Mere chashm e nam par se, mera ikhtiyaar hai toota.............................................Aqsh.

by aqsh on November 07, 2013, 01:58:57 PM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 2568 times)
aqsh
Guest
«Reply #30 on: November 07, 2013, 09:39:22 PM »
Reply with quote
Kabhi koi khwaab toota, toh kabhi aitbaar hai toota
Teri muhabbat meiN mera dil, baar baar hai toota

Paaya kuch bhi nahiN, teri yaadon ke daldal ke siwa
Har ek mod par bas meri, palkhon ka qaraar hai toota

Roz nikal hi jaate hain, aankhoN ke zabt aansoon
Mere chashm e nam par se, mera ikhtiyaar hai toota

Waaahhhhh Aqsh.... kyaa khoobsurat kalaam kahaa hai tumne.. bahot khoob...

 Applause Applause Applause Applause Applause

likhti raho, khush raho

Sidra
thnxxx a lotttttttt sidra..
Logged
aqsh
Guest
«Reply #31 on: November 07, 2013, 09:40:54 PM »
Reply with quote
waah waah aqsh ji.. bahut bahut aur bahut umda peshkash... dhero daad.... Usual Smile

Clapping Smiley Clapping SmileyClapping Smiley Clapping SmileyClapping Smiley Clapping SmileyClapping Smiley Clapping SmileyClapping Smiley Clapping Smiley

thnxx touhid ji...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #32 on: November 07, 2013, 09:43:05 PM »
Reply with quote
Waah waah bohut khoob aqsh ji
Lajawaab likha hai 4th ashaar khaas laga mujhe.
thnxxxxxxxxxx a lotttttttttt sahal...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #33 on: November 07, 2013, 09:46:40 PM »
Reply with quote
Kabhi koi khwaab toota, toh kabhi aitbaar hai toota
Teri muhabbat meiN mera dil, baar baar hai toota

Teri judaai ke in lamhoN ko, shumaar karte karte
Kabhi dekh bhi le kaise, mera sabr e intezaar hai toota

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

thank you soooooooo much Saru ji...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #34 on: November 07, 2013, 09:48:59 PM »
Reply with quote
Roz nikal hi jaate hain, aankhoN ke zabt aansoon
Mere chashm e nam par se, mera ikhtiyaar hai toota

khususi iss sher per ek rau qabool farmaayein aqsh ji. sara kalaam kusbsoorta hai
Applause Applause Applause Applause
Adil ji pasand karne ka bahut bahut shukriya aur rau ke liye bhi khaaaaaaas thnxxxxxxxxxx..
Logged
aqsh
Guest
«Reply #35 on: November 07, 2013, 09:51:43 PM »
Reply with quote

Aqsh Jee Aadaab...!

Kia kahne jee waaH bahut khoob, badi hi dilfareb aur khoob kalaam kahi hai aapne... kafi umdaa ahsaas O khayaal ko khoob lafz diye haiN aapne....

Is khoobsurat kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez...

aapka bahut bahut shukriya parwaaz ji...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #36 on: November 07, 2013, 09:54:08 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause

bahut hi umda.bahut daad
thnxxxxx suman ji a lot..
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #37 on: November 07, 2013, 10:23:49 PM »
Reply with quote
Roz nikal hi jaate hain, aankhoN ke zabt aansoon
Mere chashm e nam par se, mera ikhtiyaar hai toota

Tu waaqif tha ki toot jaaoNgi, main teri khamoshi se
NahiN phir bhi zaalim, tere labon ka hisaar hai toota

waah waah bahut hi khoob Aqsh jee, ye ash'aar bahut pasand aaye.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #38 on: November 07, 2013, 11:02:38 PM »
Reply with quote
Aqsh ji , khubsurat ghazal padhne ko mili .bahut achhe ashaar kahe hain . tah e dil se daad aur 1 rau .
Logged
aqsh
Guest
«Reply #39 on: November 08, 2013, 03:24:25 PM »
Reply with quote
Roz nikal hi jaate hain, aankhoN ke zabt aansoon
Mere chashm e nam par se, mera ikhtiyaar hai toota

Tu waaqif tha ki toot jaaoNgi, main teri khamoshi se
NahiN phir bhi zaalim, tere labon ka hisaar hai toota

waah waah bahut hi khoob Aqsh jee, ye ash'aar bahut pasand aaye.
Pasand karne ke liye bahut bahut shukriya Iftakhar ji....
Logged
aqsh
Guest
«Reply #40 on: November 08, 2013, 03:25:20 PM »
Reply with quote
Aqsh ji , khubsurat ghazal padhne ko mili .bahut achhe ashaar kahe hain . tah e dil se daad aur 1 rau .
aapka tah e dil se shukriya hasan ji kalaam ko pasand karne ke liye aur rau ke liye bhi bahut bahut shukriya...
Logged
srishti raj chintak
Maqbool Shayar
****

Rau: 6
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 11 hours and 21 minutes.
Posts: 595
Member Since: Feb 2013

View Profile
«Reply #41 on: November 11, 2013, 04:40:29 PM »
Reply with quote
Na jaane kyuN tere dil par kuch asar hota nahiN
Maine toh paththaroN ko bhi dekha hai pighalte hue

Kabhi koi khwaab toota, toh kabhi aitbaar hai toota
Teri muhabbat meiN mera dil, baar baar hai toota

Teri judaai ke in lamhoN ko, shumaar karte karte
Kabhi dekh bhi le kaise, mera sabr e intezaar hai toota

Paaya kuch bhi nahiN, teri yaadon ke daldal ke siwa
Har ek mod par bas meri, palkhon ka qaraar hai toota

Roz nikal hi jaate hain, aankhoN ke zabt aansoon
Mere chashm e nam par se, mera ikhtiyaar hai toota

Tu waaqif tha ki toot jaaoNgi, main teri khamoshi se
NahiN phir bhi zaalim, tere labon ka hisaar hai toota

Tere fareb ne kuch, aisa haal kiya hai “Aqsh” ka
Wafa ke shajar se ab toh, ummeedeiN bahaar hai toota

DheroN daad
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #42 on: November 12, 2013, 01:00:04 AM »
Reply with quote
Na jaane kyuN tere dil par kuch asar hota nahiN
Maine toh paththaroN ko bhi dekha hai pighalte hue

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah waah kyaa kehne Aqsh ji, jaan hi le li aapke is sher ne to, sach mein bahut khoob kahaa aapne....

Kabhi koi khwaab toota, toh kabhi aitbaar hai toota
Teri muhabbat meiN mera dil, baar baar hai toota

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
sambhaal ke rakhnaa chaahiye ji, dil hai koi khilaunaa nahi, aap bhi naa, khud rakhte nahi sambhaalke aur ilzaam dusron par ... uuuufffff

Teri judaai ke in lamhoN ko, shumaar karte karte
Kabhi dekh bhi le kaise, mera sabr e intezaar hai toota

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
kyaa kya tod rahe hain aap, fevicol le lijiye, kuch nahi tootegaa, aur agar toot bhi gayaa to dobaaraa jod sakte hain... tongue3

Paaya kuch bhi nahiN, teri yaadon ke daldal ke siwa
Har ek mod par bas meri, palkhon ka qaraar hai toota

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
ye kaisaa daldal hai, kabhi sunaa nahi humne, import karke mangwaayaa hai kyaa baahar kisi desh se? kabhi dikhaanaa zaroor humein yeh daldal

Roz nikal hi jaate hain, aankhoN ke zabt aansoon
Mere chashm e nam par se, mera ikhtiyaar hai toota

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
aankhon pe load zyaadaa pad rahaa hogaa, zaroor aap tv zyaadaa dekhte honge, aur ilzaam humpe lagaayaa jaa rahaa hai, bahut galat baat hai....

Tu waaqif tha ki toot jaaoNgi, main teri khamoshi se
NahiN phir bhi zaalim, tere labon ka hisaar hai toota

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
na ji na ahumein maloom nahi thaa ki aap itni aasaani se toot jaayemge, warnaa hum aapke support k liye chaar khambe aur lagwaa dete, pehle bataanaa thaa naa jab crack padnaa shuru huwaa thaaa...

Tere fareb ne kuch, aisa haal kiya hai “Aqsh” ka
Wafa ke shajar se ab toh, ummeedeiN bahaar hai toota

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
ab humne kaunsa fareb kiyaa aapke saath, kuch bhi ilzaam lagaaye jaa rahe hain humpe, hum to bekasoor hain, aap jaane ki aap ke saath fareb kisne kiyaa...

sabse pehle to maafi chaahunga ki itnaa late reply kiyaa, darasal kuch kaam mein vyast ho gayaa thaa, aajkal time nahi nikaal paa rahaa Yo ke liye, aur ab aapke is rachnaa ke taarif mein to bas.... Waah waah waah waah Aqsh ji, kyaa kehne, jitni taarif ki jaaye kam hai, bahut bahut khoob likhaa hai aapne, sach, bahut bahut khoob....!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

kuch koshish ki hai iske jawaab mein likhne ki maine, ummeed kartaa hoon aapko pasand aaye....!!!

miley hazaaron humein, ek nayaa ilzaam sahi
ghamon ke samundar mein gham kaa inaam sahi

kisine paagal kahaa, kisine kahaa deewaanaa
bewafaa jo naam diyaa, ab to yahi naam sahi

raaste ke paththar ko har kisine thukraayaa
kisise hum kyaa kahen, thokrein tamaam sahi

dard leke hi aaye the, dard leke jaanaa hai
dard har subah ab, dard bhari har shaam sahi

maikhaane ke chaukhat pe apnaa thikaanaa ho
apne kismat mein yaaron botal aur jaam sahi

apne kis kaam ke mohabbat bhare jo geet the
baazaar mein bech den kaudiyon ke daam sahi

apne alfaazon mein sur kahaan se laayen hum
ghazal nahi ban paaye ab, aur koi kaam sahi

muskaan kabhi aayi nahi sukhey in hothon par
maut gale lagaa len hum, maut hi aaraam sahi

jee to hum paaye nahi, mar mar ke jeete rahe
dard bhare is jeewan kaa dard hi anjaam sahi

*****HRIDAY*****

Logged
aqsh
Guest
«Reply #43 on: November 14, 2013, 10:01:48 PM »
Reply with quote
DheroN daad
thnxxxxxx a lottttt shrishtiraj ji...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #44 on: November 14, 2013, 10:04:54 PM »
Reply with quote
sabse pehle to maafi chaahunga ki itnaa late reply kiyaa, darasal kuch kaam mein vyast ho gayaa thaa, aajkal time nahi nikaal paa rahaa Yo ke liye, aur ab aapke is rachnaa ke taarif mein to bas.... Waah waah waah waah Aqsh ji, kyaa kehne, jitni taarif ki jaaye kam hai, bahut bahut khoob likhaa hai aapne, sach, bahut bahut khoob....!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

kuch koshish ki hai iske jawaab mein likhne ki maine, ummeed kartaa hoon aapko pasand aaye....!!!

miley hazaaron humein, ek nayaa ilzaam sahi
ghamon ke samundar mein gham kaa inaam sahi

kisine paagal kahaa, kisine kahaa deewaanaa
bewafaa jo naam diyaa, ab to yahi naam sahi

raaste ke paththar ko har kisine thukraayaa
kisise hum kyaa kahen, thokrein tamaam sahi

dard leke hi aaye the, dard leke jaanaa hai
dard har subah ab, dard bhari har shaam sahi

maikhaane ke chaukhat pe apnaa thikaanaa ho
apne kismat mein yaaron botal aur jaam sahi

apne kis kaam ke mohabbat bhare jo geet the
baazaar mein bech den kaudiyon ke daam sahi

apne alfaazon mein sur kahaan se laayen hum
ghazal nahi ban paaye ab, aur koi kaam sahi

muskaan kabhi aayi nahi sukhey in hothon par
maut gale lagaa len hum, maut hi aaraam sahi

jee to hum paaye nahi, mar mar ke jeete rahe
dard bhare is jeewan kaa dard hi anjaam sahi

*****HRIDAY*****

[/quote]uffffffffffff sabse pahele so sorrrrrrry hriday ji... aaj mai ghazal section mein aayi toh aapka reply dekhi...kya zabardasttttttttt comments hai.. padhkar hans hans kar pet dard shuru ho gaya.. khaas woh fevicol waala comment aur woh chaar khambo waala comment se bahut hansi aayi.. aur aapka reply toh yakeen maano behad khoooooooob hai jaisa har baar hota hai.. aur thnxxxxxxxxx a lotttttttttt for the beautiful reply hriday ji... happy3 happy3 happy3 icon_salut icon_salut icon_salut notworthy notworthy notworthy
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 03:53:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.147 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer