajal thi

Kajal ko dekhkar raj chank padaa aur kaha arre darwaja to knock kar leti kya hua yahan kaise agar uncle ne dekhnge to kya sochenge

Kajal ne kaha what ? kya sochenge main tumhari dost hoo main kabhi bhi aa jaa sakti hoo and bytheway what you are playing ? bahut accha song tha ek baar fhir bajao naa

Raj pata nahin wo kaun si dhun and even maine toh kabhi guitar bhi nahi bajaya and I’ve made it ye ho kya raha hai mere saath I mean maine to naa hi ye dhun kabhi kahin suni hai and you know main toh tv dekhta bhi kam hoo

Kaajal – zyada bhole mat bano ye dhun jo bhi thi mujhe bahut acchi lagi and pls chalo naa ek bar bajao naa waise bhi ye song pata nahi kaun se band kaa hai main aaj tumhe pataa karke batati hoo kyunki tum jhoot mujhse bol sakte ho par mujhse harkoi nahi bolega ok mind it

Raj oose rokta reh gaya aur hass hi daala

Raj ko ab bhi wishwas nahi tha wo kya tha wo sapna wo sab

Raat ke kareeb 12 baj rahe they aur raj ko sapne mein bas wohi awaaze guitaro ki dhun ye sab dikh rahi thi raj ka dimaag maano fhataa jaa raha tha

Raj ekdum se chilla ke utha aur kaha ye Anthony ye naam maine pehle bhi kahin sunaa hai kaun hai ye Anthony ye shaks? Iska mere saath kya waasta hai mann mein itne sawaal liye baitha hua tha raj par ye nahi jaanta ki jis sawaalo ka wo jawaab dhundh raha hai wo jawab oose jald hi milne waala hai ye ooski kismet hai ki wo dobara oon logo se milne waala hai

Raj agli subah uthaa aur mann mein wohi sawaal leke tha tabhi oberoi uncle ne oose bola

Kya hua beta aise gumsum kyu ho ? kya mera gift pasand nahi aaya tumhe

Raj ne kaha nahi nahi uncle gift to bahut pasand aaya par mujhe roz sapne mein dhundhli wo tasveere dikhti hai mujhe bahut azeeb sa feel hotaa hai jaise ki main un logo ko jaanta hoo logo ki bheed hai wo mujhe mera naam leke pukaar rahi hai kya naam hai kuch samajh nahi aa raha bas itnaa jaanta hoo ki mujhe wahan koi pukaar raha hai

Mr oberoi – arre beta aisa hota hai jab kisi cheez par zyada gaur karte hai to wo hamare sapne par haavi hota hai accha beta main kisi kaam se out of city jaa raha hoo to tum apna khyaal rakhnaa aur haan zyada kaam mein dhyan mat dena kyunki main nahi chhata kit um bimaar pad jao meri bina mauzudgi hai understand my son alright

Shayad kismet waalo ko hi aise log milte hai maalik miltey hai jo unh eek bete ka darzaa de

Time – 5:35 pm
 Location – dehli India

Raj kaam ke baad guitar chalane lagaa

Itney mein aa gayi wahan kaajal jiske haath mein tha ek kaagaz

Raj ne kaha arre tum kya hua dhundh liya apna jawab mil gayi khushi

Kajal – dhundh bhi liyaa aur banaa bhi ye dekho tum jis dhun pe ye guitar bajaa rahe they wo ek shawn ki hai

Raj chaunk padaa – kya shawn ? ye shawn kaun hai ? ye naam pehle bhi sunaa hai shayad maine bataa sakti ho

Kajal – arre haa baba ye bahut baraa roman side mein ek rockstar hoya karta tha kaafi amir par naa jaane iske saath kya hua wo gayab ho gaya uski laash bhi police ko nahi mili

Raj – kya tum iska wiki pe mujhe bataa sakti ho shyad koi clue mil jaaye

Kajal – haa beshak par uske liye tumhe mere ghar chalna hogaa

Raj – theek hai

Raj aur kajal computer par baithe rockstar shawn ki wikipedia nikaal chukey they

Kajal – ye dekho ye pehle bahut gareeb tha aur haan iske parents bhi bachpan mein hi khatam ho gaye they ye ek aadmi ke saath rehta tha iski ek biwi bhi thi kya naam hai iskaa haa yaad aaya luchia

Raj ke kaano mein wo naam gunzne lagaa oose kuch kuch yaad aane saa lagaa
 Raj ne kaaha aage padho

Luchia ne apne husband ki maut ke baad ek rocky naam ke jo ki bahut bade music industry mein naami band ka leader tha oosse shaadi ki aaj wo translyvania mein hi rehte hai aur sangeet mein unkaa kaafi naam hai

Raj ne kaha thankyou kajal for information par in dono ka naam kahin sunaa sunaa sa lag raha hai have you ever heard about them ?

Kajal ne kaha main Indian hoo wahan ke itney baare mein to nahi jaanti chalo raj kajal ka face dekhne lagi aur kaha

Ab khadhe rehne ka hi irada hai raj dur hat gaya kajal ne kaha to aaj ghar par koi nahi hai sab busy sirf tum aur main

Raj – nahin nahin main chalta hoo

Kajal – itney jaldi ek kiss to karke chale jao

Raj – shut up

Aur wahan se bhaag gaya raj raj jaanta tha ki wo bhi kajal se utnaa hi pyaar karta hai jitna kajal oossse par shayad aukaad mein bahut fark thaa shayad is wajah se raj chup thaa



Logged
asif biswas
Guest
«Reply #8 on: September 25, 2011, 10:44:42 AM »
Raj kajal se baat kar raha tha aur bataa raha tha jo oosne kal raat sapne mein dekhaa thaa

Raj – naa jaane kis musibat se ghir gaya hoo main kajal kuch samajh mein nahi aa raha har waqt khoon dehshat koi dhun ye sab mere dimaag mein baj saa raha ho

Gunz raha ho mere dimaag mein ab tum hi bataao mujhe kajal main kya kar sakta hoo meri mazburi yahin hai ki main apne aapko harwaqt akela ghayal mehsus sa karta hoo naa jaane kaun si ghatna ghati ho mere saath

Kajal ne kaha darro mat raj I m with you tumhe kuch nahi honga main hoo naa tumhare saath raj kajal ke gale lag gaya

Raj ne kaha I know it par lekin main pata kaise lagaaoo ki aakhir mujhe problem kya hai

Kajal ne kaha tumhe koi problem nahi hai tum aaccche ho har insaan ki yaadhsat mein koi na koi atit hota hai aisa tumhare saath bhi hua hai lekin ab mujhe guitar bajakar sunaoge

Raj ne haskar kaha theek hai sunaungaa

Raj ne guitar ko thaama aur bajane saa lagaa

Kajal ne kaha wow guitar haath mein aayi nahi aur bajane lage it’s amazing kaise I mean tum ye sab kaabilyataarif hai

Raj ne fhir wohi dhun bajaayi bajate bajate kajal jaise maano jhoom si uthi raj fhir wohi soch mein dub saa gaya kajal ne piche se oose pakad liya raj to khushi mein maano gum ho chukaa tha par shayad oose wohi sab yaad aane lagaa jo pal usne shawn ke roop mein luchia ke saath bitaya tha ek ek pal

Raj ko yaad aane lage wo yaadein jab wo aise hi gaana bajaa raha tha aur oos larki ne oos thaama aur oose kiss kiyaa

Raj ekdum se ruk gaya kajal ne kaha kya hua raj any problem? Tum aise ruk kyu gaye

Raj ne kaha pataa nahi  mujeh kya hua fhir se wohi ghatna nazar aane lagi ek larki ne mujhe aise hi thaama saa tha main kuch keh nahi paa raha

Raj main ghar jaa raha hoo raj daudhta hua ghar mein ghus gaya kajal oose rokte reh gayi

Raj ke dimaag mein sabkuch fhir ghumne saa lagaa wo chahkar bhi apne atit ko bhulana chahta tha par nahi bhula sakta tha

Raj pure din yeahi sochta rehta ki wo kya kare kajal ke saath to wo khush tha aur fhir udaas rehta tha aakhir uski kalaa ooska guitar bajana mr oberoi se chupp naa sakaa aur unhone ooski ye nayi kalaa ko dekhkar maano sar jhukaa liya

Mr oberoi – waah raj waah mujhe nahi pata tha ki tumhe itna talent chupaa hai tum itney acche guitar bajate ho kahan se sikhaa tumne yeh

Raj – ye maine khud sikhaa hai

Mr oberoi – waah lajwaab beta tumne to mera sar fkr se uchaa kar daala kaaash tum mere bete hotey chalo aao mere saath aao to sahi aise kalaakar ko toh sabse milwana chahiye

Mr oberoi ne apne dosto se raj ke is naye hunar ko dikhaya sab khush aur hairan they ki aakhir ek larka bina kisi ke sikhaaye aise kaise bajaa sakta hai aur unhi mein se ek they music industry ke betaaz badshah ceo

Mr oberoi hum aapke is larke is guitar playing se bahut khush hai zaraa aap humhe iska introduction denge

Mr oberoi – haa bilkul waise kehne ko mera ek kaam karne waala larka hai par iski imaandaari aur ise dekhkar mujhe apna beta mehsus hota hai aap to jaante hai main badaa businessman hoo biwi kaa sath jo shayad shaadi ke khuch hi dino baad chutt gaya ab ye naya larka hi mere parivaar ka ek sadasya hai meri har madad karta hai bahut kuch karaa hai isne mere liye


Ceo ka dimaag thankaa aur keh daala kya aap chahe to main ise music ki duniya mein kaam dilaa sakta hoo jahan iska sapna pura ho jaayega

Mr oberoi ki to khushi ka thikaana nahi raha aur keh daala bilkul ek minute

Ceo ka introduction raj se huaa aur uski kaabiltaarife baat sunein ke baad wo khush ho gaye aur raj ne kaafi music banayi

Lokpriya hone ke saath saath raj ka bhavishya a boos mod ki taraf oose le jaa raha

Is saal ko do saal beet gaye ab raj 19 saal ka tha aur ek mashoor rockstar ban chukaaa tha kyunki ooske kismet mein wohi banna likhaa thaa

Kajal fans mein mauzud hoti aur raj apni dhun se sabko mohit karata huya dikhta


Kajal oosse dil hi dil mein chahne lagi thi aur raj bhi ab ooske paas

Raj kaafi khush thaa aur aaj oske naye album ki celebration mein party thi party ke baad raj ghar aakar sone lagaa wohi drishya fhir wohi sapnaa raj ko sab yaad dilane lagaa

Raj fhir oosi cheekh ke saath uth gaya aur jaan gaya ki ab oose apne is sach ka pata lagana hi hogaa

Time – 9:00 pm
Place – translyvania,roman

Rocky aur sab band ke members cheers ke saath peene lage

Rocky – waah cheers to all of my friends because ab kamyabi humhe nahi balki hamare kismet ko chum rahi hai har taraf se chum rahi hai ab hum itney amir ho gaye hai ki hamari demands deshbhar mein kayi zyada hai yahan tak ki humne America ke rock bands ko bhi piche chodh diyaa hai shayad haamre kismet mein yahi tha hai naa darling

Luchia rocky ke lap par baithi bol rahi thi yes my heart waise bhi ab hum kaafi kamyab ho chukey hai aaj naya music ka launch hone waala hai

Lampard nashe mein bola ekdum baad kahu rocky pata hai tere tare 10 saal pehle bahut kharab chal rahe they tune apni kharabi ko khatam kar diyaa bichare shawn ko bemaut maar daala waise humhe ooski kabr par rose chadhana chahiye

Jordan ne ek piche se thappad maara aur kaha chup nashe mein kuch bhi bol deta hai abe jaanta hai kya keh raha hai us bewakuf naam mat le haan accha insaan tha rockstar tha rockstar par murde dobara waapis nahi aatey ye yaad rakh tu gaali de naa taarife kyu jhaad raha hai saale ke music ne deshbhar ne rang jamaa diyaa tha

Rocky ke haath ki glass chann tut gayi aur rocky gusse mein chillakar kaha shut up I said shut up dimaag kharab kar diyaa shawn shawn shawn aur shawn wo mar chukaa hai he is dead maine humne maara hai ye baat hum paancho se bahar kahin nahi jaani chahiye warna sab fasenge aur jisne kabulaa main oose bhi maar daalungaa

Luchia ne kaha calm down baby itney acche din mein oose yaad mat karo waise bhi hum sabse best hai ab hamara muqabla koi nahi kar saktaa

Justin ne kaha wait dude ye magazine padho isme desh ke kone kone se hamare roman mein performance dene aa rahe hai in the international rock challenge jisme desh ke bade rockstar aayenge aur hum oonme hai so guys we should concentrate on that aisa hone se humhe koi gareeb nahi banaa paayega we will become more rich ye sapna hai nahi ye haqeeqat hai haqeeqat aur India ka ye rockstar aa raha hai iskaa naam raj hai kaafi undaa rockstar hai ekdum shawn jaisa

Rocky – ahahahhaa wo apne India tak rockstar hai yahan wo koi rock nahi failaa paayega it’s my promise aur baakiyo ki batao

Rocky ye bhul gaya thaa ki ooska wo shaks jise oosne chotaa khilaadi samajh kar bhulaa diyaa wo aaj dobara aayega shawn ke avatar mein oski zindagi ko badalne aur shyaad yahi kismet ka khel hai

  To be continued……………
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #9 on: September 27, 2011, 06:24:46 AM »
Raj apne naye concert ke liye bilkul exicted thaa aaj uska ye concert logo ki mehetpurna tha

Raj tayyar hokar apne sit par baitha tha ki tabhi mr oberoi ne kaha toh bete tayyar ho tumhare liye ek behad hi important baat hai

Raj ne kaha boliye naa uncle

Mr oberoi – dekho beta maine ceo se baat ki thi unhone kaha hai ki tum international tour par concert karoge balki India mein hi desh ke kone kone mein

Raj – sir main chahta hoo ki main roman jaoo

Mr oberoi – what roman ?

Raj – ji sir

Mr oberoi – beta log kaam ke liye America jaate hai australiya Africa naa jaane kitne desho mein jaate hai aur tum roman mein jaana chahte ho theek hai main unse baat karta hoo

Raj – naa jaane kyu mera us jagah kuch judaa huaa saa hai

Raj ke concert khatam hone ke baad sidhe ghumne mountain ke paas gaya wahan jaakar wo kajal se milaa

Raj – kaise kahun kajal main mazbur hoo naa jaane mere saath puranjanam mein kya hua but main chahta hoo ki main roman jaoo haa

Kajal – kya ? tum mujhe chodhke wahan jaa rahe ho

Kya main bhi tumhare sath chalu ?

Raj – pehle main janna chahta hoo apne beete kal ke baare mein

Kya tumne pata lagaya
Kajal – haa woh ek psychaterist hai aur wo hypnotise therapy se tumhare beete kal ke baare mein bataa sakte hai so aaj tum shaam ko chalnaa theek hai

Raj – haan theek hai and one thing I love you

Kajal – I love you too

Raj kajal ko dekhta hi reh gayaa


RAJ AAJ RAAT FHIR SOYAA SAPNE MEIN WOHI SHAKS KO BAARISH MEIN GHAYAL SADAK PAR PADAA HAI OOSE DEKHKAR SAB HASS RAHE HAI RAJ YE SAB DEKHTE HI FHIR DARR SE CHILLAAYA AB SHAYAD RAJ KHUD KO ROK NAHI SAKTA THA KAL HI OOSE IN SAB SACCHAI KA PATA LAGANA THAA AUR USKE LIYE OOSE


Agle din kajal se mulaqat ke saath hi raj ooske saath psycatarist ke paas gaya wahan jaakar dr se milne ke baad dr ne oosse kaha ki wo akele uske room mein aaye

Wahan jaatey hi dr ne raj se kaha ok beta main aapko 10 minutes mein samohit kar dungaa isi pal mein aapko wo sab yaad aane lagega jis baat ka aapko itna azeeb sa lagta hai

Raj kuch hi minutes mein sammohit ho chala thaa

Dr ne oosse pucha accha raj aap ab wo nahi hai jo aap hai aap ki aatma kahin dur hai aapka sharer yahin teher gaya hai

Raj aap apne punraa janam ki or bhad rahe hai kya hai aap kaise lag raha hai wahan par

Raj ne kaha bahut shaanti si hai main main translyvania mein hoo roman ke sheher mein

Dr  ne kaha kaha kaun saa saal hai?

Raj ne kaha 19.. 1975 aahhh

Dr ne kaha aap kaise hai

Raj – main abhi bachcha hoo 5 saal kaa larkaa

Dr – ok aap ke ghar mein kaun kaun hai

Raj – mere baap wo sharabi hai mujhe daantey hai main unhe pasand nahi karta

Dr – accha to tumhara naam kya hai ?

Raj – mera naam shawn fernandes hai main ek gareeb bachcha hoo

Dr – theek hai theek hai ab tum 20 yrs ke ho tum ab jawaan ho

Raj – haa main ek rockstar ban chukaa hoo meri madad mr Anthony ne ki thi wo mere pita se bhi badhkar hai

Dr – accha tum kisi se pyaar karte ho ?

Raj – haan karta hoo her name is luchiaa luchia she is so beautiful charming

Dr – accha beta sabse mehetpurna sawaal tumhari maut kaise huyi ?

Raj – nahin nahin

Raj bilkul kaanpne saa lagaaa

Raj – aahhh aahhh mujhe maar rahe mujhe maar rahe hai paanch log hai mujhe khub maar rahe hai badi berehmi se wo hass rahe hai

Dr – haa beta haan kaun hai wo log?

Raj – nahin nahin mat maaro mat maaro meri luchia ko chodh do chodh do meri luchiaa ko

Wo death band ke paanch log hai

Dr – death band kya koi rock band hai

Raj – haan wo ek rockbands ke log hai wo meri kamyabi se jalte hai

Dr – unke naam kya hai ?

Raj – Jordan,lampard,teen logo ke naam nahi pataa

Aur usme se sabse badaa dushman rockyyy

Dr – tumhe jaan se kisne maara hai ?

Raj – nahin nahin wo bewafaa nikali wo bewafaa nikali

Dr ke maathe par shikar thi maano kitney sawaal umadd rahe ho haa beta wo kaun thi

Raj – she is luchiaaa

Dr dang reh gaya tha kya beta luchia but wo toh tumse pyaar karti hai

Raj – nahin sab paiso ke liye wo rocky ki girlfriend hai oosne mujhe dhokaa diyaa mujhe maar daala

Raj ki haalat hilne dulne si lagi thi

Dr ne oose pakda aur kaha calm calm down calm down relax everything’s gonaa fine

Raj relaxed saa ho gayaaa

Dr – ab tum shawn ka sharer chodh chukey ho ab tumhari aatma wahan se nikal gayi hai tumhe insaaf nahin milaaa tum wahan se nikal chukey ho ab tum waapis raj ke sharer mein aa jaaoge ekdum dhire dhire

Main paanch tak ginungaa jitney mein tum raj ke sharer mein parvesh kar paoge

Raj dobara behosh ho gaya aur fhir jag uthaa uski aankhen dhire dhire khuli jo ekdum surkh laal thi aankho kaa paani bahar aa gaya

Dr ne raj ke sar par haath phairaa aur kaha maine aaj tak aiisi baatein kahaniyo mein padhi asal zindagi mein kabhi nahi dekhaa par aaj pakka wishwas ho gaya hai mujhe beta tum theek to ho

Raj ne kaha haan uncle thankyou

Shayad bahar khadhi kajal ne sabkuch jaan liyaa thaa

Raj psychaterist ke bahar nikal ke aaya jahan kajal oosse gale lag kar rone lagi

Kajal ne kaha main nahi jaanti thi ki pyaar ne tumhe dhokha diya par shayad mere liye saw janam tak sirf mere hi rahoge


Raj muskuraya aur uske aankho mein huye nainsaafi ko wo chehraa aaj oosne jo dekhaa shayad hi kisi ne dekha ho

Raj – kajal ab hum oos jagah jaayenge jahan se mera saara aitt judaa huyaa hai apni naainsaafi ka badla lene

Kajal – kya wo log maanenge

Raj – oonhe manna hi hogaa sabko tum ere saath chalo mujhe kuch nahi hongaa iss baar unhe hogaa jo hogaa

Kyunki shawn waapis duniyaa mein aa gaya hai oon sab se badlaa lene

Aur us bewafaa se badla lene ki bhi

Kya raj jeet paayega ?
Kya uska insaaf hogaa?
Kya wo apne maqsad tak pahuch paayega?

Kaafi sawaal judd gaye hai aage padhne ek liye wait pls to read thi sansanikhez story of raj




Logged
asif biswas
Guest
«Reply #10 on: September 29, 2011, 11:45:46 AM »
Raj ke concert ne sheher bhar tak dhoom machaa di thi aur idhar uski lokpriyta kuch zyada hi bhadh chuki thi

Udhar taash ke patte faila rahe wo giddh ye jaan chukey they ki raj unke gale ki haddi ab kabhi bhi ban sakta hai

Rocky yaar ye larka to world ke kone kone tak chaa gaya isne to meri naak mein dam kar diyaa hai agar ye roman aaya toh fhir kya hogaa

Jordan tum bekar hi tension le rahe ho dude hum itney saalo se khadhe hai we are legends aur wo kal ka star wo hamara kya bigaad lega what can he do with us ? wo sirf apne India mein baaki desho tak hi simit hai aur waise bhi aane waale muqable mein ye to pakka hai ki ye larka hamare liye ek kaddi chunauti saabit hogaa

Luchia but don’t worry guys ye raj the rockstar hamare aage kuch nahi hai aur bhulo mat ye kaam to chutkiyo kaa hai hahahaha

Udhar time ko dekh raha thaa raj

Mr oberoi – aaj mujhe wo haqeeqat pataa lagi to main office se jald hi aa pahucha mere betey main nahi jaanta tha ki tumhare saath itani badi naainsaafi huyi un logo ko to bhagwaan kabhi bakshega hi nahi

Raj – haa main jaanta hoo tabhi to  mujhe is duniya mein unhone waapis bulaya is shaitano ko khatam karne aap chinta mat kijiye mujhe kuch nahi hogaa

Mr oberoi – par beta tumhari in baton par yakeen kaun karegaa wo log ke paas humse zyada paisa hai power hai

Aur hum unke aage kuch bhi nahi

Raj – hum hai uncle hum hai main jaanta hoo main to hoo hi bas zaroorat hai to sirf maukey ki main apne haatho khoon se nahi rang rahaa jaanta hoo ye duniyaa waale meri baton ka kabhi wishwas nahi karenge unless fans bhi nahi par main is ladaai ko akele hi larna chahungaa aap logo ko musibat mein nahi daalungaa

Mr oberoi – aisa mat kaho beta tumhe kuch ho gaya toh main bhi nahi jee paungaa

Raj – aisa mat kahiye upar waale par bharosa rakhiye mujhe kuch nahi hogaa and believe me un shaitano ko sabak sikhana hi hai aur uske liye mujhe roman mein apni jagah banani hai

I am ready

Raj ke is naye utsaah is naye badle ki bhaavna ko dekhkar mr oberoi thodhe chinta mein aa gaye aur unhone uski madad karne kaa faisla kiyaaa

Raj agle hi din tickets haath mein liye airport par baitha tha jahan raj ke chahne waale uske jaane ka maano shok sa prakat kar rahe ho

Raj ke haath pakde thi kajal

Kajal ne kaaha jahan tum jaoge wahan main bhi chalungi aur tum apne aapko akelaa mat sochna main hooo naa tumhare saath

Raj ne kaha soch lo jis raah par main chal raha hoo wo kaanton se bharaa hai tumhe kuch bhi ho sakta hai

kajal ne kaha tumhi toh ek who insaan ho jisko meri fikar hai warna bachpan se paiso mein reh rahi is shezaadi ko bhala baap maa ka pyaar hi kab milaa chalo chale

mr oberoi ke aankho mein aansu they aur ek khushi ke aansu bhi

mr oberoi ne sirf itna hi raj ko kaha beta apne lakshay tak pahuch kar hi aana waapis indiaa main tumhara intezaar karungaaa

raj ke aankho mein aansu they

shayad kismetwaalo ko aise madadgaar miltey ho raah mein chaltey huye bahut humraahi miltey hai jo shayad apno se bhi badhke ho jaate hai shayad raj ki kismet mein apno ka saath kabhi thaa hi nahi tabhi ye gair log bhi aaj ooske apno khoon se bhi bhadhkar ho gaye they

raj flight se chale gaye saare fans sirf plane ko hi dekhte reh gaye udhar raj apne watan ko chodh jaa raha kisi aur watan mein tha kajal so chuki thi uske kandhe par laiti huyi thi par raj ko koi ajnabi sa wahan mehsus nahi huaa 1 din ke safar ke baad plane sidhe translyvania Romania mein land ki raj aur kajal bahar nikale

raj aur kajal ne taxi pakdi aur wahan se sidhe apne hotel ke liye nikal pade

kajal – hum jaa kahan rahe hai ?

raj – main yahan ke ek ek logo ko jaanta hoo kajal fikar karo kabhi ye jagah meri apni hoyaa karti thi par shayad khuda ko ye manzur naa huaa

kajal idhar udhar dekh rahi isse pehle oosne kabhi itney haseen waadiya nahi dekhi thi

raj bhi saare cheezo ko dekhne lagaa khubsurat pahaad pahaado ke bich mein badal chaaye huye maano haatho se abhi choo looo

raj ne taxi driver se pucha ki aage koi woodland valley hai am I right?

Taxi driver ne sar haan mein hilaaya

Aur kajal bhi hairaani se raj ko dekh rahi thi

Tabhi wo khubsurat mountain woodland high valley dikhi

Kajal ke munh se sirf wow hi niklaa

Par raj ke kaano mein gunz rahe they wo shabd
Jo shayad oosne bahut saal pehle yahan aayi luchia ke saath kahey

Raj yaad karne lagaa wo baatein

{pls pay attention all mountain valley tonight I am gonaa sing a song for my lovely wife luchia fernandes my heart my lovely sweetheart }

{hum jaa kahan rahe hai – luchia,ye kitani khubusurat waadiya hai aisa lagta hai jaise yahan hamesha ke liye reh jaoooo ye jagah hamari pyaar ki jagah hai hum aksar yahan aaya karenge bhale hi main mar kyu naa jaooo main yahan zaroor aaya karunga,aisa mat kaho – luchia }

Wo hassi wo geet sab yaad aane lagaa raj ko raj ko kabse awaaz lagaa rahi kajal ne raj ko jhinjodaa

Raj ekdum se hadhbhadaa kar kehne lagaa kya hua kya hua kajal

Kajal – main tumhe kabse awaaz lagaa rahi hoo aur tum ho ki jawab hi de rahe kya huaaa

Raj – kuch nahi wo beete pal yaad aa gaye jo khushiya mere liye kabhi bani hi nahin driver car ko yahan se tezi se le chalo


Kajal ab bhi soch mein dubi raj ke is naye behave ko dekh rahi thi

Raj aur kajal ne circuithouse mein rukne ka faisla kar liyaa


Aur udhar shayad death band ka agla concert hone waala tha

Raj ko apne asittva ka pataa chal chukaa thaa

Kajal ne kaha raj kya hua fhir kya sochne lagey kajal ekdum se raj ke kandhey ko pakdaa aur kaha kya hua ?

Raj ne kaha kuch nahi aisa lag raha hai ki kitne saalo baad yahan aaya hoo c’mon

Raj ne kaha oh wait ye channel lagaana

Raj ko un paancho ko yaad karne mein deri naa huyi aur raj ne kaha ye log toh wahi hai death bands rocky ke log aur ye hai rocky


Jo aaj jashnnn ki aayiiyaashi mein dooba hua hai mujhe maarkar aish ki zindagi jeer aha hai

Kajal hairaani se pancho dekh rahi thi aur kaha dekhke hi lag raha hai ki kitane bereham burey insaan hai

Raj ki nazar abhi luchia ko dekhne ke liiye uteri hi nahi thi ki saamne taaliyo ke saath baar baar uth rahi luchia ko dekhte hi raj ka dimaag thankaa

Raj oos chehre ko gaur se dekhne se lagaa

Aur tabhi munh se sirf ek hi labz niklaa luchia

Kajal ne kaha what ? luchia

Raj ne ungli tv ke screen par dikhate huye kaha she is luchia

Yahi hai who jisne sabse pehle meri pith par churaa bhokaa she is that damn b#### bewafaa aurat jise  maine itna pyaar kiyaa aur badle mein mujhe maut diyaa ye rocky ki wife hai

Kajal ne kaha my god raj hats off for you baby tumhe itna kuch yaad hai itney logo ke baare mein kaash

Raj ne kaha wait logo se mujhe yaad aaya mr Anthony wo bhi yahi hain wohi toh mere godfather jisne is janam mein naa sahi mere shawn hone par mujhe paala posaa aur ek rockstar banaya kajal come with me we should find out this guy ye mere apne se bhi badhkar ek hai


Kajal ne kaha wait wait main bhi aa rahi hoo

Shayad kajal aur raj nikal chukey they dhundhne Anthony ko kya unhe wo mil paayenge jaise jaise translyvania mein aaye raj ke raaz khulte jaayenge oose milenge wo log jo saalo pehle oose bhichad gaye they concert kare death bands ko bhi shayad ye pata naa tha ki unka sabse badaa kaal unki taraf palbhar mein aanehiwaala hai






Logged
asif biswas
Guest
«Reply #11 on: October 01, 2011, 02:30:05 PM »
[Kajal aur raj ne har gali chaan maari itney saalo baad aakar bhi unhe kuch haath naa lagaa is baat se niraash hokar fountain ke niche baithkar raj sochne lagaa

Kajal paas aakar boli I know raj it’s hard to find but tum haar mat manna tum jis kaam ke liye aaye ho oose anjaam dekhe dekho shayad Anthony uncle tumhe mil jaaye tumhe tv par dekhkar shayad wo tumhare paas aaye

Raj ne kaha nahi aayenge main wo nahi raha shawn duniya waalo ki nazar mein marr chukaa hai main to sirf raj hoo duniyawaale aur mr Anthony mujhe sirf isi naam se jaanenge naa jaane ab kis haalat mein honge uncle unhe dekhne ko aankh taras gayi

Kajal ne raj ko uthaya aur dono wahan se chale gaye

Raj ne apna concert wahan se shuru kar diyaaa jaane mane famous concerts hone se raj wahan par bhi chaane lagaa aur shayad international concert se wo dur naa raha

Raj ne apna haath guitar mein thaama aur apne gaano ke dhun se sabka dil jeet liyaa apna watan naa hokar bhi raj ke liye shawn ki jagah paana zyada dur naa raha

Aur bas uski popularity uska success badhti jaa rahi thi jaise mausam badalta mehez 2 mahine mein hi wo chaa saa gayaaa magazine newspapers tv internet par har jagah ab wohi thaa

Raj kaa interview huaa jahan oosne apni haal-e-dil ki baatein byaan ki

Reporter – toh mr raj the rockstar ke naam se jaane jaatey hai aap apne desh chodhkar yahan aaye aapko hamara desh kaisa lagaa ?

Raj – I like your country so much seems like I am in love with this country and bytheway my inspiration began from here because I really like the legendary rockstar shawn fernandes which caused tonight I took this guitar In my hands

Reporter – so what is your next work

Raj – as you see I have made my place in each and every people’s heart of translyvania and all other countries so I really want to say that this is an opportunity to me to participate in the international rock champion

Reporter – seems like you really know about shawn fernandes and we got to know that he is your inspiration you inspired by him would you like other rock bands as you would know about rocky

Raj – ya I know he is the heartthrob legend now and he was a competitor of shawn so I just say that now it’s my turn to win that championship it’s my heart wish to play against him in the finale of international rock championship

Reporter – wow it’s so great so now we can say that in this 1 yrs we got the competitor who have guts to play excellent than rocky but everything will be decided in this championship who win or loss it’s all will we see in this upcoming music championship which will held on this December
Thank you raj to being with us I am Christy volkasov and you’re watching sx news channel

News ka sidha prasaaran shayad koi aur bhi dekh raha tha aur wo tha rocky

Rocky – huh meri barabari karega legend ki barabari jaanta nahi hai mere baare mein guitar utha paayega to naa

Luchia – par ye laajwab guitar bajata hai isne mujhe shawn ki yaad dilaa di

Rocky – haan aim bhi wohi hai aur uska inspiration bhi wohi jise ye nahi maalum ki humne hi oose maut ke munh mein daala thaa

Waise is naye larke se milna paregaa ye kab aayegaa

Luchia – aaj maine party rakhi hai har kisi ko invite kiya hai ye bhi aayegaa

Kajal – nahi raj tum party mein mat jao kahin oonhone tumhare saath kuch galat salat kiyaa toh

Raj – wo pehle bhi kar chukey hai par iss baar bigaadne ki baari meri hai main unhe duniyaawaalo ke saamne laake rahunga ki ye log hi mere kaatil hai

Kajal – par kaise ?

Raj – aaj humhe unke ghar par inivite kiya hai jahan sirf hum nahi famous rockstars aur bari hastiyaa aayenge hum bhi jaakar oonhe dikhaa denge ki unka kaal unke ghar dastak de chukaa hai

Kajal – mujhe to darr lag raha hai agr unhone kuch galat karaa toh

Raj – oh kajal darro mat wo kuch nahi kar paayenge main hoon naa aur waise bhi mujhe oosne kabhi na kabhi rubaru toh hona hi thaa

Shaam ke liye tayyar ho jao


Shaam ka mahaul rang chadh raha tha har koi jam mein dubaa saa thaa

Tabhi rocky aur baaki death bands har kisi se baton mein mashruf they ki tabhi raj kajal ke saath aaya dono ko dekh rahe sabhi nazre unpar hi thi sabkoi ke munh se wow saa nikal gaya

What a perfect couple ?

Rocky aur luchia oon dono ko dekhkar muskuraasa rahe they

Raj – hello mr rocky the legend

Rocky – haan you too aapka interview dekha aaj maine aap meri barabari karne ki koshish kar rahe they

Raj ne kajal ko dekhakr kaha main barabari nahi sabse se upar jaane ki sochta hoo meri fitrad mein hai ki insaan agar apni sidhi khud banaake chale toh oose hi rags to riches kaa example kahan jaa sakta hai

Rocky ne cigar fhunkte huye kaha waaah ahahahahha tumhari umar se tum kuch zyada bolte ho to yahan jeet ke jaane kaa iraada hai

Raj – haan jeet ke toh kya sabka dil lena chahta hoo waise shawn ke baare mein aapne to sunaa hi hogaa hai naa

Rocky thodha gambhir hoke bola – ji sunaa hai mera dost tha

Raj – and your main rival

Rocky – no ofcourse not but wo mujhse 4 kadam aagey tha aur aaj main apne manzil pahuch bhi chukaa hoo

Raj – main toh paida bhi nahi hua tha jab unki sudden death huyi isn’t so strange am I right ?

Rocky – ji bilkul bhaala uski sudden deaatthhh se toh pura translyvania shokh mein dub gaya tha anyways she is my wife luchia

Raj – luchia ko dekhkar raj ko wo saare beete pal yaad aa gaye jab wo oose bepanaah pyaar karta tha aur oosi ne uske pyaar aur dil ko chot pahuchaayi thi

Luchia – kahan kho gaye tum?

Raj – nothing just purana dost yaad aa gaya you know

Kajal gaur se raj ko dekh rahi thi raj ne kaha anyways she is my girlfriend kaajal a milliondollar man’s milliondollar heart daughter and my love
Kajal luchia se milli

Rocky – so enjoy my party I will come in a minute

Raj – toh mrs. Luchia aap ko bhi main bachpan se dekha hoo aap badali nahi

Luchia – kabhi main badli hi nahi mujhe hamesha palko par bithakar rakhaa tha rocky ne kabhi paiso ki kami mehsus hone nhai di

Raj – haan wo toh hai waise aap shawn ki pehli wife thi

Lluchia ne kaha haan haan who main thi

Raj – aapke feelings to shayad dikh hi nahi rahe

Luchia – wo bhi mujhse utnaa hi pyaar karta thaa but after his sudden death naa jaane kahan gaayab ho gaya log toh jaise pagal se ho gaye

Raj – bytheway it’s nice to meet you

Kajal ne kaha tum oosse itna paas kyu jaa rahe they

Raj – oosse jaanna chahta tha oos bewafa ka chehra mere aankhon mein ab bhi ghumta hai kajal

Raj – bhalaa tumhe chodhkar main kisi aur ke baare mein sochungaa ye kabhi nahi ho saktaa

Chalo chalein

Udhar

Luchia thodhi depressed thi

Rocky – kya hua kajal ? I was looking you everywhere what’s wrong ?

Luchia – that guy raj ooska chehra maano mujhe pehle bhi kahin dekha saa lag raha hai

Rocky ke maathe par shikar thi

Luchiaa – maano main oosse mil chuki hoo uski personality uska attitude bilkul same hai

Rocky – c’mon aisa kuch nahi hai woh to India se aaya hai how is it possible ?

Luchia – jo bhi ho uske dhun uska wohi style mujhe shawn ki yaad dilaata hai

Rocky – pls shut up yahan ooska naam mat loh ek toh raj ne sabke saamne ooske baare mein mujhse puchaa maano oose pataa ho ki humne kya kiya hai and then tum ab ?

Rocky – sshhh ek shabd nahi kisi ne sun liyaa toh musibat ho jaayegi party mein chalo everyone is waiting

Ab toh luchia ko bhi samajh aane lagaa tha raj unki zindagi mein aane se koi tufaan leke aaya hai

Place – tanslyvania hill place
Time – 12:50 pm

Luchia ki car us jagah ko cross kar rahi thi jahan par 10 saal pehle woh shawn se mili thi pehla pyaar hua tha par kise pataa tha wo pyaar toh sirf ek chalawa thaa

Ekdum luchia ki car mod par aa ruki luchia car se bahar nikali aur dekha ki car ke aage ke dono tyres puncture hai

Tabhi luchia ne kaha oh my god ye sab aaj hi honaa tha is jungle mein ab mujhe car kahan milegi

Tabhi saamne se aa rahi us black Mercedes car luchia ke paas aake ruki

Luchia ne jaise hi mirror khulte hi uska face dekha uske chehre par maano hairaani chaa gayi ho

Wo raj thaa raj – toh mam aap yahan par

Luchia ne ekdum se chuppi todi nahi wo darasal main yahan fass gayi my car is punctured

Raj ne kaha aaiye main aapko chodh detaa hooo raj luchia ko leke wahan se jaane lagaa

Saamne dikh rahe pahado ko dekh luchia ko maano wo din waapis dikhayi diye

Raj – waise ye jagah mujhe bahut pasand hai dil karta hai yahi saari zindagi beeta dooo

Luchia ne kaha ji tumhe ye jagah pasand hai

Raj – haan kaafi purani yaadein judi huyi hai bytheway India mein aisi toh koi jagah hai hi nahin

Luchia – oh

Raj ne luchia ko dekhte huye kaha waise waqt wohi hai jagah bhi wohi hai par shaks ab alag hai

Luchia – main tumhara matlab nahi samjhi

Raj – matlab ki shawn fernandes bhi aisi hi jaagah pasand kartey they am I right ? mrs luchia

Luchia – haan haan woh karte they but tumhe kaise pataa ?

Raj ne car ki raftaar tez kar di aur kaha samajhne waale ko ek isharra hi kaafi hai luchia chaunk gayi ye itni tez kyu bhagaa rahe ho

Raj – aap to darr gayi darasal mujhe speed mein chalana kaafi pasand hai waise aap aise chaunk gayi aapko lagaa ki main shawn hoo

Luchia ne kaha bilkul nahi bilkul nahin

Raj ne luchia ko aadhe raaste baad chodh diyaa par luchia ko raj kehte gaya ki main eek cheez sikhaa hai is duniyaa mein ki waqt chahe kitna bhi badal jaaye insaan ki fitrad bhi badalti hai agar oose ahessas ho toh

Luchia raj ke is attitude ko dekhkar samajhne lagi thi ki ye shawn ke baare mein kaafi kuch chahta hai par cheengari to ab lagne lagi thi kyunki ek ek karke unka parda to ab khulegaa









/color]
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #12 on: October 04, 2011, 06:21:46 AM »
Luchia ko wo lamhe yaad aa gaye jab oosne apne pyaar par chaaku bhaukaa thaa ooska wo bebas chehra uske aankho mein aansu ki tarah ghul raha thaa shayad ye sab sochkar maano uska dimaag fhathaa jaa raha ho

Udhar raj gusse mein us glass ko dekh raha tha kajal oose badi gaur se dekh rahi thi

Tabhi raj ne glass ko zor se table par rakhaa

Kajal kya hua raj why did you behave like so angry? Is there happened something wrong ?

Raj – no kajal

Raj apne chair se uthkar khidhki ke paas aaya

Raj – no kajal nothing happened wrong I am tensed for

Kajal – what ?

Raj – aaj luchia par hamara plan to chal padaa par itney saalo baad uska wo chehra dekhkar mujhe apni yaadein yaad aa gayi jab hamare paas kuch khushi ke pal huya kartey they lagta tha sab achaa rahega but in that moment I was wrong I was damn wrong kajal because jis pyaar ko maine gale se lagaya tha nahi jaanta tha ki wo toh mere pith piche waar karega and not that usne meri zindagi cheeni balki mere pyaar ko apna hathiyaar banaya it’s so injustice isn’t

Kajal ne apne komal haatho se raj ke shoulder par haath rakhkar dabaya aur kaha everything going perfect you and me it doesn’t matter ki oosne jo bhi kiyaa tumhare liye wo pyaar nahi fareb tha tumhe ab apne fareb badla lena hai that’s why we came here rocky luchia aur unke gundo ko sabak sikhaana hai shawn ki maut ke rehesyaa se parda uthana hai aur ye kaam sirf tumhe hi karna hai raj sirf tumhe you know why ? god gives you another chance to beat and bring them all who took out from your hands ?

Raj – you’re right luchia now I’ve realized what I have to do ? is saal ho rahe championship mein main bhaag lungaa chahe is baar kitne bhi muskile khadhe ho is baar main unhe dikhaa dungaa

Kjal – tum apne maqsad se dur nahi ho meri taraf dekho kal shaam ko tumhe pure jahan ko rock karna hai and you have to show that sinister face of rocky and that b#### luchia understood

Tabhi raj ka call bajne lagaa raj ne kaha hello

Hello beta what’s up ? - mr oberoi was that guy

Raj – ya uncle how are you ? what a pleasuring surprise uncle ?

Mr oberoi – kaise ho ? kya apne maqsad tak pahuch paaye

Raj – no uncle just abhi paasa faikhaa hai jab sahi number milega to fhir apni chaal chalungaa

Mr oberoi – bhulo mat tum ek kathinaayi waale raaste par ho jahan sirf aur sirf kaante bharey hai aur kajal ko saath mein rakhnaa bhi ek bari zimmedaari hai main nahi chahta ki meri hone waali bahu ko koyi aanch bhi aaye

Raj – hahaahah uncle sach mein aap toh bas nahin uncle kajal ne hi zidh kari mere saath aane ki aap bas humhe apna blessings dijiye ki hum apne plan mein safal ho jaaye

Mr oberoi – ye bhi koi kehne ki baat hai I am definitely sure that you will win this battle ok chahoo to main tumhari wahan aake madad karoo

Raj – nahi uncle aap mat aaiyega main nahi chahta wo log aapko meri wajah se nuksaan pahuchaaye main apna aur kajal ka dhyaan rakhungaa aur iss baar pyaar ko apne haath se nahi jaane dungaa

Mr oberoi – very good beta I am proud of you alright bye tak care

Raj – aap bhi apna khyaal rakhnaa bye

Kajal kyaa huaa raj ne kajal ke kandho par haath rakhke kaha keh rahe they ki apni bahu ka khyaal rakhnaa ye to mera farz banta hai naa ki main apni hone waali wife ka khyaal rakhuu

Kajal ke muskurahatoon ki maano jaise lari lag gayi aur keh daala oh wow unhe pata lag gaya I am so loving you raj dono ek dusre ke gale mil gaye

Kajal ne kaha mere baap ne paiso se badhkar mujhe itna kuch nahi diyaa jitna tumne aur uncle ne diyaa hai main nahi chahti ki tumhe kuch ho warna main bhi apni jaan de dungi raj ne kaha jab tak tum ho tabtalak mujhe kuch nahi ho sakta ab jo kuch bhi hogaa un bheriyo ke saath hogaa jo meri shauharat ko chinke aaj saanpo ki tarah kundli maarkar unpar baithey hai they will pay what they did with me they will paid for their sense


Udhar luchiaa cigarette ko bhujaakar dusra ciggrate le rahi thi

Rocky ne aakar uske munh se cigarette cheena aur kaha enough my babe what’s wrong with you aaj subah se jab dekho tab cigarette pee rahi hoo is anything stressful for you?

Luchia ne kaha haan rocky mujhe oos raj ko dekhkar naa jaane kyu shawn ki feelings uthti hai uska chehra maano kitne saalo main oose jaanti hoo aaj oosse meri mulaqat huyi thi

Rocky ne kaha kyu tumse kyu mili ? wo larka mujhe kuch theek nahi lagtaa wo kaafi strange hai aur maano humhe saalo se jaanta ho

Luchia – yahin nahin wo mujhse baat shawn ke baare mein puch raha thaa

Rocky – strange shawn ke baare mein oos mare huye aadmi ke baare mein puch raha tha oos raat party mein bhi wo kuch aise hi keh raha thaa maano kitni saalo ki dushmani ki badla ho uske dil mein mujhe is larke par daut lagta hai kahin ye shawn ki maut ka rahasya bhi nahi jaanta ho warna hamare liye muskhile khadi ho jayengi aur logo se aur police se ye parda jaldi uth jaayega mujhe is raj ka kuch karna hogaaa accha suno luchiaa kal us raj ka concert ka hai agar kal ke concert mein uski jeet pakki huyi toh humare saath wo finals mein ladegaaa uske diwaane to roman ke har jagaho mein naa jaane kambhakt aise kya jaadoo hai zaraa main bhi dekhoo

Time – 9:45 pm
Place – concert mega park hall

Raj aur kajal backstage mein they jahan raj guitar ke taro ko check kar raha thaa kajal ne kaha are you ready aaj tumhara semi final competition ka time hai tumne kaafi concerts mein khub rock kiyaa par asli chunauti to ab yahan se shuru hogi

Raj – don’t worry darling I will win and not only that main ye bhi promise karta hoo ki apne maqsad tak pahuchke hi rahungaa chahe jo ho jaaye

Kajal – best of luck

Raj wahan se chala gayaa tabhi oos shaks ki parchaayi piche se jaate huye raj ko dekh rahi thi aur fhir andhere mein chup si gayi

Udhar raj concert par aaya jahan taaliyo ke saath awaaze gunjne lagi

Raj – hello friends whats’up? It’s being a pleasure for me to made songs for you all ? I know here is many fans of legendary death bands but before I start this song I just want to say in news channel

Uncle aap jahan kahin bhi ho anthony uncle aap mujhe sun sakte hai manta hoo sirf mera chehra hi badlaa hai par aaj bhi main aapse bahut kuch sikhaa hoo main nahi jaanta aap kahan kho gaye par ye sacchai hai ki main is duniyaa mein dobara waapis aaya hoo sirf aapke liye apne nainsaafi ke liye manta hoo aap mujhe ab bhi nahi pehchanenge par aapse request hai aap jahan kahin bhi hai mere paas aakar mujhe sirf ek baare apne gale lagaa lijiye

Sablog chuppi se raj ka munh dekh rahe they raj ne kaha sorry friends but it’s a message for someone personal

So shall we start ?

Yeahhhhhhh

Raj – ok guitar ki dhuno ko bajata chalaa gaya raj aaj raj ne naa jaane kyu shawn ek gaane ko bajaaya sabhi log hairaan they uski is nayi cheez ko dekhkar par raj to maano kisi ki sun hi nahi raha tha aur bajaate jaa raha thaa aakhir usne bajaa hi li wo dhun pura mahoul rang mein utar gaya sab log maano naachne lagey koi taali bajata toh koi cheer karta piche khari kajal ye sab dekh rahi thi raj ne ekdum se guitar ko apne kandho se nikaal diyaa aur kaha thank you thank you so much

Raj concert ke backstage aaya sabse milkar kajal nicely done you rocks bas decision ka intezaar hai

Raj – yaa babe zaraa main washroom se aata hoo raj washroom gaya andar jaate hi oose table par ek lifafa milaa

Raj ne oos lifafe ko badi hairaani se dekha lifafe ke bahar koi personal private message likhaa thaa

Raj ne oose kholkar padhaa jisme saaf saaf likhaa tha

Meet me at tomorrow 8 am in sant old home if you have memories I know you will definitely come

Raj ne kaha ye jagah to suni suni si lag rahi hai yaad aaya ye toh oh my god raj ke maathe par shikar udh gaye aur raj ki aankhe bahar nikal aayi

Kajal concert par khadhe announcer host ko dekh rahi thi

Raj waapis aaya kajal ne kya huaa itna time lagaa diyaa thaa

Announcer ne kaha hamare top in rockstars ke winners hai black blue

Taaliyo se awaaj gunz gayi aur hamare agle jo ki 3rd finalist hai unke naam hai guess who ?

Mr rajjjjjjjjjjjjj

Yeahhhhhhhhhh taaliyo aur khushiyo se awaaze maano bhar si gayi raj ki chehre par muskurahat thi par jo khushi honi chahiye wo nahin thi

Kajal raj ke gale lag gayi aur kaha you rockssss raj arre kyaa huaa tum khush nahi ho itnaa bari opportunity mili hai tumhe raj ne kaha haan haan main khush hoo bas kuch pareshaan hoo

Kajal – is anything wrong

Raj – no no nothing just tum mere saath ghar chalo

Kajal ne kaha theek hai

Udhar tv dekh rahe rocky aur uski death band kaa mano sair chakra gaya


Jordan ne kaha to jis baat ka darr tha wohi huaa ye raj ka bachcha aakhir finals tak pahuch hi gaya rocky ekdum hasne lagaaa haa haa hahaahahahaa ahahaahahahaahahaaa

Luchia wine daal rahi thi rocky ke face ko sab dekh rahe they

Rocky ne kaha my god my god itni himmat toh kyaa ho gaya kaun saa jeet jaayegaa mujhe challenge kar raha hai ye larkaa huhh jaanta nahin ki bade logo ke saath pangaa nahi letey lagta hai ek do chapters padhane padhegne
Rocky – Jordan aur lampard baat suno tum dono is baar finals mein ho rahe concert mein ise roknaa theek hai ise mujh tak pahuchne mat denaaa main jaanta hoo ye larka hamare liye already ek khatra ban chukaa hai and aur kahin ye apni choch police ke paas jaake naa khol de

Jordan – kahin yaar humhe koi galatfehmi to nahi ho rahi ise kuch pataa naa ho uske naam se humhe blackmail kar raha ho

Rocky – agar aisa hotaa toh ye humse aisi baatein naa kartaa main jaanta hoo main kya kar raha hoo

Luchia bhi soch mein dubi thi

Time – 8:00 am
Place – sant old home

Raj khuli waadiyo ke dekh raha tha car ke sahare khadha thaa

Kajal ne kaha aur kitna wait karna paregaa humhe kyaa hum ghar chale mujhe lagta hai kahin koi rocky kaa gundaa naa ho

Raj ne kaha relax kuch nahin hogaa main hoo naa tabhi wo shaks saamne aaya raj ne kaha aap ne mujhe yahan bulaaya

Mrrrr antthonny unclleee

Wo koi aur nahi mr Anthony uncle they unhone kaha raj betaaa

Raj ke aankho mein aansu aa gaye aur wo jhat se Anthony uncle ke gale mil gaya anthony uncle ab pehle se kuch zyada jaiff ho chukey they

Raj ne kaha uncle aapko dekhne ke liye meri aankhen kitne saalo se tarsi hai kaise hai uncle

Anthony – main theek hoo beta par nahi jaanta thaa ki kudrat ka aisa karishmaa dekhne ko milega tumhara chehra badal gaya hai tum shawn jaise dikhte bhi nahi ho

Raj – par dil wohi hai uncle main shawn hi hoo

Anthony ne kaha beta tumhara chehra naa sahin par main jaanta hoot um mere shawn hi ho I knew it beta tumhare sudden maut se main itna jhinjhod gaya ki aaj bhi main kisi ke laayak naa raha

Raj ne kaha uncle ye sab oos rocky aur luchia ke wajah se huaa jis saanp ko main apne ghar le aaya thaa

Anthony uncle – beta tumhe to tv par dekhaa tha jab tum yahan aaye tumhare is chehre aur baton se main samajh gaya ki tum Raj hi ho par ek samay ke liye kadam wohi thithak gaye ki lagaa nahin shayad meri galatfehmi hai chalo chodho main chalta hoo

Raj uncle aap kahan pe ho is waqt Anthony uncle wohi mera purana ghar

Raj – alright uncle aap chinta mat karo main aapka aur hamara ghar waapis dilaake rahenge aur haan ye meri mangetar hai kajal

Anthony uncle – waah kaafi sundar ye tumhe apne paas rakhegi accha beta main chalta hoo apna dhyaan rakhnaa bye beta

Raj ke aankho mein aansu they jinhe kajal ne pochkar kaha kya hua raj

Raj ne kaha itne khushaali pal they haamre dekho kya ho gaya aaj inhe main oon bastards ko chodhungaa nahi

Raj ke aankho gusse ki leher si daud gayi kya raj apne maqsad tak pahuch paayegaa aur kyaa raj badla le sakegaa ?

Jaanne ke liye padhe kahani ke agle post mein thank you for visiting and reading my story







Logged
asif biswas
Guest
«Reply #13 on: October 06, 2011, 03:15:04 PM »
Raj ka naam finals mein aa chukaa tha wo ab rocky ke death band se kaafi nazdik aa chukaa tha rocky ke death band ki toh pehle se hi apni legendary thi wo chaaye huye they par ye nahi jaante they ki abhi kuch hi din pehle aaye raj ne sabki ninde chain cheen li thi

Raj aur kajal car mein they

Raj ab bhi chupp tha

Kajal ne kaha what’s wrong tum kal tak to khush they aaj kya hua tum finals mein ho

Raj – I am happy but main nahi jaanta ki hampar rocky aur uski fauj kab attack kar de

Isliye hi tumse puch raha thaa ki tum meri fikar karne se pehle se apna khyaal zyada rakho

Kajal ne kaha haan aisa hi hai

Naa jaane car kaise kharab ho gayi

Raj ne kaha kya hua driver ?

Driver – pata nahi sir maybe shayad dekhta hoo

Driver ne car ke engine door ko kholaa jisme dhuaa sa thaa

Tabhi driver ne kaha sir it’s too hot lagta hai engine garam ho gaya

Raj ne kaha to yahan paani wagarah le aayo

Driver ne kaha no sir yahan dur dur tak paani nahin hai

Raj oh no itne viraan jungle mein paani bhi nahin milta oh god kahan phass gaye check karke rakhna chahiye thaa

Raj ne kaha theek hai driver tum jaake paani le aayo dekho kahin koi taalab wagairaa hai yaa nahin

Kajal ne kaha apna India hota toh purane kuye se le letey

Raj hasne lagaa kaha maine India mein kabhi kuye ki shakal bhi nahi dekhi kajal ne kaha acchhaa

Driver ko gaye huye 15 minute ho gaye par shayad driver waapis nahi aaya

Raj ne kaha azeeb baat hai driver kya zyada andar chalaa gaya

Raj ko wohi yaadein dikhne lagi raj paas jaakar dekhta hai oose wohi ghanti ki awaaz sunaai deti hai jahan par shawn ki hatyaa huyi thi
Raj oosi zameen ke paas gayaa wahan paas hi ek graveyard thaa raj paas gayaaa raj ke kadam apne aap wahan chalte gaye raj ne saamne pade kabro ko dekhaa theek baaki kabro se hatkar ek kabar ke paas raj gaya jahan jaakar raj ne dekhaa oos kabar mein hi shawn ko dafan karaa gaya thaa shawn ko jaan se maarkar wahan dafnaya thaa oon khooniyo ne raj ke paas wo haath ayaa aur kaha raj

Raj ek dum se bhaukla gaya aur kaha kajal tum ?

Kajal – haa main driver kab se tumhara intezaar kar raha hai arre wahaa yahan to old church hai tum is kabrustan mein kya kar rahe ho

Raj – kuch nahin mujeh yaad aa gaya wo pal meri hatyaa yahin huyi thi

Kajal – what ? kya bak rahe ho ? raj are you okay ?

Raj – haan wo zameen mein mujeh gaadaa gaya thaa meri laash ko chupaa di gayi

Kajal – oh my tumhari hatya kaise ki thi unhone

Raj – aaj bhi mujhe wo din yaad hai wahan mujhe maara gayaa tha mere khoon ke chintte mittiyo mil gaye aur raakh banker sukh gaye aur rocky oos taraf apni car mein baithaa oos khaufnak manzar ke lutaf uthaa raha tha luchia ko saamne dekh ek aakhiri aas aai mujhme par wo bhi ek chalawa tha jis pyaar ke khaatir main maut ke munh mein aaya thaa wohi pyaar ne mujhe dhakka de diyaa wo ek fareb thaa

Kajal – chalo yahan se purane zakhmo ko kuredne se sirf taqlif hi mehsus hoti hai tum yahan se chalo tum apne lakshaya ke bilkul kareeb ho raj c’mon raj kajal ke kandhe par sar rakhkar wahan se chalaa gayaa

Kyaa duniya ka khel hai  kisi ne zindagi li toh kisi ne zindagi di ajeeb itefaak hai

Udhar rocky ke death bands ne performance shuru kar hi diaya thaa

Rocky guitar ke sath music ko aur romanch banaa rahaa thaa

Jordan drums bajaa raha tha aur lampard piano bajaa raha thaaa

Baaki mein se ek bass guitar to ek rhythm metal guitar mein bajaa raha thaa

Rocky dhuno ko create kar raha thaa

Tabhi Jordan ke haath se drum stick gir gayi

Rocky ne kaha what nonsense yaar ? kya kar raha hai pura music beech mein roknaa padaaa

Jordan – sorry yar wo main dhun ke lyrics bhul gaya thaa

Rocky – what ? itni choti baat tumhare bheje mein nahi rehti don’t you know is baar hum finals mein hai jeet gaye to hum one of the legends mein honge hartaraf hum hi honge

Kya ho gaya hai tum sabko main dekh raha hoo 70’s disco mein hum kitne acche they kya ab budhe ho gaye ho it’s 1984 aur tum log toh bas budhapa chaa gaya hai retired hona chahte ho music industry se main pure famous honaa chahta hoo

Jordan – wo sab to theek hai Jordan par ye raj jab se aaya hai tab se aisa hi ho raha hai uske haath mein wohi jaadoo ka pitaara hai jaise shawn ke haatho mein thaa

Udhar raj ghar mein aaram kar raha thaa raj ne kaha itni raat gaye kaun aaya

Raj ne gate kholaa saamne ek shaks khadhaa thaa who koi aur nahi mr Anthony they

Raj – my god Anthony uncle aaiye aaiye

Anthony – tumhe jabse dekhaa hai beta meri to aankhen taras gayi kaise ho beta tum

Raj ne kaha main theek hoo uncle waise aap bhi mere plan mein shaamil ho sakte hai

Anthony – tumhare liye toh main oon sabko giraa dooo

Raj ne kajal aur Anthony ko saara plan samjhaaya


Raj concert ki tayyarri kar raha tha concert ki raat raj guitar liye jald hi apni car se jaane lagaa wo Anthony aur kajal ko safe rakhna chahta thaa
Raj car ko tufaan ki tarah dhaudaa le gayaa wahan se raj concert hall mein pahuch gayaa


Raj ko dekhne ki logo ki bheed umdi thi aur security guard oonhe ghere mein rokey huye they

Raj ne sabko hello kaha idhar tv par live prasaran aa raha tha jahan kajal aur Anthony uncle dekh rahe they

Udhar raj ne guitar ki raftaar ko tezi se bajaya concert shuru thaa aur bhadhak gaye they sab log raj ke haatho mein maaano aaj kitna utsaah ho aaj is concert ko jeetne ke liye kitani josh ho oos mein

Raj guitar ke taro ko bajaya jaa raha tha naa oose kisi kaa hosh thaa raj ke haatho ko dekh raha tha rocky bhi jiske aankhon mein gusaa thaa raj ne sabko maano josh se bhar diyaaa

Raj ne khub zor se sound ko nikaala aur udhar drumist ne dhoom dhaake se gaane ko acchi bass di

Raj ne kareeb 1 ghante tak binaa rukey aisa concert kiyaa jisne bhi dekhaa sabkke hosh udd gaye

Uskey baad sabhi taaliyo se raj ko badhai karne lagey

Raj concert ke backstage aaya aur apni winning hone kaa waqt zaahir karne lagaa piche se rocky ko saamne aate dekh

Raj khadha ho gaya aur kaha best of luck mr rocky

Rocky ne teerchi aankho se piche palatkar raj ko dekha raj bhi ooske aankho ko gaur se dekh raha thaa rocky ne kaha ye best of luck tum jaise nausikhiye bachche ko milne chahiye I am already a legend mera muqaabla koi nahi kar saktaa ek ne karne ki koshish ki kya millaa oose duniya se widaai

Raj ne muskurakar kaha ye mat bhulo ki jo duniyaa se chale jaate hai wo yuhi nahi jaate they goes because they knows about the future who killed him and now his life gonaa makes more worst hell ever scene in this world as like waisa hi kuch jinhone bigaada oonke saath bhi hogaa rocky ke aankho mein gusse ki leher daud rahi thi aur kehte chala gaya as if but who knows ?

Rocky wahan se chalaa gayaa
Rocky bas waqt ke intezaar mein thaaa aur rocky ne apne death band se concert shuru kiyaa kareeb is muaqable mein 2 ghante beet gaye rocky ki jeet nishchint thi lekin tabhi announcer ne wo naam raj ka liyaa

Kaafi rocky ke chahnewaale boo boo kar rahe they par raj stage par aakar oos trophy ko lene ke liye maano kitna pagaal thaa

Rocky ne apni mutthi kas li aur baakiyo ko jaane kahaa

Raj ko samaanit hokar raj ne do shabd kahe aur apne legend shawn ko bataaya

Raj ne kaha ki main aaj jo bhi hoo khuda ke chalte hoo aaj oosi ne mujhe is kagaar pe pahuchaya raj ki khushiyo ka theekana nahi thaa

Udhar kajal aur Anthony uncle bhi khushi se jhoom uthey mr oberoi bhi ye concert ke results dekhne ke liye betaab they aaj wo bhi betaab they results suntey hi unki bhi khushi ka theekana nahi rahaa

Raj kaafi khush thaa tabhi raj sabse widaa hokar wahan se nikla tabhi uske phone par ek msg aaya

raj msg ko padhne lagaa raj ki aankhen fhat gayi

msg – raj raj ye tumne kya kiyaa khod daali naa apne parivaar ki kabar ab tum pachtaaoge yahan tum medals se saz gaye ho aur wahan tumhari family ke kabro par rose honge agar apni family ko bachana chahte ho to jaldi karo hahahahaa hum jaan gaye hai ki tum shawn ki maut ka raaz jaante ho par ab tumhe pataa chalegaa aag se khelne ka anjaam

raj ne kaha nahin nahin tum log bahut kuch mujhse cheen chukey ho is baar nahin

raj ne bodyguard se car li aur kaha I am leaving now I have no time ok

bodyguard – but sir sir

raj ne car ko furtile tarike se sadako par daudaa di binaa traffic ki parwaah kiyee raj jaldi jaane lagaa raj ko yaad aane lage wo saare pal fhir ek baar

time – 10:25 pm
place – rocky’s home

raj rocky ke ghar pahucha aur rocky ke darwaje ko kholkar andar aa gaya rocky rocky where are you? Meri kajal kahan hai kahan hai Anthony uncle ?

raj ko security piche se boli aap binaa kahe andar aa gaye why did you do that ?

raj ne kaha where is rocky ? I want to meet him it’s urgent

no sir rocky sir is not here he went from competition

raj bahar bhaagkar car mein sawaar ho gaya sadko par car bhaagaa rahe raj ko kuch samajh mein nahi aa raha thaa raj ne yaad kiyaa kahin woh oh god kahin wo wohi old church graveyard to nahi lekegaye unhe

raj wahan pahucha saamne dekha toh rocky ki car khadhi thi raj andar gayaa tab talak raj ne saamne dekhaa rocky khadha hai raj ooske paas gaya aur uska collar pakadke kaha haraamzade kahan hai meri kajal kahan hai Anthony uncle

rocky ne kaha haahahahahah kajal Anthony uncle seems like you really love them I know kajal is your love but Anthony Anthony it doesn’t make any sense he is not your part of family

raj ne kaha he is he is he is my uncle more than my father now tell me where is he ?

rocky – easy dude easy your both peoples are safe but not anymore if you didn’t follow my rules my agreements

raj – what ? what agreement?

Tabhi raj ke sar pe diyaa kisi shaks ne piche se laathi

Raj behosh ho gaya raj ki jab aankh khuli to saamne kajal aur Anthony uncle ko bandha paaya

Raj ne kaha chodh de unhey chodh de unhey rocky

Rocky – haan haan chodh denge is duniyaa se kyu Jordan to ab mujhe fursat se bataao ki tumhara hamare saath kya rishta you won the competition tum ho kaun ? kaise ho jaante ho itna kuch

Raj – main toh ye jaanta hoo ki tum sab paapi ho aur tumhari sazaa jail mein hai main shawn hoo wohi shawn fernandes jiski zindagi tumne bahut pehle cheen li

Rocky – nahin nahin aisa nahi ho sakta we have killed shawn right luchia ? luchia saamne khari thi

Raj – huh tum logo k eek baar maar diyaa par is bar nahi

Rocky – accha toh tum shawn are we right ? ya koi pehrupiyaa agar police ko ye sab baat tumne batani chahi oh bataoge ke bhi kaise aaj tumhe main oosi ki tarah maarungaa jaise tumhe pichli baar maara

Kudrat ka azeeb khel dikhne ko mil raha hai tum shawn ho isn’t it ?

Anthony shawn ke godfather jinhone  oose padhaya likhaaya ek rockstar banaya aur shayad kabr par mitti bhi daali

Raj ne kaha shayad par ek baat tum bhul gaye ki main yahan akelaa hoo par tum logo ko khatam karne ke liye kaafi hoo

Rocky ne kaha how is it possible ? ki hum policewaalo ke haath lagenge oonhe pataa lag chukaa hai

Raj ne apne haath dikhaaye phone se sabko chaunkaa daala raj ne kaha jab tum mujhe band rahe they to maine apne phone par green button dabaya ye plan to kabse banaa huyaa tha aur shayad police officer ne ye baat sun bhi li ho

Rocky – hum hum to darr gaye hahahahaha kya kar legaa police lekin oosse pehle tumhe jaan se maar dungaa

Luchia – no no rocky not so easy ab isne bataya hai to ise sazaa bhi buri maut deni chahiye zaraa main bhi dekhoo

Raj – khabardaar to kajal ko kuch kiyaa hai saali b#### Jordan ne piche se ek punch sidhe raj ko maara

Kajal ki cheenkhe nikal gayi

Raj ne sidhe chair uthakar Jordan ko maari sab log raj ke piche lagey jaise hi luchia kajal tak pahuch paati raj ne oospar piche chair se attack kiyaa luchia gir gayi

Raj pitne laga oose sab maarne lagey tabhi police ki siren bajne lagi raj ne kaha shayad police ne ye jagah trace kar li

Rocky nahin Jordan lampard maaro ise aur tum dono bahar jaane kaa raasta banao dekho police kahan hai rocky wahan se faraar hone ki soch raha thaaa par wo fass chukaa thaa

Raj ne apne rassi ko army knife se kaat diyaa raj azaad ho gaya raj ne Jordan ko ek leg kick de maari Jordan gir gaya raj ne kaha haan nihaatte pe maarte ho ab dikhata hoo tumhe raj ne backkick se sidhe lampard par waar kiyaa lampard bhi gir gaya rocky ne gun nikaali aur fire kiyaa raj bach gaya raj rocky ke piche bhaaga tabhi Jordan ne apni churri nikaali aur jaise hi kajal par attack karta raj ne farsh par fisal ke sidhe Jordan ke tanago par laat maari Jordan gir gaya raj ne churri se ooske pait mein ghusaa di lampard ne raj ko pakdaa raj ne lampard ke gale ko pakadke neck breaker diyaa jisse lampard behosh ho gaya raj ne Anthony uncle aur kajal ko chodhaa aur kaha aap dono yahin raho police kabhi bhi pahuchne waali hi hogi

Kajal – tum jao raj oos rocky ko pakdo

Raj piche se daudhaa tab talak rocky car se faraar hone mein kaamyaab ho gayaaraj ne piche se jaakar car se unkaa pichaa karne lagaa police oose rok rahi thi raj ab rocky ke car ka pichaa kar raha tha rocky ne fast speed se car bhagaa li

Rocky ke saath aage luchia baithi huyi thi aur piche death bands ke do sadasyaa beech beech mein dono raj par goliyaa chalaa rahe they

Raj ne car ke handle ko dusri taraf mod dalaa

Rocky ne kahaa he;s gone bloody baastard musibat chodh gaya ab police hamare piche hai kaise bhi karke humhe is jagah se bhaagna padegaa

Luchia – par hamari reputation aur music industry se naam hat jaayegaa shawn ke khoon ke ilzaam mein

Raj ekdum se saamne se car par waar kiyaa dono car takraayi aur rocky ke car ka balance bigdaa aur sab wohi ruk gaye rocky luchia ko wahan se leke nikal gayaa raj ne dono death bands ko khoob maara aur unhe buri tarah ghayal kar diyaa raj ne andar se gun nikaali aur rocky ke piche bhaaga rocky ek purani khandhar mein jaa cheepa

Raj ne chillakar kaha rocky kahan hai tu saamne aa saale aaj tujhe chodhungaa nahin luchai tum bewafaa aurat ho you are a selfish b#### c’mon bahar nikalo raj ko koi jawaab nahi mil raha thaa raj ne turant apne saamne parchaayi dekhi raj ne rocky ko giraa diyaa aur oose khoob maarne lagaa piche se luchia ne gun sidhe raj par daagi aur kaha hands up raj raj ne kaha no way b#### raj ne piche palatkar luchia ko diwaar pe de maara luchia ke munh se khoon nikal gaya raj luchia ke paas gaya aur apni muthi kaste huye luchia ko maarne ki sochi par shayad luchia ke chehere ko dekhkar naa jaane kyu kambhakt haath ruk gaye

Raj – kya kiyaa tumne mere saath luchia main to tumse pyaar karta tha now why did you do that ? oh haan main jaanta hoo kyu because tum paiso ki bhooki shauhrat ki bhuki ho aur tum jaisi ko maarna hi chhaiye piche se rocky ne goli challaa di jo sidhe raj ke peeth par lagi raj farsh par gir gaya raj par rocky ne laato ki barsaat kar di aur kaha hahahhaa tujhe maar dungaa kutte tune meri biwi par haath uthaya haraamkhor sadakchaap rockstar abhi rocky isse pehle kuch karta piche se kajal ne rocky ko danda de maara rocky gir gaya raj uthkar kajal ke gale lag gaya luchia ne mauke ka fiada uthaya aur pahad ki or bhaagne lagi raj bhi ooske piche bhaaga kajal bhi piche thi

Raj pahad tak pahuch gayaa aur kaha luchiaa wahan mat jao tum ab ghir chuki ho you have noway c’mon mera hath pakdo aur khud ko kaanoon ke hawaale kar do

Luchia ne kaha never shawn never main kabhi aisa nahi karungi rocky jaaye to jaaye main yahan se sidhe jail nahi jaana chahti

Raj ne kaha dekho zidd mat karo luchia ne kaha alright par oosse pehle main tumhe nahi chodhungi raj ne kaha theek hai maar do jaisa pehle kiyaa tha mere saath kar daalo kiska intezaar hai tumhe karo naa piche se justin ne aakar raj par goli daagdi raj piche mudaa aur kaha Justin tum gayab they ab samajh aaya kisliye Justin ne kaha haa is plan ko anjaam dena jo thaa

Kajal ne piche se leg kick sidhe Justin ko maari Justin ke haatho se pistol cheen li aur raj ne pistol leke Justin ke sar pe de maara Justin zameen par gir gaya aur uski wohi maut ho gayi

Luchia ne kajal kaa haath pakad liyaa abhi raj hosh sambhalta raj ne luchia ke haatho se kajal ko bachaa liyaa luchia chakkar khaa gayi aur sidhe pahaad se 12 ft niche zameen patthro par jaa giri luchia ki cheekhen gunz gayi

Raj aur kajal pahad se jhaakne lage luchia mar chuki thi

Raj ne kaha I am sorry tumne mujhe mazbur kar diya thaa

Kajal ne raj ko sambhaala raj aur kajal wahan se nikal gaye aur rocky aur baaki death bands ko police ne arrest kar liyaa baat aag ki tarah pure desh fail gayi jahan mr oberoi ne ye baat suni aur kaha oh my god thankgod mera bachcha sahi salaamat hai udhar raj sidhe hospital se niklaaa mr Anthony uncle ke budhe aankh raj ko dekh rahe they news waalo ki bheed lag gayi aur ye maamle mein raaz khulaa ki shawn ki hatyaa huyi logo ne rocky ke ghar ko patthro se todh diyaa aur rocky aur baaki death bands ko sazaa ho gayi unke music par banned lag gayi aur unkaa naam legends of music industry se hat gayaa aakhir ek mare huye ko uska insaaf milaa sabne raj ko salute kiyaa aur woh legends ke naamo se jaana gayaa

1 hafte baad raj aur kajal ne wohi badi dhumdhaam se ek church mein shaadi kar li

Raj – ab khush

Kajal – haan bahut tum jo mil gaye ho mujhe

Raj – haan who to hai par ek promise karna kabhi mujhe chodhke mat jaana

Kajal – kabhi nahin raj ne kajal ke hontho par apne honth sataa diye aur mr oberoi aur Anthony uncle se aashirwaad liyaa

Kajal ke dad bhi haarkar is shaadi se khush huye aur dono ek hassi khushi zindagi saath mein bitaane lagey

 Toh ye thi raj ki kahani uske puranjanam ki chahe zindagi mein kitane hi julm kyu naa ho oos andhakar ek baad ek roshni hi hoti hai to shayad har kisi ke zindagi mein jaldi hi nahi ujalti aur jab ujalti tab wo din ek kayamat aata hai unke julmiyo ke liye

   

                      Khwab mein padhaa haqeeqat mein dekhaa
                       Chahne waalo ne sunaaya kitabo mein likhaaya
                     Pyaar ka anjaam aaj dekhne ko milaaa oos piyaa ka
                    Jiski daastan thi jisne shuru ki wo thi ek bewafaah ka



          Dil mein sanam ki surat
         Aankhon mein aashiqui de
         Mujhe khudaa tu ek aur zindagi de


                Aye dil mere naadan
              Pyaar par naakar itna bhharosa
             Milega kuch nahi par khoyega saara jahan
          Dil hi hai jisne badla is duniyaa kaa afsana



               The end to kaise lagi Raj ki kahani uski daastan jaisi bhii lagi ho pls comment I am always waiting for you thanks yoindia ko publish my story thanks everyone who viewing this story bye  icon_salut icon_salut
Logged
Anthony696
Guest
«Reply #14 on: November 23, 2011, 05:32:19 AM »
This is truly looking as the unsuni dastan and can attract any who is reading this shayari. I appreciate you for this wonderful story.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 08:36:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.242 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer