Ghäzälz

by Dewana_Badal on August 21, 2005, 12:55:35 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2557 times)
Dewana_Badal
Guest
Reply with quote
JAB TASSVUR MERA CHUPKE SE TUJHE CHHOO AAYE,
APNI HAR SAANS SE MUJHKO TERI KHUSBOO AAYE !

MASHGALA AB HAI MERA CHAAND KO TAKTE REHNA-2,
RAAT BHAR CHAIN NA TUJH BN KISI PELHOO AAYE !

GHANTIYAN BAJANE LAGEN HIZAR KE SANATTE MEIN-2,
GUNGUNATA HUA AISE MAIN AGAR TU AAYE !

JAB KABHI GARDISHEN-DOURAN NE SATAYA MUJKO-2,
MERE ZANIB TERE PHAILE HUE BAAJU AAYE !

JAB TASSVUR MERA CHUPKE SE TUJHE CHHOO AAYE-2,
APNI HAR SAANS SE MUJHKO TERI KHUSBOO AAYE !

(Ghulam Ali)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
!!Ghäzälz!! by Dewana_Badal in Ghazals
Dewana_Badal
Guest
«Reply #1 on: August 21, 2005, 01:04:22 PM »
Reply with quote
Tum na maano magar haqiqat hai
Ishq insaan ki zaroorat hai

Kuch to dil mubtala-e-vehshat hai
Kuch teri yaad bhi qayaamat hai

Mere mehboob mujh se jhuth na bol
Jhuth surat-e-sar sadaaqat hai

Jee rahaa hooN is etmaad ke saath
Zindagi ko meri zaroorat hai

Husn hi husn jalve hi jalve
Sirf ehsaas ki zaroorat hai

Us ke waadoN pe naaz the kyaa kyaa
Ab dar-o-baam se nadaamat hai

Us ki mehfil main beth kar dekho
Zindagi kitani khubsurat hai

Raasta kut hi jaayega 'Dewana_Dil`
Shuq-e-manzil agar salaamat hai .!!
Logged
Dewana_Badal
Guest
«Reply #2 on: August 21, 2005, 01:07:00 PM »
Reply with quote
Ab Ke Ham Bichhrein Tou Shayaad Kabhi Khwabon Mein Mile
Jiss Tarha Sukhhein Houe Phoul Kitaabon Mein Mile
Ab Ke Ham Bichhrein Tou Shayaad

Dhundh Ujre Houe Logo Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumqeen Hain Kharaabon Mein Mile
Ab Ke Ham Bichhrein Tou Shayaad

Tu Khuda Hain Na Mera Ishq Farishton Jeisa
Dono Insaan Hain Tou Kyun Itni Hijaabon Mein Mile
Jiss Tarha Sukhhein Houe Phoul Kitaabon Mein Mile
Ab Ke Ham Bichhrein Tou Shayaad

Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-Yaar Mein Shamil Karlon
Nasha Badhta Hain Sharaabein Tou Sharaabon Mein Mile
Ab Ke Ham Bichhrein Tou Shayaad

Ab Na Wo Main Houn Na Tu Hain Na Wo Mazi Hain "Faraaz"
Jeise Dou Saaye Tamanna Ke Saraagon Mein Mile
Jiss Tarha Sukhhein Houe Phoul Kitaabon Mein Mile
Ab Ke Ham Bichhrein Tou Shayaad**

*Singer: Mehdi Hassan **
*Writer: Ahmed Faraaz **
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: August 21, 2005, 01:54:32 PM »
Reply with quote
nice Gazals Dewana ji................i just luv the 3rd one
Logged
Dewana_Badal
Guest
«Reply #4 on: August 21, 2005, 04:15:04 PM »
Reply with quote
Shukriya Ghazals pasand karne ka Nikki



umeedon ke chiraag raahon mein jalaye rakhna
raat lambi hi sahi hauslon ko jagaye rakhna

kisi ko muqamal jahan milta nahin dunia mein kabhi
mohabbat ki tasveeron se ghar ko sajaye rakhna

aankhon ke raaste dil bhi churaye jaate hai
hasinaon se jab milo nazron ko jhukaye rakhna

khanakte hue jaam aksar chalak bhi jaate hai
hanso khul kar magar ashkon ko chupaye rakhna

jab aate hai aatish-fishaan* kohraam macha dete hai
gam ke angaron ko seene mein dabayein rakhna

patjhar mein gir jaye wo patte ham nahin "Dewana_Dil"
muflisi ke daur mein bhi asmat* ko bachaye rakhna


aatish-fishaan=volcano,jwalamukhi
asmat=Majesty,Bigness
Logged
Dewana_Badal
Guest
«Reply #5 on: August 22, 2005, 10:50:12 AM »
Reply with quote
Gam ke andheron mein ummid ka chirag na jalaya hota
behtar kal ka khawab kaash aankhon mein na sajaya hota

toote sapnon ke kaanch ab chubhte hai nigaahon mein
hanste hue pholon se hamne dil na lagaya hota

har dastak par gumaan hota hai tanhaiyon ke tootne ka
mere naam se paigaam koi ghar mere na aaya hota

khaare lagte hai wo aansoo jo jaam the tanhaiyon ke
mehfilon ki rangeenion ne dil na lubhaaya hota

ek arsa guzar chala sukoon se soe hue "Dewana_Dil"
waqt ki kadamposhi ne mujhe neend se na jagaya hota....
Logged
Dewana_Badal
Guest
«Reply #6 on: August 25, 2005, 12:36:24 AM »
Reply with quote
tere hote hue mahafil me.n jalaate hai.n chiraaG
log kyaa saadaa hai.n suuraj ko dikhaate hai.n chiraaG

apanii maharuumiyo.n pe sharmindaa hai.n
Khud nahii.n rakhate to auro.n ke bujhaate hai.n chiraaG

bastiyaa.N chaa.Nd sitaaro.n pe basaane vaale
kurraa-e-arz bujhaate jaate hai.n chiraaG

kyaa Khabar hai un ko ke daaman bhii bha.Dak uThate hai.n
jo zamaane kii havaao.n se bachaate hai.n chiraaG

aisii taariikiiyaa.N aa.Nkho.n me.n basii hai.n 'Faraz'
raat to raat ham din ko jalaate hai.n chiraaG
Logged
jugnu
Guest
«Reply #7 on: August 29, 2005, 09:47:05 AM »
Reply with quote
thank u so much DIWANA JI for sharing this beautiful ghazals with us.
Logged
Dewana_Badal
Guest
«Reply #8 on: September 05, 2005, 01:17:22 AM »
Reply with quote
U Most Welcome Sir Bas App Dosto ki Muhobbatin hain Jab Time Milta hai tu Ghazalz App Friendz K SAth Share karlay tay hain!!!



raat ki neendain to pehle hi ura kar le gaya
reh gayi thi aarzoo so wo bhi aa kar le gaya

titliyaan aayain gi kaya ab kaanch ke guldaan par
phool jitne the wo baalon main saja kar le gaya

din nikalte hi wo khawabon ke jazeere kaya huwe
subha ka sooraj meri aankhain chura kar le gaya

door se dekhoon to yeh dariya hai paani ki lakeer
moj main aaya to yeh janghal baha kar le gaya

us ne to in motiyon par khaak bhi daali naheen
aankh ki thaali main dil,aansoo saja kar le gaya

ghor se dekha to dil ki khaak tak baaqi na thi
mujh ko dawa tha ke main sab kuch bacha kar le gaya

sab ko apni hasraton ki talkhiyaan yaad aa gayeen
rang chehron ka wo tasweerain dikha kar le gaya
Logged
Dewana_Badal
Guest
«Reply #9 on: September 05, 2005, 01:24:32 AM »
Reply with quote
Dil ke sanaton mein rahney waaley, tanha tum hi nahin
Tanhai se batein karney waaley, tanha tum hi nahin

Is ishq ne barbaad kiya hai har shaks ko yahan
Is ishq mein bikharney waaley tanha tum hi nahin

Kehne ko toh faqat ek dil hi toota hai
apna sabb kuch lutanaey waaley, tanha tum hi nahin

Hastey hoey chehrey hain yahan sabb key,
Dard yun chupaney waley, Tanha tum hi nahin

Shab-e-tanhai ki dastan ek se hai sabb ki,
Andheron mein roney walay, tanha tum hi nahin

Aesa lagta hai hai ek saza ho zindage mere,
Is qaid mein rahney waley, tanha tum hi nahin

Is shehar mein or bhi deewaney hain Dewana_Dil
Darr darr bhatakney walay, tanha tum hi nahin....
Logged
Dewana_Badal
Guest
«Reply #10 on: September 05, 2005, 02:24:33 AM »
Reply with quote
aaj ham Bechrey hain to Kitne rangiile ho gaye
mere Aankhen surKh tere haath piile ho gaye

kab kii patthar ho chukii thii muntazir aaNkhen magar
chuu ke dekhaa to mere haath giile ho gaye

jaane kyaa ehasaas saaz-e-husn kii taaron mein hain
jin ko chhuute hi mere naGmein rasiile ho gaye

ab koii ummiid hai "Dewana_Dil" na ko_ii Arzoo
aasare TuuTe to jiine ke vasiile ho gaye
Logged
Dewana_Badal
Guest
«Reply #11 on: September 05, 2005, 03:59:25 AM »
Reply with quote
tum merii aaNkh ke tevar na bhulaa paaoge............
   ankahii baat ko samajhoge to yaad aauuNgaa...........

   ham ne Khushiyon kii tarah dukh bhii ikaTThe dekhe...
   safaah-e-ziist ko palaToge to yaad aauuNgaa..........

   isii andaaz mein hote the muKhaatib mujh se..........
   Khat kisii aur ko likhoge to yaad aauuNgaa...........

   sard raaton ke mahakate hue sannaaTon mein...........
   jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aauuNgaa.........

   ab tere ashk main honThon se churaa letaa huuN.......
   haath se Khud inhen ponchhoge to yaad aauuNgaa.......

   shaal pahanaayegaa ab kaun disambar mein tumhein.....
   baarishon mein kabhii bhiigoge to yaad aauuNgaa......

   aaj tum mahafil-e-yaaraaN pe ho maGaruur bahut.......
   jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aauuNgaa........

   haadase aayenge jiivan mein to tum hoke niDhaal......
   kisii diivaar ko thaamo ge to yaad aauuNgaa..........

   is mein shaamil hai merii Waqat kii taariikii bhii...
   tum siyaah rang jo pahano ge to yaad aauuNgaa........

   (Wasi Shah)
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #12 on: September 15, 2005, 09:24:47 AM »
Reply with quote
Wah deewana baadal ji,thanx a lot fo sharing these excellent ghazals with us.
Logged
raj_sensitive
Guest
«Reply #13 on: October 14, 2005, 03:36:02 PM »
Reply with quote
kyooN dareN zindagi meiN kya hoga
kuch na hoga tho tazurBa hoga

haNsti aankhoN meiN jhaaNk kar dekho
koi aaNsoo kahin chupa hoga
     
in dinoN na ummeed sa hooN maiN
shaayad usne bhi ye suna hoga

dekhkar tumko sochta hooN maiN
kya kisi ne tumheN chua hoga
Logged
Jai
Guest
«Reply #14 on: November 16, 2005, 06:54:26 AM »
Reply with quote
khaa kar zaKhm duaa di ham ne
bas yuu.N umr bitaa dii ham ne

raat kuchh aise dil dukhataa thaa
jaise aas bujhaa dii ham ne

sannaaTe ke shahar me.n tujh ko
be-aavaaz sadaa dii ham ne

dekh ke jis ko dil dukhataa thaa
vo tasviir jalaa dii ham ne

aa "Shehzad" tujhe samajhaaye.n
kyuu.Nkar umr ga.Nvaa dii ham ne

-----Farhat Shehzad
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 17, 2024, 04:09:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer