Khud ko bhi azmaya karo

by qadeer_junaid on April 13, 2010, 06:25:20 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3847 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Khud ko bhi aazmaya karo !!
Ruq-a-aaina ho jaya karo !!

Hamare piche hi kaho ge fasane hamare !!
Kabhi aamne samne bhi aya karo !!

Badal do ye riwayaten apni !!
Hamare zabt ko na aazmaya karo !!

Maana ke tum hi munsif ho magar !!
Saza ka maqsad bhi samjhaya karo !!

Mai aunga to sub baha le jaunga !!
Samandar ko yun na bulaya karo !!

Bhed sare khul jayenge raushni ke !!
Kissi ke rah me charag to jalaya karo !!

Zindagi ka matlab bus itna raha !!
Hasso aur sub ko hasaya karo !!

Ye mooti hain pakiza sadaf ke qadeer !!
Bewajha na khud ko rulaya karo !!


________ Qadeertoopchi
 
 
 
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KHUD KO KHUD SE JUDA KARTI CHALI GAI by deepika_divya in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Apney khud key haseen khwaab sey pardah na karo! by abdbundeli in Ghazals
khud khud se pareshaan mein by guhar in Shayri-E-Dard
~*~ Na itna azmaya kar ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Khud Bhi Aa Jaya Karo....(Adab) by drpandey in Shayri for Khumar -e- Ishq
Guard
Guest
«Reply #1 on: April 13, 2010, 06:31:12 PM »
Reply with quote
Qadeertoopchi ji, bahut achha likhte ho lekin rawangi ya flow mein kami hai. Meter mein bhi nahi likha hai. Albatta ashaar ke misron mein rabt achha hai.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #2 on: April 13, 2010, 06:53:44 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Qadeertoopchi ji, kaash behar per gaur kar dete to maza aa jata..khayal bahut umda hai, zameen bhi achhi hai...
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #3 on: April 13, 2010, 06:55:57 PM »
Reply with quote
Qadeertoopchi ji, bahut achha likhte ho lekin rawangi ya flow mein kami hai. Meter mein bhi nahi likha hai. Albatta ashaar ke misron mein rabt achha hai.

janab a mann gaurd sahab , bilkul sahi farmaya apne .. mai bahr me nahi kaheta hon ,, apki baath se itefaq is liya bhi dikha raha hon ke shayari me maslihat nahi chalti .. jo jis tarha se sunchta hai ussi tarha kahe leta hai mere mamula bhi khuch aise hi hai .. ap isko mahefil ki nazaqath kahiye ya meri majboori baath juda nahi ,, zara taqti kariye , ye fir kissi zameen pe laiye .. to baath aage bade .. bade din howe islaah liye howe .. eak baath yaadh aayi jis jage jao wahin ke pairahan  me jao .. ye fir usse haqeeq , umid hai wahin se pakdenge jahan se kahene ki koshish ki gayi hai ..

talib a ilm o qair andesh ..

qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #4 on: April 13, 2010, 07:18:43 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Qadeertoopchi ji, kaash behar per gaur kar dete to maza aa jata..khayal bahut umda hai, zameen bhi achhi hai...

sahi farmaya janab ne ,, ap hi sikha den bahr kiss chidiya ka naam hai .. waise huzoor a wala mai ne aaj tak taqti nahi ki , kyun ke shayari bada hi pakiza aur khubsurath jazba hai , jis simt me baheta ho jaata wahin hai jahan jaana hota hai .. ap samjh gaye honge .. qair me bahr me kamm hi likh pata hon .. wo kissi ne qoob kaha hai ..

humne laho thos diya ghazal kahene me ........



allah subko khush rakhe ..

qair andesh o duwa go ..


qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #5 on: April 13, 2010, 07:21:05 PM »
Reply with quote
Aafreen Aafreen
Har Baar Ki Tarah Ek Behtareen Peshkash Qadeer Ji
Bahut Hi Umda....Mubaarq Ho...

Aapko Phir Se Yo Par Dekh Kar Khushi Hui...
Yun Hi Mehfil Ki Raunaq Afzaai Karte Rahiye...


Khush Rahiye...

~Shihab~



bahi tanhiyun se bazid ho gaye the .. ab dayar a gair me yahi to kaam hain ,, qair meri maujodgi se kissi ko khushi ho  ..ye meri bhi to khushnasibi hai .. allah apko khush rakhe .. dad ke liye shukriya..

qadeertoopchi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: April 14, 2010, 06:29:24 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Bahut Khoob Qadeer Bhai..

Bahut Hi Khoobsurat Aur Dil Ko Chuu Jane Wali Ghazal Pesh Ki hai Aapne..Bahut Ache..
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #7 on: April 14, 2010, 07:05:15 AM »
Reply with quote
Wah wash Qadeer Sb. bahot khubsurat likha hai. Bade khoobsurat andaaz mein aapne apna kalaam pesh kiya hai. Daad qubool farmayen.
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #8 on: April 14, 2010, 08:14:02 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Bahut Khoob Qadeer Bhai..

Bahut Hi Khoobsurat Aur Dil Ko Chuu Jane Wali Ghazal Pesh Ki hai Aapne..Bahut Ache..


apki pakiza nazron ka kamal hai khawish sahab ,, baaqi to bisath hi kya hai hamari .. Karam nawazi ke liye mumno hon .. issi tarha hausla dete rahiyega .. Allah apko khush rakhe ..

Khadim ..

Qadeertoopchi
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: April 14, 2010, 08:23:41 AM »
Reply with quote
Wah wah Qadeer ji dil ko chu gayi aapke gazal.lajawab gazal pesh kiya aapne.bahut pasand aayi specially 2nd line,hamare piche hi kahoge fasane hamare
kabhi aamne saamne bhi aayaa karo.lovely creation.keep it up. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #10 on: April 14, 2010, 09:32:52 AM »
Reply with quote
bahut khoob qadir junaid ji. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


aao chalo khul ke hanse.
dheere se na muskuraaya karo.
hum rehte hain tumse milne ko bechain.
kabhi humaari gali bhi aaya karo.



Khud ko bhi aazmaya karo !!
Ruq-a-aaina ho jaya karo !!

Hamare piche hi kaho ge fasane hamare !!
Kabhi aamne samne bhi aya karo !!

Badal do ye riwayaten apni !!
Hamare zabt ko na aazmaya karo !!

Maana ke tum hi munsif ho magar !!
Saza ka maqsad bhi samjhaya karo !!

Mai aunga to sub baha le jaunga !!
Samandar ko yun na bulaya karo !!

Bhed sare khul jayenge raushni ke !!
Kissi ke rah me charag to jalaya karo !!

Zindagi ka matlab bus itna raha !!
Hasso aur sub ko hasaya karo !!

Ye mooti hain pakiza sadaf ke qadeer !!
Bewajha na khud ko rulaya karo !!


________ Qadeertoopchi
 
 
 
 
Logged
Nafseeyati_Mareez
Guest
«Reply #11 on: April 14, 2010, 10:58:24 AM »
Reply with quote
Abdul Qadeer saheb masha_allah kya kahe aapko har sher zindagi ka ek naya pehlu bayaan karta hai aur aapka tanz to bas subhan-allah, kash aisi khoobi mujhme bhi ho sakti.

Aur jaha tak ghazal bahr me hone ki baat hai to ghazal me sirf bahr nahi shero me wazan hona bhi bohat zaruri hota hai. Kaiee aise kalam jo bahr ke meyaar me poore utarte hai par un shero me wazan nahi hota. Aap jaisa likhte hai Qadeer saheb hamesha waisa hi likhe........aur dosto ki ray par bhi gaur karte rahe.

Apni baat ko thoda aur samjhane ke liye chend mash_hoor shayro ki ghazlein pesh_e_khidmat hai kya koi batayega yeh kis bahr me kahi gayee hai...


Kabhi Fursath me milke Jhanjod dooga usse
Jahan jahan se wo toota hai jood dooga usse

Pasine bat_ta firta hai suraj zamane ko
Kabhi haath jo lag jaye to nichod dooga usse

Wo mujhe chod gaya ye kamal hai uska
Zidd meri thi ke mai chod dooga usse

-Rahat Indori-

Apne haton ko wo fatwar bhi kar sakta hai !!
Hausla hai agar to nadi paar bhi kar sakta hai !!

Eak umr guzari jise dhoondne me
Moondh le aankh to didaar bhi kar sakta hai

Jaagte rahiye ke awaz lagane wala
lootne walon ko hoshiyar bhi kar sakta hai

Eak hukumat hai jo inaam bhi de sakti hai
Eak qalandar hai jo inkar bhi kar sakta hai

-Rahat Indori-

Bimar ko marz ki dawa deni chahiye
Mai pina chahata hon pila deni chahiye

Ye dil kissi faqir ke hujre se kamm nahi
duniya ko yahin laake chupa deni chahiye

mai phool hon to phool ko guldan ho naseeb
mai aag hon to aag bhuja deni chahiye

mai khwab hon to khwab ko tabeer ho naseeb
mai neend hon to neend bhaga deni chahiye

mai taj hon to taaj ko sar pe sajayen log
mai dhool hon to dhool uda deni chahiye

-Rahat Indori-

Aur to aur bahr ko tod ke bhi bahr me kaha jata hai .. yeh rahi misaal..

Dile Nadaa.N tujhe howa kya hai
Aakhir is dard ki dawa kya hai

Hum hi hain mushtaq aur wo bezar
ye ilahi ye maajra kya hai

-Mirza Ghalib-

Bohat achcha lagta hai jab hum is tarah ki guftugoo karte hai, ek dusre ki kami ko pakadte hai aur koshish karte hai ke hum ek dusre me sudhaar paida kare. Allah hum sabko sach kehne aur sach sunne ki taufeek de...AAMEEN
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: April 14, 2010, 11:23:31 AM »
Reply with quote
Khud ko bhi aazmaya karo !!
Ruq-a-aaina ho jaya karo !!

Hamare piche hi kaho ge fasane hamare !!
Kabhi aamne samne bhi aya karo !!

Badal do ye riwayaten apni !!
Hamare zabt ko na aazmaya karo !!

Maana ke tum hi munsif ho magar !!
Saza ka maqsad bhi samjhaya karo !!

Mai aunga to sub baha le jaunga !!
Samandar ko yun na bulaya karo !!

Bhed sare khul jayenge raushni ke !!
Kissi ke rah me charag to jalaya karo !!

Zindagi ka matlab bus itna raha !!
Hasso aur sub ko hasaya karo !!

Ye mooti hain pakiza sadaf ke qadeer !!
Bewajha na khud ko rulaya karo !!


________ Qadeertoopchi
 
 
 
 

Bohot hi khoobsurat ghazal hai Qadeer Bhai.....har sher behtareen....Bohot bohot khoob Bhaijan.....
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #13 on: April 14, 2010, 12:03:11 PM »
Reply with quote


    Qadeer ji bahut khoobsurat or dil ko sukoon dene wali shayari hai aapki .Har sher lajawaab hai. Mubarak ko aapko k itne ameer kism k insaan hai aap warna soch me itni gehraai har kisi ko hasil nahi hoti hai,par aapke paas to khazane malum padte hai.Bahut achha laga padh k.
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #14 on: April 14, 2010, 12:43:44 PM »
Reply with quote

    Qadeer ji bahut khoobsurat or dil ko sukoon dene wali shayari hai aapki .Har sher lajawaab hai. Mubarak ko aapko k itne ameer kism k insaan hai aap warna soch me itni gehraai har kisi ko hasil nahi hoti hai,par aapke paas to khazane malum padte hai.Bahut achha laga padh k.


Sub apki inayath hai .. Apke alfaz apki apni shiqsiyath bayan karte hain Badi hi khush mizaj baten karti hain app .. Apki karam nawazi aur tareef ko alfaz pahenana mushkil ho chala hai tamanna saheba .. yahan to sunch ka fuqdan hai Janab ..apki pakiza nazron ka kamal hai hamari kya bisath hi kya hai .. bus yunhi hausla afzai karte rahe to khuch aur kahene ko himmat mile .. Allah apko hamesha khush rakhe .. khush rahen , Abaad rahe ..


Khadim

Qadeertoopchi
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 10:56:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.235 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer