tera naam gungunaaye by taasir siddiqui

by Taasir siddiqui on November 14, 2010, 08:07:43 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 811 times)
Taasir siddiqui
Guest
Reply with quote
Ya rab mere ishq mein woh jadoo sa samaaye;
main use sochun aur woh mere saamne aa jaaye;

gham ka muje gham nahin bus itna karam woh farmaaye,
ashk bahe jo aakhon se woh apna daaman pehlaaye;

kaash koi woh din woh lamhon ko phir dohraaye,
main use pukaarun aur woh daudi chali aaye;

dard kuch is tarah badhe ke aehsaas-e-dard na rahe,
dil me hazaar zakhm ho aur lab mere  muskuraaye;

jab bhi uthe nazar meri tere deedaar ke liye uthe,
jab bhi khule lab mere tera naam gungunaaye;



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
WON THE COMPETITION OF GHAZAL AUG'09 BY TAASIR SIDDIQUI by Taasir siddiqui in Ghazals
DIWALI KI RAAT by taasir siddiqui by Taasir siddiqui in Shayri-E-Dard
Tera andaaz magar dushman se juda nahin hai( taasir siddiqui) by Taasir siddiqui in Ghazals
MAIN AADMI HUN----------TAASIR SIDDIQUI by Taasir siddiqui in Ghazals
doha ----by taasir siddiqui by Taasir siddiqui in Other Languages
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: November 14, 2010, 03:07:10 PM »
Reply with quote
Aadaab Janab !

Hum kisi seniour member ko dekhte hai to hume bahot khushi hoti hai... Usual Smile Aap bhi Masha Allah se yahaaN ke do saal purane member hai.. Usual Smile

Aapki kalaam kafi achchi lagi hume aur yeH qouted ashaar to lilaaH bahot umdaa hai janab:)

         



Ya rab mere ishq mein woh jadoo sa samaaye;
main use sochun aur woh mere saamne aa jaaye

kaash koi woh din woh lamhon ko phir dohraaye,
main use pukaarun aur woh daudi chali aaye;

dard kuch is tarah badhe ke aehsaas-e-dard na rahe,
dil me hazaar zakhm ho aur lab mere  muskuraaye


Aise hi umdaa khayaaloN ke saath bazm meiN aate rahiye.....

Khush O aabad rahiye.....
Khuda Hafez.....Usual Smile         

Logged
zarra
Guest
«Reply #2 on: November 14, 2010, 07:21:12 PM »
Reply with quote
taasir ji. acchha farmaya apne.
Logged
shiba
Guest
«Reply #3 on: May 16, 2011, 01:10:29 AM »
Reply with quote
Wah Ji Wah Taasir Ji Kya Kehne
Bohat Hi Pyari Ghazal Likhi Hai Aapne
Humey Aapki Yeh Peshkash Behad Pasand Aayi Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 03:05:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.195 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer