Unknown Target...........masoom

by Masoom Shahzada on August 13, 2012, 03:29:02 AM
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 19
Print
Author  (Read 35610 times)
masoom shahjada
Guest
«Reply #195 on: November 12, 2012, 01:34:50 PM »
Update 83
Rani subah uthii aur nahaane ke baad us kamre me aaee jisme Shaan so raha tha. Rani ne 3-4 baar aawaj dekar Shaan ko uthana chaha par jab Shaan na uthaa to wo Shaan pe jhukii aur apne geele baal Shaan ke chehre pe daal diye. Chehre pe kuch geelapan mahsos hu'aa to Shaan ki neend tut gaee. Shaan ne aankhe kholi to Rani ko khud pe jhuka hu'aa paya. Jise dekhkar Shaan jaldi se bola..."T...Tu...Tum ye kyaa kar rahi ho"
.
"Tumhaare sharbatii honto ka ras peene ki koshish kar rahi huN" Rani ne shokhii se kaha aur apne lab bilkul es andaaj me Shaan ki taraf baraaye jaise wo use kiss karne waali ho
.
Rani ko khud pe jhukte hu'ae paakar Shaan ghabraya aur jaldi se karwat badlta hu'aa bed ke dosre kinaare pe jaa pahoncha aur fir bed se neeche utak-kar khare hone ke baad bola.."Pagal ho gaae ho kyaa?"
.
Jawaab me Rani ki hansii kamre me bikhar gaee aur wo hanste-hanste hi kitchen me chali gaee.
.
"Ye kabhi nahi sudharne wali" Rani ke jaane ke baad Shaan ne khud se kahaa aur baathroom ki taraf chal diya
.
Jab tak Shaan nahaa-dhokar tayyar hokar aaya. Rani breakfast tayyar kar chuki thi aur dining-table par uska  intizaar kar rahi thi. Shaan Rani ke paas ek chair pe jaakar baith gaya aur breakfast karne laga.
.
"Kyaa tum khaate hu'ae gana ga sakte ho" Rani ne aalu ka paratha torte hu'ae Shaan se sawaal kiya
.
"HaaN.. Par tum ye sawaal kiyoN poch rahi ho" Rani ka sawaal Shaan ki samajh se pare tha.
.
"To sunaao na plz plz plz plz plz" Rani ne jidd ki
.
"O.K. Breakfast karne ke baad sunata huN" Shaan ne kahaa aur milk ka glaas honto se laga liya
.
"Par mera dil to khana khate hu'ae gana sunne ka kar rahaa tha. Koi gana sunaao na plz" Rani ne fir se jidd ki
.
"O.K." Shaan ne apne haath me pakraa hu'aa apple niche rakhkha aur gala saaf karke gane laga...
.

Ishq jab ek taraf ho to saza deta hai.
Ishq jab dono taraf ho to maza deta hai.
Aankh milti hai, jahaaN pal me tadap jata hai.
Dil to diwana hai...

.
"Ab ye ronaa band bhi karo. Maine tumhe gana gaane ke liye kaha tha. Aur tumne rona start kar diya. Kasam se etni bhaddi aawaaj maine kabhii nahi suni" Rani ne Shaan ka majaak banaya. Rani ka gana-wana sunne ka koi man nahi kar raha tha. Wo to bas Shaan ko tang karna chaahtii thi
.
Jab Shaan ne Rani ko apni mazaak banaate dekha to wo nakli narajgi se bola..."Jaao maiN tum se baat nahii karta" Aur wo monh fulakar baith gaya
.
"Mat karo, koi tumse baat karne ke liye mara nahi jaa raha hai" Rani ne Shaan ko kuch aur chiraya
.
"Tum bahut gandi ho. Har waqat mera majaak uraati rahti ho. Ab maiN kabhi bhi tumhare paas nahi aaonga" Shaan ne banawati gusse se kaha aur uthkar jaane laga
.

Rani ne aage barkar Shaan ka haath pakra aur use keenchte hu'ae bed pe laakar baithaate hu'ae boli..."Meri jaan agar ye aakhiri mulalat hai to kiyoN na ese yaadgaar banaya jaaye" Rani ke chehre pe sanjidagi thi par uski aankhe sararat se chamak rahi thi.

----------------------
(Jaarre...)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My mind sails, through an unknown sea! by abdbundeli in English
Na Kamal-e-Fun Hi Mila Mujhe - Not Mine (Shayr Unknown to me) by fernsk in Shayri-E-Dard
A shared poetry-writer unknown by tamanna1 in Share:Love Poetry
apnay badlay huway lehjay ki wazahat karna- Unknown by ghayal_shayar in Urdu Poets « 1 2  All »
saathoN ki kasoor ho geya--Unknown by ghayal_shayar in Pain in Love : Punjabi poetry
mkv
Guest
«Reply #196 on: November 12, 2012, 02:41:54 PM »
ishq jab ek taraf ho..wah wah wah
aur jab dono taraf ho to...just imagine..
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #197 on: November 13, 2012, 01:40:43 AM »
update 13 tak padha bahut khoob and interesting masoom
Bahut bahut sukriyaa.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #198 on: November 13, 2012, 01:41:45 AM »
Very good response. keep going..don't stop.
O.K. Brother
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #199 on: November 13, 2012, 01:43:24 AM »
ishq jab ek taraf ho..wah wah wah
aur jab dono taraf ho to...just imagine..
Just imagine......... Krish
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #200 on: November 13, 2012, 02:22:47 AM »
Update 84
Quote
Rani ne aage barkar Shaan ka haath pakra aur use keenchte hu'ae bed pe laakar baithaate hu'ae boli..."Meri jaan agar ye aakhiri mulalat hai to kiyoN na ese yaadgaar banaya jaaye" Rani ke chehre pe sanjidagi thi par uski aankhe sararat se chamak rahi thi.

Shaan ne Rani ki baat ka koi jawaab na diya, wo monh fulaaye chup-chaap bed pe baitha raha
.
Shaan ko es tarah baithaa dekhkar Rani, Shaan ke kadmo me baith gayi. Aur fir naak pe haath rakhkh kar ekdam se piche ko hatii aur buraa sa monh banaate hu'ae boli.."Chee Chee tumhare pairo par to potty lag rahi hai"
.
Rani ki baat sunkar Shaan foran niche jhukaa aur fikarmandi se apne pairo ko dekhne laga. Par kafii der tak dekhne par bhi use kahee kuch najar nahii aaya. Najar to tab aataa jab kuch lagaa hota. Apne dono pairo ka sahii se mu'aayna karne ke baad, Shaan sheedhe hote hu'ae bola.."Jhot, mere pairo par to kuch bhi nahi laga hai"
.
"HaaN wo to mujhe bhi malom hai. Par kuch der se tumhara play button kaam nahii kar rahaa tha. Bas tumhaari saddii huee aawaaj sunne ke liye aesaa kah rahi thi" Rani ne sharaartii andaaj me kahaa aur apni naak par rakhkhaa haath hataakar, khil-khilaa kar hasne lagi
.
Rani ki baat par Shaan, Rani ko kuch der tak ghortaa raha, fir wo bhii uske saath hasne lagaa
.
Kafii der tak dono haste rahe. Jab dono ki hansee rukii to Rani sanjeedaa hote hu'ae boli.."Bekaar ki baateiN to bahut kar li. Ab kuch kaam ki baateiN ho jaaye"
.
"Kaam ki baateiN.." Shaan tajjub se bola. Aur fir serious sa hokar kahne laga.."HaaN kiyoN nahee"
.
"Kyaa mujhe kes ke baare me, aur bhi kuch malom hona chaahiye?" Rani ne kahaa aur Apni najre Shaan ke chehre pe tika di
.
"HaaN mere paas tumhe bataane ke liye aur bhi kuch hai"
.
"To fir jaldii bataao... Der kiyoN kar rahe ho?" Rani ne utsukta se kahaa
.
"Vikraant aur Vivek, 2 aese shakhas hai. Jinhe agar ham pakar sake to, shaayad 7 Star gang ke baare me bahut kuch maalom ho sakta hai. Vikraant to hamaare haath aa chukaa thaa. Par Sikander ki galtii ki wajah se, raat wo bhi hamaare haatho se nikal gaya"
.
"Aur Vivek"
.
"Vivek bahut shaatir hai. Apraadhik duniya me use Vicky ke naam se jana jata hai. Police ke paas uskaa record hai. Par hamaara department, ye maanta hai ki hamaare paas uskaa koi record nahii hai"
.
"MaiN kuch samjhii nahi" Rani boli. Uske chehre pe uljhan faili huee thi
.
Rani ki baat sunkar Shaan apni jeb se mobile nikaalte hu'ae bola..."Indhar aao. MaiN tumhe kuch dikhaata hoN"
.
Rani jo ab tak Shaan se kuch door khari huee thi. Shaan ke kareeb aakar baith gaee. Aur Shaan ke kandhe pe haath rakhkar mobile me jhaankne lagi
.
Shaan ne mobile me ek photo open kiya aur bola..."Dekho ye hai Vivek urf Vicky" Shaan ne kal jo photo facebook se download kiyaa tha, wo Rani ko dikhaaya
.
"Kal raat jab maiN criminal record check kar raha tha to Sam, Harry aur Tej. En 3 logoN ke record mujhe mile. Sam ak baar jail jaa chuka hai. Esliye uski photo aur finger-prints hamaare record me hai. Jabki Harry aur Tej ko kabhi arrest nahi kiyaa ja sakaa hai. Esliye unki photo aur kuch normal si info hi hamaare paas hai. Police ke record ke mutaabik(anusaar) Sam, Harry aur Tej, Vicky ke liye kaam karte hai. Jabki agar tum bahut gaur se dekhogii to tumhe malom ho jaayega ki ye Vicky ke hi 3 alag-alag rup hai" Shaan ne ek ke baad ek 3 photos apne mobile me open karke Rani ko dikhaaye.
.
"Wow, Unbelieveable" Rani ne hairat se kahaa
.
Shaan ne ek aur photo mobile me open kiya aur bola.."Ye bhi Vicky ka hi ek rup hai. Es bhesh me eskaa kyaa naam hai. Ye mujhe nahi malom" Ye  Vicky ka wo photo tha jo kal shaam Shaan ne facebook se download karke, editing karke banaya thaa.
.
"Aaj-kal wo esii shahar me hai. Ab wo kisi naye naam aur kisi naye bhesh me Shahar me ghom rahaa hoga" Shaan ne kaha
.
"Ye to waakai me bahut shaatir hai" Rani boli
.
Shaan ne Rani ki baat ka koi jawaab na diya. Wo apne mobile me ek aur image open karke Rani ko dikhaate hu'ae bola..."Ye Vikraant hai. Ye Vicky ki tarah shaatir to nahi hai. Par khatarnaak bahut hai"
.
Shaan ki baat sunkar Rani kuch sochte hu'ae boli.."KaheeN 7 Star Gang ka Boss, Vicky hi to nahi hai"
.
"Ho bhi sakta hai, aur nahee bhi. Pakkaa kuch nahii kahaa ja sakta" Shaan bola aur apne mobile ko jeb me rakhne laga.
Aur Mobile ko jeb me rakhne ke baad fir bolaa..."Aaj-Kal jis tarah ki ghatnaaye ho rahi hai. Usse mujhe ahsaas ho rahaa hai ki bahut jald koi baraa dhamaaka hone wala hai"
.
"Dhamaakaa..... Kaisa... Dhamaka... Kyaa 7 Star Gang waale kisi jagah ko udaane ki taak me hai" Rani ne apna haath Shaan ke kandhe pe se hataakar apni goad me rakhte hu'ae kahaa. Aur fir apni ungliyoN se khelte hu'ae Shaan ke jawaab ka intizaar karne lagi.
.
"Dev Sir ka kidnap ho jana. Aur.."
.
"Wait..Wait... Dev ki to Acsident me maut ho chukii hai. Fir ye kidnap-vidnap ka louchchaa kahaaN se aa gaya" Rani, Shaan ki baat ko kaat kar hairaanii se boli

-------------
(Jaarre...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #201 on: November 13, 2012, 02:34:03 AM »
Update 85
Quote
"Kidnap-Vidnap ka lauchchaa kahaaN se lauchchaa kahaaN se aa gaya" Shaan ki baat kaat kar Rani hairaani se boli

"Sabse pahli baat, na to Dev sir ko bike chalaani aatii thi. Aur na hi unhe bike chalaana pasand tha. Dosri baat we gaadii bhi, es speed se chalaate the ki koi paidal aadmi  bhi unse aage nikal jaaye. Teesri aur sabse bari baat, Jab wo acsident hu'aa tab unhe ghar se nikle hu'ae mushkil se ak minute gujre the. Aur jahaaN wo acsident huaa, wahaaN se Dev sir ke ghar ke beech lagbhag 4 km ki dorii hai. 1 minute me we 4 km door kaise jaa sakte hai"
.
"Hmmmm.... Par 7 Star waalo ne Dev ko kidnap kiyoN kiya hoga"
.
"Karan ko Blue Cottage se Kamal aur uske saathiyoN ke saath Dev ke photo mile the. Dev ka photo 7 Star gang ke member ke saath paaye jaane ka matlab meri samajh me nahi aa raha hai. Par maiN etna jaror samajh pa raha hoN ki bahut jald 7 Star waale koi khel suru karne waale hai" Shaan ke dil me jo tha, usne wo pori imaandaari se Rani ko bataaya
.
Uske baad Shaan ne apne gale se R wala locket nakaal kar Rani ki taraf baraate hu'ae bola..."Lo ese kaheeN rakh do"
.
"Tum to ese locket ko kabhi khud se juda nahi karte the. Aaj kyaa ho gaya hai. Kyaa ab Riya ke ishq ka bhoot sar se utar gaya" Rani ne locket Shaan ke haath se lete hu'ae kahaa
.
Kes ke chakkar me Shaan etna ulajh gaya thaa ki kal ki Riya ki baateiN bhool hi gaya tha. Par Rani se Riya ka naam sunte hi use sab yaad aane lagaa. Jisse Shaan ki aankhe nam hone lagi aur wo khud ko sar se paanv tak dard me dooba hu'aa mahsos karne laga. Wo dard me doobii huee aawaaj me bola.."Riya ka pyaar to mere rom-rom me samaya huaa hai. Riya ke ishq ka bhoot to shaayad markar bhii mere sar se naa utre.. Par ab es locket ki jarorat nahii rahi"
.
"KiyoN ab kyaa hu'aa" Rani boli. Shaan ke chehre pe faile gam ke andhere ne Rani ko bhii udaas kar diya tha
.
"Riya kisi aur se pyaar karti hai" Shaan ne kahaa. Ab aansu uski aankho se nikal-nikal kar uske gaalo par rengne lage the
.
"Kyaa, Riya ko tumne doond liya" Rani khushi se chillaayi. Par Shaan ke chehre pe najar parte hi, uski khushi pal bhar me gaayab ho gaee. Shaan ki aankho me aansu dekhkar uski aankho bhi nam hone lagi.
.
"HaaN Riya mujhe mil gaee. Par wo kisi aur se pyaar karti hai aur bahut khush bhi hai. Esliye maine usse kuch nahi bataya" Shaan ne dard bhari aawaaj me kahaa. Es waqat wo be-aawaaj aansu bahaaye jaa rahaa tha.
.
Shaan ko es tarah tutkar bikharte dekh Rani ne Shaan ko apne siine se lagaa liya. Rani ke siine se lagte hi Shaan bachcho ki tarah foot-foot kar rone laga. Aur esi tarah rote-rote bola.."Rani kismat hamesha mere saath majaak kiyoN karti rahti hai? Bhagwaan aakhir chaahta kyaa hai? Usko agar meri jaan leni hai to ek hi jhatke me kiyoN nahi le leta? Yu har pal mujhe tadpa-tadpa ke kiyoN maarta rahta hai? Pahle to usne Riya ko etne saalo tak mujhse juda rakhkha. Aur ab milaya bhi to es haalat me ki Riya ne apna dil kisi aur ke hawaale kar diya hai. Wo kisi ko di-ao-jaaN se chaahti hai. Esse achchaa tha ki Bhagwaan kabhi mujhe Riya se milata hi nahi. Mujhe umr bhar kam se kam ye khush-fahmi to rahti ki Riya ke dil ke kisii hisse me  maiN rahta huN. Par Bhagwaan ko mujhse jaane kyaa dushmani hai jo usse meri ek pal ki khushi bhi dekhi nahi jaati. Puraane jhakham bharne bhi nahi paate ki wo naye jakham de deta hai. Mera sab kuch cheen kar bhi uska dil nahi bhara.Meri jindagi ka aakhiri maksad bhi aakhir usne tabaah kar hi dala"
.
Shaan ke aansu Rani ko tadpa rahe the. Use gam ke athaah samundar me dhakel rahe the. Es waqat wo Shaan ko tasalli to kyaa deti. Shaan ki baat sunkar wo  Shaan se bhi buri tarah rone lagi. Rote-rote Rani ne apne siine pe haath rakhkhaa aur  bed pe piche ko ulti hote hu'ae chillaayi.."Hiii.. Mar gaee" aur bed pe haath per fekte hu'ae buri tarah tadapne lagi
.
Rani ki aesi haalat dekhkar Shaan buri tarah ghabraa gaya. Wo rona-dhona sab bhoolkar bola..."K... Kya huaa Rani"
.
"Siine me bahut tej dard ho raha hai" Rani dard se jhatpataate hu'ae boli
.

Shaan jaldi se aage baraa aur Rani ko gaud me uthaane lagaa. Jise dekhkar Rani dard se jhatpatana band karke bilkul normal hote hu'ae gusse me boli..."Mujhe etni tej dard ho rahaa hai. Aur tumhe aese me bhi, mujhe baanho me bharkar romance karne ki sujh rahi hai"
.
"MaiN to tumhe Doctor ke paas le jaane ke liye uthaa rahaa tha" Rani ki baad sunkar Shaan Rani ko uthaate-uthaate rukkar bola. Aur Rani ke chehre pe dard ka naamo-ao-nishaan na dekhkar. Asmanjas me use dekhne laga
.
"Mujhe kyaa huaa hai jo Doctor ke paas le jaa rahe ho" Rani hairat se boli
.
"Tumhi to kah rahi thi ki Tumhare siine me dard ho rahaa hai"
.
"HaaN mere siine me bahut tej dard ho raha hai. Par uska ilaaz koi doctor nahi kar sakta. Use sirf aur sirf tum theek kar sakte ho" Rani ne romantic andaaj me kahaa. Aur Shaan ke sar ko apni taraf kheench-kar uske honto pe apne hont rakh diye

--------------------
(Jari...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #202 on: November 14, 2012, 12:04:18 AM »
Update 86
Quote
"HaaN mere siine me bahut tej dard ho raha hai. Par uska ilaaz koi doctor nahi kar sakta. Use sirf aur sirf tum theek kar sakte ho" Rani ne romantic andaaj me kahaa. Aur Shaan ke sar ko apni taraf kheench-kar uske honto pe apne hont rakh diye

Rani ki es harkat par kuch der tak to Shaan kuch sochne samajhne ke kaabil hi na raha. Par jald hi use hosh aaya aur wo Rani se khud ko churaakar bidak kar door ja kharaa huaa aur fati-fati najro se Rani ko dekhne laga
.
Shaan ki haalat dekhkar Rani haste-haste lot-pot hone lagi.
.
"To Tum majaak kar rahi thi" Shaan ne sukoon ki saans lete hu'ae kahaa. Rani ko dard se tadapta dekh Shaan buri tarah ghabraa gaya tha. Rani, hameshaa Shaan ko staati rahti thi, tang karti rahti thi. Par Fir bhi wo Shaan ko bahut ajeej thi.
.
Rani abhi tak be-tahaashaa hanse ja rahi thi. Wo Shaan ko chup karaana chaahti thi, par agar wo Shaan ko tasalli deti to yakinana Shaan bahut der tak rota rahta, Tutkar bikharta rahta. Par Rani se Shaan ke chehre pe udaasi hi nahi dekhi jaati thi, to wo Shaan aansu'ao ko kaise bardaast karti. Usne Shaan ko chup karaane ke liye ye naatak kiya tha. Aur wo apne maksad me kaamyaab bhi rahi thi.
.
"Rani, tumhaari harkato se kisi din mujhe heart atteck ho jaayega" Jab Rani ki hansi me kuch kami aayi to Shaan narajgi se bola.
.
"Tumhaare paas akal-wakal naam ki koi cheej hai yaa nahi. Bhalaa tumhe heart-atteck kaise ho sakta hai" Rani tanjeedaa lahje me boli. Andaaj bilkul aesa tha jaise Shaan ne koi aesi baat kah di ho jo kabhi mumkin nahi ho sakti
.
"KiyoN, mujhe heart atteck kiyoN nahi ho sakta" Shaan ne hairaan hokar pochaa
.
"Tumhara dil to 9 saal pahle kaheeN kho gaya tha. Ab jab tumhaare paas heart hi nahi hai to atteck kaise ho sakta hai" Rani ne es andaaj me kahaa jaise wo kisi chote bachche ko kuch samjhaa rahi ho
.
"Tum bhi na........" Shaan ne etna kahaa aur apni baat adhori chorkar muskuraane laga
.
Shaan kuch der aur Rani se baateiN karta raha, fir Police station ke liye chal para. Rani ne bari khoobsurti se uske dimaag se Riya ko nikaalkar fir se Kes ki taraf mor diya tha.  Kareeb 09:40 par Shaan Police Station pahonchaa. JahaaN sabse pahli mulaakaat uski Karan se huee. Karan ne Shaan ko sabse pahle ASP se milne ko kahaa. Shaan ASP ke kebin ki taraf chal para. Kebin ke gate pe pahonchkar Shaan ne andar aane ki izaazat li.
"Yes" andar se Anita ki aawaaj aayi
.
Shaan andar daakhil hu'aa. ASP pe najar parte hi Shaan chonkaa par agle hi pal uski aankho me ek ajeeb si chamak aa gayi aur chehre pe ek pyaari si muskuraahat. Jis par Shaan ne jaldi hi kabu karke Anita ko salute kiya.
.
"Baitho" Anita ne kahaa aur fir upar se niiche tak Shaan ko sar se paanv tak dekhne ke baaad boli....."To tum ho Shaan"
.
"Jee madam" Shaan bahut saraafat se bola. Uski aawaaj me ek sukon tha par uske mind me bahut kuch chal rahaa tha
.
"Tumhaare shaandar record ki wajah se maine tumhara suspesion cancel karwaya hai. Par es baar bhii criminal ko dekhkar janwaar na ban jana. Inshaano ki tarah kaam karna" Anita kuch tej aawaaj me boli. Andaaj request karne walaa nahi balki warning dene wala tha
.
"Madam, maiN aapko sikayat ka koi maukaa nahi dungaa" Shaan confidence se bola. Nomally wo kisi seniour ki baato ka etni saraafat se jawaab nahi deta tha. Par aaj wo Anita ko jaane kiyoN etni ijjat de raha tha.
.
"MaiN shahar ke round ke liye jaa rahi hoN. Aur tum mere saath chal rahe ho" Anita ne Shaan ko order diya aur jaane ke liye uth khari hu'aa. Anita ko uthta dekh kar Shaan ne bhi kursee chor di.
.
Pahle Anita kebin se nikli uske piche-piche Shaan Kebin se nikla. Anita aage-aage chal rahi thi, uske kuch kadam ki doori banaakar Shaan uske piche-piche chal raha tha. Raaste me Shaan ko Karan mila. Karan ko dekhte hi Shaan ne apni anugali se hawa me khatre ka nishaan banaakar kuch samjhaanaa chaahaa aur aage nikal gaya. Kuch hi der me Shaan aur Anita, Anita ki gaarii tak pahonch gaye the. Anita gaarii ki driving seat pe baith gayi. Aur Shaan ko front seat pe baithne ko kahaa.  Shaan ke baith'te hi Anita ne gaarii start karke aage baraa di.
................

Karan ne Shaan ke ishaare pe koi dhayaan nahi diya tha. Wo apne kebin me aaya aur kes ki file uthaakar open hi karne wala tha ki tab hi uska mobile bajne laga. Karan ne file table pe rakh di aur jeb se mobile nikaalkar number dekhaa. Call unknown number se aa rahi thi. Karan ne call recieve ki..
.
"Hello, Inspector Karan speaking" Mobile ko kaan se lagaane ke baad Karan bola
.
"Hello Karan, maiN Dev bol raha huN" Dosri taraf se Dev ki bahut dheemii-dheemii aawaaj aayi
.
"Dev Sir, aap jinda ho... Par aapki to acsident me......." Karan hairaani se lagbhag chillate hu'ae bola

--------------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #203 on: November 14, 2012, 12:13:33 AM »
Update 87
Quote
"Dev Sir, aap jinda ho... Par aapki to acsident me......." Karan hairaani se lagbhag chillate hu'ae kaha

"MaiN maraa nahee huN. Mere naam se kisi aur ka acsident karwa ke 7 Star waalo ne mujhe Kidnap kar liya tha. Unke changul se bari mushkil se jaan bachaakar bhaaga huN. Es waqat maiN Sector 25 me Bonglow number 10 me chupaa hu'aa huN. We log mujhe kutto ki tarah talaash kar rahe hai. Kisi tarah mujhe yahaaN se jindaa nikaal lo" Dev ne dard bhari aawaaj me kahaa. Wo bahut dheere-dheere bol raha tha
.
"Sir, aap befikr raheN. MaiN kuch der me wahaaN pahonchta huN" Karan ne kursii se khare hokar jaldi se kahaa aur call disconnect kar di. Wo jaldi se apne kebin se nikla aur apni team ko lekar Sector 25 ki taraf chal diya
------x-------x--------x-------x----
Anita kuch der tak chup-chaap driving karti rahi. Fir Shaan se boli..."Tumhaari jitni taaref suni hai. Usse lagta hai ki kal se ab tak tum haath pe haath rakh kar nahi baithe rahe hoge. Tumne kuch na kuch investigation jaror ki hogi"
.
"Jee Madam, informer ke baare me kuch suraag mile hai. Bahut jald maiN use be-naqaab kar dunga" Shaan bola
.
Shaan ki baat sunkar, Anita ki aankhe khushii se chamakne lagi aur chehre par bhi muskuraahat aa ga'ee. Wo boli..."Very Good. Par informer mujhe jinda chaahiye. Tumhaari aadat hai ki tum criminals ki laash gira dete ho. Par es baar aesi koi galti mat karna"
.
"O.K. Madam"
.
Unki gaarii road pe aahista-aahistaa aage bar rahi thi ki tab hi  thori door aage ki ek choti si gali se kisi larki ki..."Help..... Help.... Help me...... Help me....... Help me...... Help....... Help... Help" ke chillane ki aawaaj unko sunaa'ee dene lagi.
.
Anita ne gaarii usi gali me daal di jisse aawaaje aa rahi thi. Gali me gaarii daakhil hote hi, un dono ne dekhaa. Ek larki jiske kapre jagah se fate hu'ae the aage-aage bhaag rahi thi. Aur uske piche-piche 2 larke bhi bhaag rahe the. Shaan aur Anita ke dekhte hi dekhte we teeno ek Bonglow me daakhil ho gaye. Un teeno ne Anita aur Shaan ko nahi dekhaa tha. Ab us larki ki aawaaje aani band ho ga'ee thi. Anita ne apni gaarii usi Bonglow ke aage roki. Ab shaayad fir se un larko ne us larki ko pakar liyaa tha kyonki ab us larki ki chillane ki aawaaje aa rahi thi.
.
Gaarii rukte hi Shaan ne apni jeb se mobile nikaala aur Mobile ke key-pad se khelne laga. Anita kuch der tak Shaan ko hairaani se dekhti rahi fir use gusse me ghorti hu'ee boli..."Ye tum mobile me kyaa kar rahe ho. We larke us larki ka rape kar rahe hai. Jaao usey bachaao"
.
"Pahli baar to apni aankho se Blue  Film dekhne ka mauka mil raha hai aur aap uskaa bhi mazaa bigaarna chaahti hai. Meri maano to ham dono chupkar es live rape ka aanad lete hai" Shaan makkaari se bola
.
"T.......T....... Tumhe to maiN baad me dekhoNgi. Pahle us larki ko bachaati huN" Anita daant peeste hu'ae boli aur apni taraf ka gate kholkar niche utar ga'ee
.
"Madam andar mat jaao. Warna we aapka bhii rape kar deNge" Shaan mobile ke button dabaate hu'ae gari me baithe-baithe hi Anita ke piche se chillaayaa.
.
Anita ne Shaan ki baat ka koi jawaab na diya. Wo chup-chaap aage kadam baraati rahi. Bonglow ka gate khulaa hi tha. Bonglow me daakhil hote hi Anita ne piche murkar Shaan ko dekhaa. Shaan abhi tak apne mobile me sar diye baitha tha. Shaan ko abhi tak gaarii me baitha paakar Anita ke chehre par pareshaani ke baadal chaane lage. Kuch der tak Anita uljhi-uljhi nigaaho se Shaan ko dekhti rahi fir aage bar ga'ee.
.
Us larki ke cheenkhne ki aawaaje abhi bhi Shaan ke kaano me par rahi thi. Par Shaan un cheekho ko ansuna karke halki-halki siitii bajaate hu'ae mobile ke key-pad se khelne me laga hu'aa tha. Anita ke bonglow me daakhil hone ke kuch der baad, Anita ki bhi dard bhari cheekhe Shaan ko sunaa'ee dene lagi. Anita ki cheekhe sunkar Shaan ke chehre pe bahut pyaarii muskuraahat aa ga'ee. Shaan ne mobile apni jeb me rakhkhaa aur gaarii se niche utar gaya.
.
Shaan bahut dheere-dheere kadam uthaate hu'ae Bonglow me daakhil ho gaya. Ye Bonglow bahut baraa tha. Anita aur Us larki ki aawaaje ek bahut bare haal se aa rahi thi. Shaan bahut etminaan se kadam uthaate hu'ae Hall tak pahonchaa. Hall me achchaa khaasa andhera tha. Kuch bhi najar nahi aa raha tha. Shaan Hall me daakhil ho gaya. Abhi Shaan 6-7 kadam Hall me andar ki taraf baraaye the ki. Jis darwaaje se Shaan daakhil hu'aa tha, us darwaaje ke band hone ki aawaaj Shaan ke kaano me pari. Aur pora Hall roshni me nahaa gaya.
.
Shaan ke daaye taraf 4 log Anita ko daboche khare the. Aur jis gate se Shaan enter hu'aa tha us par we dono larke aur wo larki jo road se bhaagte hu'ae es bonglow me daakhil hu'ae the, khare hu'ae muskuraa rahe the
.
Aur Shaan se 20-25 kadam aage Vikraant ek kursi pe baitha hu'aa tha. Aur uske piche 14-15 log khare the. Jinme se kuch ke haatho me hockey aur kuch ke haatho me bara wala churaa(Dragger) tha.

--------------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #204 on: November 14, 2012, 12:23:42 AM »
Update 88
Quote
Shaan se 20-25 kadam aage Vikraant ek kursi pe baitha hu'aa tha. Aur uske piche 14-15 log khare the. Jinme se kuch ke haatho me hockey aur kuch ke haatho me bara wala churaa(Dragger) tha.

"Aao Inspector Shaan. Kal mujhe akela paakar bahit hero ban rahe the. Aaj tumhaari saari hero-gardi nikaalta hoN" Vikraant daanvo ki tarah hansta hu'aa bola
.
Shaan ne Vikraant ki baat ka koi jawaab na diya. Wo muskurata hu'aa Anita se bola...."Madam aapko mana kiya tha ki andar mat jaao. Par aap nahi maani. Ab aapke saath-saath mere bhi rape hone wala hai"
.
Anita kuch na boli etne saare logo ko dekhkar uski bolti band ho ga'ee thii.
.
"Dekh kyaa rahe ho haddii-pasli tor daalo es kutte ki" Vikraant apne piche khare logo pe chillaaya.
.
We 15 ke 15 aadmi Shaan ki aur barne lage. Chalte-chalte unme se ak ne Shaan ke sar ko nishaana banaakar apni hockey pori taakat se Shaan ki taraf feNki.
.
Shaan ne ek taraf ko hat kar Hockey se khud ko bachaaya aur apni belt se revolvor nikaal kar haatho me li. Aur es se pahle ki koi kuch samajh pata Shaan ne un chaaro ke pairo me ak-ak goli maar di jo Anita ko pakre khare the. Aur fir apne piche  gate se lagkar khare un dono larko ke pairo me bhi ak-ak chaid kar diya. We 6 ke 6 jameen pe girkat dard se tadapne lage aur Shaan ko gandi-gandi gaali dene lage.
Shaan ne unki gaaliyoN pe koi dhayaan na diya usne apni revolver belt me rakhkhi aur aage barkar Vikraant ke aadmee duvara khud pe fenki ga'ee Hockey uthaa li.
Shaan hockey uthaakar sidhaa hi hu'aa thaa ki wo larki jo gate pe khari thi Shaan ki taraf khooni andaaj me bari aur kareeb aate hi Shaan ko maarne ke liye apni laat hawa me uthaa'ee.
Jaise hi uska pair Shaan ke seene ki taraf aaya. Shaan ne usey apne haatho pe rokte hu'ae pori taakat se ek laat larki ki chaatii pe maari. Jisse wo piche diivar se jaakar takraa'ee aur behosh ho kar jameen pe gir ga'ee.
.
We 15 log jo Shaan ki taraf bar rahe the. Shaan ke haatho me revolver dekh kar dar kar jahaaN the waheeN khare ho gaye the. Par jab Shaan ko revolver apni belt me rakhte dekhaa. We fir se Shaan ki taraf barne lage.
.
Un 15 me se 4 log Anita ki taraf barne lage. Baaki ke 11 Shaan ki aour ki barte rahe. Unme sabse aage ek larkaa chal rahaa tha. Usne Shaan ke paas aate Shaan pe hockey se hamlaa kiya.
Shaan ne ek taraf ko hat kar khud ko uske hamle se bachaate-bachaate khud bhi apni hockey uske sar par de maari. Uska sar foot gaya aur wo behosh hokar jameen pe gir paraa.
.
Ab bache 10 ke 10 ne Shaan ko teen taraf se gher liya tha. Aur we ek saath Shaan pe hamle kar rahe the. Shaan Hall me indhar-udhar doorkar khud ko unke hamlo se bachaa raha tha. Par use khud unpe hamlaa karne ka mauka nahi mil raha tha.
.
We chaar log jo Anita ki taraf bare the. Unhone jald hi use kaabu me karke maarna suru kar diya. Anita ki dard bahri cheekhe Hall me goonjne lagi.
.
Anita ki cheekh sunkar Shaan ne use dekha. Ak aadmee ne Anita ke baal pakar rakhkhe the. Aur baaki ke 3 Anita par laat aur mukko ki barsaat kar rahe the.
.
Shaan Anita ko dekhne ke chakkar me khud ki protection se gaafil ho gaya. Aur bas ye hi lamha kayaamat tha. Ek saath 4 chure Shaan ki kamar aur pet par gahre jakham lagaate hu'ae nikal gaye aur 2 hockey Shaan ke kandho pe pari.
.
Vikraant jo abhi tak kursee pe baitha apne saathiyoN ko pit'te dekh-dekh kar daant pees rahaa tha. Par uski khud Shaan ke paas jaane ki himmat nahi ho rahi thi. Shaayad wo kal subah ki hone waali fight ki wajah se Shaan se daraa hu'aa tha. Shaan ko pit'te dekh daanvii hansi hansne laga
.
Shaan ke jakhmo se paanii ki tarah khoon bah raha tha. Par Shaan ke paas apne jakhmo ko dekhne ka time nahi tha kyonki Vikraant ke aadmii fir se Shaan pe hamlaa karne ke liye tayyar ho rahe the. Ab shaan hosiyaar ho chukaa tha. Aur apni protection se gaafil nahi tha.
.
Kuch der tak unke hamlo se bachne ke baad Shaan un sab ko chakmaa dekar Anita ki taraf bhaaga aur Anita ke paas pahonchte hi. Anita ko maar rahe 2 logo ke sar apni hockey se for daale. Aur baaki ke bachey 2 ki gardan pakarkar diivaar pori taakat se unka sar de de kar maarne laga. 3-4 baar Shaan ke aesa karne par we apne kadmo pe khare rahne ke bhi kaabil na rahe aur jameen pe gir pare.
.
Shaan un dono ko thikaane lagaakar piche ko mur hi rahaa tha ki tab hi Vikraant ke 1 aadmi ne hockey Shaan ke sar pe de maari. Shaan ki aankho ke aage andhera chaane laga. Aur Shaan behosh hokar jameen pe gir paraa.
.
Thik usi waqat police ke siren ki aawaaj fajaaN me goonjne lagi. Jise sunkar sab apni jagah khare ke khare rah gaye.
.
Aur Vikraant apni kursii se uth'ta hu'aa apne saathiyoN pe chillaya..."Kutto jaldi niklo yahaaN se"
.
Aur dekhte hi dekhte we sab Hall ke pichle gate se rafu-chakkar ho gaye.

--------------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #205 on: November 14, 2012, 12:31:43 AM »
Update 89
Quote
Aur dekhte hi dekhte we sab Hall ke pichle gate se rafu-chakkar ho gaye.

Vikraant ke 12 saathiyoN ko chorkar sab bhaag gaye. Un 12 me se 6 we the jinke Shaan ne goli maari thi, We abhi tak fars pe parey hu'ae tadap rahe the. We bhi bhaagnaa chaahte the par unka sharir unka saath nahi de raha tha.
.
4 we the jo Anita ko maar rahe the aur Shaan ne unme se 2 ka sar hockey se faarkar behosh kar diya tha aur 2 ka sar diivaar se maar-maar kar behosh kar diya tha.
.
 Ak wo larki jo road se bhaagkar es Bonglow me aayi thi aur jisne sabse pahle Shaan pe hamla kiya tha. Wo bhi ek taraf behosh pari thi. Aur usse thori doori par wo larka behosh gira hu'aa tha. Jisne us larki ke baad Shaan pe hamla kiya tha.
.
Anita Vikraant ke saathiyoN ko jaate hu'ae dekhti rahi. Un sab ke bhaag jaane ke kuch hi der baad baahar se logo ke chalne ki aawaje aani lagi. Anita ne aage barkar Hall ka gate khola. Gate par Sikandar aur 8-9 constable khare the.
.
"Aap theek to hai madam" Anita ko dekhte hi Sikandar ne Anita se pochaa
.
"HaaN maiN theek huN. Par Shaan ke bahut choteN aayi hai use jald se jald Hospital pahoNchaana paregaa"  Haal me andar ki taraf kadam baraate hu'ae Anita boli
.
Sikandar aur ek constable ne Shaan ko Anita ki gaarii me daala. Aur baaki ke Vikraant ke saathiyoN ko arrest karne me lag gaye.
.
Sikandar ne driving seat ke baithkar gaarii start karke aage baraa di. Front seat pe Anita baithi thi aur piche ki seat par ek constable baitha hu'aa tha.
.
"Tum theek waqat pe yahaaN kaise tapak pare" Wo baat jo kaafii der se Anita ko pareshaan kar rahi thi. Aakhikaar usne Sikander se poch hi daali
.
"Shaan sir ka SMS mila tha. Unhone us Bonglow ka address bataa kar 8-10 constable ko saath lekar jald se jald wahaaN pahonchne ka order diya tha. Raaste me jaam thaa es liye der ho gayi warna ham wahaaN 4 ya 5 minute pahle pahonch jaate" Sikander ne dukhii man se jawaab diya. Shaan ke jakhmi ho jaane ka use bahut afsos tha. Agar wo kuch der pahle aa jata to Shaan jakhmi na hu'aa hota.
.
Sikandar ki baat sunkar Anita kuch na boli. Wo kuch sochne lagi. Kuch hi der me hospital aa gayaa.
-------x-----------x-----------x-----
Karan jald hi apni team ke saath Sector 25 pahonch gayaa. Ye Sector shahar ke lagbhag baahar tha. Aur yahaaN aabaadi bhi lagbhag na ke baraabar hi thi. Es Sector me kuch hi ghar the jo ak doosre se thori-thori dori pe bane hu'ae the. Beech-beech me plots khaali pare the.
.
Karan aur uski team ne Bonglow no. 10 ke aage apni gaariyaaN roki. We 3 gaariyoN se aaye the ek me Chiraag aur Karan, aur baaki ki 2 me Rajesh aur  8 constable the.
.
Abhi we apni gaariyoN se sahi se utar bhi nahi paaye the ki Bonglow ke andar se gooliyaaN chalni suru ho gayi jo unki gaariyoN se aakar takraane lagi. We sab gaariyoN ke piche chip gaye aur jawaabi fire karne lage.
.
Kareeb 5 minute tak Bonglow ke andar se un par goliya barsaayi jaati rahi fir band ho gayi. Karan aur uske saathiyoN ne bhi fire karni band kar di. Aur we 2 minute tak unke action ka intizaar karte rahe. Par jab 2 minute tak unhone kuch nahi kiya to Karan aur uski team gaariyoN ke piche se nikalna ka iraada karne lagi. Par abhi we gaariyoN ke piche se nikal bhi nahi paaye the ki. Fir se bonglow ke andar se goliyaaN chalni suru ho ga'ee.
.
Kareeb 30 minute tak kuch der ruk-ruk kar Karan aur uski team pe Bonglow ke andar se goiyaaN barsaayi jaati rahi. Fir band ho ga'ee, par es baar 10 minute se jyada gujar jaane ke baad bhi un par goliyaN nahi barsaayi ga'ee. To Karan ne Bonglow ke andar jaane ka faisla kiya. Karan aur uski team bahut saawdhaani se Bonglow ke andar paho.nchi.
.
Es mutbed me na to Karan ka koi saathi jakhmi hu'aa tha aur na hi un par goliyaaN barsaane waale.
.
Karan aur uski team Bonglow me pahonch gaye.
Par ab Bonglow bilkul khaali tha. Usne koi bhi nahi tha. HaaN Bonglow ka piche ki taraf khulne waala gate baahar se band tha. Karan ko samajhne der na lagi ki unm par goliyaaN barsaane wale es gate se rafu-chakkar ho chuke hai.
.
Kuch aur der Bonglow ki talaashi li ga'ee par wahaaN unhe kuch nahi mila. To sab niraash hokar waapis Police Station laut aaye.
.
Police statio me gahraa sannata chaya hu'aa tha. Kuch constable behosh pare the. Aur baaki ke sab constable un jailo me band the jinme 7 Star Gang ke un Chaaro Criminals ko rakhkhaa gaya tha. Aur un chaaro ciminals ka kaheeN kuch ataa-pataa nahi tha. 

--------------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #206 on: November 15, 2012, 02:29:24 AM »
Update 90
Quote
Aur un chaaro ciminals ka kaheeN kuch ataa-pataa nahi tha. 

Jail me band sab constables ko baahar nikala gaya. Ab Karan ne dekha, ak SI aur 4 constable kam the. Karan ke pochne par unme se ek constable ne kahna suru kiyaa.."Sir, aapke jaane ke 2 ya 3 minute baad kisi ki call aayi thi. Usne bataya ki Sector 5 me Borosina Coffee Shoap ke saamne abhii-abhii kuch log kisii behosh aadmee ko fenk-kar gaye hai. Ye sunte hi we paancho Sector 5 ke liye nikal gaye. Unke jaane ke thiik 3 minute baad, ak Ganjaa 20 hathiiyar-band logoN ke saath yahaaN ghons aaya. Uske aadmiyoN ne baahar khare constables ko behosh kar diya. Aur achaaanak ham sab pe tut pare. Etna ham kuch samajh paate. Ham sab unke bas me the. Fir us ganje ke kahne par, uske aadmiyoN ne hame lock-up me band kar diya aur un chaaro criminals ko lock-up se nikaal kar le gaye"
.
Wo constable etna kahkar chup ho gaya
Us Constable ki baat sunkar Karan kuch pal ko kuch sochta rahaa fir us SI ko call karne laga jo Sector 5 kisii behosh aadmee ko dekhne gaya tha. 3-4 bail jaane ke baad dosri aour se call recieve ki ga'ee
.
"KahaaN mar rahe ho tum" Dosri taraf se Hello ki aawaaj sunte hi Karan gusse me bola.
.
"S.K. Hospital me huN" Dosri taraf se aawaaj aa'ee
.
"Hospital me kyaa kar rahe ho" Karan kuch tej aawaaj me bola
.
"Dev Sir, coffee shoap ke saamne behosh mile the, unhe lekar yahaaN aayaa tha"
.
"OH No....." Karan ke monh se besaakhta nikla. Fir Karan bola..."I am comming.." Etna kahkar Karan ne jaldee se call disconnect kar di aur apni gaarii uthaakar S.K. Hospital ki taraf chal paraa.
.
Kuch hi waqat baad Karan Dev ke paas baith hu'aa tha.
Dev ko hosh aa chukaa tha. Par uski haalat bahut buri thi. Pore jism par maar ke nishaan pare hu'ae the. Aankho ke niche gahre-gahre dhabbe pare hu'ae the. Aur aankhe viiraan-viiraan si ho rahi thi. Chehre ki bhi saari ronak gaayab thi.
.
"Sir aap Sector 25 se Sector 5 kaise aa pahonche. Kyaa mere wahaaN pahonchne se pahle unhone aapko dhonD liya tha. Ya aap unse darkar Sector 5 bhaag aaye the" Karan ne Dev se pochaa
.
"MaiN Sector 25 me kabhi thaa hi nahi" Karan se najre churaate hu'ae Dev bolaa
.
"Kyaa...... Matlab" Karan hairaani se bola
.
"7 Star Gang ke Boss ne tumhe call lgaakar, mujhe aesaa kahne ko kahaa tha. Agar maiN aesa na kahta to wo mujhe jaan se maar deta. Tumse merii baat karaane ke tirant baad, usne mujhe behosh kar diya tha. Aur jab mujhe hosh aaya to, apne aap ko yahaaN paya"
.
Dev ki baat sunkar Karan kuch der tak kuch sochta raha. Kafee der tak sochte rahne ke baad Karan bola.."Kyaa aapne usko dekha hai"
.
"Kisko" Dev bola
.
"7 Star Gang ke Boss ko"
.
"Nahee, wo hameshaa apna chehre par naqaab daale rahta tha.... Mujhe uska naam bhi nahee maloom, wo apne aapko Boss kahkar bulaata tha"
.
Dev ki baat sunkar Karan fir kuch sochne laga. Kuch hi pal Karan ko aese chup bithe hu'ae gujre hoge ki Karan ka mobile bajne laga. Karan ne screen pe number dekhaa, call Sikander ke number se aa rahi thi
.
"Hello" Call recieve karte hu'ae Karan bola
.
"Karan Sir, Shaan Sir jakhmii ho gaye hai" Dosri taraf se Sikandar ki mari-mari si aawaj Karan ke kaano me parii
.
"Kyaa bakwaas kar rahe ho" Karan ekdam se kursee se uth'te hu'ae ghabraaye hu'ae lahje me bola
.
"Sir, aap jaldii se P.K. Hospital aa jaaye. Saari baateiN aapko yaheeN bataaoNga"
.
"MaiN aa raha huN" Karan ne kahaa aur lagbhag bhaagte hu'ae kamre se nikaltaa chalaa gayaa
.
"Karan kyaa hu'aa..." Piche se Dev Karan ko aawaaje lagaata hi rah gaya.
 -------x--------x--------x-------x---
Ajeet ak saandaar office me ek easy chair par baithaa hu'aa kisii se mobile par baateiN kar rahaa hai
"HaaN jaisaa aapne kahaa bilkul aesa hi hoga" Dosri taraf waale ki baat ka jawaab dete hu'ae Ajeet bola tha
.
"Aaj Shaam 5 baje ki flight se Raj Bhagwat ka beta USA se aa rahaa hai. Uska sawaagat bahut saandaar hona chaahiye" Dosri taraf se kahaa gaya
.
"MaiN kuch samjhaa nahii" Ajeet kuch na samajhne waale andaaj me bola
.
"Ajeet, uske bachche ki, aaj ki shaam aakhiri shaam honi chaahiye" Dosri taraf se fir aawaaj aayii
.
"O.K. Star aur koi order" Ajeet farmaa-bardaarii se bola
.
"Nahee" Dosri taraf se etna kahkar call dis-connect kar di ga'ee.
.
Ajeet ne us mobile ko jisse wo Star se baat kar rahaa tha, apne saamne rakhe hu'ae shishe ke ek bahut khoobsurat table par rakhkha. Aur apni jeb se ek dosra mobile nikaal kar kisii ko call karne lagaa.
----x------x-------x-------x----x---
Riyaa Shaan ke photo ko haath me pakre rote-rote so gaee thi.wo ghanto aese hi sotii rahi. Shaayad wo abhii bahut der tak aese hi sotii rahti par uske mobile pe lagaatar bajte...." Ye dil ye paagal dil mera kyoN bujh gaya aawaargii... Es dast me ek shahar thaa.." ne uski neend me khalal daal di
.
Riya ne haath baraakar mobile uthakar call recieve ki. Aur neend se bojhal aawaaj me boli.."Hello"

------------------
(Jaaree...)
Logged
aqsh
Guest
«Reply #207 on: November 15, 2012, 11:54:11 AM »
update 23 keep going bahut khoob
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #208 on: November 19, 2012, 03:40:14 AM »
update 23 keep going bahut khoob
Thank u very much Sister
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #209 on: November 19, 2012, 03:50:43 AM »
Update 91
Quote
Riya ne haath baraakar mobile uthaaya aur call recieve ki. Aur neend se bojhal aawaaj me boli.."Hello"

"Riya, kuch gundo se larte hu'ae Shaan jakhmi ho gaya hai. Esliye maiN abhi Kota ja rahi huN. Maine tujhe esliye call ki hai ki aaj raat tu mammi ke paas sone aa jana. Aaj mammi ghar me akeli hai. Kal Papa aa jaayegNge, to koi problem nahi rahegi" Dosri taraf Sanjana thi. Usne jaldi-jaldi apni baat khatam ki aur Riya ka jawaab  sune bina hi call disconnect kar di.
.
Sanjana ki baat sunte hi Riya ki neend ek dam se gaayab ho ga'ee. Use apne jism se jaan si naikalti hu'ee mahsos hone lagi.
Riya ki aankho ke saamne raat dekha hu'aa khawaab kisi film ki tarah chalne laga aur uske kaano me "Shaan jakhmi ho gaya hai... Shaan jakhmi ho gaya hai... Shaan jakhmi ho gaya hai" ki aawaje gunjne lagi.
.
Riya apne dono kaano pe haath rakhti hu'ee chillaa'ee..."Nahee....Nahee mere Shaan ko kuch nahee ho sakta.... MaiN apne Shaan ko kuch nahee hone dungi.... MaiN apna khawaab sachchaa nahi hone dungi.... Main......Aaaaah" Riya chillate hu'ae apne room se nikal kar niche ko bhaag rahi thi. Aadhi se jayada stairs se utarne ke baad uska pair fisla aur wo lurakti hu'ee niche niche ja giri aur behosh ho gaee.
.
Riya Kota jaane ke iraade se niche utar kar aa rahi thi, wo soch rahi thi ki wo abhi car uthaakar Kota ke liye chal paregi. Wo apne Shaan ke paas pahonch jaayegi. Par wo tufaani raftaar se iche utar rahi thi esliye uska pair fisla aur wo lurakti hu'ee niche jaa giri aur behosh ho gaee.
-----x-------x------x-------x------
Karan tufaanii raftaar se gaarii dauraate hu'ae P.K. Hospital pahoncha tha. Ak ward ke saamne Karan ko Sikandar baitha hu'aa najar aaya. Karan bhaag kar Sikandar ke paas pahonchaa. Aur bola...."Shaan kahaaN hai"
.
"Sir, Shaan sir esi ward me hai. Aur unhe abhi-abhi hosh aaya hai" Sikandar ne jawaab diya
.
Sikandar ki baat sunkar Karan ne room ka gate khola aur andar daakhil ho gaya. Gate khulne ki aawaaj sunkar Shaan ne gardan morkar gate ki taraf dekha. Aur Karan ko dekhkar muskuraane laga.
Karan, Shaan ke bed ke paas rakhkhii hu'ee. 2 kursiyoN me se 1 par jaakar baith gaya. Karan kuch der tak Shaan ko dekhta raha fir bola...."Kyaa hu'aa tum kaunse gundo se bhid gaye the"
.
"Gundo-wondo se nahii bhiraa tha yaar. Aaj subah-subah Anita madam hockey khilaane ke gaee thi. Mujhe hockey khelni aati nahi hai. Bas Esilye ye choteN lag gaee..... Wese hockey khelne hu'ae mujhe ak bahut baraa raaj malom hu'aa hai"
.
"Ya kyaa anap-snaap bakne lag gaye" Karan jhallahat se bola. Aur fir ek second chup ke baad sanjidgi se kahne laga.."Kaunsa sa raaj malom hu'aa hai, tumhe"
.
"Anita madam Naagin hai. Wo bhi bahut jahrili naagin" Shaan bhay-bheet sawar me bola
.
"Shaan baat ko ghumaao mat maiN jo poch rahaa huN. Wo sach-sach bataao" Karan, Shaan ki baat par koi dhayaan na dete hu'ae bola
.
"Tumhe meri baat pe yakeen nahi aa rahaa. HaaN aayega bhi kaise. Jab tak tum apni aankho se nahi dekh lete tumhe meri baat majaak hi lagegi... Tum aesa karna, Anita ke kapre utarna. Jaise hi tum use nanga karoge wo Naagin ban jaayegi, fir tumhe meri baat par yakeen aa jaayega" Shaan bure-bure monh banaate hu'ae bola
.
Karan, Shaan ki baat sunte hu'ae inkaar me aese gardan hilaataa raha. Jaise use Shaan ki baat par bahut afsos ho raha ho. Jaise wo kah rahaa ho ki ye kabhi sudharne wala nahi hai. Jab tak Shaan apni baat kahkar chup na ho gaya, Karan aese hi gardan hilaataa raha.
Shaan ke chup hote hi Karan muskuraate hu'ae bola.."Anita Naagin hai, chudail hai, bhootni hai. Tum use goli maro. Ye bataao wo kutiyaa tumhe lekar kahaaN ga'ee thi" Karan ne apni baat muskraahat se suru ki thi. Par jab usne apni baat khatam ki to wo bahut gusse me tha.
.
Aur Karan ki ye baat room me daakhil hote ho'ee Anita ne bhi sun li thi.
Karan ki peeth gate ki taraf thi esliye wo Anita ko nahi dekh paya tha. Aur apni dhun ne bolta hi chalaa gayaa tha. Jabki Shaan ka rukh gate ki hi taraf tha. Wo Anita ko dekhkar muskuraaye ja raha tha. Jo monh khole hairat aur gusse ki haalat me Karan ko ghoor rahi thi.
Kuch lamhe Karan ki peeth ko gusse me ghoorte rahne ke baad Anita aage bari aur Karan ke paas khaali pari dosri kursii pe jaakar baith gaee. Ab jo Karan ki najar Anita pe pari to uski jaan honto par aa gaee. Wo sar jhukaa kar sarmindagii se baith gaya.
.
Anita ne Karan ko najar-andaaj kiyaa aur Shaan se baateiN karti rahi. Aur kuch der baad chalii ga'ee. Es beech Karan chup baitha raha tha. Use lag rahaa tha ki, ab daant pari, ab daant pari. Par Anita, Karan ko bilkul najar-andaaj karti rahi thi. Usne Karan se bilkul baat nahi ki thi.
.

"Saale, tu ne to aaj marwa hi dala tha" Anita ke jaate hi Karan gusse me bola

------------------
(Jaaree...)
Logged
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 19
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 10:12:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.291 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer