Unknown Target...........masoom

by Masoom Shahzada on August 13, 2012, 03:29:02 AM
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19
Print
Author  (Read 35716 times)
masoom shahjada
Guest
«Reply #255 on: January 19, 2013, 08:15:07 AM »
Update 114
Quote
"Etna gusaa kyoN ho rahe ho. Dophar tum bhi jaane kahaaN-kahaaN ki haank rahe the. To maine bhi thori si bakwaas kar di" Rani, Shaan ke gusse se surkh hote chehre ko dekhkar boli
Se Aage...
Shaan ne gusse me kuch kahnaa chaha par saamne se aati huyi Sanjana Bhabhi ko dekhkar chup hi raha. Aur apni aankho se nikalti huyi chingariya aur chehre pe bikhri huyi laali ko door karne laga.  Es waqt Shaan ko bahut gussa aa rahaa tha, agar Rani ki jagah koi aur hota to wo uska maar-maar ke kutta banaa rahaa hota.
Jabki Rani soch me dubi huyi najro se Shaan ko dekhte huye soch rahee thi ki aaj Shaan ke saahth kyaa huaa jo wo etna gussa kar rahaa hai. MaiN to esse roj hi mazaak karti rahi hooN. Par esne kabhi bura nahi mana. To fir aaj ese meri mazaak par gussa kyoN aa rahaa hai. Ho na ho meri wajah se jaror koi na koi musibat khari huyi hogi.
.
Dining table par khana lagaakar bhabhi Shaan ko bulaane aayi thi. Thori der pahle gam aur gusse ki wajah se uski bhook to mar chuki thi, par inkaar karke daat khaane se ye hi achcha tha ki khana hi kha liya jaaye. Esliye bahbhi ke kahte hi Shaan uth khara huaa aur unk saath ho liya. Dining table par, Shaan to khana khane laga, jabki Rani aur Sanjana aapas me baateiN karne lagi
-----------x----------x----------
Rajesh, Chirag, Sikandar aur 6 constable ke saath Karan ne un logo ke naye thikaane ko gherkar hamla kar diya. Hamla bilkul achanak kiya gaya tha. Unke naye thikaane ki kisi ko khabar lag sakti hai, aesa unke waham-ao-gumaan me bhi nahi tha. Esliye Karan ki team ne dekhte hi dekhte 3 logo ko maar dala. Par eske baad, dosri taraf se bhi morcha samhaal liya gaya. Wo bhi jawabi firing karne lage. Pore 15 minute tak dono aour se brabar goliyaN chalti rahi.
.
Uske baad dosri taraf se goliyaN chalni band ho gaee. Karan ki team 10 ko maut ki neend sula chuki thi. Enme se 4 we criminal the, jinke liye Karan yahaaN aaya tha. 
.
Rajesh aur 2 constable ko bhi goliyaN lagi thi. Karan ne unhe paas shahar ke hospital me admit karaya. Chirag aur 2 constable ko unke paas chorkar, baaki ki team ke saath wapasi ke liye ravana ho gaya.

----------------
(Jaaree...)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My mind sails, through an unknown sea! by abdbundeli in English
Na Kamal-e-Fun Hi Mila Mujhe - Not Mine (Shayr Unknown to me) by fernsk in Shayri-E-Dard
A shared poetry-writer unknown by tamanna1 in Share:Love Poetry
apnay badlay huway lehjay ki wazahat karna- Unknown by ghayal_shayar in Urdu Poets « 1 2  All »
saathoN ki kasoor ho geya--Unknown by ghayal_shayar in Pain in Love : Punjabi poetry
masoom shahjada
Guest
«Reply #256 on: January 19, 2013, 08:21:29 AM »
Update 115

"Ajeet, aaj Raj Bhagwat ke bete ki wife ko gahri neend sula do"
.
"Sourabh ki wife ko intizaam kar diya jaayega" Ajeet ne jawaab diya. Aur kuch pal khamoshi ke baad jaldi se bola..."Inspector Shaan ke baare me kuch kahna tha"
.
"Kyaa kahna hai" Dosri taraf Star ki aawaj me kuch fikrmandi jhalki thi
.
"Shaan hamaare raaste me baar-baar aa rahaa hai. Abhi kuch der pahle wo mera picha kar raha tha. Aapne use kuch kahne se mana kiya tha, esliye maine uske saath kuch nahee kiya. Par maine socha ki kuch din ke liye use pakar kar rakh lege. Taaki wo hame koi nuksaan na pahoncha sake. Eske liye maine 10 larko ko use pakarne ke liye bheja par usne sabko hospital pahoncha diya. Ab aap order de ki ham kyaa kare" Ajeet ne apne boss Star se pocha
.
"Tum uski chinta mat karo. Use maiN dekh lunga" Dosri taraf kuch der khamoshi rahne ke baad, aawaj aaee
-------x-----x--------x--------
Khana khane ke baad Shaan guest room me chala aaya tha. Jabki Bhabhi dinner tayyar karne ke liye  kichen me chali gayi thi. Aur Rani bhi wahi unki help kar rahi thi.
.
Khana khate-khate hi Shaan ka gussa utar chuka tha. Aur sach kahaa jaaye to wo bin-matlab ke Rani par gussa ho rahaa tha. Saari galti to khud usi ki thi, Rani to usse aese hi mazaak karti rahti thi. Use Riya se kuch kahne se pahle Rani se kam se kam ak baar baat to kar leni chaahiye thi.
.
Guest-room me aate hi Shaan ne Riya ka number dial kiyaa.....
.
"Hello" Riya ki baithi-baithi si aawaj sunaee di. Riya tab se ab tak musalsal roti rahi thi, esliye uski aawaj baith gaee thi
.
Riya ki baithi-baithi si aawaj sunkar Shaan ke dil par mukka sa laga. Par en lamho me na to wo khud dukhi hona chaahta tha aur nahi Riya ko dukhi dekhna chaahta tha, esliye chahakte huye bola.."Jaan, tum Kota aa jaao. Tumse milne ka bahut dil kar rahaa hai"
.
"Milne ka dil to mera bhi kar rahaa hai par maiN tumse milne nahi aaongi"
.
"Jaan plz ak baar aa jaao na. Ham shaadi nahi kar sakte to kyaa huaa. Ak baar suhaagraat to manaa hi lete hai"
.
"Shaan tum hosh me to ho" Riya gusse me boli
.
"Tumhaare rasgulle gaalo ka sawaad chakhe bina, tumhaare raseele honto ko piye bina aur hamaare jismo ka milan huye bina, mujhe hosh kaise aa sakta hai. Kam se kam ak baar tumhaaree...."
.
"Shaan ak lafj bhee aage bola to tumhara sar khaar dungi" Shaan ki baat kat'te huye Riya gusse me chillaayi
.
"Ak baar aao to sahi, Bahut mazaa aayega" Shaan par Riya ke gusse ka koi asar nahi huaa tha  
---------------

(Jaarii...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #257 on: January 19, 2013, 08:28:53 AM »
Update 116

 "Tum bahut ghatiya aur girey huye inshaan ho. Mujhe afsos hai ki......"
.
Riya ke chup hone se pahle hi Shaan suru ho gaya.."Afsos-wafsos karne ki koi jarorat nahi hai... Jaan Rani mujhse koi pyaar wyaar nahi karti. Wo to usne mujhse mazaak kiyaa tha. Jise sach maankar, maiN tumse jaane kyaa-kyaa..."
.
"Aur ab tum mujhse mazaak kar rahe ho" Shaan ki baat ko beech me kaat kar, Riya spaat lahje me boli
.
"Riya tumhaari kasam, maiN tumse koi mazaak wazaak nahi kar rahaa hooN" Shaan ekdam se sanjeeda huaa. Aur fir bare pyaar se kahne lagaa..."Kal tum mere paas aa rahi ho. Eske alawa maiN kuch nahi jaanta"
.
Shaan ke lahje me jaane kyaa tha ki, Riya ko Shaan par dil ki gahraaiyoN tak yakeen aata chala gaya. Usne shokhi se jawaab diya..."Nahi, maiN tumhaare paas bilkul nahi aane wali. Tum bahut badtameej ho. Meri mammi tak ko to tumne chora nahi tha. Mere saath to tum jaane kyaa-kyaa karoge"
.
"Riya, tum bari shakki ho. Tumhaari mammi, yaani ki meri mammi ne apne bete ke maathe par kiss kiyaa tha. Jise tumne galat angle se dekha tha. MaiN tumhe usii din tokna chaahta tha par fir..."
.
"Yaar tum to buraa maan gaye. MaiN to mazaak kar rahi thi" Riya sharminda si boli. Sach jaankar use ab sochte huye bhi sharm mahsos ho rahi thi ki usne apni mammi ke baare me kitna galat sochaa tha
.
"Chalo choro. Ye bataao kal tum aa rahi ho na"
.
"Baabu, tum samajhte kyoN nahi. Kota yahaaN se koi 5 ya 10 km door nahi hai. Jo maiN car uthaakar tumhaare paas chali aaoN. Tum khud hi aa jaao na mere paas"
.
"Jaan tum mere liye etna sa nahi kar sakti. Wese bare-bare daawe karti rahti ho. Par meri ek chhoti si  chaaah, chhoti si khawahish pori nahi kar sakti. Jindagi me pahli baar to tumse kuch maang rahaa hooN. Aur tum ho ki bahaane pe bahaane banaakar inkaar kiye jaa rahi ho"
.
"O.K baba, kal maiN tumhaare paas aa rahi hu, jyada imotionally black-mail mat karo" Riya hanste huye boli
-------------

(...Jaaree)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #258 on: January 19, 2013, 08:35:32 AM »
Update 117

Vicky, Anita ke bed par divar se kamar lagaaye baitha, Anita se baateiN kar rahaa tha. Anita uski gaud me sar rakhkar leti huyi thi. Vicky apni ungliyaaN, Anita ke baalo me fira rahaa tha. Aur wo baateiN karte-karte kai baar Anita ke gaalo ko chum chuka tha.
.
"Jaan, ek baat batana" Bare pyaar se Vicky ke chehre par nigaahe tikaakar Anita ne pochaa
.
"Hmmm pocho"
.
"Kyaa tumne Shaan ko sab kuch sach-sach bataya tha. Kyaa tum sach me hi nahi jaante ki boss kaun hai" Shaan ke jaane ke baad, Anita tisri baar Vicky se poch rahi thi
.
Anita ke sawaal par, uske baalo me ghomti huyi, Vicky ki ungliyaaN ruk gayi. Wo bura sa monh banaate huye bola..."Yaar aakhir tumhe yakeen kyoN nahee aa rahaa hai. MaiN sabse jhot bol sakta hu. Par tumse chaahkar bhee jhot nahee bol sakta"
.
"Jaan, tum to gussa ho gaye" Vicky ki gaud se sar uthaakar, uske gaalo ki ek chhoti si kiss lekar, waapis us ki gaud me sar rakhkar, muskuraate huye Anita ne kahaa
.
"MaiN gussa nahi ho rahaa. Bas mujhe bura lag rahaa hai ki tum meri baat par yakeen nahi kar rahi. Kyaa maine kabhi tumse jhot bola hai" Vicky dobara Anita ki lato ko savaarne lagaa tha
.
"Nahi kabhi nahi. Par ek baat bataaoge"
.
"Pocho"
.
"Kyaa tum sach me Boss ko nahi jaante" Anita ne shokhi se kahaa aur has parii
.
"MaiN hi kyaa, kisi ne bhii aaj tak Boss ko nahi dekha hai" Anita ki shararat par Vicky es baar gussa nahi huaa tha
.
"Ek baat aur batana. Blue Cottage ke saamne khari tumhaarii car se Kamal, ASP Dev aur tumhaare dosre saathiyoN ke photos mile the. Kyaa tumne jaankar we photographs wahaaN chore the"
.
"Nahi, wo sab ek ittefaak tha. MaiN Red 001 ke paas pahoncha hi tha ki, Karan wahaaN aa pahoncha aur mujhe apni car waheeN chorkar bhaagna paraa"
.
"Par un photographs ka matlab kyaa tha"
.
"Tum to jaanti hi ho ki main es shahar me jayada rahaa nahi hooN.  Abhi bas kuch mahine pahle bass ne yahaaN bulaya tha. Esliye maiN yahaaN kisi ko jaanta nahee hooN. Boss ne mujhe we photos bheje the. ASP Dev ko mujhe kidnap karna tha. Un chaaro ko jail se churana tha. Aur ye malom karna tha ki jo laash police ko khandhar se mili thi, kyaa wo Kamal hi hai"
.
"Boss ne tumhe we photos kyoN bheje the. Kyaa tum apne gang ke logo ko nahi jaante the"
.
"Nahee maiN Kamal ke alawa kisi ko nahi jaanta tha. Red 001 se bhi Boss ne us din pahli baar milne bheja tha. Mera kaam bas murder karna tha. Boss jiski aour ishara karta. MaiN use tapka deta"
.
Vicky ke jawaab par, Anita khamosh ho gayi to Vicky uske chehre par jhukte huye bola..."Jaan kyaa sochne lagi"
.
"Kuch nahi. Bas ye hi ki, jab tak Boss jinda hai. Tumhaari jaan khatre me hai. Par us tak pahonchne ka koi raasta dikh hi nahi rahaa hai"
-------------

(Jaarii...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #259 on: January 19, 2013, 08:41:36 AM »
Update 118
Quote
"Kuch nahi. Bas ye hi ki, jab tak Boss jinda hai. Tumhaari jaan khatre me hai. Par us tak pahonchne ka koi raasta dikh hi nahi rahaa hai"
Se Aage...
"Jaan, Tum pareshaan mat ho. Shaan ke saath milkar maiN koi na koi raasta jaror dhond lunga" Vicky ne apni anugli Anita ke baalo se nikaal kar, uske haath ko apne haath me lekar halke se dabaate huye tasalli di.
.
Aur fir kuch der baad kuch yaad karte huye bola..."HaaN, Shaan se yaaad aaya...." Etna kahkar Vicky kuch pal ko ruka aur fir se bola.."Shaan ki family ko bhi Boss ne hi marwaya tha. Shaayad ye baat Shaan bhi nahi jaanta hoga"
.
"What.... Kyaa kahaa abhi tumne" Anita uchalkar Vicky ki gaud se nikli aur hairat se usko dekhne lagi
.
"Kamal aur Red 001 ne Boss ke order par, ak shaam Shaan ki pori family ko goliyoN se bhoon dala tha. Kyonki Shaan ke bare bhaai reporter the aur unke haath hamaare khilaaf kuch saboot lag gaye the" Abhi Vicky chup bhi nahi huaa tha ki uska mobile... "Aaj ki raaat hona hai kyaa. Pana hai kyaa. Khona hai kyaa" ki duhaai lagaane laga
.
"Hello" Call recieve karte huye Vicky bola
.
"KahaaN"
.
"OK maiN 10 minute me aata hu" Dosri taraf ki baat sunkar Vicky jaldi se bola tha
.
Call diconnect hote hi Vicky bed se uth'te huye Anita se bola.."MaiN 1 ghante me waapis aata hu. Abhi Boss ne bulaya hai"
.
"KahaaN bulaya hai" Anita ne fikrmandi se pocha
.
"Sector 5" Jaldi se kahta huaa Vicky, Anita ke bedroom se nikal gayaa

---------------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #260 on: January 19, 2013, 08:49:48 AM »
Update 119


Riya Shaan se bahut der tak baateiN karti rahi thi. Aur phone rakhe huye use kaafi der ho gayi thi par wo abhi tak muskura rahi thi. Aaj wo bahut khush thi.
Bahut der tak wo bed pe baithi huyi muskuraati rahi, fir bathroom me jaakar bath lekar aayi. Aur baal sukhakar niche ko chal di.
.
Mammi kichen me dinner banaa rahi thi. Riya bhi kitchen me gayi aur ak stool lekar uspe bath'te huye boli..."Mammi, Sanjana pragnent ho gayi hai aur wo mujhe apne paas bula rahi hai" Riya jhot nahi bolti thi. Par pyar jo bhi karwa le wo kam hi hota hai
.
"Abhi jaakar kyaa karogi. Delivery ke time chali jana. Us waqt Sanjana ko tumhaari jarorat bhi rahegi" Mammi ne jawaab diya
.
"Arre mammi wo bahut beemaar hai. Usse bed se uthaa tak nahi jaa rahaa. Bechaari bahut pareshaan hai. Mujhse kah rahi thi ki kuch din ke liye tum aa jaao. Maine bhi haaN kah diya. Mujhe kal hi Kota jana parega" Riya bari khoobsurti se ek ke baad ek jhot bolti chali gayi
.
"OK maiN tumhaare papa se baat karongi"
.
"Mammi, you are great" Kahti huyi Riya, stool se uthkar mammi se lipat gayi
----x----x----x-----x-----x---
Dinner banaakar aur khaakar, Sanjana aur Rani dono Shaan ke paas guest-room me aakar baith gayi thi. Shaan kuch der pahle hi khaa chuka tha. Esliye usne un dono ke saath dinner nahi kiyaa tha.
.
Teeno kaafi der tak baateiN karte rahe. Fir Sanjana bhabhi ko neend aane lagi to we uth'te huye boli..."Bhaai, mujhe to ab neend aa rahi hai" Etna kahkar kuch lamhe ko bhabhi chup huyi aur fir Rani ki taraf dekhte huye muskuraati huyi boli.."Rani tum mere paas so'augi ya Shaan ke saath"
.
"Aapke saath... Par abhi mujhe neend nahi aa rahi hai.. Aap so jaaye... MaiN kuch der baad aapke room me aa jaaongi" Rani ne bhi halki si muskuraahat ke saath jawaab diya
.
Rani ka jawaab sunkar Bhabhi ne "Good Night" kahaa aur muskuraati huyi apne bed-room me chali gaee
.
"Saali tere baav bahut bar rahe hai aaj kal. Zaraa-zaraa si baat par gussa ho rahi hai. Khuraak maang rahi hai kyaa. Kaan chhet dungi tere" Bhabhi ke jaate hi tej najro se ghorte huye bare sabhay tareeke se Rani ne Shaan se pocha 
.
"Rani tum na ab din ba din bigharti jaa rahi ho" Rani ki galiyo ka jawab me Shaan hanskar bola aur fir esse pahle ki Rani fir se suru hoti. Wo, Raani ko sab btata chala gaya. Sabse pahle Shaan ne use Riya se hone waali baateiN bataayi. Fir subah se ab tak jo-jo uske saath huaa tha. Wo sab kuch Rani ko batata chala gaya
.
"Waah kyaa zabardast khabar sunaayi hai... Kal bhabhi ji aa rahi hai. Bahut mazaa aayega" Saarii baat sunkar Rani khushi se uchal pari
.
"HaaN kal Riya aa rahi hai. Par use jyada tang mat karna"
.
"Dimaag kharaab mat karo. Meri hone waali bhabhi hai. Saste me nahi chorungi" Rani ek dam se gussa ho gayi thi
.
"ok baba. Jo tumhaare dil me aaye, karna. MaiN kuch nahi bolunga" Shaan ne haste huye kahaa aur kuch pal hanste rahne ke baad fir se bola.."Mera ak kaam karogi"
.
"Nahi. Bilkul nahi. Kal Riya aa rahi hai na. Ab apne har kaam usse hi karwana" Jhat se Rani ne inkaar kar diya
.
"Mujhe Ajeet Yadav ki kundali chaahiye. Wo kahaaN-kahaaN jata hai. Kyaa-kyaa karta hai. Aur bhootkaal me kyaa-kyaa kar chuka hai. Mujhe sab janna hai" Shaan ne Rani ke inkaar ko koi ahmiyat nahi di thi
-------------

(Jaarii...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #261 on: January 19, 2013, 09:00:42 AM »
Update 120
Quote
"Mujhe Ajeet Yadav ki kundali chaahiye. Wo kahaaN-kahaaN jata hai. Kyaa-kyaa karta hai. Aur bhootkaal me kyaa-kyaa kar chuka hai. Mujhe sab janna hai" Shaan ne Rani ke inkaar ko koi ahmiyat nahi di thi
Se Aage...
Shaan ki baat ka Rani koi jawaab deti usse pahle hi use mobile ki..."Kuch khona kuch pana chalta rahta hai... Sanso ka afsana chalta rahta hai" ringtone baj uthii.
.
Rani ne number dekha. Number dekhkar Rani ke chehre par khushi failtee chali gaee. Par abhi uska chehra khushi se pora tar(bhigaa) bhi nahi huaa tha ki usne khushi ko jhoti nazargi ke naqaab tale(niche) chupaakar call recieve ki..
"Hello"
.
"Kaisa hai mera beta" Dosri taraf se bare pyaar se pocha gayaa
.
"Etne dino baad yaad aayi aapko meri. Jaa'eye maiN aapse baat nahi karti" Rani naraz-naraz si boli
.
"Arre re re meri gudiya to naraz hai. Beti maiN bahut bahut bahut busy tha. Esliye..."
.
"Ab maiN busy hu. Mere paas baat karne ka time nahi hai" Dosri taraf ki baat pori hoti usse pahle hi Rani jor-jor se suru ho gaee. Jisse saamne waale ko beech me hi chup hona paraa
.
"Meri pyaari bachchi ab gussa thok bhi do. Dekho maiN kaan pakarta hu.......... Shaan kahaaN hai"
.
"Mujhe nahi maloom" Rani abhi bhi gussa thi
.
"Lagta hai meri gudiya buri tarah naraz hai. Ab to apne bete ko manane ke liye mujhe Kota aana hi parega. Wese maine tumhe ye hi btaane ke liye call ki thi ki maiN subah hone se pahle-pahle Kota aane wala hu"
.
"Kaa sach?" Es baar Rani saari narazgi bhoolkar khush ho gaee thii
.
"HaaN meri bachchii, bilkul sach. Subah hi Shaan aur Shiva ko lekar ghar aa jana"
.
"Jee jaror"
.
"OK gudiya. Ab maiN call cut karta hu" dosri taaraf se kahkar call disconnect kar di gaee
.
"Bare papa the. We subah Kota aa rahe hai. Kal subah hame unke paas jana hai. Riya kal aa rahi hai na. Usse kahna ki Shiva ko bhi leti aaye. Bare papa Shivam se abhi tak mile nahi hai" Call disconnect hote hi Rani khushi se Shaan ko sab batati chali gaee
.
Rani ki baat sunkar Shaan ek thandi sans lekar bola.."Eska matlab, ab tum Ajeet ki jasoosi nahi karogi"
.
"Shaan tum paagal ho kyaa. Bare papa 6, sare 6 saal baad Kota aa rahe hai. Ab mujhe kuch din to unke paas rahna parega na. Aesa karti hu. Ajeet ke piche apne kisi saathi ko laga deti hooN"
.
"Rahne do. Abhi kuch der pahle tumhaare do saathiyoN ko Karan ne bari mushkil se jinda bachaya hai. Un chutiyoN se achcha to apna Sikandar hi rahega" Shaan ne Rani ki baat radd kar di
.
Abhi Shaan ko chup huye mushkil se chand lamhe gujre honge ki uska mobile kisi ki call aane ka aelan karne lagaa. Usne dekha, call Anita ki thi. Usne call recieve ki...
"Hello"
.
"Shaan, Vicky Boss se milne gaya tha. Kah kar gayaa tha ki 1 ghante me waapis aa jaayega. Par ab do ghante se upar ho jaane ke baad bhi uska koi ataa-pataa nahi hai. Aur mobile bhi switched off aa rahaa hai" Dosri taraf Anita bahut pareshaan nazar aa rahi thi
.
"Kyaa......... Boss ne Vicky ko bulaya tha. Aur tum dono ne mujhe bataya bhi nahi" Shaan chillaya
.
"Wo.. Wo... Mujhe dhayaan nahi rahaa"
.
"Kyaa Vicky ne bataya tha ki wo kahaaN ja raha hai?" Shaan ne Anita ki baat par koi dhayaan na diya
.
"Sector 5"
.
"MaiN Sector 5 ke liye nikal rahaa hu. Aap bhi aa jaaye" Kahte hi Shaan ne call disconnect kar di
.
Call disconnect karte hi Shaan bed se utra aur apne shoes pahanne lagaa.
.
"Kyaa huaa" Shaan ko pareshaan sa jaldi-jaldi shoes pahante dekh, Rani poche bin na rah saki
.
"Vicky ki jaan khatre me hai" Shoes pahankar lagbhag bhaagte huye guest-room se nikalte huye, Shaan ne kahaa tha.
.
Bhagte bhagte Shaan, Karan ke ghar se baahar nikla aur baahar khari apni car ko start karke Sector 5 ki taraf chal diya
.
20 minute baad Shaan Sector 5 pahonch chuka tha. Shaan ne door se dekha Sector 5 me road par log kisi car ko charo taraf se ghere khare the. Shaan ne socha shaayad koi acsident huaa hai. Par  jab wo us bheer ke paas se gujra to Shaan ko apni car rokni pari.
.
Kyonki wo car jisee log ghere khare the Vicky ki thi. Shan dharakte dil se apni car se utra aur bheer ko cheerta huaa sabse aage pahoncha to dekha. Car ki front seat par khoon se lathpath Vicky ki laash pari thi
.
Abhi Shaan laash ko sahi se dekh bhi nahi paya tha ki uska mobile fir se bajne laga. Shaan ne bheer se nikal kar call recieve ki..
"Hello"
.
"Sir aap jaldi se Raj Bhagwat ke ghar aa jaao" Dosri taraf Raj Bhagwat ke ghar ki protection par jo constables the, unme se ak ghabraya sa bol rahaa tha.
.
"KyoN? Kyaa huaa?"
.
"Sir, Raj Bhagwat ke bete Sourabh ki wife kitchen me thi ki jaane kaise gas cylendar fataa aur unki maut ho gaee"
.
"Abe daaru peekar baat kar rahaa hai kyaa. Etne nokar-chaakar ke hote huye. Sourabh ki wife kitchen me kyoN jaayegi" Shaan ne halke gusse me pocha
.
"Sourabh ke liye coffee banaa rahee thee. Kyonki Sourabh sirf usi ke haath ki coffee pita tha"
-------------

(Jaarii...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #262 on: January 19, 2013, 09:11:13 AM »
Update 121
Quote
"Sourabh ke liye coffee banaa rahee thee. Kyonki Sourabh sirf usi ke haath ki coffee pita tha"
Se Aage...
Constable ka jawaab sunkar, Shaan ne bina kuch kahe call d/c kar di. Call d/c karke abhi wo mobile ko apni pocket me rakh hi rahaa tha ki Anita bhi wahaaN aa pahonchi
.
Kuch lamhe Anita ektak Vivek ki laash ko dekhti rahi. Fir uski aankhe pathraane lagi, jabre majboti se band hone lage. Aur wo chakrakar jameen par girne lagi.
Esse pahle ki wo jameen par girti. Shaan jo uske paas khara sab dekh  rahaa tha. Use thaam liya. Wo behosh ho chuki thi
.
Kuch der baad, jab wo hosh me aayi to sunii-sunii si veeraan si aankho se, bina kuch bole, bina koi aansu bahaaye, Vicky ki laash ko dekhe gayi.
.
Shaan chaahta tha ki wo roye taaki uska kuch gam halka ho jaaye. Par apne aaju-baaju me khare sub-inspector aur constable ko dekhte huye, ye bhi soch rahaa tha ki achcha hai jo Anita ro nahi rahi. Warna kha-m-kha issue ban jata.
.
Shaan ne laash ko post-martam ke liye bhijwaya. Vicky ki laash ke jaane ke baad, Anita chup chaap apne ghar ko ravana ho gaee. Shaan, Anita ke saath jana chaahta tha, par ye sochkar nahi gaya ki akele me wo kuch ro legi to uska man halka ho jaayega
.
Sab ke jaane ke baad Shaan bhi wahaaN se chal diya. Wo sidha Raj Bhagwat ke ghar pahoncha. Constable se baat ki, unhone fir se wahi kahaani duhraa di jo phone par sunaayi thi. Sab kuch sunne ke baad Shaan ne pocha..."Saurabh kahaaN hai"
.
"Apne room me. Es haadse se wo paagal sa ho gaya tha. Use neend ka injection dekar sula diya gaya hai" Paas khare constables me se ek ne jawaab diya
.
Kuch der aur unse baateiN karne ke aur unhe kuch hidaayate dene ke baad, Shaan us kitchen ki taraf bar gaya jisme wisfoot huaa tha
.
Kitchen ki chat se aasmaan me chamakte taare najar aa rahe the. Kyonki lagbhag usme ak foot chaura ched(whole) ho gaya tha. Diivaro aur fars ka haal bhi bura tha. Wo kuch der tak bari bareekee se kitchen ka jayja leta raha fir baahar nikal aaya
.
Baahar aate hi uski najar saamne se aate huye ek shakhas par thahar gayi. Jiski chehre par halki si ghabraahat aur aankho me dar nazar aa rahaa tha. Uski umar 28 ya 30 saal rahi hogi. Uske kapro se maloom ho rahaa tha ki wo nokar hai.
.
Shaan ne aawaaj dekar use apne paas bulaya
"Jee saab(shaahab) jee" Wo dara-dara sa dono haath baadhkar Shaan ke aage aakar khara ho gayaa
.
"Saab Jee aapka kyaa naam hai" Gahri najro se sar se paanv tak dekh lene ke baad Shaan duvara pocha gaya tha
.
"Brijesh" Jawaab mila
.
"Achcha to aap wahi brijesh ho jisme pichle 7 maino se dhondh rahaa hu" Shaan ke chehre par duniya jahaan ki khushii failti chali gayi
.
"KyoN Saab.... Maine kyaa kiya hai" Ghabra kar pocha gaya
.
"Suna hai tumhaari laundiya(girl) jawaan ho gaee hai. Aur jawaan hone ki khushi me usne bhisam pritigya li hai ki, wo usi launde(boy) se shaadi karegi jo uske sar par kabutar ka anda(egg)
 rakhkar. Amrod ka ped(tree) ugaa dega. Agar koi launda aesa nahi kar paya to wo saari umr widwa.. Nahi... Nahi.. Kuwaari rahegi"
.
"Saab jee aap kyaa kah rahe hai. Mere to larki hi nahi hai. Aap jis Brijesh ke baare me baat kar rahe ho, wo koi dusra hoga" Ab Brijesh ka dar aur ghabraahat kuch had tak kam ho gaye the
.
"Tum wo Brijesh kyoN nahi ho" Gusse me pocha gaya
.
"Jee.." Chakra dene waale sawaal ka kyaa jawaab de, Brijesh samajh  hi nahi paya
.
"Saurabh ki wife ko kisne mara" Achaanak Shaan gambheer ho gayaa tha
.
"Saab Jee, mam ko kisi ne nahi mara. Mam kitchen me coffee bana rahi thi ki cylendar fataa aur we uski chapet me aa gayi" Brijesh ki aankho ka dar aur chehre ki ghabraahat fir se lautne lagi thi. Ab wo pahle se adhik ghabraya aur dara-dara nazar aa rahaa tha
.
"Ye kahaani mujhe malom hai. Koi dosri sunaao" Sakhat lahje me pocha gaya
.
"Saab Jee mujhe nahi malom. Maa Kasam maine kuch nahi dekha" Brijesh bokhla gaya tha
.
"Tumhaari Maa ka hotel waale uncle se chakkar hai na" Bare raazdarana andaaj me pocha gayaa
.
"Saab Jee aap kaisi baateiN kar rahe hai. Meri Maa ko to mare huye bhi 7 saal gujar gaye"
.
"Baap jinda hai na"
.
"HaaN"
.
"Abey to Maa ki kasam kyoN khata hai. Maarna hai to baap ko maar" Shaan ne aankhe nikaal kar pocha
.
Jiske jawaab me Brijesh ne palke jhuka kar kapmna suru kar diya
.
"Saab jee kuch bataate ho ya aapki football banaaoN" Shaan ne khunkhaar swar me kahaa
.
Shaan ki baat par Brijesh ne indhar udhar dekha ki koi unhe sun to nahi rahaa hai. Jab use tasalli ho gaee to usne bola suru kiyaa..."Saab Jee, Kisi kaam se maiN mam ke kamre me ja raha tha. Jab room ki taraf aaya to 4 police walo ko unke room se nikalte dekha. Unme se ak ke kandhe par behosh mam thi. MaiN ek piller ki aar me khara hokar dekhne lagaa. We mam ko kitchen me le gaye. Aur mam ko kitchen me chorkar we baahar nikal aaye. Kuch der baad ek dhamaka huaa aur...."

-------------
(Jari...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #263 on: January 19, 2013, 09:18:43 AM »
Update 122
Quote
Shaan ki baat par Brijesh ne indhar udhar dekha ki koi unhe sun to nahi rahaa hai. Jab use tasalli ho gaee to usne bola suru kiyaa..."Saab Jee, Kisi kaam se maiN mam ke kamre me ja raha tha. Jab room ki taraf aaya to 4 police walo ko unke room se nikalte dekha. Unme se ak ke kandhe par behosh mam thi. MaiN ek piller ki aar me khara hokar dekhne lagaa. We mam ko kitchen me le gaye. Aur mam ko kitchen me chorkar we baahar nikal aaye. Kuch der baad ek dhamaka huaa aur...."
Se Aage...
"We police waale kaun the" Shaan beech me hi bol utha
.
"Saab Jee, wahi chaar(4) jo har tame(time) darvajje(gate) par pehra dete rahte hai" Brijesh ne bahut dhimi aawaaj me kahaa tha
.
"Saab Jee, kyaa kah rahe ho" Shaan bahut khaufzada nazar aane lagaa
.
"Saab Jee, maiN wahi kah rahaa hu. Jo apni aankho se dekh chuka hu. Maa kasam maiN bilkul jhut nahi bol rahaa. Mere baap ne apni pori jindagi maalik(Raj Bhagwat) ke charno me kaati hai. MaiN bhi esi bangle(bonglow) me khel-khel jawaan huaa hu. Maalik hamaare bhagwaan the. Aap un chaaro se bare police waale ho. Unhe dand(punishment) jaror dena"
.
"Lagta hai aaj tumhe khaane ko kuch nahi mila"
.
"Jee" Brijesh munh faare Shaan ka chehra takne lagaa
.
"To baar-baar Maa ki kasam kyoN khaa rahaa hai. Jaa apne quater me kuch khaa le" Shaan ne sanjidgi se kahaa aur bonglow se nikalta chala gayaa
.
Karan abhi lauta nahi tha. Shaan ke paas es waqt koi bhi aesa nahi tha, jis par wo bharosha kar sake. Esliye Shaan ne un chaaro ko cherna theek nahi samjha tha.
.
Shaan soch me duba huaa car ko Police Station ki taraf baraa rahaa tha. Kuch door jaane ke baad Shaan ne apne sar ko jhatka aur Pankaj Udhas ko sunne lagaa...

Wo ban savar kar chale hai ghar se
Hai khoye khoye se bekhabar se
Dupatta dhalka huaa hai sar se
Khudaa bachaaye buri nazar se

Wo ban savar kar chale hai ghar se

Kabhi jawaanii ki bekhudi me
Jo ghar se baahar kadam nikaalo
Sunhare gaalo par meri maano
Tum ak kala sa til saza lo
Badan ka sona churale sara
Koi nazar uthke kab kidhar se
Khudaa bachaaye buri nazar se
............
......

Shaan ne Police Station me apni car roki. Car se utar kar wo sidhe apne kebin me pahuncha. Kebin me aakar Shaan ne Raj Bhagwat duvara likhi gayi wo dairy uthaaee, jo Chirag ko Raj ke bahut puraane store room se mili thi.
.
Wo diary 25 saal pahle likhi ayi thi. Shaan dairy ke panne ulatne lagaa. Ak panne par Shaan ki nazar atak gaee... Jisme Raj Bhagwat ne likha tha.....
"Kal raat sharaab ke nashe me wo ho gaya, jo kisi bhi haalat me nahi hona chaahiye tha.  Kuch bhi ho par kal se jayada maza jindagi me kabhi nahi aaya. Kal raat ak aourat, uski bahu, beti aur poti ka hamne ak saath balaatkaar kiyaa. Ham 10 dosto ne  un chaaro ko pori raat rondha. Subah jab hame hosh aaya to saamne ka manzar dekhkar, hamaare hosh udd gaye. Ham sab dosto ne tay kiya ki raat jo bhi huaaa wo kisi ko nahi bataayege. Apne siine me band rakhege. Kal jo bhi huaa, wo hamaarii maut ke saath dafan ho jaayega. Aur ab maine faisla kiyaa hai ki aaj ke baad dairy nahi likhunga"
.
Panna khatam ho chuka tha. Shaan ne page palta. Aage saare page kore the. Shaan ne dairy band karke ek taraf fek di aur chair ki back se sar tikakar aankhe band karke kuch sochne lagaa. Aur sochte-sochte so gayaa

-------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #264 on: January 19, 2013, 09:23:27 AM »
Update 123


Agla din

Aaj Raj Bhagwat ki party huye pore 7 din gujar chuke the.
.
S.P. Rahul, har roj ki tarah subah 04:00 baje jogging ke liye ghar se nikla. Jis taraf wo daur rahaa tha. Usi road par uske bonglow se 700 meter door ak car me koi uska intizaar kar rahaa tha. Jaise hi wo wahaaN pahoncha. Us car ki headlight jal uthi. Aur car wala chaar goli Rahul Mishra ke siine me daal kar car ko aage baraa le gayaa.
----x---x-----x-----x---
"Shahar me kohraam machaa huaa hai. Aur janaab bare maze se so rahe hai" Shaan ke kandhe ko hilaakar, Karan bola tha.
Subah ke 07 baj chuke the. Raat Shaan apne kebin me chair pe baitha-baitha hi so gayaa tha
.
Karan ke uthaane par Shaan ne aankhe kholi. Dekhaa saamne Karan khara tha. Jiske chehre par chinta ki lakkire khinchi huyi thi
.
"S.P. Rahul Mishra ka murder ho gayaa hai" Karan ne Shaan ke saamne pari kursi par baith'te huye kahaa
.
"To maiN kyaa karu" Shaan ne ak lambii si jambhaayi lete huye kahaa tha. Jisse uske halak se ajeek si aawaaj nikli thi
.
"Sar niche, per upar" Karan chir gayaa tha
.
Karan ke kahne ki der thi. Shaan kursee se uthkar sar niche aur per upar karke khara ho gayaa.
.
"Mujhe lagta hai ki ye saare murder informer kar rahaa hai" Karan, Shaan ki harkat ko nazar andaaj kar gayaa tha
.
"Mujhe to es waqt tatti lag rahi hai" Fir se apne dono pero par khara hokar, Shaan apne kebin se baahar jaa rahaa tha. Par Karan ki baat par use rukna para
.
"MaiN jaanta hu ki informer kaun ho sakta hai" Karan ne kahaa tha

-------------
(Jari...)
Logged
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #265 on: January 21, 2013, 01:17:29 PM »
sarvpratham to mazrat chahta hoon kai dino/mahino se main yeh kahaani nahi pad paaya massomji aur mukesh ji,halanki mukesh ji bhi anupasthit rahe hain pichle kuchh dino se magar mujhe thoda jyaada samay chahiye cover karne ke liye aaj saare update dekhe ab padoonga to apne vichaar likhoonga, aqsh ji ko bahut-bahut dhanyavaad meri gairhajiree ke dauraan ve massom ji ko aage likhne ke liye utsahit karti rahin.jaankar bahut hi achha laga ki kahaani continue hai. masoom bhai, aap likhte raho hum tumhare saath hain.

dheron shubhkaamnaon ke sath
 
ghanshamdas ahuja
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #266 on: January 25, 2013, 12:39:19 PM »
sarvpratham to mazrat chahta hoon kai dino/mahino se main yeh kahaani nahi pad paaya massomji aur mukesh ji,halanki mukesh ji bhi anupasthit rahe hain pichle kuchh dino se magar mujhe thoda jyaada samay chahiye cover karne ke liye aaj saare update dekhe ab padoonga to apne vichaar likhoonga, aqsh ji ko bahut-bahut dhanyavaad meri gairhajiree ke dauraan ve massom ji ko aage likhne ke liye utsahit karti rahin.jaankar bahut hi achha laga ki kahaani continue hai. masoom bhai, aap likhte raho hum tumhare saath hain.

dheron shubhkaamnaon ke sath
 
ghanshamdas ahuja
Welcome back bro.
Bas ab ye novel/story khatam hone ki kagaar par hai.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #267 on: January 25, 2013, 01:06:07 PM »
Update 124
Quote
"MaiN jaanta hu ki informer kaun ho sakta hai" Karan ne kahaa tha
Se Aage...
Karan ki baat par Shaan palta. Karan ki aankho me kuch aesa tha jisne Shaan ko nazre churaane pe majboor kar diya.
"Sikandar aur apni team ko bulaao. MaiN washroom hokar aata hu" Karan se nazre churaakar, jaldi se kahkar, Shaan baahar nikal gayaa
.
5 minute baad jab wo lauta to Sikandar aur 2 constables ko apna intizaar karta paya.  Rajesh aur 2 constable hospital me admit the, Chirag aur 2 constables ko Karan unke paas chor aaya tha. Esliye es waqt Sikandar aur 2 constable hi Karan ke paas bache the. Enke wala na to Shaan hi kisi par bharosa kar sakta tha aur na hi Karan.
.
Kebin me aate hi Shaan ne dono constable se kahaa.."Tum dono abhi Raj Bhagwat ke ghar pahoncho. Uske bete Saurabh ki surasha ki jimmedaari, tum dono ki hai. Hoshiyaar rahnaa, use jaan se maar daalne ki koshish ki jaa sakti hai. Aesi har koshish ko tumhe nakaamyaab banana hoga"
Shaan ke kahne ki der the. We dono bina ek pal ki bhi deri kiye wahaaN se chale gaye
.
"Kyaa tum business man Ajeet Yadav ko jaante ho?" Shaan ne chair pe bath'te huye Sikandar se pocha tha
.
"HaaN"
.
"Tumhe uski jaasosi karni hai. Bina koi galti kiye" Shaan ka ishara, Hospital me Vikraat ki nigraani karte huye ho jaane waali galti ki taraf tha. Jo Sikandar achche se samajh gaya tha
.
"Es baar koi galti nahi hogi, sir" Sikandar ne bare vishwaas se kahaa, aur kebin se nikalta chalaa gayaa
.
"Ye sab kyaa kar rahe ho" Sikandar ke kebin se nikalte hi, chup baithe huye Karan ne Shaan se pocha
.
"Kuch nahi.. Ajeet pe kuch shaq hai. Esliye uske piche Sikandar ko lagaa diya"
.
"Shaan, kyaa tum jaante ho ki Manish bhaai(Shaan ke bare bhaai) aur tumhaari family ko kisne mara tha" Kuch der khaamosh rahne ke baad Karan ne bahut sanjidgi se Shaan se pocha
.
"HaaN" Jawaab ummid ke bilkul khilaaf mila.
.
Esliye pochna to banta tha..."Kisne"
.
"Kamal aur Red 001 ne" Shaan ke jawaab par Karan kursii se uchal hi paraa
.
Jab hairat kuch kam huee to Karan ne pochaa..."Tumhe kaise pataa lagaa"
.
"Wo choro. Ye bataao, tum ye sab kyoN poch rahe ho" Shaan sawaliya nazro se Karan ko dekh rahaa tha
.
"Maine ye baat kisi ko nahi bataayi ki maiN informer ki aawaaj ko jaanta hu. Kyonki pahle mujhe lagta tha ki mujhe galti huee hai. Par ab maiN sochta hu ki jis tarah Kamal aur Red 001 mara gaya. Wo kisi inshaan ka kaam nahi ho sakta, to lagta hai ki maiN galat nahi hu.......... Wo informer koi aur nahi Manish Bhaai hai. Mujhe lagta hai ki bhaai ki aatmaa apni aur apne parivaar ki maut ka badla le rahi hai. Par S.P. Rahul Mishra ke murder se maiN fir sochne pe majboor ho gayaa hu. Agar bhaai ye sab kar rahe hai to unhone S.P. Ko kyoN mara hoga" Karan kahta chala gayaa. Pahle bhi kai baar Karan, Shaan se ye kahnaa chaahta tha par kah nahi paya tha
.
"Kyonki S.P. Boss ka hi ek mohra tha" Ek gahri saans lekar Shaan ne jawaab diya tha
.
"What.... Ye tum kyaa kah rahe ho" Karan ko aaj jhatke pe jhatke lag rahe the
.
"Manish Bhaai ne mujhe bataya tha. Aur maine khud bhi pata lagaya hai ki Dev Sir ki kidnapping me S.P. bhi shaamil tha"
.
"Eska matlab, tum ye sab pahle se jaante the" Karan ne ek thandi saans lekar kahaa tha
.
"HaaN, jaanta tha. Kyonki bhaai ki aatmaa chaar-paanch baar mujhse mil chuki hai"
.
"To aage bhaai kyaa karne waale hai" Karan Manish ke bhoot ke agle target ke baare me jaanna chaahta tha
.
"We jo karne waale hai. Karne do. Hame apna kaam karna hai.... Chalo Raj Bhagwat ke ghar chalte hai" Uktaaye huye lahje me kahte huye, Shaan ne chair chori aur Kebin se baahar jaane laga
.
"Shaan, hame bhaai ko rokna hoga. Unhe es tarah kanoon apne haath me nahi lena chaahiye. Unhe apni duniyaa me laut jana chaahiye" Shaan ke piche-piche aate huye Karan bola tha
.
Shaan ne koi jawaab na diya. Wo chupchaap aage barta rahaa
.
Kareeb 25 minute baad, Karan aur Shaan dono Raj Bhagwat ke bonglow ke lawn me chairs pe baith rahe the. Shaan ne ek naukar se Brijesh ko bulaane ko kahaa
.
Kuch der baad ak gora sa 26-27 saal ka aadmee, unke paas aakar kharaa huaa aur bare adab se bola..."Namste Saab Jee, aapne mujhe bulaya"
.

"Abey tu kaun hai. Maine Brijesh ko bulaya tha" Shaan ne use sar se paanv tak dekha. Raat jisse usne baat ki thi, ye wo to bilkul nahi tha
.
"Saab jee, maiN hi Brijesh hu"
.
"Agar tu Brijesh hai to raat jo mujhe mila tha, wo kaun tha" Shaan barbaraya
.
"Kyaa huaa Shaan. Aakhir maamla kyaa hai. Kuch mujhe bhi to bataao" Karan ne Shaan ko barbaraate dekh pocha tha
.
"Kuch nahi baad me bataaonga" Shaan ne Karan se kahaa aur fir Brijesh ki taraf rukh karke bola..."Brijesh yahaaN koi aesa naukar hai. Jiski naak moti si bedhangi si ho. Jiska kad lagbhag tumhaare jitna ho. Aankhe choti-2, rang sawla aur maathe par kisi chhot ka nishaan ho" Shaan ne raat milne wale shakhas ka huliya bataya tha
.
"Saab aap Mohan ki baat kar rahe ho"

-----------
(Jari...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #268 on: January 25, 2013, 01:17:12 PM »
Update 125
Quote
"Saab aap Mohan ki baat kar rahe ho"
Se Aage...
"HaaN jo bhi naam hai uska. KahaaN hai wo. Use bulaao"
.
"Saab jee, wo to subah Sahal ke saath kisi kaam se baahar gayaa tha. Abhi tak lauta nahi hai"
.
"Ye kathal kaun hai"
.
"Kathal nahi saab ji, Sahal. Sahal, Mohan ka dost hai, 10 din pahle dono yahaaN saath kaam par lage the"
.
"Tum yahaaN kab se ho"
.
"Bachpan se. Mere Maa-Baap yahee kaam kiya karte the"
.
"Kyaa dono jinda hai"
.
"Nahi, Maa 7 saal pahle gujar chuki hai. Baap jinda hai"
.
"KahaaN se gujri thi. Aam ke baag se ya pul ke upar se"
.
"Saab ji gujar chuki se matlab... Unka dehaant ho chuka hai" Brijesh ne Ajeeb si nazro se Shaan ko dekha tha
.
"Dehaat se hai teri Maa. To Baap kya NRI hai"
.
"Shaan, uski Maa mar chuki hai. Ab uska picha chor do. Etne sawaal karoge to wo kabr se uthkar tumhaare saamne aa khari hogi" Karan ne Shaan ko usii ki jabaan me samjhaya
.
"Es waqt KahaaN milega tera baap" Shaan ne Brijesh ki Maa ka picha chor diya. Aur Baap par aa gayaa.
.
"Sector 15 ke paas gandey par jo jhuggi(Slum) hai. WahaaN rahta hai"
.
"Tum hame apne Baap se milaane le jaa rahe ho"... Shaan bola.."Usse pahle sab noukaro se kah aao ki Sahal ya Mohan me se koi bhi laute to Saurabh ke kamre ke aage jo 2 police waale khare hai. Unhe bataa de" Shaan ke kahne ki der thi. Brijesh sabko bataane chal diya. Waise Shaan ko 1% bhi ummid nahi thi ki Sahal ya Mohan ab yahaaN aane ki galti karege
.
"Ye sab kyaa chakkar hai. Ham eske Baap se milne kyoN ja rahe hai" Brijesh ke jaate hi Karan ne Shaan ka picha le liya. Kafii der se chup baitha wo Brijesh aur Shaan ki baat ko sunkar, mamle ko samjhne ki nakaam koshish me lagaa huaa tha
.
"Kal raat gas cylandar ke fat jaane se Saurabh ki wife mar gayi thi..."
.
"HaaN ye maiN bhi jaanta hu. Par eske liye ham Brijesh ke Baap se milne kyoN ja rahe hai. Kya wo gas cylandar Brijesh ka Baap laya tha" Karan beech me hi bol utha
.
"Sunte jaao"
.
"Sunaate jaao"
.
"Kal maiN yahaaN aaya to ak naukar mila. Jisne apna naam Brijesh bataya aur bataya ki hamaare we chaar constables. Jinhe tumne es bonglow ki protectin ka kaam soumpa tha. Unhone Saurabh ki wife ko mara hai. Unhone Saurabh ki wife ko behosh karke kitchen me chora. Aur fir cylandar fataa aur wo mar gayi..."
.
"Aur ab jab ham yahaaN aaye to malom hua ki us naukar ka naam Brijesh nahi balki Mohan hai. Aur wo yahaaN se rafu-chakkar ho chuka hai" Shaan ki baat Karan ne pori ki
.
"HaaN"
.
"Eska matlab Saurabh ki wife ko Mohan aur Sahal ne hi mara hai aur tumhe jhoti kahaanii paraakar, we yahaaN se bhaag nikle"
.
"HaaN"
.
"Aur agar we 10 din pahle yahaaN kaam pe lage the to we yahaaN kaam karne nahi balki kuch aur karne aaye the. Jo we kar gaye.. Par en sabme aesi koi baat saamne nahi aayi ki hame Brijesh ke Baap se milna chaahiye. Ham uske Baap se milne kyoN ja rahe hai" Karan ne shaayad teesri baar Shaan se pocha tha
.
"Ye lo ese paro" Shaan, Raj Bhagwat ki dairy se wo page faar laya tha. Jise pichli raat usne paraa tha
.
"Eska matlab us raat sirf un chaar aourto ka balatkaar hi nahi huaa tha. Balki bahut kuch huaa tha. Jise Raj Bhagwat ne nahi likha" Us panne ko parne ke baad Karan pursoch andaaz me bola tha
.
"Us raat kyaa huaa tha. Shaayad us waqt yahaaN kaam karne wala koi naukar jaanta ho. Esliye tum Brijesh ke Baap se milne ja rahe ho"
.
"Aur tum"
.
"Mujhe Rani ke saath bare Papa ke ghar jana hai"
.
"Ak sawaal pochu" Karan kuch sochte huye bola
.
"Nahi jawaab pocho"
.
"Un aourto ke balaatkaar se Saurabh ki wife ke murder ka kyaa lena dena. Ham ye gade murde kyoN ukhaar rahe hai"
.
"Raj Bhagwat ke pariwaar ke ak-ak member ko tapkaya ja raha hai. Ye kaam uska koi dushman hi kar rahaa hoga. Hame usi dushman ka pata lagana hai. Abhi tak ham Raj Bhagwat ke kisi dushman ko nahi dhondh paaye hai. Kyaa pataa un chaar ladies se ta'alluk rakhne wala koi shakas ye sab karwa rahaa ho"
.
"Theek hai tum jaao. MaiN Brijesh ke Baap se mil lunga" Karan ke kahte hi Shaan uthkar chalaa gayaa
.
Shaan ke jaane ke kuch der baad Brijesh, Karan ke paas laut aaya.."Chaliye Saab ji, maiN sabse kah aaya"
.
Karan, Brijesh ke saath apni car me jhuggi ki taraf chal para. Raaste me usne Brijesh se pocha..."Tum Mohan aur Sahal ko kabse jaante ho?"
.
"10 din se. Jabse we yahaaN kaam pe lage the" Brijesh ne jawaab diya
.
Eske baad car me mukammal khamoshi chaayi rahi.
.
"Bas yahi rok lijiye, eske aage gaarii nahi jaayegi" Sector 15 ko paar karte hi Brijesh ne gaarii rukwa di
.
Brikesh car se utar gaya. Abhi Karan car se utar bhi nahi paya tha ki uska cell-phone baj utha...
"Hello"
.

"Sir, abhi-abhi Sahal laut aaya hai. Par uske saath Mohan nahi hai. Uska kyaa karna hai" Dosri taraf Karan ki team ka un do me se ak constable tha jinhe Shaan ne Saurabh ki protection ke liye Raj Bhagwat ke ghar bheja tha

-------------
(Jari...)
Logged
aqsh
Guest
«Reply #269 on: February 09, 2013, 01:40:16 PM »
Good going masoom keep writing
Logged
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 12:28:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.185 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer