Bin tumhaarey, ab rahaa jaataa naheen!!

by abdbundeli on December 14, 2008, 03:51:26 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1136 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Kyaa kaheyn ham? Kuchh kahaa jaataa naneen!
Bin tumhaarey, ab rahaa jaataa naheen!!

Hijra hai yah, yaa ki, qaid-e-zindagee?
Ab, akeylaapan sahaa jaataa naheen!
 
Kahaan ley pahunchey mujhey ab, naakhudaa?
Bahr mein, yoon hee bahaa jaataa naheen!

Patah hotaa? Aastaan kee khoj mein,
Usee koochey baarhaa jaataa naheen!

Gar rahey hotey yaheen par tum kaheen:
Baag yeh, kyoun lahlahaa jaataa naheen?

Koh dhhahtey reig key, hotey rawaan:
Paikar-e-dam* hoon, dhhahaa jaataa naheen!

Ab, ‘abd’, ham kyaa kaheyn? Laachaar hain!
Bahut hai, par, kuchh  kahaa jaataa naneen!!
*
Rooh kaa jism
                              - abd bundeli
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: August 25, 2009, 03:43:23 PM »
Reply with quote
MashaAllah Kya khoob likha hai.. bahoot Bahoot Pyaari Ghazal hai ABD ji.. bahoot khoob!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: August 25, 2009, 03:47:28 PM »
Reply with quote
MashaAllah Kya khoob likha hai.. bahoot Bahoot Pyaari Ghazal hai ABD ji.. bahoot khoob!
Thanks Sophi ji!
        - abd bundeli
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: August 26, 2009, 04:24:02 PM »
Reply with quote
Kyaa kaheyn ham? Kuchh kahaa jaataa naneen!
Bin tumhaarey, ab rahaa jaataa naheen!!

Hijra hai yah, yaa ki, qaid-e-zindagee?
Ab, akeylaapan sahaa jaataa naheen!
 
Kahaan ley pahunchey mujhey ab, naakhudaa?
Bahr mein, yoon hee bahaa jaataa naheen!

Patah hotaa? Aastaan kee khoj mein,
Usee koochey baarhaa jaataa naheen!

Gar rahey hotey yaheen par tum kaheen:
Baag yeh, kyoun lahlahaa jaataa naheen?

Koh dhhahtey reig key, hotey rawaan:
Paikar-e-dam* hoon, dhhahaa jaataa naheen!

Ab, ‘abd’, ham kyaa kaheyn? Laachaar hain!
Bahut hai, par, kuchh  kahaa jaataa naneen!!
*
Rooh kaa jism
                              - abd bundeli


Bohot hi Khoob Babu Ji...Dil ke behad qareeb lagi ye ghazal !!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: August 26, 2009, 04:26:22 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Abd Saheb Ji..

Bahut Hi Khoobsurat Ghazal Hai.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: August 27, 2009, 02:50:12 AM »
Reply with quote
Kyaa kaheyn ham? Kuchh kahaa jaataa naneen!
Bin tumhaarey, ab rahaa jaataa naheen!!

Hijra hai yah, yaa ki, qaid-e-zindagee?
Ab, akeylaapan sahaa jaataa naheen!
 
Kahaan ley pahunchey mujhey ab, naakhudaa?
Bahr mein, yoon hee bahaa jaataa naheen!

Patah hotaa? Aastaan kee khoj mein,
Usee koochey baarhaa jaataa naheen!

Gar rahey hotey yaheen par tum kaheen:
Baag yeh, kyoun lahlahaa jaataa naheen?

Koh dhhahtey reig key, hotey rawaan:
Paikar-e-dam* hoon, dhhahaa jaataa naheen!

Ab, ‘abd’, ham kyaa kaheyn? Laachaar hain!
Bahut hai, par, kuchh  kahaa jaataa naneen!!
*
Rooh kaa jism
                              - abd bundeli


Kyaa kaheyn ham? Kuchh kahaa jaataa naneen!
Bin tumhaarey, ab rahaa jaataa naheen!!


Wah wah waaaah... bahut bahut accha laga padkar.  Thumbs UP



Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: August 27, 2009, 02:53:33 AM »
Reply with quote

Mil kya gaye hum tum sanam, sab ko milan ye khal gaya
Kehne ko toh sab khil gaye, dil her kisi ka jal jaya

Dono sada chup the magar, dil ki lagi chup na saki
Aankhein bayan ker gayi, yu raj dil ka khul gaya

Pyar jalka diya tumne, dil per asar hona hi tha
Laakhon jatan karti rahi, fir b erada tal gaya

Ab laa rahi hai rang vo, pichle janam ki dosti
Ab her gadi ka saat hai, jalta rahe jo jal gaya

Ker yaad vo wada zara, tha jo kabhi humne milkar kiya
Gar chah na hoti tujhe mujhse, kyu fir yahan mil gaya?

 Usual Smile
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: August 27, 2009, 04:04:55 AM »
Reply with quote
Bohot hi Khoob Babu Ji...Dil ke behad qareeb lagi ye ghazal !!
Thanks a lot, Celmira!
             - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: August 27, 2009, 04:06:55 AM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Abd Saheb Ji..

Bahut Hi Khoobsurat Ghazal Hai.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Thanks a lot, khwaish ji!
             - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: August 27, 2009, 04:09:56 AM »
Reply with quote

Kyaa kaheyn ham? Kuchh kahaa jaataa naneen!
Bin tumhaarey, ab rahaa jaataa naheen!!


Wah wah waaaah... bahut bahut accha laga padkar.  Thumbs UP



Thanks a lot, Roja!
             - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: August 27, 2009, 04:23:27 AM »
Reply with quote

Mil kya gaye hum tum sanam, sab ko milan ye khal gaya
Kehne ko toh sab khil gaye, dil her kisi ka jal jaya

Dono sada chup the magar, dil ki lagi chup na saki
Aankhein bayan ker gayi, yu raj dil ka khul gaya

Pyar jalka diya tumne, dil per asar hona hi tha
Laakhon jatan karti rahi, fir b erada tal gaya

Ab laa rahi hai rang vo, pichle janam ki dosti
Ab her gadi ka saat hai, jalta rahe jo jal gaya

Ker yaad vo wada zara, tha jo kabhi humne milkar kiya
Gar chah na hoti tujhe mujhse, kyu fir yahan mil gaya?

 Usual Smile



Aaj jyoun hee gulshan-e-mahfil gayaa:
Khizaan mein bhi gul-e-gulbun khil gayaa!
Jisey paaney key liye beytaab thaa;
Justjoo thee, par, yakaayak mil gayaa!!

                          - abd bundeli
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #11 on: August 27, 2009, 04:42:38 AM »
Reply with quote
 Wah wah Abd ji and Roja ji bahut khoob,beautiful gazal,mindblowing creation.
 icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: August 27, 2009, 05:02:53 AM »
Reply with quote
Wah wah Abd ji and Roja ji bahut khoob,beautiful gazal,mindblowing creation.
 icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Thanks Madhu!
           - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: September 10, 2009, 03:02:49 AM »
Reply with quote


Aaj jyoun hee gulshan-e-mahfil gayaa:
Khizaan mein bhi gul-e-gulbun khil gayaa!
Jisey paaney key liye beytaab thaa;
Justjoo thee, par, yakaayak mil gayaa!!

                          - abd bundeli


Daur-jawani apna to aise guzer gaya
Jaise hawa ka jhonka edhar se udhar gaya..

Vo josh-e-jawani tha ek bersaat ka tufaa.n
Kuch dher uthal-puthal ki, aur fir utar gaya..
 Giggle
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 07:53:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.453 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer