रुक जाती है धड़कन तक Ruk jati hai dhadkan tak...Sadiq Rizvi

by Sadiq Rizvi on January 04, 2012, 08:35:12 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 954 times)
Sadiq Rizvi
Guest
Reply with quote
इश्क़ नहीं मेरा धन तक     Ishq nahin mera dhan tak
उन पर वारी तन मन तक   Unper wari tan-man  

जो दहलीज़ न लांघ सके     jo daheleez na laang sakey
आएगा क्या आँगन तक     Aayega  kya  aangan tak

खैर मनाएं इज़्ज़त की       Khair manayein Izzat ki
हाथ है पहुंचा कंगन तक     Haath hai pahuNcha Kangan tak

ब्याह दी बेटी दे के दहेज़     Byaah di beti de ke dahaij(jahaiz)
क़र्ज़ में डूबी गर्दन तक      qarz mein doobi gardan tak

आती है जब उनकी याद     Aati hai jab unki yaad
रुक जाती है धड़कन तक     Ruk jati hai dhadkan tak

हम पे करे वह हद जारी     Hum pe karey woh hud jaaree
पाक है जिसका दामन तक   Paak hai jiska daaman tak

जान दी लेकिन आन न दी   Jaan di lekin aan na dee
रुसवा हो गया रहजन तक    Ruswa ho gaya rahezan (lutera Daku) tak

देख के हैबत चेहरे पर       Dekh ke haibat chehre per
हंसने लगा है दरपन तक     HaNsne laga hai darpan tak

'सादिक़' तन्हाई का ज़ह्र     'Sadiq' Tanhayee ka zahr(Poison)
फ़ैल गया है तन मन तक    Phail gaya hai tan-man tak
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: January 05, 2012, 05:54:23 AM »
Reply with quote
 Applause Applause sadiq saheb is khoob soorat aur chhotee bahe kee peshkash par meree dilee mubaarakbaad qubool karen.
aapkaa daawatnaamaa mujhe dil se qobool hai par aap to khud samajhdaar hain roorkee se mumbai aanaa naamumkin to naheen par mushkil saa to hai hee.Fir bhee koshish rahegee ki jaise hee koi soorat hogee aapke daulat khaane par aapkaa deedaar zaroor karoongaa.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: January 05, 2012, 06:35:18 AM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat ash'aaar se murassa ghazal hai.Sadiq saheb tah e dil se mubarakbaad.Hasan
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #3 on: January 05, 2012, 07:04:52 AM »
Reply with quote
इश्क़ नहीं मेरा धन तक     Ishq nahin mera dhan tak
उन पर वारी तन मन तक   Unper wari tan-man 

जो दहलीज़ न लांघ सके     jo daheleez na laang sakey
आएगा क्या आँगन तक     Aayega  kya  aangan tak

खैर मनाएं इज़्ज़त की       Khair manayein Izzat ki
हाथ है पहुंचा कंगन तक     Haath hai pahuNcha Kangan tak

ब्याह दी बेटी दे के दहेज़     Byaah di beti de ke dahaij(jahaiz)
क़र्ज़ में डूबी गर्दन तक      qarz mein doobi gardan tak

आती है जब उनकी याद     Aati hai jab unki yaad
रुक जाती है धड़कन तक     Ruk jati hai dhadkan tak

हम पे करे वह हद जारी     Hum pe karey woh hud jaaree
पाक है जिसका दामन तक   Paak hai jiska daaman tak

जान दी लेकिन आन न दी   Jaan di lekin aan na dee
रुसवा हो गया रहजन तक    Ruswa ho gaya rahezan (lutera Daku) tak

देख के हैबत चेहरे पर       Dekh ke haibat chehre per
हंसने लगा है दरपन तक     HaNsne laga hai darpan tak

'सादिक़' तन्हाई का ज़ह्र     'Sadiq' Tanhayee ka zahr(Poison)
फ़ैल गया है तन मन तक    Phail gaya hai tan-man tak











waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #4 on: January 05, 2012, 08:52:06 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley wah izvi saha fir se iss behtreen peshkash ke liye dheron daad
Logged
mkv
Guest
«Reply #5 on: January 05, 2012, 04:41:30 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Sadiq Sahab
Saini sahab apke dost hai isliye ye kahne ki jurrat kar raha hu..ghajal ki asliyat par koi sawaal nahi utha raha hu..iske liye apko dil se daad deta hu.sirf andaaj ki baat aur kuch nahi. Applause
Agar is ghajal ka maqta hata diya jaaye aur mujhe padhne ko di jaaye to mujhe ek hi shaksha ki yaad aayegi.. vo hai saini sahab..unka bhi andaaj bilkul yahi hai..
lekin ab aap bhi yaad aayenge.

Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #6 on: January 05, 2012, 05:20:25 PM »
Reply with quote
Mkv saheb aadaab
Aap ko ghazal pasand aayee Uska bahut bahut shukria.
Meri ghazaloN meiN agar aap ko Saini saheb ka aks nazar aata hai to yeh baat mere liye qaabil-fakhr hai. Main apne ko aap logon say kumter samajhta hooN,aap log mujh se kahiN zyada achche shayer hain phir bhi aap ki Hausla-afzayee ka bahut bahut shukria.
Nacheez ko DuaoN mein yaad rakhiye
khuda hafiz
Sadiq Rizvi
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: January 05, 2012, 05:26:35 PM »
Reply with quote
Sadiq sahab aadaab
Hum apko hamesha yaad karte hai.. bas aap logo ko padh padh kar hi seekhne ki koshish kar rahe hai.. koi kuch batane vaala bhi nahi hai..
kuch tips denge to bahut accha rahega hum jaiso ke liye jinhe urdu likhna theek se nahi aata.
chaliye ek cheej to bata hi dijiye hindi ka prayog karke kya sahi mayne me ghajal likh sakte hai..log kah dete hai ki yeh hindi ghajal hai..Aap kuch roshni daale.n to badi meharbaani hogi.

Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #8 on: January 05, 2012, 05:55:59 PM »
Reply with quote
Hasan Siddiqui saheb aadaab
Hausla afzai ka shukria
Dua mein bhi hamein yaad rakhiye
Khuda Hafiz
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #9 on: January 06, 2012, 01:53:26 PM »
Reply with quote
Mkv saheb aadaab
Aapne mujh nacheez se rai mangi hai jab ke main pahle bhi kah chuka hoon ke main koyee ustaad nahin hooN phir bhi jtnna zzaroor kahooNga ke aap aasaan hindi ka prayog karke sahi mayne mein achchi ghazal likh sakte hain taakey log usey aasani se samjh sakein.Aapne mujhe kisi qabil samjha uska shukria.
                                               Sadiq Rizvi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #10 on: January 07, 2012, 08:55:46 AM »
Reply with quote
Mahutram Sadiq Rizvi Sahab Assalamwalekum ,,,

Aabdaar o tabdaar , shandaar o jaandaar ,, kaatdhaar o dhardaar ,, pur mughaz o pur asar ,, pur lutf o pur noor ,, Ghinayat se labrez Apki is murassa ghazal ke huzoor hai meri dad khubool kare.N ,, Mahutram Apki eak ghazal ke matle pe maine khuch arz kiya tha Ap jawab naa aane pe parishan hon ,, Bara-e-maherbani Khuch kahe.N Warna Mai Wahan se apna Aitraz Hazaf kar longa ,, Jabke Apki is ghazal ke maqte me bhi Radeef Ka istemaal Galat hai ....Mai chahunga ke Ap wazahat kare.N ,, Allah apko khoob se khoob tar nawaze ....

Khair Andesh

Qadeertoopchi
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #11 on: January 07, 2012, 07:51:15 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb Walekum salaam
Main aap  se pahli baar mukhatib hua hoon,Iss liye yeh kahna ghalat hoga ke main ne pichle aitraaz ka jawab nahin diya aap ne kaha Qadeer saheb ke maqte me bhi Radeef Ka istemaal Galat hai sher hai.....
'Sadiq' Tanhayee ka zahr
Phail gaya hai tan-man tak
Iss  mein aap ko kya ghalat laga main samjha nahin aap hi wazahat kijiye Taake Future main aisi ghaltiyon se perhaiz karoon
Khuda hafiz
Sadiq Rizvi
Logged
Raqeeb
Guest
«Reply #12 on: January 07, 2012, 08:18:42 PM »
Reply with quote
इश्क़ नहीं मेरा धन तक     Ishq nahin mera dhan tak
उन पर वारी तन मन तक   Unper wari tan-man 

जो दहलीज़ न लांघ सके     jo daheleez na laang sakey
आएगा क्या आँगन तक     Aayega  kya  aangan tak

खैर मनाएं इज़्ज़त की       Khair manayein Izzat ki
हाथ है पहुंचा कंगन तक     Haath hai pahuNcha Kangan tak

ब्याह दी बेटी दे के दहेज़     Byaah di beti de ke dahaij(jahaiz)
क़र्ज़ में डूबी गर्दन तक      qarz mein doobi gardan tak

आती है जब उनकी याद     Aati hai jab unki yaad
रुक जाती है धड़कन तक     Ruk jati hai dhadkan tak

हम पे करे वह हद जारी     Hum pe karey woh hud jaaree
पाक है जिसका दामन तक   Paak hai jiska daaman tak

जान दी लेकिन आन न दी   Jaan di lekin aan na dee
रुसवा हो गया रहजन तक    Ruswa ho gaya rahezan (lutera Daku) tak

देख के हैबत चेहरे पर       Dekh ke haibat chehre per
हंसने लगा है दरपन तक     HaNsne laga hai darpan tak

'सादिक़' तन्हाई का ज़ह्र     'Sadiq' Tanhayee ka zahr(Poison)
फ़ैल गया है तन मन तक    Phail gaya hai tan-man tak


Bahu Khoob Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 01:42:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer