Zindagi mein aik waqt aisa bhi aata he
Aadmi sub jeet kar bhi haar jaata he.
Matla achcha hai ..           Tiflagi mein  aansuOan se sab hee rotay hein 
Per jub  aata he burhaapa khoon rulaata he!
Masha Allah kia khayaal kaha hai aapne janab.. do tarfa chali hai is khayaal ki rawaani daad daad daad 
          Aik toofaan-e-bala mere muqaabil he  
Her Qadam per do qadam peechay lay jaata he! 
Achcha hai janab daad 
          Neelgoon aankhein hein unkee ya samandar he?
In mein jo utra woh forun doob jaata he. 
Kia baat hai bahut khoob...           Kookti he shaakh-e-peepal per koi  koel 
Hook see uthtee he dil hachkolay khaata he.
Behad khoob ... Achcha raha yeH bhi.. 
          Jashn-e-may he khul ke peenay de mujhe waa-iz
maykada masjid nahi ke too   uthata he.
Bahut umdaa janab... 
          Kis kee aamad he dur-o-diwaar sajtay hein?
Koan aata he ke ye dil muskuraata he!
Waah waah waah kia khub sher kaha janab sekdoN daad ... 



          beqaraari ka bhi apna husn hota he
dharkaney dil tez chehra tamtamaata he!
Oye hoye kia baat hai ... 
          Initizaar-e-yaar mein betha hoon shab bhar se
Na woh aatay hein ne dil ko chain aata he.
Masha Allah achcha hai janab 
          gardish-e-doraa'n ka koi toe sabab ho ga?
Ghoomta he charkh  ya hum ko ghumaata he?
Kia kahne hai janab umdaa khayaal aur behad khoob bayaani... daad daad daad          dil ye kehta he ke keh day baat woh un say
Jis ko kehnay se too aksar hichkichata he!
Behad khoob janab behad sahiN farmaya aapne..
Daad daad daad 
           Choreeay mazhur lab-o-rukhsaar ke qissay
Koi soonta he inhein na ab sunaata he!
Janaab Meer Ghalib aur zokh Sahaab bhi inse parhez naa kar sakeN ... aap bhi na kariye.. 
behad khoob kalaam se nawaaza hai aapne..
Aise hi umdaa khayaaloN se aur beshkimti kalaamoN se 
Nawaazte rahiye....
Aate rahiye ... Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez....