{Ghazalz} App Ki Nazar!!

by Dewana_Badal on December 31, 2006, 10:01:21 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1060 times)
Dewana_Badal
Guest
Reply with quote
ham to yuN Khush the ke ek taar gariibaan meN hai
kyaa khabar thii ke bahaar uske bhi armaan meN hai

ek zarb aur bhii ai zindagii tesha-e-badast
saaNs lene kii sakat ab bhii merii jaan meN hai

maiN tujhe kho ke bhi zindaa huN, ye dekhaa tuune
kis qadar hoaslaa haare hue insaan meN hai

faasile qurb ke sholon ko havaa dete hain !
main tere shh’r se duur aur tuu mere dhyaan meN hai

sar diivaar farozaaN hai, hai abhii ek chiraaG
ai naseem-e-sahrii ! kuch tere imkaan meN hai

dil dhaRakne kii sadaa aatii hai gaahe gaahe
jaise ab bhii terii aavaaz mere kaan meN hai

khalqat-e-shah’r ke har zulm ke bawasaaf “Faraz”
haaye vo haath ke apne hii gariibaan meN hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
nazar by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
!! Nazar !! by muneeb in Shayri-E-Dard
viiraanaa thaa nazar me.n jahaa.N tak nazar ga_ii by qakhs in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
nazar ko pehchaan le wo nazar chahiye by neha17 in Shayri for Dard -e- Judai
Nazar ko Pehchaan le wo Nazar Chaiye by adnan_armaan in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dewana_Badal
Guest
«Reply #1 on: December 31, 2006, 10:03:54 PM »
Reply with quote
tujhse bicchaR ke ham bhii muqaddar ke ho gaye
phir jo bhii dar mila hai usii dar ke ho gaye

phir yuN hu’aa ke Ghair ko dil se lagaa liyaa
andar vo nafrateN thiiN ke baahar ke ho gaye

kyaa log the ke jaan se baRh kar aziiz the
ab dil se mahv naam bhii aksar ke ho gaye

ai yaad-e-yaar tujh se kareN kyaa shikaayateN
ai dard-e-hijr hum bhii to patthar ke ho gaye

samjhaa rahe the mujh ko sabhii nasehaan-e-shehar
phir raftaa raftaa Khud usii kaafir ke ho gaye

ab ke na intizaar kareN chaaragar kaa ham
ab ke gaye to kuu-e-sitamgar ke ho gaye

rote ho ek jaziira-e-jaaN ko “Faraz” tum
dekho to kitne shah’r samandar ke ho gaye
Logged
Dewana_Badal
Guest
«Reply #2 on: December 31, 2006, 10:06:03 PM »
Reply with quote
ab ke yuN dil ko sazaa dii hamne
us kii har baat bhulaa dii hamne

ek, ek phuul bahut yaad aaya
shaaKh-e-gul jab vo jalaa dii hamne

aaj tak jis pe vo shermaate haiN
baat vo kab kii bhulaa dii hamne

shah’r-e-jahaaN raaKh se aabaad huaa
aag jab dil kii bujhaa dii hamne

aaj phir yaad bahut aaya vo
aaj phir us ko du’aa dii hamne

ko’ii to baat hai us meN “Faiz”
har Khushii jis pe luTaa dii hamne
Logged
Dewana_Badal
Guest
«Reply #3 on: January 02, 2007, 11:02:00 AM »
Reply with quote
apani rusawaye tere naam ka charcha dekhaun
ek zara sher kahoun aur main kyaa kyaa dekhoun

nend aa jaaye to kya mahafilien barpa dekhoun
ankh khul jaaye to tanhaaye ka sahara dekhoun

shaam bhi ho gay dhundhala gaye ankhain bhi meri
bhuulanewaale main kab tak tera rasta dekhoun

sab zidein us ki main puuri karoun har baat sunoun
ek bachche ki tarah se usay hansta dekhoun

mujh pe chha jaaye wo barasaat ki Khushbu ki tarah
ang ang apanaa usi rut mein mahakataa dekhoun

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
je mein aataa hai koi aur bhi tujh saa dekhoun

main ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar
Khwaab ban kar teri ankhoun main utarataa dekhoun

tu meraa kuchh nahi lagataa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyoun tere liye dil ko dhadakata dekhoun


{Parveen Shakir}
Logged
Dewana_Badal
Guest
«Reply #4 on: January 02, 2007, 11:09:27 AM »
Reply with quote
Dost ban kar bhi nahi saath nibhanaywala
wahi andaaz hai zaalim kaa zamaanaywala

ab ise log samajhate hain giraftaar meraa
saKht nadim hai mujhe daam main laanaywala

kyaa kahain kitane maraasim the hamaare os se
wo jo ek shaKhs hai muonh pher ke jaanaywala

tere hote hue aa jaaty thy saary duniyaa
aaj tanhaa houn to koi nahi aanaywala

muntazir kis kaa houn Toothi hoe dahaleez pe main
kaun aayegaa yahaun koon hai aanaywala

main ne dekhaa hai bahaaroun main chaman ko jalate
hai koi Khwaab kii taabeer bataanaywala

kyaa Khabar thi jo meree jaan main ghulaa hai itanaa
hai wahi mujh ko sar-e-daar bhi laanaywala

tum taqalluf ko bhi ikhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahain har haath milaanaywala


{Ahmad Faraz}
Logged
Dewana_Badal
Guest
«Reply #5 on: January 02, 2007, 11:18:31 AM »
Reply with quote
sunaa hai log use ankh bhar ke dekhate hain
so us ke shahar main kuchh din Thahar ke dekhate hain

sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haaloun se
so apane aap ko barbaad karake dekhate hain

sunaa hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki
so ham bhi us ki gali se guzar kar dekhate hain

sunaa hai us ko bhi hai sher-o-shaayarii se shagaf
so ham bhi mojaze apane hunar ke dekhate hain

sunaa hai bole to baatoun se phuul jhaartay hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hain

sunaa hai raat use chaand takataa rahataa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hain

sunaa hai hashr hain us kii Gazaal si aankhein
sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hain

sunaa hai din ko use titaliyaan sataati hain
sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hain

sunaa hai raat se barr kar hain kaakulein us ki
sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hain

sunaa hai us ki siyaah chashmagi qayaamat hai
so us ko surmaafarosh aankh bhar ke dekhate hain

sunaa hai us ke laboun se gulaab jalate hain
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hain

sunaa hai aainaa tamasaal hai jabiain us kaa
jo saadaa dil hain ban saanvar ke dekhate hain

sunaa hai jab se hamaail hain us ki gardan main
mizaaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhate hain

sunaa hai chashm-e-tasawar se dasht-e-imkaan main
palang zaave us ki kamar ke dekhate hain

sunaa hai us ke badan ke taraash aise hain
ke phuul apani qabaayen katar ke dekhate hain

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahain
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hain

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
so rahain-ravaan-e-tamannaa bhi Dar ke dekhate hain


sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makeen udhar ke bhi jalve idhar ke dekhate hain


ruke to gardishein us kaa tawaaf karati hain
chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hain

kise naseeb ke be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-diivaar ghar ke dekhate hain

kahaaniyaan hian sahi sab mubaalaGe hi sahi
agar wo Khvaab hai taabeer kar ke dekhate hain

ab us ke shahar main Thaharein ki kuuch kar jaayein
'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hain


{Ahmad Faraz Ji}
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: January 02, 2007, 11:25:09 AM »
Reply with quote
Very Nice collections....The ghazal by Parveen Shakir is one my favourites.....!!!
Logged
Dewana_Badal
Guest
«Reply #7 on: January 02, 2007, 11:31:21 AM »
Reply with quote
Thankz 4 Readin ji yeh ghazal oun ke popular gazalz mein se aik hai!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 17, 2024, 05:37:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer