Taish- ik marasim ke TUKDE numaayaN hue haiN...!!

by ghayal_shayar on May 26, 2013, 06:02:21 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1424 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Beh'r likh raha hun taaki confusions na hoN, dono interchangable beh'reN hain...

Beh'r-2122 / 1122 / 1122 / 22
      2122 / 1122 / 1122 / 112

ik marasim* ke jo tukde yuN numayaaN# hue haiN,
jaane kyun aaj bhi vo itne pareshaaN hue haiN...

*Relation, #Clear, distinct.

bheed ki harkaton se ab ye pata chalta hai,
jinhe bandar kaha tha kal vahi insaaN hue haiN...

hai khushi ab aa nahi paati meri zindagi meN,
jo mere jism ke ye zakhm hi darbaaN hue haiN...

ab kisi ki bhi mohabbat pe yakeeN mujhko nahiN,
haadse itne yahaaN ishq ke dauraaN hue haiN...

saamne dard hi koi tere aata hai nahi,
zakhm-e-ulfat bhi tujhe dekh ke pinhaN* hue haiN...

*Hide.

tere aane se maiN kaafir ho gaya hooN yuN sanam,
sharm se bhaari farishtoN ke yuN mizshgaaN* hue haiN...

*Eyelashes.

saare mahaul meN khusboo jo hai yun phail gayi,
shahr jinme tu raha aaj gulistaaN hue haiN...

'taish' kab tak yun hansi me tu chupaayegaa ghum,
jugnuoN se ye tere ashq farozaaN* hue haiN...

*Luminous.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeh dil ke tukde hain, ya aap ki yaadein, by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Yeh dil ke tukde hain jo muskil se judenge by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
tukde tukde by meena kumari (naaz) by wajahat in Ghazals
Taish- hichkiyaaN aati haiN mujhko...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
Taish- marasim EHTIYAATAN torr dena chaahta hooN maiN...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #1 on: May 26, 2013, 06:23:31 PM »
Reply with quote
hai khushi ab aa nahi paati meri zindagi meN,
jo mere jism ke ye zakhm hi darbaaN hue haiN

waah waah taish ji kya khoob likha hai,
daad in ashaar per khaas.
ApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
rashmisangeeta
Guest
«Reply #2 on: May 26, 2013, 06:29:39 PM »
Reply with quote
Beh'r likh raha hun taaki confusions na hoN, dono interchangable beh'reN hain...

Beh'r-2122 / 1122 / 1122 / 22
      2122 / 1122 / 1122 / 112

ik marasim* ke jo tukde yuN numayaaN# hue haiN,
jaane kyun aaj bhi vo itne pareshaaN hue haiN...

*Relation, #Clear, distinct.

bheed ki harkaton se ab ye pata chalta hai,
jinhe bandar kaha tha kal vahi insaaN hue haiN...

hai khushi ab aa nahi paati meri zindagi meN,
jo mere jism ke ye zakhm hi darbaaN hue haiN...

ab kisi ki bhi mohabbat pe yakeeN mujhko nahiN,
haadse itne yahaaN ishq ke dauraaN hue haiN...

saamne dard bhi koi tere aata hai nahi,
zakhm-e-ulfat bhi tujhe dekh ke pinhaN* hue haiN...

*Hide.

tere aane se maiN kaafir ho gaya hooN yuN sanam,
sharm se bhaari farishtoN ke yuN mizshgaaN* hue haiN...

*Eyelashes.

saare mahaul meN khusboo jo hai yun phail gayi,
shahr jinme tu raha aaj gulistaaN hue haiN...

'taish' kab tak yun hansi me tu chupaayegaa ghum,
jugnuoN me ye tere ashq farozaaN* hue haiN...

*Luminous.
waah taish bahut sunder likhane lage ho bhut umda, kamaal aise hi chand choone ki tayaari mein lage raho  Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 24 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #3 on: May 26, 2013, 08:38:25 PM »
Reply with quote
Wah,Wah,Wah Taish ji,
Bahut khoob ghazal kahi hai aapne.Matla behad pasand aaya.Appko dili mubarakbaad.
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #4 on: May 26, 2013, 10:13:11 PM »
Reply with quote
Quote
'taish' kab tak yun hansi me tu chupaayegaa ghum,
jugnuoN se ye tere ashq farozaaN* hue haiN...

Wah janaab dil khush ho gaya aapke kalaam par aane se... Yu hi padhne ka mauka dete rahe...

Duaon ke saath Ijazat,

Abrar.
Logged
laaiba
Guest
«Reply #5 on: May 26, 2013, 11:07:30 PM »
Reply with quote
laajawaab ,...behtereen ghazal ,........bohat c daad,...........
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #6 on: May 27, 2013, 02:28:38 AM »
Reply with quote
hai khushi ab aa nahi paati meri zindagi meN,
jo mere jism ke ye zakhm hi darbaaN hue haiN

waah waah taish ji kya khoob likha hai,
daad in ashaar per khaas.
ApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplause

janaab sahal saaheb, daad ka shukriya, jaan kar khushi hui ki vo aashaar aapko pasand aaye, umeed karta hun aage bhi aapko pasand aane laayak kuch likhta rahun...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #7 on: May 27, 2013, 01:03:20 PM »
Reply with quote
waah taish bahut sunder likhane lage ho bhut umda, kamaal aise hi chand choone ki tayaari mein lage raho  Applause Applause Applause Applause Applause

Shukriya rashmi ji, meri khushkismati ki aapko aisa laga, umeed karta huN aapka saath aur aashirwaad yuNhi saath rahe... waise iraada chaand ke paar jaane ka hai, use sirf choo ke hume kahaaN kush haasil hoga... Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #8 on: May 27, 2013, 01:35:14 PM »
Reply with quote
Wah,Wah,Wah Taish ji,
Bahut khoob ghazal kahi hai aapne.Matla behad pasand aaya.Appko dili mubarakbaad.

shukriya sudhir ji, ye humari khushnaseebi ki aapki matla pasand aaya, umeed yahi karta huN ki aage bhi aapka saath hume isi qadar milta rahegaaa...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #9 on: May 27, 2013, 02:04:48 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

waah waah waah. taish ji. badi khoobsurat kalaam hai. kya khayalaath hai. aur yeh do sher bahut pyaare hai. jo mere dil ko choo gaye.

hai khushi ab aa nahi paati meri zindagi meN,
jo mere jism ke ye zakhm hi darbaaN hue haiN


saamne dard bhi koi tere aata hai nahi,
zakhm-e-ulfat bhi tujhe dekh ke pinhaN* hue haiN...


Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: May 27, 2013, 03:12:58 PM »
Reply with quote
laajawaab ,...behtereen ghazal ,........bohat c daad,...........

laaiba ji bahut bahut shukriya ye taareef bakshne ke liye, bas aage bhi aap yuNhi saath deti raheN...!!
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #11 on: May 27, 2013, 08:06:03 PM »
Reply with quote
Awesome Taish ji... bahut bahut khoob.. damdaar.. asardaar.. dhero daad.. Usual Smile Applause Applause Applause Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: May 27, 2013, 08:53:29 PM »
Reply with quote
Waaahhh bahaut hi acchha likha hai Taish ji .... Apke aur bhi qalaam ke muntazir rahenge ... Dheron daad !!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: May 28, 2013, 10:37:47 AM »
Reply with quote
Wah janaab dil khush ho gaya aapke kalaam par aane se... Yu hi padhne ka mauka dete rahe...

Duaon ke saath Ijazat,

Abrar.

are janab ye aapki meharbani ki aapne itni izzat bakshi, waise aapko auroN se to jyada hi mauka milta hai Winking, bas yuNhi hausla afzaayi karte rahiye huzoor, aur hum bhi likhne ki kosish jaari rakheNge...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #14 on: May 28, 2013, 03:27:52 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

waah waah waah. taish ji. badi khoobsurat kalaam hai. kya khayalaath hai. aur yeh do sher bahut pyaare hai. jo mere dil ko choo gaye.

hai khushi ab aa nahi paati meri zindagi meN,
jo mere jism ke ye zakhm hi darbaaN hue haiN


saamne dard bhi koi tere aata hai nahi,
zakhm-e-ulfat bhi tujhe dekh ke pinhaN* hue haiN...




aqsh ji jaan kar khushi hui ki ye sher aapke dil ko choo sake aage  bhi ye kosish qaayam rahegi, umeed karta hun aapka saath bhi yuNhi milta rahegaa...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 12:47:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.176 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer