PAAON MERE ZAMEEN PE REHNE DO.....,Hasan

by F.H.SIDDIQUI on August 12, 2011, 10:56:34 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2150 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
Mai.n  jahaa.n  hoo.n  wahee.n  pe  rehne  do,
Paao.n  mere  zamee.n  pe  rehne  do

Har  jagah  se  mitaa  do  naam  mera,
Bus  lab-e-naaznee.n   pe  rehne  do

Kah  chuke  ho  jo  tum ko  kehna  thha,
Faisla   saama'ee.n   pe  rehne  do

Khud  ko  her  zaaviye  se  dekh  liya,
Aa'ina  ab  wahee.n   pe  rehne  do

Bhool  jaaoo.n  na  dosto.n  ko 'Hasan',
Kychh  nishaa.n  aastee.n  pe  rehne  do
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Maa-Baap (Zameen Par Rehne Wale Khuda) by khwahish in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
AAP JUB SE MERE HUMSAFAR HO GAYE...Hasan by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
MERE DIL KE GHAREEB KHAANE MEIN.............HASAN by F.H.SIDDIQUI in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
WOH PAREE - HUSN MERE KHWAABON MEIN AATA HAI BAHUT ..........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
MERE SAPNON KI SAKHEE ....................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3  All »
Sanjeev kash
Guest
«Reply #1 on: August 12, 2011, 11:00:57 AM »
Reply with quote
Mai.n  jahaa.n  hoo.n  wahee.n  pe  rehne  do,
Paao.n  mere  zamee.n  pe  rehne  do

Har  jagah  se  mitaa  do  naam  mera,
Bus  lab-e-naaznee.n   pe  rehne  do

Kah  chuke  ho  jo  tum ko  kehna  thha,
Faisla   saama'ee.n   pe  rehne  do

Khud  ko  her  zaaviye  se  dekh  liya,
Aa'ina  ab  wahee.n   pe  rehne  do

Bhool  jaaoo.n  na  dosto.n  ko 'Hasan',
Kychh  nishaa.n  aastee.n  pe  rehne  do

Bahut Bahut Khoob Hassan Saheb Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: August 12, 2011, 11:05:56 AM »
Reply with quote
Corrigendum:Maqte mein lafz KUCHH ki jagah kychh likh gaya hai .sahi farmaa lein.
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #3 on: August 12, 2011, 11:08:21 AM »
Reply with quote
Andaza Laga Liya Tha Hasan Saheb
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: August 12, 2011, 11:11:57 AM »
Reply with quote
Sanjeev Kash ji,bahut baut shukriya.Sukhanwaro.n se yahi ummeed hai.Phir bhi ghalti ki tas'heeh zaroori hai.
Logged
sarfira
Guest
«Reply #5 on: August 12, 2011, 11:28:44 AM »
Reply with quote
bht acha hai…
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #6 on: August 12, 2011, 11:39:20 AM »
Reply with quote
dil-e-daad... icon_flower

 Applause Applause Applause
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: August 12, 2011, 11:54:59 AM »
Reply with quote

Hasan Sahab,

Waah...waah..kya baat hai
Bahut khoobsoorat ghagal..
Daad qubool farmaayen..

Aapki ghazal padhkar bahut pahle
padha hua ek she'r yaad aa gaya
shayar ka naam yaad naheen..

She'r kuchh aaisa tha...

"paavoN ko sar pe rakh ke hawaaoN ke saath chal
 aahista chalne waaloN ki baaree na aayegee"

Satish Shukla 'Raqeeb'

Logged
DIL_K_JAZBAAT
Guest
«Reply #8 on: August 12, 2011, 01:23:52 PM »
Reply with quote
DIL JEET LIYA HAMARA SIR..........JIYO JIYO Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: August 12, 2011, 04:34:08 PM »
Reply with quote
sarfira ji,hausla afai ke liye shukriya.khush rahiye.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: August 12, 2011, 05:56:00 PM »
Reply with quote
Touhid saheb,hausla afzai ke liye bahut shukriya.Khush rahiye.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: August 12, 2011, 06:41:10 PM »
Reply with quote
Satish ji,ghazal padhne aur hausla afzaai ke khoobsurat alfaaz ke liye aap ka tah e dil se mashkoor hoon.Eik baar phir aap ne mauqay ki munaasibat se eik pyaara she'r diya.Bahut shukriya.Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: August 13, 2011, 05:47:48 AM »
Reply with quote
Dil k jazbaat ji,hausla afai k liye bahut bahut shukriya.Hasan
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #13 on: August 13, 2011, 07:26:56 AM »
Reply with quote
Hassan Sahab aadab ,,

Itni choti bhr me aise sher ,,,kahena kamal nahi balke kamale fun hai sahab ,,,ye bus ap hi ki shaqsiyat ka hissa hai ,,allah apko mazeed nawaze ,,,bazm ki tajaliyat me izafa farmate rahe.N ,,,,Bus eak baat ye puchni thi ,,kay Lafz Samee'N" Noon-e-gunna pe girta hai ,,,jahan tak mujhe ilm hai iske saat Non ka Aailaan zarori hai ,,,Ap hi bahetar bata sakte hain ,,,Ye sirf apne ilm me izafa karne ke liye pcuh raha hun ,,mujhe umid hai ap khiyal nahi karene ,,,Allah apko khush rakhe ,,,Eak baar phir apki is pur acar o purmaghaz ghazal ki nazar hai meri dad khubool karen..Allah apko khush rakhe ...

Khair andesh

Qadeertoopchi
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: August 13, 2011, 10:01:11 AM »
Reply with quote
Qadeer Junaid saheb,Aadab.Aap ke purkhuloos tabsire ke liye behad mashkoor hoon.Aap ne jis tashweesh ka izhaar kiya hai,haqeeqat yeh hai ki usske baare mein wasooq ke saath main bhi kuchh naheen kah sakta.Mera khayaal hai ki jis tarah ZAMEEN , NAAZNEEN , AASTEEN waghaira alfaaz saakin noon ke saath iste'maal ho sakta hai ussi tarah lafz SAAMA'EEN bhi iste'maal ho sakta hai.Iss tarah ki ghaltiyaan umooman khud hi khatakne lagti hain aur iste'maal karte waqt shakk paida karti hain.Magar aisa kuchh ehsaas bhi mujhe nahee.n hua.Bahar'haal yeh meri laailmi ho sakti hai.Behtar hai--aur yeh meri guzaarish bhi hai--ki YOINDIA ke koi aur saaheb e nazar ,agar ilm rakhte ho.n to apni garaanqadr raai se nawaazein.Iss tarah aap ke saath mere bhi ilm mein izaafa ho jaaye ga....Khair andesh,Hasan
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 03:40:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.214 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer