Taish- marasim EHTIYAATAN torr dena chaahta hooN maiN...!!

by ghayal_shayar on April 08, 2013, 10:39:09 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1644 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Ek baar fir haazir hun bazm meN ek ghazal le kar, umeed karta huN ki jyada niraash na karun...

Hume jo dard deta tha, vo kehta hai dawaa hoon main,
Chubhota tha mujhe jo kya use ab chubh raha hoon main..

Ye naubat kal jo aayegi to sharmindaa na ho jaayeN,
Marasim ehtiyaatan torr dena chaahta hooN main..

KahaaN ko chal pada hooN main liye roothi hui kismat,
Meri manjil kahaan par thi, kahaan ko chal pada huN maiN..

Teri dehleez per aankhon ke ye roshan diye rakh kar..
Akela andhiyaara dhoondta jo fir raha hoon maiN..

Ye mere aayine ko shaayri kisne hai sikhlaayi,
Ghazal ye gungunaata hai teri, jo dekhta hooN maiN..

Vo kehte hain ke milta hai jo bhi kismat se milta hai,
main kismat hi badal dunga ke khud ka khud khuda hooN maiN..

Mujhe ab taish ulfat ki riyaayat chaahiye tumse,
Main chilla chilla ke kehta hun, ke ik bewafa hoon main..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri Yaadon Mein Main Hurdum Muskurana Chaahta Hoon "Khwaish" by khwahish in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Taish- ik marasim ke TUKDE numaayaN hue haiN...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
Taish- bachi-khuchi TAMEEZ dhundta hooN maiN...!! by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Taish- main tera hooN, tu meri NAHIN...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
Ay yaar! kab kisi ka buraa chaahta hooN maiN. by Ghulam Haider in Shayri for Khumar -e- Ishq
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #1 on: April 08, 2013, 10:57:11 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoobsoorat ek rau bhee
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #2 on: April 08, 2013, 11:01:14 PM »
Reply with quote
Ek baar fir haazir hun bazm meN ek ghazal le kar, umeed karta huN ki jyada niraash na karun...

Hume jo dard deta tha, vo kehta hai dawaa hoon main,
Chubhota tha mujhe jo kya use ab chubh raha hoon main..

Ye naubat kal jo aayegi to sharmindaa na ho jaayeN,
Marasim ehtiyaatan torr dena chaahta hooN main..

KahaaN ko chal pada hooN main liye roothi hui kismat,
Meri manjil kahaan par thi, kahaan ko chal pada huN maiN..

Teri dehleez per aankhon ke ye roshan diye rakh kar..
Akela andhiyaara dhoondta jo fir raha hoon maiN..

Ye mere aayine ko shaayri kisne hai sikhlaayi,
Ghazal ye gungunaata hai teri, jo dekhta hooN maiN..

Vo kehte hain ke milta hai jo bhi kismat se milta hai,
main kismat hi badal dunga ke khud ka khud khuda hooN maiN..

Mujhe ab taish ulfat ki riyaayat chaahiye tumse,
Main chilla chilla ke kehta hun, ke ik bewafa hoon main..

Bahut Bahut Khooob Taish Ji...

 Waaaaah waaaaaaah Waaaaaah...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

"Main Kismat Hi badal Dunga Ke Khud Ka Khud Khuda Hoon Main" Hmmmmm.. Hausla zaroori Hai Par Shayad Khud Ko yeh Darja De Dena Galat... Agar Meri baat Aapko galat lage To Muaafi chaunga.. icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
champak
Guest
«Reply #3 on: April 08, 2013, 11:42:59 PM »
Reply with quote
behtareen gajal.. Sir!
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: April 08, 2013, 11:53:21 PM »
Reply with quote
KahaaN ko chal pada hooN main liye roothi hui kismat,
Meri manjil kahaan par thi, kahaan ko chal pada huN maiN..

Vo kehte hain ke milta hai jo bhi kismat se milta hai,
main kismat hi badal dunga ke khud ka khud khuda hooN maiN..

Wah wah wah..bahut ravaan ghazal pesh kee hai..
vaise to sabhee ashaar behad khoob hai par..maqta aur upar likhe do ashaar..javaab nahee.
dil khush ho gaya..

Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #5 on: April 09, 2013, 02:10:34 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoobsoorat ek rau bhee

thanks for the compliment and rau sir...
Logged
lovely_charan
Guest
«Reply #6 on: April 09, 2013, 02:17:10 AM »
Reply with quote
behad khubsurat taish ji.. dheron mubarakbaad aapko.. Usual Smile plus ek rau.. Usual Smile
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #7 on: April 09, 2013, 02:35:55 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #8 on: April 09, 2013, 02:57:15 AM »
Reply with quote
Ek baar fir haazir hun bazm meN ek ghazal le kar, umeed karta huN ki jyada niraash na karun...

Hume jo dard deta tha, vo kehta hai dawaa hoon main,
Chubhota tha mujhe jo kya use ab chubh raha hoon main..

Ye naubat kal jo aayegi to sharmindaa na ho jaayeN,
Marasim ehtiyaatan torr dena chaahta hooN main..

KahaaN ko chal pada hooN main liye roothi hui kismat,
Meri manjil kahaan par thi, kahaan ko chal pada huN maiN..

Teri dehleez per aankhon ke ye roshan diye rakh kar..
Akela andhiyaara dhoondta jo fir raha hoon maiN..

Ye mere aayine ko shaayri kisne hai sikhlaayi,
Ghazal ye gungunaata hai teri, jo dekhta hooN maiN..

Vo kehte hain ke milta hai jo bhi kismat se milta hai,
main kismat hi badal dunga ke khud ka khud khuda hooN maiN..

Mujhe ab taish ulfat ki riyaayat chaahiye tumse,
Main chilla chilla ke kehta hun, ke ik bewafa hoon main..

wah wah wah taish ek rau deti hoon...........!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: April 09, 2013, 03:30:22 AM »
Reply with quote
Taish Sahaab Aadaab!

WaaH janab waaH kya kahne, janab bade hi gehre gote lagaa rahe haiN aap.. yaqeenan behad khooba aur umdaa gazal kahi hai aapne... Usual Smile

Sabhi ashaar aik se badhkar aik rahe... Usual Smile
Is khoobsurat aur umdaa kalaam par meri hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye.. bazm meiN aate rahiye..,
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #10 on: April 09, 2013, 04:04:02 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause  Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Waah waah waah Bhusan jee, bahut hi umda ghazal kahi hai aapne, bahut pasand aayi, iss she'r ke liye khususann daad aur ek Rau bhi qubool kareiN meri taraf se:

Ye mere aayine ko shaayri kisne hai sikhlaayi,
Ghazal ye gungunaata hai teri, jo dekhta hooN maiN
Logged
Farhan Sohail
Guest
«Reply #11 on: April 09, 2013, 05:24:30 AM »
Reply with quote
Ek baar fir haazir hun bazm meN ek ghazal le kar, umeed karta huN ki jyada niraash na karun...

Hume jo dard deta tha, vo kehta hai dawaa hoon main,
Chubhota tha mujhe jo kya use ab chubh raha hoon main..

Ye naubat kal jo aayegi to sharmindaa na ho jaayeN,
Marasim ehtiyaatan torr dena chaahta hooN main..

KahaaN ko chal pada hooN main liye roothi hui kismat,
Meri manjil kahaan par thi, kahaan ko chal pada huN maiN..

Teri dehleez per aankhon ke ye roshan diye rakh kar..
Akela andhiyaara dhoondta jo fir raha hoon maiN..

Ye mere aayine ko shaayri kisne hai sikhlaayi,
Ghazal ye gungunaata hai teri, jo dekhta hooN maiN..

Vo kehte hain ke milta hai jo bhi kismat se milta hai,
main kismat hi badal dunga ke khud ka khud khuda hooN maiN..

Mujhe ab taish ulfat ki riyaayat chaahiye tumse,
Main chilla chilla ke kehta hun, ke ik bewafa hoon main..

Waaaaaah waaaaaaaaah Buht umda jnab,,,, dheroon daaad
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: April 09, 2013, 02:51:36 PM »
Reply with quote

Bahut Bahut Khooob Taish Ji...

Teri dehleez per aankhon ke ye roshan diye rakh kar..
Akela andhiyaara dhoondta jo fir raha hoon maiN..

Ye mere aayine ko shaayri kisne hai sikhlaayi,
Ghazal ye gungunaata hai teri, jo dekhta hooN maiN..

 Waaaaah waaaaaaah Waaaaaah...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

"Main Kismat Hi badal Dunga Ke Khud Ka Khud Khuda Hoon Main" Hmmmmm.. Hausla zaroori Hai Par Shayad Khud Ko yeh Darja De Dena Galat... Agar Meri baat Aapko galat lage To Muaafi chaunga.. icon_flower icon_flower icon_flower

pehle to shukriya khwaish saahab, is nacheez ki kosish ko saraahne ke liye...

Main aapki baat se sehmat hun ki khud ko hum khuda ka darja nahiN de sakte, par neki se hum apni kismat jaroor badal sakte haiN, aur maine bas vahi kehne ki kosish ki hai, ab agar isse aapki kisi bhi bhaavna ko thes pahuNchi ho to maiN uske liye maafi ka talabgaar huN...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: April 09, 2013, 11:17:58 PM »
Reply with quote
behtareen gajal.. Sir!

daad aur hausla afzaayi ka bahut bahut shukriya champak ji....
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #14 on: April 10, 2013, 02:12:31 AM »
Reply with quote
KahaaN ko chal pada hooN main liye roothi hui kismat,
Meri manjil kahaan par thi, kahaan ko chal pada huN maiN..

Vo kehte hain ke milta hai jo bhi kismat se milta hai,
main kismat hi badal dunga ke khud ka khud khuda hooN maiN..

Wah wah wah..bahut ravaan ghazal pesh kee hai..
vaise to sabhee ashaar behad khoob hai par..maqta aur upar likhe do ashaar..javaab nahee.
dil khush ho gaya..

mukesh saaheb aapki taaref ka shukraguzaar huN, ahcha lagta hai jab aap jaise aala log tareef arte haiN, umeed karta hun aage bhi aapko niraash nahiN karuNga, bas aage bhi yuNhi hausla afzaayi karte raheN... Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 02:06:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.204 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer