Mazhur Saheb Aadaab!
Aapko shayad paheli martaba padh raheN hai..... aapki gairmuradaf gazal behad umdaa lagi hume.... 
Daad hazir hai sahaab.....
beech sehra me mein kahaan jaata?
kaisay manzil ka mein nishaan paata?
Matla achcah raha hai janab Daad Qaafilay se bicharnay waaloan ko
koi sehra nahi he apnaata.
sher achcha hai daad janab par Hume.. sher ka mafoom saaf nahilaga hume... Aao mil kar qadam barhaatay hein
ab akelay chala nahi jaata!
Kia baat hai behad khoob janab.... sidhe se lafzoN meiN achchi guzarish kii hai daad piyar ka naam sab hi laite hein
piyaar karna kisi ko hay aata?
Waah behad sahiN kaha hai aapne daad.... sach hai pyaar karna kisko aata hai janab..
Eid aa kar guzar gayee zalim
chaand dekha na aata na jaata!
hmmm sher achcha hai janab .. daad... khayal aur qafiye ko madde nazar rakheN to aur bhi khubsurti se is sher ko anjaam diyaa ja sakta hai humare khayaal se. Qirmizi rang gul me bhar deta
shaakh-e-gul se jo mein lipat jaata!
Kia baat hai behad umdaa daad behad khoob
dil mein jo he zabaan per he wohi
mujh ko makr ro riya nahi aata!!
hum dusre misre ko samjh nahi paye janab wazahat ki darkhast hai ummid hai aap wazahat kar deNge,,,
mazHur
Aik achci koshish par dili daad o mubarakbad kabool kijiye..... Khush O aabaad rahiye......
Aise bazm ko roshan karte rahiye......
Khuda Hafez.....