Na sahee wasl; nazar sey nazar milaaou, sanam!

by abdbundeli on January 29, 2009, 11:57:43 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3120 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Hazaar baar kahaan ko chaley, kahaan pahunchey!
Zarrah-e-reyg-e-rawaan kyaa patah kahaan pahunchey?

Safar hai: yuun to hamein un key dar pai jaanaa hai;
Qaarwaan-e-hayaat, kaash, jaa wahaan pahunchey!!

Sadaayen us kee, roz dastakeyn deytiin hain kyoun?
Kaash, woh khojtaa huaa hamain, yahaan pahunchey!!

Tamaam raat, sitaarey jagey hain saath yahaan;
Jaagney saath, kaash, aaj jaan-e-jaan pahunchey!!

Raah pai un kee, muntzir hain ham zamaaney sey:
Saath hon un key, yahaan jab bhi kaarwaan pahunchey!!

Un key qaasid ney kahaa thaa, ki, aa rahey hain woh!
Dahar gaye hain, naheen fir bhi mehrabaan pahunchey!!

Qaraar ou wa’adah, iqraar ou waqaar-e-wafaa,
Kaash, taameer par salaasat-e-bayaan pahunchey!!

Log kahtey hain, baar-baar ham na hon beychain;
Bulbuleyn hongeen fanaa, gar na baagbaan pahunchey!!

Na sahee wasl; nazar sey nazar milaaou, sanam!
Nigah mein, taaki, ‘abd’, dard kee zubaan pahunchey!!
          
                                     - abd bundeli
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: January 29, 2009, 01:47:07 PM »
Reply with quote
Pohach na paye kabhi koi dukh dar-e-ABD
Khuda kare yeh dua GHAYEL ki Khuda tak pohche

                              -Sajid Ghayel-
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2009, 02:05:20 PM »
Reply with quote
Pohach na paye kabhi koi dukh dar-e-ABD
Khuda kare yeh dua GHAYEL ki Khuda tak pohche

                              -Sajid Ghayel-

Oh so lovely, so pure, so affectionate & so fraternal that I've no words to express my feelings! Thanks a lot, Sajid Ghayel ji! May HE bless you, and your loved ones, with all that shall ever be desired!
I'm happy, I have friends like you my dear!
It's lovely! Oh it's lovely!! You're so near!!

                       - abd bundeli
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: January 29, 2009, 02:22:12 PM »
Reply with quote
Oh so lovely, so pure, so affectionate & so fraternal that I've no words to express my feelings! Thanks a lot, Sajid Ghayel ji! May HE bless you, and your loved ones, with all that shall ever be desired!
I'm happy, I have friends like you my dear!
It's lovely! Oh it's lovely!! You're so near!!

                       - abd bundeli

Dua karu teri khatir, aur woh bane sabab meri neki ka
Tu tok na GHAYEL ko ABD, uski IBADAT me

                     -Sajid Ghayel-
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: January 29, 2009, 02:48:35 PM »
Reply with quote
Dua karu teri khatir, aur woh bane sabab meri neki ka
Tu tok na GHAYEL ko ABD, uski IBADAT me

                     -Sajid Ghayel-

Too aadmee hai, yaaki farishtah hai khudaa kaa?
Too mulk-e-fanaa kaa hai, yaaki mulk-e-baqaa kaa?
Yah sach hai meyrey bhaayi, maraaham hai dostee;
Jaisey ho jhakoraa naseem baad-e-sabaa kaa!!

                       - abd bundeli

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: January 29, 2009, 06:30:28 PM »
Reply with quote
Dosto itna khoobsurat kalam aap logho ke samne din bhar maujood raha kaiee batein kahi gayee sunee gayee par kisi ne itne pyare kalam pe dad dena zaruri nahi samjha. Abd bhai ek azeem shaksiyat hain aur hamari khusnasabi hain ke humnse rubaroo hain, aap sab se guzarish hain ke hamesha yeh koshish kare ke unka koi kaha humse miss na ho. Maine bhi unki bohat si pyaari post miss ki hain aur main apne aapko gunhegaar samajta hu aisa karke.

Khuda Abd bhai ka saya hamesha humpe banaye rakhe.....AAMEEN

                   Sajid Ghayel
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: January 30, 2009, 05:44:36 AM »

Thanks Sajid Ghayel ji! But I'm not hungry for the 'daads' or the like! I know , I'm in habit of using a lot many Arbi/Pharsi words, with which many of the readers are not conversant! Hence, I don't expect any kind of comments from them. For me it's okay if some really interested 'shayari fans' read the poems through, to enjoy the contents! I'm sorry, I seldom get enough time for reading most of the poems on this site! I'm old; and, my eyes don't permit me to stress them a lot!
Any way, I do appreciate your liberal thoughts & approaches; and, I'm grateful!
                  - abd bundeli  

Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: February 02, 2009, 02:38:21 AM »
Reply with quote
Hazaar baar kahaan ko chaley, kahaan pahunchey!
Zarrah-e-reyg-e-rawaan kyaa patah kahaan pahunchey?

Safar hai: yuun to hamein un key dar pai jaanaa hai;
Qaarwaan-e-hayaat, kaash, jaa wahaan pahunchey!!

Sadaayen un kee, roz dastakeyn deytiin hain kyoun?
Kaash, woh khojtaa huaa hamain, yahaan pahunchey!!

Tamaam raat, sitaarey jagey hain saath yahaan;
Jaagney saath, kaash, aaj jaan-e-jaan pahunchey!!

Raah pai un kee, muntzir hain ham zamaaney sey:
Saath hon un key, yahaan jab bhi kaarwaan pahunchey!!

Un key qaasid ney kahaa thaa, ki, aa rahey hain woh!
Dahar gaye hain, naheen fir bhi mehrabaan pahunchey!!

Qaraar ou wa’adah, iqraar ou waqaar-e-wafaa,
Kaash, taameer par salaasat-e-bayaan pahunchey!!

Log kahtey hain, baar-baar ham na hon beychain;
Bulbuleyn hongeen fanaa, gar na baagbaan pahunchey!!

Na sahee wasl; nazar sey nazar milaaou, sanam!
Nigah mein, taaki, ‘abd’, dard kee zubaan pahunchey!!
          
                                     - abd bundeli

Bahut Khoob ABD ji..

Mere mehboob mujhe teri dard-e-dil ki kasam
Mere her dua mein hai tum shamil..

Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: February 02, 2009, 02:41:24 AM »
Reply with quote
Dosto itna khoobsurat kalam aap logho ke samne din bhar maujood raha kaiee batein kahi gayee sunee gayee par kisi ne itne pyare kalam pe dad dena zaruri nahi samjha. Abd bhai ek azeem shaksiyat hain aur hamari khusnasabi hain ke humnse rubaroo hain, aap sab se guzarish hain ke hamesha yeh koshish kare ke unka koi kaha humse miss na ho. Maine bhi unki bohat si pyaari post miss ki hain aur main apne aapko gunhegaar samajta hu aisa karke.

Khuda Abd bhai ka saya hamesha humpe banaye rakhe.....AAMEEN

                   Sajid Ghayel

Sajid ji aap ne bahut sahi kaha in a very emotional line.
Mai yehi kahungi ke ABD sb ka her post hum kabhi miss nahi ki hai.
Un jaison se hi bahut kuch hame seekne ko milte raha hai. Thanks
for your lovely concern. Good Soul .. God Bless you Sajid ji

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: February 02, 2009, 04:40:52 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob ABD ji..

Mere mehboob mujhe teri dard-e-dil ki kasam
Mere her dua mein hai tum shamil..

Thanks Roja ji! Please permit me to say a few lines in light mode;

Duaa karo ki har insaan ko madad pahunchey!
Na sahee puuraa; magar, durd-o-neemqad pahunchey!!
Sab ko khush honey kaa mouqah miley, shabaab miley;
Jo bhi deynaa ho usey, waqt par naqad pahunchey!!

                              - abd bundeli

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: February 02, 2009, 04:49:45 AM »
Reply with quote
Hazaar baar kahaan ko chaley, kahaan pahunchey!
Zarrah-e-reyg-e-rawaan kyaa patah kahaan pahunchey?

Safar hai: yuun to hamein un key dar pai jaanaa hai;
Qaarwaan-e-hayaat, kaash, jaa wahaan pahunchey!!

Sadaayen un kee, roz dastakeyn deytiin hain kyoun?
Kaash, woh khojtaa huaa hamain, yahaan pahunchey!!

Tamaam raat, sitaarey jagey hain saath yahaan;
Jaagney saath, kaash, aaj jaan-e-jaan pahunchey!!

Raah pai un kee, muntzir hain ham zamaaney sey:
Saath hon un key, yahaan jab bhi kaarwaan pahunchey!!

Un key qaasid ney kahaa thaa, ki, aa rahey hain woh!
Dahar gaye hain, naheen fir bhi mehrabaan pahunchey!!

Qaraar ou wa’adah, iqraar ou waqaar-e-wafaa,
Kaash, taameer par salaasat-e-bayaan pahunchey!!

Log kahtey hain, baar-baar ham na hon beychain;
Bulbuleyn hongeen fanaa, gar na baagbaan pahunchey!!

Na sahee wasl; nazar sey nazar milaaou, sanam!
Nigah mein, taaki, ‘abd’, dard kee zubaan pahunchey!!
          
                                     - abd bundeli

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Wonderfull lines Abd ji bohat khoob likha hai aapne...
 
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: February 02, 2009, 06:22:33 AM »
Reply with quote

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Wonderfull lines Abd ji bohat khoob likha hai aapne...
 
Thanks a lot honeyrose ji!
                  - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: February 02, 2009, 01:27:50 PM »
Reply with quote

Thanks Roja ji! Please permit me to say a few lines in light mode;

Duaa karo ki har insaan ko madad pahunchey!
Na sahee puuraa; magar, durd-o-neemqad pahunchey!!
Sab ko khush honey kaa mouqah miley, shabaab miley;
Jo bhi deynaa ho usey, waqt par naqad pahunchey!!

                              - abd bundeli

Wah ...

Tum Nahi, Tumhari Duayein chali aati hai
Andhere aangan mein shikhayein jali jaati hai..

Batakte-se do anjaan kadam,
Jaa pahunche hai aaj manjil ko
Doobti huyi kashti ne aaj
Paya hai apne sahil ko..

Tum nahi, Tumari Sakhti Patvar Thame Jaati Hai ABD
Meg ka aanchal hatakar, dishayein khili jaati hai..  Usual Smile
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: February 02, 2009, 02:34:48 PM »
Reply with quote
Wah ...

Tum Nahi, Tumhari Duayein chali aati hai
Andhere aangan mein shikhayein jali jaati hai..

Batakte-se do anjaan kadam,
Jaa pahunche hai aaj manjil ko
Doobti huyi kashti ne aaj
Paya hai apne sahil ko..

Tum nahi, Tumari Sakhti Patvar Thame Jaati Hai ABD
Meg ka aanchal hatakar, dishayein khili jaati hai..  Usual Smile

Shukriyah Roja ji!

Aap ki nazar-e-inaayat hai mahjabeen Roja(a)!
Kaash, US noor sey yah noor gayaa ho khojaa!!
Lifaafah deykh key padhh leyteen hain mazmoon saaraa:
Noor hai roo-b-roo hushyaar, ab , 'abd' ho jaa!

                Aadaab arz hai, muhtarmah!
                              - abd bundeli
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #14 on: February 02, 2009, 03:40:07 PM »
Reply with quote
Kitni haseen yeh mehfil tune sajayee ROJA
Kaul GHAYEL ka bakhubhi tune nibhayee ROJA

                       -SG-
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 02:38:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer