Meri muhabbat ko woh is tarah aazmaate hain...........................................Aqsh....

by aqsh on October 29, 2013, 01:39:12 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 2124 times)
aqsh
Guest
Reply with quote
Hai muhabbat unhe bhi bas iqraar karna baaki hai
Meri yaadoN se apne dil ko beqaraar karna baaki hai


Meri muhabbat ko woh, is tarah aazmaate hain
Khwaabon meiN bhi mujhse, nazreiN churaate hain

Hum jab kabhi unke, qareeb jaane ka sochte hain
Woh apni qaatil adaaoN se, auroN ko lubhate hain

Uff bada hi khoob andaaz hai, unke lutf uthaane ka
Mere dil meiN rehkar, mere hi dil ko tadpaate hain

Banakar meri yaadoN ko kaagaz, aur aansoo ko siyahi
Meri aankhoN ki masti ko, apni ghazal bataate hain

Yeh rutbah yeh shohrat, sab hamari hi badaulat hai
Meri tareef meiN likhi hui, kalaam ko gungunaate hain

Hai unhe bhi muhabbat “Aqsh” se, beintehaan magar
Phir bhi use raaz ki tarah, apne dil meiN chupaate hain


Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: October 29, 2013, 01:48:23 PM »
Reply with quote
Hai unhe bhi muhabbat “Aqsh” se, beintehaan magar
Phir bhi use raaz ki tarah, apne dil meiN chupaate hain
 bahut khoob ek rau
Logged
Bishwajeet Anand Bsu
Guest
«Reply #2 on: October 29, 2013, 01:52:08 PM »
Reply with quote
Hai muhabbat unhe bhi bas iqraar karna baaki hai
Meri yaadoN se apne dil ko beqaraar karna baaki hai


Meri muhabbat ko woh, is tarah aazmaate hain
Khwaabon meiN bhi mujhse, nazreiN churaate hain

Hum jab kabhi unke, qareeb jaane ka sochte hain
Woh apni qaatil adaaoN se, auroN ko lubhate hain

Uff bada hi khoob andaaz hai, unke lutf uthaane ka
Mere dil meiN rehkar, mere hi dil ko tadpaate hain

Banakar meri yaadoN ko kaagaz, aur aansoo ko siyahi
Meri aankhoN ki masti ko, apni ghazal bataate hain

Yeh rutbah yeh shohrat, sab hamari hi badaulat hai
Meri tareef meiN likhi hui, kalaam ko gungunaate hain

Hai unhe bhi muhabbat “Aqsh” se, beintehaan magar
Phir bhi use raaz ki tarah, apne dil meiN chupaate hain



Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut bahut khoob Aqsh ji, dil ki gahraion se likha hai aapne,
is ghazal ki tarif me ek choti si Ghazal pesh hai..


कह दो आज जो भी है तुम्हारे दिल में ...
ये छोटी सी जो बात है तुम्हारे दिल में ....

कह दो की कितनी मोहब्बत है तुम्हे ...
कह दो की हम रहते हैं तुम्हारे दिल में ...

कह दो की तेरे दिल का हर साज़ हु मैं ...
गा दो जो भी अफ़साने हैं तुम्हारे दिल में ...

वो एक बार का मिलना ख्वाबों में कभी ...
और कैद हो जाना  मेरा तुम्हारे दिल में ...

न छिपा जो कुछ भी है तेरे दिल में "Aqsh"...
अब मुझे सब है पता क्या है तुम्हारे दिल में ...

Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 24 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #3 on: October 29, 2013, 02:18:30 PM »
Reply with quote
Hai muhabbat unhe bhi bas iqraar karna baaki hai
Meri yaadoN se apne dil ko beqaraar karna baaki hai

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Wah,Wah,Waaaaaaaaaaaaaah Aqshji,Kya baat hai.Bahut hi romantic ghazal pesh ke hai.Really dil ko chho gaye aapke ye ghazal.Meri deron daad qabool farmaayin.
Logged
ambalika sharma
Guest
«Reply #4 on: October 29, 2013, 03:01:16 PM »
Reply with quote
 icon_flower very beautiful feelings...very sweetly you expressed each word..i loved your poem icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: October 29, 2013, 03:35:13 PM »
Reply with quote
Meri muhabbat ko woh, is tarah aazmaate hain
Khwaabon meiN bhi mujhse, nazreiN churaate hain


Uff bada hi khoob andaaz hai, unke lutf uthaane ka
Mere dil meiN rehkar, mere hi dil ko tadpaate hain

Banakar meri yaadoN ko kaagaz, aur aansoo ko siyahi
Meri aankhoN ki masti ko, apni ghazal bataate hain

Bahut khubsurat ghazal kahi hai Aqsh ji . Khastaur se ye ashaaar bahut hgi pyaare hain . Dheron daad aur 1 Rau .
Logged
diyadeep
Guest
«Reply #6 on: October 29, 2013, 04:12:35 PM »
Reply with quote
Hi every one,
    Could you please help in writting fullfrom of this text "MY LOVELY DIYUUU" in hindi or english meaning
like below example
"I LOVE  YOU"

i- inspire warmth
l-listen to each other
0-open ur heart
v-value ua union
e-xpress ua trust
y- yeild to good sense
o-over look mistkes
u-understd difference

I'l be very much thankful to you.. please help me out..
Thanks...
Logged
sidra04
Guest
«Reply #7 on: October 29, 2013, 04:33:24 PM »
Reply with quote
Meri muhabbat ko woh, is tarah aazmaate hain
Khwaabon meiN bhi mujhse, nazreiN churaate hain

ahhaaa... khoobsurat

Uff bada hi khoob andaaz hai, unke lutf uthaane ka
Mere dil meiN rehkar, mere hi dil ko tadpaate hain

acchaa hai ji...

Hai unhe bhi muhabbat “Aqsh” se, beintehaan magar
Phir bhi use raaz ki tarah, apne dil meiN chupaate hain

yahi to ishq hai jee.... bahot acchaa likha hai aapne is baar bhi.. likhte rahiye....

sidra
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 14 hours and 9 minutes.
Posts: 18588
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #8 on: October 29, 2013, 04:36:08 PM »
Reply with quote
VERY NICE AQSH JI VERY BEAUTIFULL
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #9 on: October 29, 2013, 04:36:33 PM »
Reply with quote
hamesha ki tarha bahot khoooob...
Yeh rutbah yeh shohrat, sab hamari hi badaulat hai
Meri tareef meiN likhi hui, kalaam ko gungunaate hain

Hai unhe bhi muhabbat “Aqsh” se, beintehaan magar
Phir bhi use raaz ki tarah, apne dil meiN chupaate hain
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Par Gabbar Singh kahekar gaya hai 'jo dar gaya so margaya' - unke dil ka dar nikalen  Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #10 on: October 29, 2013, 05:27:28 PM »
Reply with quote
Waoooo aqsh jiii kitni khubsurti se aapne apne ehsaas ko zahir kiya hai..

Love it all... Mind Blowing...

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Zaif
Guest
«Reply #11 on: October 29, 2013, 06:18:57 PM »
Reply with quote
Kya kehne aqsh ji. Wah !!!!
Logged
laaiba
Guest
«Reply #12 on: October 29, 2013, 07:12:30 PM »
Reply with quote
Hai muhabbat unhe bhi bas iqraar karna baaki hai
Meri yaadoN se apne dil ko beqaraar karna baaki hai


Meri muhabbat ko woh, is tarah aazmaate hain
Khwaabon meiN bhi mujhse, nazreiN churaate hain

Hum jab kabhi unke, qareeb jaane ka sochte hain
Woh apni qaatil adaaoN se, auroN ko lubhate hain

Uff bada hi khoob andaaz hai, unke lutf uthaane ka
Mere dil meiN rehkar, mere hi dil ko tadpaate hain

Banakar meri yaadoN ko kaagaz, aur aansoo ko siyahi
Meri aankhoN ki masti ko, apni ghazal bataate hain

Yeh rutbah yeh shohrat, sab hamari hi badaulat hai
Meri tareef meiN likhi hui, kalaam ko gungunaate hain

Hai unhe bhi muhabbat “Aqsh” se, beintehaan magar
Phir bhi use raaz ki tarah, apne dil meiN chupaate hain



waah aqsh jee bohat sunder rachnaa hai jee,...sjhikyat,enayat,
mohabbat se bharee ghazal hai aapkee,....bohat bohat c daad,.........
Logged
gaytri gupta
Guest
«Reply #13 on: October 29, 2013, 07:14:14 PM »
Reply with quote
waah bahut khoob ....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #14 on: October 29, 2013, 08:40:12 PM »
Reply with quote

Aqsh Sahibaa Aadaab....!


WallaaH kia kahne jee waaH waaH behad khoobsurat aur behad pyaari kalaam kahi hai jee... Kia baat hai badi khumaar e ishq ki ishqiyaaN kalaam kahe jaa rahe haiN...

Behad khoobsurat kalaam huyi hai, khuoobsurat khayaal aur umdaa adaaygi... is khoob kalaam par humari hazaaroN daad O mubbarakbad kabul kijiye..

Likhate rahiye... bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez...
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 04:04:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.178 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer