AIK TAHREEK MUHABBAT KI CHALA DALOON KYA (Waquif Ansari)

by waquif ansari on September 14, 2009, 11:19:04 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3304 times)
waquif ansari
Guest
Reply with quote
Inqalabaat ki is tarha bina dalooN kya
Khwab-e-ghaflat meiN haiN jo unko jaga dalooN kya

Inkeshafaat ke darwaze khuleNge us par
Jaam-e-jam aaj kayee us ko pila dalooN kya

Aayeena khanoN ki jo log nafi karte haiN
Un sabhi chehroN ko aayeena dikha dalooN kya

Is ke asraat se mit jayeNge nafrat ke khutoot
Aik tahreek muhabbat ki chala dalooN kya

Apni palkoN pe koi khwab sajaane ke liye
Us ki nazroN se nazar apni mila dalooN kya

Phir kahaN payeNge sab log ye sachche moti
Daulat-e-ishq hai seene meiN luta dalooN kya

Hum FaqeeroN ke liye kuchh bhi nahiN hai mushkil
Ik samundar ko kisi kooze meiN laa dalooN kya

MaiN kisi waqt bhi kha looNga magar ye roti
Bhooke bachche ko isi waqt khila dalooN kya

Jis liyaqat se mayassar na ho roti “Waquif”
DigriyaaN phaad ke phir us ko jala dalooN kya
Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: September 14, 2009, 08:32:35 PM »
Reply with quote
"MaiN kisi waqt bhi kha looNga magar ye roti
Bhooke bachche ko isi waqt khila dalooN kya"




Bohot Khoob Wakhuif Ji  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: September 14, 2009, 08:35:07 PM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Ansari ji ,beautiful gazal. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
aaina
Guest
«Reply #3 on: September 16, 2009, 09:06:11 AM »
Reply with quote
Inqalabaat ki is tarha bina dalooN kya
Khwab-e-ghaflat meiN haiN jo unko jaga dalooN kya

Inkeshafaat ke darwaze khuleNge us par
Jaam-e-jam aaj kayee us ko pila dalooN kya

Aayeena khanoN ki jo log nafi karte haiN
Un sabhi chehroN ko aayeena dikha dalooN kya

Is ke asraat se mit jayeNge nafrat ke khutoot
Aik tahreek muhabbat ki chala dalooN kya

Apni palkoN pe koi khwab sajaane ke liye
Us ki nazroN se nazar apni mila dalooN kya

Phir kahaN payeNge sab log ye sachche moti
Daulat-e-ishq hai seene meiN luta dalooN kya

Hum FaqeeroN ke liye kuchh bhi nahiN hai mushkil
Ik samundar ko kisi kooze meiN laa dalooN kya

MaiN kisi waqt bhi kha looNga magar ye roti
Bhooke bachche ko isi waqt khila dalooN kya

Jis liyaqat se mayassar na ho roti “Waquif”
DigriyaaN phaad ke phir us ko jala dalooN kya





kya baat hai waquif sahab bhut khoob daad hazir hai janaab
Logged
kameeney
Guest
«Reply #4 on: June 12, 2010, 08:14:18 PM »
Reply with quote
Inqalabaat ki is tarha bina dalooN kya
Khwab-e-ghaflat meiN haiN jo unko jaga dalooN kya

Inkeshafaat ke darwaze khuleNge us par
Jaam-e-jam aaj kayee us ko pila dalooN kya

Aayeena khanoN ki jo log nafi karte haiN
Un sabhi chehroN ko aayeena dikha dalooN kya

Is ke asraat se mit jayeNge nafrat ke khutoot
Aik tahreek muhabbat ki chala dalooN kya

Apni palkoN pe koi khwab sajaane ke liye
Us ki nazroN se nazar apni mila dalooN kya

Phir kahaN payeNge sab log ye sachche moti
Daulat-e-ishq hai seene meiN luta dalooN kya

Hum FaqeeroN ke liye kuchh bhi nahiN hai mushkil
Ik samundar ko kisi kooze meiN laa dalooN kya

MaiN kisi waqt bhi kha looNga magar ye roti
Bhooke bachche ko isi waqt khila dalooN kya

Jis liyaqat se mayassar na ho roti “Waquif”
DigriyaaN phaad ke phir us ko jala dalooN kya



waaah waaah bahut khoob ansari sahab ek khoobsurat kalaam aur nihayat hi sanjida aur behtreen message qaum ke liye.....bahut bahut khoob janaab.....aap ki ghazal ka intezar hai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
qadeer.toopchi
Guest
«Reply #5 on: June 12, 2010, 09:51:26 PM »
Reply with quote
wah waqif saheb , wah kya kahene hazaro dad ghazal sar se pa tak bemisaal , dili mubarak baad apki is ranwan danwan ghazal pe ,,


hum Fakhiron ke liye khuch bhi nahi hai mushkil
ik samandar ko kissi koze me laa dalon kya ..

wahhhhhhh..kya qanga-i- sher hai wah


allah apke kalamo ko miyari izzath de


duwa go


qadeertoopchi
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #6 on: June 14, 2010, 08:07:34 AM »
Reply with quote
Ji Janab aapka bahut bahut shukriya. Aaapne jis pairaaye meiN is ghazal ki tareef ki us se aik funkaar ko jila milta hai. Aap jaise qadrdaan jahan honge woh mehfil apne aap raushni se bhar jaayegi. Isi tarah mustaqbil mein bhi aap se daad-o-tehseen ki tamanna rakhta hooN.

(Waquif Ansari)


waaah waaah bahut khoob ansari sahab ek khoobsurat kalaam aur nihayat hi sanjida aur behtreen message qaum ke liye.....bahut bahut khoob janaab.....aap ki ghazal ka intezar hai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #7 on: June 14, 2010, 08:11:24 AM »
Reply with quote
Mohtaram Qadeer Toopchi Saheb!

Is qadar taareefi kalmaat se aapne nawaza, iska shukriya. Aapki daad-o-tehseen ki qadr karta hooN aur mustaqbil mein bhi aap se yahi tawaqqo rakhta hooN.

(Waquif Ansari)

wah waqif saheb , wah kya kahene hazaro dad ghazal sar se pa tak bemisaal , dili mubarak baad apki is ranwan danwan ghazal pe ,,


hum Fakhiron ke liye khuch bhi nahi hai mushkil
ik samandar ko kissi koze me laa dalon kya ..

wahhhhhhh..kya qanga-i- sher hai wah


allah apke kalamo ko miyari izzath de


duwa go


qadeertoopchi
Logged
p1dhillon
Guest
«Reply #8 on: June 14, 2010, 04:26:04 PM »
Reply with quote
Janaab Waquif Ansari Sahib, Aap ki ghazal ka har sheyar nayab moti hai, dil mein utarta aur wahin ghar bana leta hai.
P1.Dhillon
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #9 on: June 15, 2010, 09:09:55 AM »
Reply with quote
Dear p1dhillon ji! Janaab aapne jis andaaz meiN aur jis munasibat se meri kaawish ki paziraayee ki hai, bandah is ke liye aapka tah-e-dil se shukriya ada karna apna farz samajhta hai. Isi tarah fun aur funkaar ki hauslaafzaayee karna hi sachchi sukhanwari hai. Aap se mustaqbil meiN bhi isi tarah ki sahi sataayish ki tawaqqo rakhta hooN.

(Waquif Ansari)

Janaab Waquif Ansari Sahib, Aap ki ghazal ka har sheyar nayab moti hai, dil mein utarta aur wahin ghar bana leta hai.
P1.Dhillon
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #10 on: June 15, 2010, 12:47:15 PM »
Reply with quote
bahut khoob waquif sahab.........aapki ki urdu to MASHAALLAH ALA DARJEY KI HAI

 BHAI MAINEY AAPKI DOOSRI GHAZLEN BHI PADHI HAIN .....WAQAI SAARI APNEY AAP MEIN EK MOQAAM RAKHTI HAIN...

 MERI URDU ACHCHI NAHIN HAI KYON KEY URDU NAHIN PADHA HAI...CHUNKEY GHAR MEIN BATAIN URDU MEIN HOTI HAIN ISS WAJAH KAR KUCH URDU KEY ALFAAZ AATEY HAIN..

  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: June 15, 2010, 01:07:43 PM »
Reply with quote
{b]Bohat Achche, Ansari Ji,.

Bohat Achchi Ghazal Hai,.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #12 on: June 16, 2010, 08:05:09 AM »
Reply with quote
Dear Khamosh Aawaaz! Aap ne jis andaaz meiN hauslaafzaayee ki hai uske liye aapka shukriya ada karta hooN. Aap ne yeh jo likha hai k meri Urdu maashaallah achchhi hai to maiN is mutalliq arz karna chaahta hooN k meri Urdu ab itni bhi achchhi nahiN hai, bas asaatzah ki jutiaN seedhi karte karte kuchh thoRi bahut jaankaari ho gayi hai jo k aap sabhi ke pesh-e-nazar hai. Ye aap jaise qadrdaan hi decide karte haiN k maiN apne ashaar k ma-aarfat kis tareeque se apni baat qaarayeen ke gosh-guzaar karne meiN kaamiyaab hota hooN ya hua hooN. Aapka aik baar phir shukriya ada karta hooN aapke purmaghz tehreeroN ke liye.

(Waquif Ansari)

bahut khoob waquif sahab.........aapki ki urdu to MASHAALLAH ALA DARJEY KI HAI

 BHAI MAINEY AAPKI DOOSRI GHAZLEN BHI PADHI HAIN .....WAQAI SAARI APNEY AAP MEIN EK MOQAAM RAKHTI HAIN...

 MERI URDU ACHCHI NAHIN HAI KYON KEY URDU NAHIN PADHA HAI...CHUNKEY GHAR MEIN BATAIN URDU MEIN HOTI HAIN ISS WAJAH KAR KUCH URDU KEY ALFAAZ AATEY HAIN..

  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #13 on: June 16, 2010, 08:09:10 AM »
Reply with quote
Dear Azeem Saheb! Aap ne ghazal k hawaale se taareefi kalmaat se nawaaza, iska bahut bahut shukriya. Isi tarah daad-o-tehseen se nawaazte rahiye.

(Waquif Ansari)

{b]Bohat Achche, Ansari Ji,.

Bohat Achchi Ghazal Hai,.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 06:13:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer