tumko haq hai........

by sana Afroz on November 17, 2014, 01:21:05 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1166 times)
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
Reply with quote
Tumko haq hai ke tum  jalaal karo
   apni hasti ka kuch khayaal kara..

kuch to mujh par bhi rahm dikhlao,
   yun na nazron se tum halaal karo..

jantey ho jawab sarey tum ,
   ban ke anjaan mat sawaal karo..

mujhpe ilzam haiin  sabhi aayed .
   tum jo chahey karo kamaal karo..

mujhko milta hai ye jawab  'sana'
   chup bhi ho jaao !! Mat sawaal karo..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TUMKO DEKHA HAI by BHONDU in Shayri for Khumar -e- Ishq
tumko dekha to by kaushikbhawna008 in Ghazals
Tumko Chaha... by Deepati in Shayri for Khumar -e- Ishq
tumko by saahill in Miscellaneous Shayri
tumko by pawan16 in Shayri for Khumar -e- Ishq
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: November 17, 2014, 01:29:15 AM »
Reply with quote
waah waah
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #2 on: November 17, 2014, 04:43:29 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

bahut khub sanaji........ umda
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #3 on: November 17, 2014, 05:45:17 AM »
Reply with quote
Shukriya shukriyaaa!!!!! Sksaini aur mann.mann ji
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #4 on: November 17, 2014, 05:55:32 AM »
Reply with quote
Bahut khoob.
Logged
vb
Guest
«Reply #5 on: November 17, 2014, 07:49:33 AM »
Reply with quote
Tumko haq hai k tum malaal karo
   apni hasti ka kuch khayaal kara..

kuch to mujh par bhi rahm dikhlao,
   yun na nazron se tum halaal karo..

jantey ho sabhi jawab jo tum ,
   ban ke anjaan mat sawaal karo..

mujhpe to jurm sabhi aayed hain.
   tum jo chahey karo kamaal karo..

jawab paya jo manga hisab lamhon ka,
   chup bhi ho jaao !! Mat sawaal karo..


Mohtarma sana Afroz sahiba! salam

buhat khoob.. daad haazir hay...

maqta'a ka pehla misra.. wazan men nahi hay... ye kuch esay bhi ho sakta hay.. (yaad rahay k hum tajveez sirf misra k wazan k havalay se detay hen, shayara ka mutafiq hona zaroori nahi)

"hum ne paaya hisaab lamhon ka"

... aik baar phir bharpoor daad k sath

dua-go
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #6 on: November 17, 2014, 07:58:31 AM »
Reply with quote
Shukriya. VB shb

mujhe bhi ye bhe mein nahin lag rha tha lekin maqsad wazeh nhin ho rha th kisi aur tarah ,isliye aise hi de diya. Mashware k liye mashkoor hoon.
duago...
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #7 on: November 17, 2014, 09:17:34 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower
sana ji bahut khooob....
Logged
sbechain
Guest
«Reply #8 on: November 17, 2014, 09:42:09 AM »
Reply with quote
Tumko haq hai k tum malaal karo
   apni hasti ka kuch khayaal kara..

kuch to mujh par bhi rahm dikhlao,
   yun na nazron se tum halaal karo..

jantey ho sabhi jawab jo tum ,
   ban ke anjaan mat sawaal karo..

mujhpe to jurm sabhi aayed hain.
   tum jo chahey karo kamaal karo..

hamko milta hai ye jawab  'sana'
   chup bhi ho jaao !! Mat sawaal karo..


mashaallah kya kahne ab kya sawwal karo.n iss pyaari ghazal pe buss rau deti hoon ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #9 on: November 17, 2014, 09:45:54 AM »
Reply with quote
shukriya  SHEBA JI ...
hausla afzai k liye mashkoor hoon.
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #10 on: November 17, 2014, 09:50:38 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause
bohut bohut khubsurat rachna waaaaaaaaaaahhhhhh dherooooooooo daaaaaaaaaadddddd
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #11 on: November 17, 2014, 09:57:32 AM »
Reply with quote
shukriya jeet ji...
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #12 on: November 17, 2014, 12:29:25 PM »
Reply with quote
Mahutram Sana sahibah ..aadab ..choti bhr me sher kahna mushkil hai hai taham aapne ache sher nikale hain ...zindabad ...dad o mubarak baad hazir hai ..

mujhpe to jurm sabhi aayed hain.
tum jo chahey karo kamaal karo..

darje bala sher ka misra e oola bhr se kharij hai ....lafz hain ko lafz sabhi se pahle kar len thik ho jayega ..

Mujhpe to jurm hain sabhi aayed..

jantey ho sabhi jawab jo tum ,
ban ke anjaan mat sawaal karo..

is sher ka misra e oola yun bhi ho sakta hai ..

tumko maaloom hain jawab sabhi
ban ke anjaan mat sawal karo ..


baaqi aap bahtar jaanti hain ...Ek baar dad hazir hai aapki is tilism angez ghazal ke huzoor ..

dua go

qadeertoopchi
Logged
vb
Guest
«Reply #13 on: November 17, 2014, 12:40:46 PM »
Reply with quote
Mahutram Sana sahibah ..aadab ..choti bhr me sher kahna mushkil hai hai taham aapne ache sher nikale hain ...zindabad ...dad o mubarak baad hazir hai ..

mujhpe to jurm sabhi aayed hain.
tum jo chahey karo kamaal karo..

darje bala sher ka misra e oola bhr se kharij hai ....lafz hain ko lafz sabhi se pahle kar len thik ho jayega ..

Mujhpe to jurm hain sabhi aayed..

jantey ho sabhi jawab jo tum ,
ban ke anjaan mat sawaal karo..

is sher ka misra e oola yun bhi ho sakta hai ..

tumko maaloom hain jawab sabhi
ban ke anjaan mat sawal karo ..


baaqi aap bahtar jaanti hain ...Ek baar dad hazir hai aapki is tilism angez ghazal ke huzoor ..

dua go

qadeertoopchi

Mohtaram janab qadeertoopchi sahab! salam

achha hay k aap bhe dekh letay hen.. hamari nazer say chook ho jati hay... aur fanni mahaarat aur tajurbaa men bhi kami hay...

baqol shakhsay...

baarhaa raah se bhatakta hun
aadmi hoon, khuda nahi, yaaro!

.....
misra men tabdeeli ki taraf ayay he hen tu ek cheez ye bhi dekh letay hen k "jurm" aayd nahi hota.. ya tu "fard-e-jurm" aayed hoti hay... ya phir "ilzaam" so esay bhi keh saktay hen..

Mujhpe ilzaam hain sabhi aayed..


dua-go
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #14 on: November 17, 2014, 12:52:27 PM »
Reply with quote
VB sahab aap sahi kah rahe hain ...zubaan ki barikiyun per baat ki jaaye to ghazal ka koi aisa misra nahi jis per baat karne ki gunjaaish nahi ...jaise ke aapne kaha ye kalame insaani hai kalame ilahi nahi jo har aib se paak ho ....aapka tabsera haq ba jaanib hai usko nakarna jihalat ki nihsani hai ......maine sirf tajweez nahi kiya uski tarteeb badal di thi bus ...


Dua go

qadeertoopchi
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 16, 2024, 10:56:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.186 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer