kaash koi to hota

by abdulqadeer on May 18, 2008, 07:36:50 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1094 times)
abdulqadeer
Guest
Reply with quote
1.   Main Jis Kay Dil Ki Kitab Banta
Main Jis Ki Chahat Ka Khawab Banta
Main Hijar Mosam Ki Lambi Raaton Main Yaad Ban Kar Azaab Banta
Koi To Hota?
Jo Meri Khwaish Main Uth Kar Raaton Ko Khoob Rota
Dukhon Ki Chadar Lapait Kar Hajoom Duniya Say Door Hota
Main Rooth Jaata Manata Mujh Ko Kay Chahe Mera Kasoor Hota
Koi To Hota?
Jo Mujh Ko Dil Ka Karar Kehta
Ragoo Ka Apni Fishar Kehta
Udaas Mosam Main Tazgi Ki Biyar Ban Kar
Jo Meri Bahoon Ko Arzoo Ka Diyar Kehta
Koi To Hota?
Dua Say Apni Jo Dukh Bhi Meray Samait Leta
Woh Iss Jahan Say Ghamon Ka Meray Hisab Leta
Woh Sari Duniya Ki Rafaqaton Kay Tamam Rishtay
Koi To Hota?
Main Jis Kay Itna Kareeb Hota
Na Paas Koi Rakeeb Hota
Main Tanha Uss Ka Habbib Hota
Yeh Silsila Bhi Ajeeb Hota
Koi To Hota? Aye Kaash
Koi To Hota?
                                  abdul qadeer from dubai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kaash ke mujh sey bhi kisiko pyar hota by sarafz in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kaash main tere haath ka rumaal hota by KaMaL in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 5 »
kaash koi hota........ by ankit20 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 11 12 »
KAASH MAIN PAANI HOTA by majid in Shairi for Manzar -e- Kudrat « 1 2  All »
Kaash pyaar kiya hi na hota !!! by muskaan.hir in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #1 on: May 18, 2008, 04:42:07 PM »
Reply with quote
Abdul Qadeer Ji.

At this site, we always appreciate original poetry. Please write the poet's name or else NOT MINE when you post other people work. It is small way of appreciating the original poets and giving them due respect.

Thanks,

Yoindia Monitor Celmira
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #2 on: May 19, 2008, 12:50:25 PM »
Reply with quote
jo chiz dil ko chu le wo apni kya aur parai kya .. dil ke jazbath ko bayan karne ke liye sirf ahesaas chahiye alfaaz nahi..CELMIRA JI.waise bhi maine kabhi kissi ki shahyari ko apna naam nahi diya..abhi apne dil ke ahesaas ko alfazoon me zahir karte howe bhi dar lagne laga hai..chalo fir milte hai..bye bye
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: May 19, 2008, 02:15:35 PM »
Reply with quote
Sorry, my intention was not to hurt your feelings. We just follow rules to encourage people to write on their own.

I apologize if it was your own work.

I wrote this because I found this poem on my other sites with many other names..over a period of a couple of years.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #4 on: May 21, 2008, 04:35:20 AM »
Reply with quote
isme sorry wali kaunsi bath hai..apne ne khuch hurt nahi kiya mujhe jisne hurt kiya hai wo anjaan bane baithe hain..waise app bhi khuch likhiye na.. kal rath ko maine eak sher likha hai..suno..agar acha lage to reply karna..

tufanoo me diye jala-a-baithe ho..
aur hawaoon se dosti ki umeed laga-a-baithe ho..
khuch to apne bare me suncho qadeer..
kyoon pather ko moom banane baithe ho..

                                      abdul qadeer from dubai
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: May 21, 2008, 09:31:35 PM »
Reply with quote
Really nice one !

Ummeedon ka diya, bujhta nahin toofanon main
Mit jaane ka junoon milta hai deewaanon main
Shama-e-Ishq se pathar mom ho jaate hain
Aur bahaar aa jaati hain veeranon main !

Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #6 on: May 22, 2008, 09:14:42 AM »
Reply with quote
bahoth qoob ji ..ap tu mashallah ache shayar hain
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: May 30, 2008, 10:25:13 AM »
Reply with quote
Shukriya Qadeer sb ! Par main shayar nahin, Shayara hoon ! Usual Smile
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #8 on: May 31, 2008, 05:58:30 AM »
Reply with quote
thik hai shayara ji..aur sunao app kahan ki rahene wale hain..hum dubai me rahete hain aj kal tanha hai bus zindagi kaatne ko daodti hai..apno yaad karna aur unke liye tadapna yahi kaam rahegaya hai abhi..kahne to zindagi hai..agar yahi zindagi hai to kya hai zindagi..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 12:31:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer