Guldasta-e-Ghazal.....

by punam on June 24, 2008, 10:20:52 AM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4102 times)
punam
Guest
Reply with quote
Hi all kuch Ghazals yehan post kar rahi hun...
jo mujhe behad pasand hai...
kuch aise hai inme jiske author ka Naam mujhe pata nahi...
main yeh chahungi agar kisi ko pata hoga plz bataye...thanx..
punam....


Hayate maut ke parde girake
tumhe dekha hai,tumse bhi chipake.

Mujhe tadpa rahe hain yaad aake,
o lamhate hasi,ahade wafa ke.

wahan daman ko uljhaye huye hun,
gujarna tha,jahan daman bacha ke.

meri khudariyon ki laaz rakh li,
main sadke es dile-bemuddaa ke.

teri mehefil me khali haath aaye,
kisi umeed par sab kuch loota ke.

khayalon me tera anchal ko dekha,
sitare jab bhi chatke muskura ke.

khabar bhi hai tujhe ye jane "maykas"
fhasane ban gaye har-har ada ke.

by-Masud maikas muradabadi...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
GHAZAL by muneeb in Shayri-E-Dard
2 GHAZAL by muneeb in Shayri-E-Dard
Eik Ghazal by A K Khan in Ghazals « 1 2  All »
ghazal by mudassirali in Ghazals
a ghazal by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
punam
Guest
«Reply #1 on: June 24, 2008, 10:24:31 AM »
Reply with quote
Gardd kaisi hai ye dhuvan sa kya
ja raha hai ,wo karvan sa kya.

Ho gaya koi meharvan sa kya,
Ranj ka bandh gaya sama sa kya.

tak rahe hain khala me ham kisko
ban raha hai wo ek nesha sa kya.

bastiya, kab ki ho chuki barbad,
dil ko gam fhir bhi nigha sa kya.

silsila kuch udsiyon ka bhi,
jagmagata hai kahakasha sa kya.

Ham bhi ache hain,dard bhi kam hai,
Dil se utha magar ye dhuvan sa kya.

Ye mohabbat hai ya koi tilishm,
picha karta hai ek guma sa kya...


By-Ahamad Hamdani...
Logged
punam
Guest
«Reply #2 on: June 24, 2008, 10:27:10 AM »
Reply with quote

आँखों के इंतज़ार का दे कर हुनर चला गया,
चाहा था एक शख़्स को जाने किधर चला गया।

दिन की वो महफिलें गईं, रातों के रतजगे गए
कोई समेट कर मेरे शाम-ओ-सहर चला गया।

झोंका है एक बहार का रंग-ए-ख़याल यार भी,
हर-सू बिखर-बिखर गई ख़ुशबू जिधर चला गया।

उसके ही दम से दिल में आज धूप भी चाँदनी भी है,
देके वो अपनी याद के शम्स-ओ-क़मर चला गया

कूचा-ब-कूचा दर-ब-दर कब से भटक रहा है दिल,
हमको भुला के राह वो अपनी डगर चला गया।–


हर-सू = In all directions
शम्स-ओ-क़मर = Sun and Moon

BY-HASAN KAMAAL
Logged
punam
Guest
«Reply #3 on: June 24, 2008, 10:29:07 AM »
Reply with quote
koi aansu mere daman pay gira kar to dekho,
main pathar nahi hoon mujhay chuu kar to dekho......

tere qadmon ki aahat say dharkta hai dil,
main zinda hoon kabhi mujhay hila kar to dekho........

phool bankay bichh jaounga tumhari rahhon main,
ek baar mujhay seenay say laga kar to dekho......

bhool jaogay tum dunia bhar ki ronako ko,
kabhi mere soonay ghar main aa kar to dekho......

mehak utthogay tum gulaab ki tarha dekhna,
kisi roz mujhay apnay tan say laga kar to dekho.....

ho jaogay tum komal say pawan or nirmal,
kabhi mere aasuon main naha kar to dekho.......

door kar doonga main andhray teri zindagi kay,
deye ki tarha kabhi mujhay jala kar to dekho......

ham ko dee hai jo tunay pyar bhari dunia,
kabhi fursat milay to us main aa kar to dekho......


By - Unknown...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 7 hours and 48 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19909
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: June 24, 2008, 07:22:45 PM »
Reply with quote
Nice Collecttions,.
Waise Main Bhi shameel Hona Chahoonga,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 7 hours and 48 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19909
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: June 24, 2008, 07:29:48 PM »
Reply with quote
Banaa Gulaab to Kaante Chubhaa Gaya Ek Shaks,.
Hua Chiraag to ghar hi Jalaa Gaya Ek shaks,.

Tamaam Rang Mere, aur Saare Khwaab Mere,.
Fasaana kehke Fasaana Banaa gaya ek shaks,.

Main Kis hawaa Mein Uroon Kis Fizaa Mein Lehraaoon,.
Dukhon Ke Jaal Har soo Bichaa Gaya ek shaks,.

Palat sakoon Main Na aage bard sakoon Jis par,.
Mujeh ye Kaunse Raaste Lagaa Gaya Ek shaks,.

Mohabbatein Bhi Ajeeb uski, Nafratein Bhi Kamaal,.
Meri Tarah Ka Hi Mujhme Samaa Gaya Ek Shaks,.

Khulaa Ye Raaz ke Aaina Khaana Hai Duniya,.
Aur is Mien Mujhko Tamaasha Banaa gaya Ek shaks,.

_____________________________-Obaid Ulla Aleem-
Logged
punam
Guest
«Reply #6 on: June 24, 2008, 09:20:57 PM »
Reply with quote
Nice Collecttions,.
Waise Main Bhi shameel Hona Chahoonga,.


kyun nahi bhaiya...hume khushi huyi aap yehan aaye aur kuch share kiye...Thanx ...
Logged
punam
Guest
«Reply #7 on: June 24, 2008, 09:21:46 PM »
Reply with quote
Tum meri yaad ho mere pass ao tou koi baat bane
Tum meri jaan ho yoon zindagi mein ao tou koi baat bane

Tumhari yaad mein guzra har lamha mere din ko mehkata hai
Khushboo banke meri sanson ko mehkao tou koi baat bane

Mein duniya ki nahi karti parwah tumko jab yaad karti hoon
Kabhi tum bhi ruswayion ko gale se lagao tou koi baaat bane

Raqeebon ko tumhare bare mein yoon batana accha nahi lagta
Kabhi khud bhi aao mere haal pe hans jao tou koi baat bane

Kabhi roothi nahi hoon tumse mein iss tarhan se ke
Mein tumse rooth jaoon aur tum mujhko manao tou koi baat abne

Humesha khuda se hi tumko manga hai sham-o-seher
Dua ko haath uthayein saamne tumhe payein tou koi baat bane

Qalam rukta nahai hai yaad ka darya beh jata hai
Kabhi tum bhi iss mein doob jao tou koi baat bane...


By : Unknown...
Logged
punam
Guest
«Reply #8 on: June 24, 2008, 09:24:26 PM »
Reply with quote
Hai ye Dil main abo-tab tujhe dekhne ke baad
ruthe hain mere khawab, tujhe dekhne ke baad

dekha na tha tujhe, to sikwe hajar the,
sab bangaye hubab, tujhe dekh ne ke baad.

Jeene ki rahgunjar me kitne gunah the,
rub kuch hai ab sabab, tujhe dekh ne ke baad.

Dekha na tha tujhe , to kuch bhi nahi thi main,
ab main hun lajabab, tujhe dekhne ke baad...


by-Vina sahin...
Logged
punam
Guest
«Reply #9 on: June 26, 2008, 03:06:52 PM »
Reply with quote
Mai Zehni tor per Khood ko zara Tayyar kar loongi
Bichar jane se kuch pehley HAMDAM bata dena

Tumhari ye Shararat aaj tak naqsh hai Dharkan per
Dabe paoon chale ana, Mera Jhumka hila dena

Phir is k baad jis paas b jao, ijazat hai
Mujhe ek baar apne Naam ki Mehndi laga dena

Faqat itna kaha tha na?.. Mujhe kuch Roshni dedo
Tumhein kis ne ye Bola tha, Meri Basti jala dena

Jise Barish k paani mai baha ker Muskhurate the
Mujhe Kagaz ki wo Kishti zara phir se bana dena

Umar bhar phir Tumhara Rasta takne se acha hai
Ke Tum jane kuch pehley Meri Aankhien bhuja dena

Tumhein is baar Khatt mai faqat ye Baat likhni hai...


By- unknown....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 7 hours and 48 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19909
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: June 27, 2008, 07:58:12 PM »
Reply with quote
Shukriya sis,.
and Nice Sharing,. Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 7 hours and 48 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19909
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: June 27, 2008, 08:01:12 PM »
Reply with quote
guzre dinon ki yad barsati ghata lage
guzrun jo us gali se to thandi hawa lage

mehman banke aye kisi roz agar wo shakhs
us roz bin sajaye mera ghar saja lage

main is liye manta nahin wasl ki khushi
mere raqib ki na mujhe baddua lage

wo qahat dosti ka para hai k in dinon
jo muskura k bat kare ashna lage

tark-e-wafa k bad ye us ki ada 'Qateel'
mujhko sataye koi to us ko bura lage,.

_________________________-Qateel Shifaai-
 
 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: June 27, 2008, 08:33:42 PM »
Reply with quote
nice sharing Punam and Lil Bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 7 hours and 48 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19909
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: June 27, 2008, 09:02:38 PM »
Reply with quote
Shukriya Didi jaan,.
Logged
punam
Guest
«Reply #14 on: June 30, 2008, 12:46:42 PM »
Reply with quote
Thanx Pooja di and Azeem bhai...
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
June 09, 2026, 06:38:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[June 05, 2026, 08:07:29 PM]

[June 05, 2026, 08:06:14 PM]

[June 05, 2026, 08:05:07 PM]

[May 31, 2026, 04:57:41 PM]

[May 31, 2026, 04:55:56 PM]

[May 31, 2026, 04:55:21 PM]

[May 31, 2026, 04:28:57 PM]

[May 31, 2026, 04:26:17 PM]

[May 31, 2026, 04:23:56 PM]

[May 31, 2026, 04:21:16 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8522 Real Poets and poetry admirer