Saaya...

by asif biswas on April 25, 2014, 11:41:44 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 6254 times)
asif biswas
Guest


Mera naam rupali banerjee hai…umar 21 saal…naam aur shourhat ke chalte hai aaj maine bahut kuch kho daala tha…maa baap ka pyaar..logo ko…apne asal zindagi ko aur sabse bari cheez khud ko….meri zindagi mein aajse kareeb 3 saal pehle kuch aisa ghataa thaa…jisne meri zindagi ko hamesha hamesha ke liye badal daala…maine kabhiii bhagwaan par yakeen nahi karaa tha…lekin shayad meri kismat mujhe aisa gaddhe ko or le jaa rahi thi..jahan se mera bach paana naamumkin thaa….is duniyaa mein kareeb do tarah ke jiv hote hai…ek toh insaan aur dusraa jaanwar..lekin kya hum aur aapko pata hai? Ki is duniyaa mein kuch aur bhi exist karta hai..haan mujhe toh yakeen bhi huaa….kyunki jo manzar maine apni aankho ke saamne dekhaa…oose byaan karnaa mere liyee ek khauffnak sapne jaisa hai

3 years ago….

main Bengal ke chote se sheher se belong karti hoo….main papa aur mom ke saath delhi mein rehti thi….mere ghar ki maali haalat zyada khaas nahi thi..middle-class family main meri choti behan sonali aur meri maa housewife…papa bank mein manager they..hamari zindagi acche se chal rahi thi…mere naa koi friends they aur naa zyada dost bas khud mein gum rehti thi..mera ek hi sapnaa tha…to become a glamorous actress ooske liye maine mehnat bhi shruu kar di thi…rehearsals dancing acting class lenaa…sheeshe ke saamne acting karke khudd ko dekhnaa..hahaha that was the memorable moments of my life

mere is ambition se mere parents saqt khilaaf theyyy…oonhone mujhe kaaafi daant fhatkar ki..samajhaya bhii lekin meri zidd kabhi khatam nahi hone waali thi…wohh chahte they ki main life ke aage ke sahi decisions loo apni padhai puri karke…ek honhaar kaabil banuu mom shaadi ke liye sochne lagii..oonhone even mujhse bhi puchaa ki koi hai larka nazar mein? Lekin maine saqt khilaaf thi is decisions se oonke aur aakhirkaar maine apni tamanna ko haqeeqat mein tabdil karne ke liye apna pehla kadam badhaa liyaa…..

Meri graduation puri hone ke baad…maine Mumbai ke liye jo paisa invest kiyaa tha oosse move on ho gayi…pehle toh mom dad ne kaafi fhatkaar lagayii akele wahan kaise rahengii kaise jiyengii? Lekinnn main bhi dheeli na padhii..aur maine bagawat karna shuru kar diya..khaana peena chodh diyaa…meri is zidd ko aakhirkaar haar maante huye dad ne mujhe Mumbai jaane ki permission di….mumbai mein aate hi…maano mujhe aisa lagne lagaa ki bas meri ambition mujhse aur dur nahi hai..mera sapnaa bas puraa ho jaayegaa

Mujhe ek saste se chawl mein rehnaa paraa..jahan pehle se hi bahut strugglist actors reh rahe they…ek do se dosti bhi ho gayiii…but they were not my kind off…zyada mail jol badhaana mujhe suit nahi karta tha…finally maine auditions dena shuru kiyaa…movies ke liyee..lekin shayad selection honaa mushkil thaa….din par din auditions deti chali gayii lekinnn koi khaas offer nahi mil raha thaa…aur oosi waqtt meri dostii huyi ek aise larke se jise pehli nazar mein main dil de baithii…amar amar khanna…meri hi tarah auditions ke chakkar kaant raha tha…lekin bare baap ka beta…wohh bhi dad se ladhkar auditions de raha tha…amar ne mujhe kaafi support karaa….main bhi oose dil de baithi thi..sochaa tha jab actress ban jaungi aur wohh actor ban jaayega tab hum sabke saamne ek dusre kaa haath thaam lenge

Lekinn shayad kismatt meinnn chalawaa hi likhaa tha…..hum auditions detee..koi success nahi milata…even yahan se dad ne meri naakamyabi ko dekhte huye waapis aane ko force karna shuru kar diyaa..par main kisi bhi haalat mein waapis Mumbai se delhi nahi jaana chahti thi…jald hi auditions dete dete itni thak gayiii ki ek pal ke liye gave up kar diyaa…achanak zindagi ne ek modh liyaa…amar ko role mil chukaaa tha famous daily soap opera k eek serial mein

Oos pal ki khushi oosne apne friends ke binaa mere sath bitaayii….main ooski is kamyaabi se khush thi….hum dono ne club mein dance kiyaa…khoob nashaa kiyaa…aur fhirr puri raat ek dusre ke paas hokar guzaari…lekin shayad main nahi jaanti thi…ki badalte mausam ka wohh pal tha..main wohii tehri huyi thi…auditions dete dete ek role milaa..lekin side role tha…upar se dad paise nahi bhej paa rahe they..oonki financially kuch problem hone lagi is baat ko sunkar..maine ye role le liyaa..apne financial support ke liyee

6000 rupee ka mamuli sa role tha….pehli hi acting mein mujhse kuch aisi thodhi galti huyi jis wajah se mujhe apne show director se itna daant khaana parhaa ki kisi ko munh dikhaane ke kaabil nahi rahi..maine bhi thanan liyaa tha…ki main apne is bezzati ka badlaa lungiii jis tarah sab ke saamne crew ke beech oosne meri bezzati ki aur sabne mazaak udhaaya ooska main badlaa lungi ek famous heroine bankar…lekinnn meri junoon ki aag shaant naa huyi thi…udhar meri nakaamaybi ke saath saath amar ka pyaar bhi kam hote jaa raha tha

Who ab mujhse itna dur jaa raha tha maano wohh mujhe ignore kar raha ho..maine oose madad bhi maangni chahi par oosne ye kehkar deny kar diyaa..ki ooske paas mere liye waqt nahi haii…jabki ooski aur oosi serial ki co-actress se affair chal raha hai is baat ko gossip news mein sunkar ek jhatka lagaa..mujhe wajah chahiye thaa..aur wohh wajah jald hi mujhe milaa..jo mujhe aadha todh dene waala tha

Oos raat ki party mein mujhe invite nahi karaa gaya tha….mujhe amar ke is ravaiye se kaafi azeeb feel huaa…main oos raat amar ke flat par pahuchiii….wahan pahuchakar paaya ki roof par party chal rahi thi…kaafi costly flat tha..yakeenan baap ke paise aur apne naye fame se oose itna sabkuch milaa jaam aur shaam ke is party mein main bhi shareek huyii….lekin jab party par pahuchey toh kaafi co-actorss successful log aur yahan tak khud amar apni co-actress ke saath jhum raha tha…chote kapro meinnn wohhh aise amar ki baahon mein jhum rahi thi maano oose ab kabhi nahi chodhegii is manzar ko dekh mere dil mein hazaaro sanp lotne lage

Main ekdum chuphokar ek jagah kharrii is tamashey ko dekh rahi thi ki achanakkkk amar ne mic lekar announce jo kiyaa wohh mujhe hilaane ke liye kaafi thaa….”ladies and gentleman tonight I am gonaa plannn that me and my anjaliii will marry next month”………sabbb is baat ko sunkar zor se cheekhkar amar ko cheer karne lage…mujhe aisa jhatka lagaa maano kisi ne mujhe tezi se dhakka maara ho jee toh kar raha tha ki oosi waqtt sabke saamne 20th floor ki building se chalang lagaa doo..lekinn main andar se marr chuki thi mujhe jawaab chahiye thaa

Maine gusse mein aakar apne savr ka baandh todh daal…aur daudhti huyiii amar ko tezi se apni or kheenchte huyee ooske chehre par thappad de maara..”whatt dd helll?”…….amar gaal pakre mujhpar chillate huye bol paraa…sab ki khushi jashnn music ek hi pal mein thamm gayi aur sab hairaani se mujhe aur amar ko dekhne lage
“ye sabb kyaa hai? Amar tumnne mere saath rishta banayaaa and now u’re leaving me for this girl”……..maine cheekhte huye kaha
“ohh shutt upp rupaali tum hosh mein nahi ho she is my only gf ye mera aaj hai aur kal bhi understand how dair u to slap me?”………amar ne chiddhte huye kaha
“tum wohii amar honaa jisne mujhe itna support karaa sabko bhulaakar even parents ko bhi tumhein maana…tumne mujhse wada kiya tha that u will marry me”………maine amar ka collar pakadkte huye aha
“ohh shutt upp main tumhe nahi jaanta…tum thi meri dostt lekin sirf ek acchi dostt aur ye sab tohh normal hai yaar itna baraa tamasha kharaa karne ki himmat kaisi huyi tumhari? Guards le jao ise yahan se guards”…….jis amar se main pyaar karti thi aaj wohiii mujhe apne se dur karne ke liye faik raha tha…itna baraa jhatkaa

Amar ko ooski saath khariii anjali samjhaane lagii…amar mujhe gusse bhari nigaahon se dekh raha tha…”waahh amar mujhe dhakke maarkar nikaal rahe ho apni zindagi se lekin yaad rakhnaa ek din mera bhi aayegaa tumhari is galti ki sazaa tumhein main zarur dungiii khatam kar dungi main tumhheiin khatammm aaaahh chodhhoo mujhee choddhoo”……..mujhe dono guards haath pakadhte huye bahar ki or le jaane lage…main jhatakne lagi khud ko oonke haatho se

“jao jao rupaali maine toh tumse dosti kit hi…relationship tumne badhayaa aur tumhein hai hi kya? Ek strugglist ho tummm…haari huyi…film actress banna hai naa tumheinn dekhnaa film actress tohh kya ad bhi nahi milegaa tumhein? Kuch nahi kar paogi tumm? Aur tumne kaise soch liya? Ki main tum jaisi larki se pyaar karke apni zindagi tabaah karunga arre jao jaoo dhundh lenaa koi acchaa actor jao yahan se”…….osoki baton se main til til karke jal rahi thi

Gusse mein toh aa raha tha ki wohh botal loo aur ooske sar par maar doo..lekin guards ne itni zabardasti mujhe pakadhaa huaa tha ki main chuttne ke kaabil nahi thi..aakhirkaar main wahan se ye kehkar nikali..mera bhi din aaegaa aur tumm bhugtoge amar khannaa..pachtaoge tadpoge

Oos raat..ghar aakar maine kaafi drink kar liyaa….itnaa ki main uthne ke bhi kaabil naa rahi….apni is badkismati par itna ronaa aaya…ki aansuyo se mera chadhar bheeg gaya…itni taqleef oosne mujhe di sirf isliye kyunki main ooski barabar ki nahi rahiii…jaise hi agla savera huaa maine thaan liyaa ki mainnn apne moqaam tak pahuchkar dikhaaungiii

Auditions diyee…lekin koi kamyabi nahi mili..meri audition lene ke baad mujhe next month bulaaya gaya…mujhe ko umeed nahi lagii aur maine mann ko maarkar jaise taise ek part time job mall mein le li sales representative ki job..ksii tarah ye naukari milane se mujhe paisa hone laga…main saving karne lagii..lekin meri kismat oosmein koi chamak nahi thi…kaam ki mehnat se itni thak jaati ki audition dena mushkil ho jaata…achanakkk ek phone call aaya producer ka tha latest ad show ke liyee oosne mujhe select kar liyaa tha..main is baat ko sunkar khushi se jhum uthii

Maine job se chutti lekar wohh add ke liye tayyari shuru kar di….add jald hi pura ho gayaa….ooske do din baad khud ko tv dekhaa toh itni khushi huyi jitani zindagi mein kabhi nahi huyi thi…lekinnn jald hi jald naakamyabi ne fhir mere darwaaje par dastak de daali…kuch hi dino mein mere oos add ki brand ambassador bollywood ki top heroine ban gayii aur zaahir thi main oos add ki brand ambassador nahi rahi…itna baraa jhatkaa lagaa ki zameen pao se khishak gaya…badkismati ne mujhe pura todh daala tha

Production waalo ke yahan chakkar kaantein lekinnn har koi mujhe kuch aur hi offer kar raha tha…oonke is lalach mein padhne se maine ab haar maan li….soch liyaa ki mera kuch nahi ho saktaa hai….dusra jhatka mujhe tab lagaa…jab amar ne anjali se shaadi kar li….mere armaano ke saath saath mera pyaar bhi khatam ho chukaa tha ab jeene ki koi tamanna nahi thi…aur isi dard taqleef ke saaye mein rehkar maine apna kaam bhi chodh daala

Aur wohh din bhi aa gaya jab kismat ko rukh badalana tha….main bhagwan par yakeen nahi karti hun..mujhe ye sab andhwishwas lagtaa tha..achanak ekdin bus stop par kharriii thiii….apne mein dubii bas khudaa se yahi duaa kar rahi thi…ki maine aappar kabhi yakeen nahi karaa…aur zaahir hai aapko meri koi khwahish Kabul karne ka haq nahi bantaa…lekin mujhe maut de dijiye taaki main is duniyaa mein rehkar til til naa maaruuu……mujhe is duniyaa se baksh dijiye..baksh dijiye mujhee….apne aansuyo ko ponchte huye main apne chehre par haath rakhkar ye duaa maangg rahi thi ki achanakkk kisi ne mere kandhe par haath rakhaaa

Jab gulaabi aankho se ooski or dekhaa….tohh ek pal ke liye thodhaa sehem gayii….kaale burkhe mein chehra khuli huyii wohh aurat mujhe dekhkar muskuraa rahi thi…aankho ke niche kaale ghere chehraa thodha saanvla sa dekhkar hi maalum ho raha tha ki kaafi umar daraaj aurat hai….mere charo or koi nahi tha…apni bus ka wait karte karte na jaane kab main itni tutkar apne baton ko byaan kar rahi thi shayad oosne ye sun liyaa tha

“tute armaan aur khwahish tabhi pure hote hai jab khud ke dil mein oonhe puri karne ki hasrat ho…ismein tumhari galti nahi ki tumhein kuch nahi milaa….balki is baat ki khushkismati honi chahiye tumhein ki tumhein apni raah milengi”……….oos aurat ki bhaari awaaz mein baatsunkar main chaunk kar uth khari huyi
“kya matlab? Kaun hai aap? Aapko kaise pata?”…….maine uthkar do kadam duri par khare hokar kaha
“beta tujhe dekhkar hi main bataa sakti hoo..main musalman dharam se taaluq rakhti hoo…lekin teri tarah meri jholi mein bhi dard tha…par ab sabkuch mit gaya hai jab se main oon baba se mili..oonhone meri zindagi ko badal diyaa…khairrr tumne khuda par kabhi yakeen nahi karaa..lekin tassali rkaho who tumhare liye koi na koi darwaja zarur kholegaa”……itna kehkar wohhh aurat waapis jaane lagi
“rukiye kya matlab? Kiski baat kar rahi hai aap? Aur mujhe kyu bataa rahi ho ye sab?”………maine oose rokte huye kaha
“tumhein dekhkar hi pataa chal raha hai ki kitne dard mein ho tum? ye lo”…..oosne apne bagal mein latke black purse wohhh kaagaz mujhe diya
“ise rakh lo aur agar tumhe yakeen ho…tohh inke paas chali jaana ye tumhe tumhari kaamyabi ko pura karne mein shayad madad kar de”…….main ooski baton ko hakka bakka hokar sun rahi thi

Itna kehkar oosne ek auto li…aur piche mudhkar muskurate huye naa jaane kis or chali gayiii…….main ek dum hairaani se oos addresss ko dekhne lagi..ghar aakar kuch azeeb sa lagaa kyunki mera dil gawara nahi kar raha tha ki main in sab chakkaro mein padhu shayad koi pakhandi tantrik ho mullah ho kuch keh nahi sakti thi..lekin tamanna ko paane ke junoon ne aakhirkaar mujhe jaane ke liye uksaa diyaa

Auto se main oos jagah pahuchi jahan ka address diyaa tha….chalte chaltee main jungle ke theek beecho beechhh ek bare se gufaa ke saamne kharii thi….andar jaate hi ek pal ke liye sehem gayiii…koi aaadmi zoro se chehekhta hua apne sar ko pakadheyy dahaadhh raha tha maano koi uspar sawaar ho….koi aurat khud ko maar rahi thi…main itni darrr gayii ki ek pal ke liye ulte pao waapis hone lagi lekin achanakk…dil ne fhir himmat jutaakar oos baba se milane ka thaan liyaa….andar gehraa andheraa tha…cheekhne aur kuch padhne ki awaaz aa rahi thi….main darrte darrte sidiyo se niche utarne lagi niche aate hi dekha ki kuch log theyyy kaale kaale libaas mein mujhe ghurr rahe they…aisi nazaro se dekh rahe they maano kabhi aisi larki dekhi naa ho..aur zaahir tha…oonhein hairaani ho rahi thi…khaa jaane waali nazaro se dekh rahe they main jaldi se guzarte huye saamne khare oos shaks ke paas gayi jo mujhe ghurr raha tha

“kisse milana hai aapko?”……oosne kadhakar mujhe sar se lekar pao tak ghurrte hue kaha
“yahan jo baba baithte hai oonse kaam hai kya main oonse mil sakti hun?”……..maine sehemi nazaro se sar jhukaaye kaha
“theek hai aaiye mere saath”…….main jab ooske saath andar jaaane lagi…andar jaate hi ek azib si khushbu gunj rahi thi kamre ke hark one par dhuaa dhuaa fail raha tha

Saamne ek chataai par lamba chaudhaa kaale kapro mein baithaa aankhen band kiyee chupchaap tehri aankho se kuch soch raha tha..maine apne sar par kapraa daala aur oonke saamne baith gai…oosne meri taraf dekhaa aur fhir kharaa ho gaya
“jis cheez ke liye tum yahan aayi ho? Wohh main tumhe de nahi paunga”…..oosne ek dum se mere saamne keh daala..main hairaan pareshaan oose dekhne lagi
“kyu? Meri zindagi mein mujhe itna dard mil raha hai…aur ab main ek aas lekar yahan aayi hoo sirf aapse madad maangne pls meri help kar dijiye badle mein aap jo bologe main wohh karungiii”………maine minnat karte huye sehemi nazaro se kaha
“duaa maangnaa oose Kabul karnaa khudaa ke yahan hota hai..aur humm amaali hai..hum acchi buri cheezo ko kaabu karke oonhein apni kaid mein lete hai…jao yahan se tummm in sab cheezo par yakeen nahi karti jao yahan se”…..oosk ikadhak awaaz mein main khari ho gayi
“baba aapke baarein mein jis aurat ne mujhe bataya oonse kahaa tha ki aap khaali haath kisi ko waapis nahi bhejte mujhe aakhir milaa hi kya zindagi mein…naa pyaar naa career kuch nahii plss main aapse haath jodhti hoo aap meri is problem ko solve kar dijiye”….maine haath jodhkar ghunto ke bal baithkar oosse kaha

Kabhi toh itna kisi producer ke saamne bhi nahi jhukkar kahaa tha..warnaa wohh bhi pighal jata..main ek andhwishwas ke ghere mein ye sabkuch keh rahi thi…”hmmmm theek haiii lekinn tumhe pehle wada karna honga”,,,,,,kadhakkar oos baba ne mujhe dekhte huye kaha
“kyaa?”……maine dheemein awaz mein kaha
“ki tumhein aankhen mundkar wishwas karna hogaa….yakeen karna hogaa..lekin jo muraad tum chahti ho wohh tumhein mil jaayegaa..par yaad rakhnaa tumhari ek bhool tumhein hamesha ke liye dubo degi…agar kar sakti ho aisaa tohh main tayyar hoo tumhari madad ke liye”………ooske aankho mein kajal se aankhen bari baari aur darawani lag rahi thi ooski baton se maano main hypnotise si ho gayi thi oosne jo jo kahaa maine oospar haami bharti chali gayi
“apni tamanna ko paane ke liye main apni jaan dekar bhi ye keemat chukaungi”…….mere junoon ne kahaa

Baba ne paas rakhkke oos kitaab ko mere haath mein dete huye kaha..”ye lo ise gaye raat ko padhna hai tumhein…tumhare har sawaal ka jawaab is kitab se milegaa…tumhein ooski seva karni hogiii jo ek insaan nahii balki aag se janamaa ek jinnat hai agar tum darr gayii yaa oose dekhkar khud par kaabu na kar sakiii tohh tumhari maut nischint hai…jao ise le jao aur haan tumhe dobara aana nahi paregaa…aur agar fhir bhi aane ka dil ho tohh bhi tumhe waapis yahan nahi aana hai”……….oosne kaddhakar mujhe kahaa

“theek haii”………maine oos kitaab ko kholte huye kaha

"jo tu karne jaa rahi hai oosmein behad khatraa hai...lekin ootna hi zindagi ka sukoon bhi"......amaali ne apni ghurrti aankho se rupali ko kaha
"main apni tamanna ko pura karne ke liye apni zindagi bhi dekar ye keemat chukaaungi"........aankho mein rupaali kaa thaa wohh junoon

Maine oos aadmi ko kuch paise diye aur waapis oos gufaa se bahar aa gayii…na jaante huye ki oosne mujhe kya diya? Oose padhne ke baad kya honga ? sirf oos kitaab ko thaamkar main ghar aa gayi pure dinn chupchaap bas oos kitaab ko dekhti rahi ooske panne palattti gayi oosne mujhe saqt hidaayat di thi ki main ek bhi lafz oos kitab kaa naa padhu din mein..maine theek waisa hi kiyaa…raat kareeb 12 baj chukaa tha…kamre mein ghanaa andhera….jhinghuro ki bahar se awaz aa rahi thi

Maine oos baba ke kahein anusaar…mombatiyaa jalaayiiii kamre ke ird gird…fhirr do aggarbatiyaa jalai..ooske baad saamne oos kitabbb ko stool par rakhkar ooske saamne baithkar oose padhnaa shuru kiyaa……aankh bhaari ho gaya tha..lekin koi darr sa nahi lagaa…ki ekdum se mere saamne koi kharaa ho jaaye..ek tarah se wohh amal tha…main padhti jaa rahi padhti jaa rahi thi…lekinnn kuch huaa nahiii….bass hawaa ka saya badh raha tha mombatiyaa padhpadhaane lagiii…..main ek pal ke liye ruk gayii aur fhir padhne lagiiii kareeb 20 page maine padh liyaa tha….lekin koi asar nahi lagaa…padhte padhtee raat 3 baj gaya..ghannaa sannata koi awaaz nahiii…meri aankhen itni bhari hone lagi aur padh nahi sakii..fhir bhi mainee oos puri kitaab ko puri raat padh daala…subah 4 baj gaya…kitaab ke khatam hote hi mujhe bahut gussaa aayaa

Koi asar nahii..kuch nahi huaa..main jaanti thi ye ek andhwishwas tha..amal karke bhi kuch nahi huaa…even mujhe kisi ka aks tak nahi dikhaa..shayad dhongi baba tha..wohhh sach mein maine bahut bari galti ki ooske paas jaakar…apna time waste kiyaa..aise log hote hi aise hai…maine kitaab gusse se uthaakar almirah ke upar rakh di…aur so gayiii

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SAAYA by abeera in Shayri for Khumar -e- Ishq
Saaya by Maira in Shayri for Khumar -e- Ishq
***SAAYA*** by baadal102 in Shayri-E-Dard
saaya by mazHur in Ghazals
Saaya by vinery in Shayri-E-Dard
asif biswas
Guest
«Reply #1 on: April 25, 2014, 11:42:52 PM »
Agli dopahar 12 baje neend khuliii…sar thodhaa bhaari tha…aaj bhi wohhii din..naa sapne pure ho sakte hai..naa koi armaan….maine soch liyaa ki Mumbai mein ab aur zyada din ruknaa munasib nahi hai mere liye….maine thaan liyaa ki main waapis delhi chali jaaungii….main inhi lamho ko yaad karte huye kab rone lagi pata hi nahi chala…jald hi suraj dub gayaa…ghar mein koi kaam nahi tha tv dekhte dekhte ankhen lag gayi achanakkk tufaan chal raha tha….aandhi ki ho ho karti awaaz jab sunaai di tab neend khuli dhadh dhadh karke paas ki khidhki khulti band ho rahi thi main uthkar khidhki lagane ke liye pas gayi achanakkk se jaise hi khidhki lagaayiiii kadhakdaar zor se bijli kadhak uthiii….ekdumm se mujhe ksii ki parchaai mehsus huyiii apen piche….maien ekdum se bhauklakar piche mudhii

“kkk..kauunn haiiii kaunnn hai?”………maine sehemi huyi awaaz mein kaha
Koi awaaz nahii…maine fhir apni dil ka wehem samjhaa aur light on karna chaha..light jaa chuki thi..jhat se mombatiii jalaayii bahar ki bijliaya kadhak rahi thi tohh thodhi roshni se kamraa jagmaagaa jaata fhri andhera ho jata

Maine kaan mein earphone lagayaa..aur waapis sone ki koshish karne lagiii….gaanaa lagane ke bawjud mujhe ek anchaha darr sa lag raha tha..maine kitaab nahi padhaa…mujhe laga ab shayad kuch nahi ho sakta..lekin ye meri bewakufi thi…achankkkk se dheemein dheemein hote hote earphone se gana bajna band ho gaya…maine earphone check kiyaaa…mujhe lagaa shayad earphone kharab ho gaya maine oose utaarkar sone lagii…..achanak dekhti hooo ho ho karti awaaz ka shor badh gayaa….paas rakhkaa lamp grr grr karta huaa kaanpne lagaa…maine oos shor ko sunkar uthnaa chaha..lekinnn ye kyaa? Haath pao itna bhari kaise ho gaya…sar bhi bhaari hone lagaa…maano jaise kisi ne mujhe jakadh liyaa ho…

“aahhh…aahhhhhh yee mujheee..k..kyaa ho raha haiii? Aaahhhh”…..apne haath pao ke bhaari hone se mujhe dard hone lagaa main uth nahi pa rahi thi….khidhki ke paas mujhe kuch mehsus ho raha tha…kaan itne garam ho gaye they…maano jaise koi kuch padhkar phunk rhaa hoo aur ooski garam saanso se mere kaan garam hone lage

Achanak aankhen kholna chaha toh ankhen khul nahi paa rahi thi…aur jaise hi maine aankhen kholna chahaa…achanak oos bhari awazz ne mujhe chaunka daala
“aankhennn kholooo rupaali”…….ooske is bhaari lavzz se main kaanp uthi
“kkkk..kkauunn? kaunnnnn ?”…….maine aankhen kholi tohh kisi saaye ko apne paas aate huye dekhaaa….lamba chaudhaaa…kad kaathi se kaafi baraaa..aur jaise jaise who karee baa raha tha ooska bhayanak chehraa mere aankho ke saamne aane lagaa
“aahhh aahhhh aaaaaaahh”……main cheekh parii ooska khauffnakkk chehraa dekhkar aankho se aansu girne lage kamre mein ghanaa andhera…upar se mombatiiyo ki roshni mein ooska chehra saaf nahi dikhne ke bawjudd maine gaur kiyaa toh rooh kaanp uthi

haath paoo lambe chaudheyyy kaala pyjaama oosne pehen rakhaa tha…..itna lamba chuadhaa maano koi pahalwan ho…chehra itna kathor saqt….french cut sii dhaadhiii….aankho mein kajalll aankh haiii par kanchaa nahii matlabbb ekdum safed gulaabi aankh….sar par pagdiii baandhi huyi maano jaise kaabuli afghaniyo ke hote hai…dusre baazu par ek motaa taabizz…bandhaa haiiii pure kamre mein khusbu fail gayi aisi khushbu jisse main ek pal ke liyee chakraa si gayiii oos khushbu ko seh paana mushkil thaa mere liyeeee wohh mere saamne aakar kharaa ho gaya…main moaning karne lagiii..main maa kaa naam pukaarne lagiiii…dar se pura jism pasine pasine ho gaya tha

“rupaaliiii kyaaa muraaad-e-tamannnaa haiii tumhariii? Hahahahahahaha hahahahahahhahaa”…..ooske bhaari awaaz kesaath ooski hassii bhi badhti chali gayii awaaz puree kamre mein gunzne lagaa…maine chahkkar bhi uth nahi pa rahi thi..aur agar uthti tohh yakeenan main wahan se khidhki todhkar bhaag jati..mujhe itna darr lag raha tha..mujhe lag raha tha kahin wohh mujhe maar naa de..ab mujhe yakeen hone lagaa..sabkuch ki oos baba ki di huyi amal mein shayad main kaamyab ho gayiii thi….maine jinnat ko bulaa liyaa thaa…wohh jinn mujhee ghurrkar muskuraa raha tha oose dekhkar main khauff se cheekh bhi nahi paa rahi thi maano oosne mera munh dabaa diyaa ho taaki meri awaaz gale mein ghunnt jaaye

Ooski is baat ko sunkar…main kab behosh huyiii pataa naa chalaa…aur kab andhere ki aagosh mein dub gayi pata hi naaa chalaaa

Agle din neend khuliii ekdumm kamzor si padh gayi thi main? Jab sheeshe ke saamne khud ko dekhaa tohh aankho ke niche kaale ghere ho gaye they…munh sukh saa gaya tha…yakeen nahi ho raha tha ki kal raat koi sapnaa dekhaa tha…ye haqeeqat tha….khair maine kisi tarah naashta banakar khaaya aur nahaakar bahar nikalii….iss baat se bekhabar ki koi piche kharaa haiiii

Jaise dheere dheere piche mudhii toh ekdum se baucchakkaa reh gayii…..wohiin khauffnakkk chehraa sheeshe ke saamnee muskurata huaa mujhe ghurr raha tha…iss baar main cheekhna chahti thi lekin main jaanti thi ki shayad mujhe koi nuksaan naa pahuchaaye….main chupchaap bistar par khud ke jism par tauliyaa lipate baith gayiii khauff se almirah ki taraf jaa nahi sakti thi..woh dheere dheere se sheeshe bahar utara….yakeen nahi ho raha tha ek pal ko lagaa aankho ka dhokha hai lekin ek hi pal mein wohh saamne kharaa tha

“aapki khidmat mein haazzir hoo main”…….oosne jhukkkar maano mujhe salaam kara…ooski bhaari awaaz se hi main kaanp gayii
“tt…tummmm mer..raaa naam kaise jaante ho? K..kahannn se aaye ? aur tumm kamre mein kaisse aaye?”……maine sawaalo ki ladhi bichaa di
“hmmm hahahhahaaa hahahaha”….ek pal ke liye ooski bhaari awaaz gunjne lagiii
“aapne mujhe bulaayaa haiii….raat ke waaqya ko yaad kijiye aapne amal karke mujhe yahan bulaaya..jab maine aapkko dekhaa toh bass aapki is khubsurati par fidaa ho gayaa….aur mainnee faislaa kar liyaa ki main ab aapke saath rahungaa”…….ooski baton ko sunkar dil itna dehel gaya ki main darr si gayii

“tt..tumm insaan nahi ho sakttee…tum jiinnnat hoo naa”……maine darrte darrte kaha
“hmmm”……ooski muskaan ne mere pair se zameen khishka di thi…main itna sehem gayiii
“boliyee kyaa tamanna-e-muraad hai aapki tafseel se bataiyegaa aapke paas ab kaafi waqt hai”……..ooski is baat ko sunkar mere andar ka darr kam ho gayaa aur excitement se main uth kari huyi
“kya de sakte ho tum mujhe?”……maine zoraa zor se kaha
“kucchh bhiiii paisa jevarrhat sundar sa mehell….jo kuch bhi aap chaheyyy”…….jinnat ki baton ko sunnnkar mujhe aisa lagaa maano koi film ka jinn bol raha ho…
“hmmm mujhe jo chahiyee wohh tum bataoo tum insaan nahi ho tumhare paas aseem taqate hai…tum hi batao mujhe kya chahiye?”……maine thodhaa sochkar kaha
“hmmmm”……oosne sochkar meri taraf ek bar apni gulaabi surmayi aankho se dekhte huye kahaa
“kamyaabi shourhat aur naam”……….ooske teen lavz ko sunkar main ekdummm muskuraa pariii
“haann haaannnn bolo de sakte hoo mujheyyy bolo”……….maine ooski taraf aisi nazro se dekhaa ki maano koi pyaasa paani maang raha ho kisi raahi se
“hahahhahaa…lekin tumhein jo maagna haiii wohh ek baar maagna hogaa…aapki khwahishein-dili-tamanna main ek baar hi puri kar sakta hun bolo”……….ooski awaaz ne mere dil mein lalach ka tufaan daala tha

“main chahti hoo ki main ek famous actress banuuu itni famous ki jitani bhi actress hai sabse zyadaa sucesfful top meri tarah koi hona khubsurati meinnn heroine mein..main ek heroine banna chahti hoo…meri itni demand ho ki director mujhe khud bulaayeinn…bolo kar paaoge meri ye tamanna puri”……….maine ooski taraf umeed bhari nigaahon se dekhaa

“ho gayaa”……..jinnat ne kathor chehra banakar meri or dekhte huye kaha
“k..kyaa ?”…….maine hairaani nazaro se kaha…kuch samajh nahi aaya oosne meri kya khwahish puri kar di thi? Par kaise?

Paas mein rakhhha phone baj uthaa….tring tringg….maine turant jhatke se phone receiver uthaaya aur hello kara….lekin jis shaks ki awaaz maine sunii mera tohh dimaag khul gayaa
“hello rupali banerjee!”…….ye awaaz ksii bare shaks kit hi
“ji kahiye”…..maine hairaani nazaro se kaha
“ji aapko hamari agli filmmm superstar keshav sharma ke saath role milaa hai..aap lead actress nibhaayengiii….maine aapka add dekhaa tha…wohh liril soap ka ad oosmein you looking tremendous plss aaj aap screen look test dijiye aap is address pe aa jaiyega”………itni baatein sunne ke baad mera dimaag kharab ho gaya ek pal ke liye mujhe lagaa shayad main ab bhi so rahi hoo ye kaise ho sakta hai? Ekdum se itne bare director ka mere liye call aana

Maine aankh band karke haan keh daala…wohh bhi itne bare superstar jinake saath bari se bari heroine bhi kaam karti hai…meri pehli film itne bare hero ke saath…maine jaise piche mudhkar dekhaa…..tohhh wohh jinnat bistar par laita mujhe hi ghurr raha tha

“tt..tummm ne ye sab?”……..maine oski taraf hairaani nazro se dekhte huye kaha
“hhaannn mainee hii…tumhari muraad puri ho chuki hai…ab jao intezaar ki ghari khatam ho chukii…kaam tumhe hi milegaa jao jaldi jao”……….oos jinnat ki baton ko sunkar mere andar ek josh aa gayaa…main jo kuch der pehle oosse darr rahi thi ab mere andar ka darr mar chukaatha

Maine ooske saamne apne kapre liye aur bathroom mein ghusskar pehenkar bahar nikali..wohh ab bhiii bistar par baithaa huaa tha…”dekhoo tum yahan chuppein rehnaa kahi jaana nahii ok..and plss kisi ke aankho ke saamne”…..maine kahaa hi tha
“main kisi ko dikhunga bhi nahi siwaaye tumhare…tum jaoo aur tassali rakho main tumhare ird gird hi rahungaa jao befikar hoke jao”………ooski baat kisi tarah mujhe samhhoit kar rahi thi maine turant apna purse liyaa aur nikal gayii

Look test huaa…famous director akram khan ne meraa look test liyaa..kaafi taarif huyiii mujhmein oonhone naa jaane kya dekhaa? Oonhone mujhe apni shooting ke liye finalise kar liyaa…shooting aadhe se zyada Europe mein hone waali thi….main bare superstar se mili…keshav sharmaa…yakeen nahi ho raha tha meri kismat itni kaisi badal gayi ye sab oos jinnat ka karishmaa tha oosne meri zindagi badal daali…warnaa main toh maut ke aagosh mein jaane hi waali thi


Jald hi meri movie theatre par lagi…aur picture superhit huyii….sab ne kaafi praise kiyaa…news reporters ab in logo ne mere phone par calls karna shuru kar daala..they invited me to attend their show…mujhe apni pehli film ki kamaayi mili pure 70 lakh…
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: April 25, 2014, 11:45:12 PM »
zindagi mein itna paisa nahi dekhaa tha…main tohhh ekdummm pagal si ho gayiii….ab ye ek khel ban chukaa tha…main jab bhi jinnat ka naam leti wohh saamne aata..aur mujhse meri muraad puchtaa…aur main oose shukriyaa aada karti…….jald hi maine oosse ek khubsurat ghar maangaa

Jald hi mere janne waale director ke dost ne mujhe ek ghar ke dikhaaya….maine turant beshumaar paisa hone se wohh ghar kharid liyaa.mere sapno ka ghar ab mere paas sabkuch tha paisa shourhat…ab main ek film actress thi..aur mainnn kaafi khush bhiii lekinnn jaldd hii ye masti khushiii badalne waali thi ek khooni khelll ek khauffnakk modh lene waali thi meri zindagiii….main itna badalne waali thi ki maine kabhi sochaa bhi nahi thaa..

Jald hi mere dushamo ko dosto ko mere naye shourhat haasil karne se kaafi jalan huyii…sab milane aane lage lekin maine sabko ignore karna shuru kar diyaa..ab mere awaaz mein ghamand tha….ek gurrur tha aur junoon tha apni passion ko apnane ka

Main itni successful hone lagi ki ek ke baad ek movies mein main sign karne lagi….khoob paisa hone laga…club mein jaakar bare bare hastiyo ke saath nachnaa jhummna meri aadat ban gayii maine shaitani amal kiyaa tha jiska mujhe phal milaa tha…sharaab nashaa aur fhir waapis jhumte huye ghar aakar apne bistar par lait jaana….lekinnn cheezein tab badalne lagiii jab mujhe ahesaas hone lagaa ki mujhe har koi magroor ghamandi samajhta hai jalane ki boo sab jagah se aane lagiii

“jinnat mujhe ye bataoo…ki kya mujhe kabhi pyaar milegaa?”…….maine jinnat ki or dekhte huye kaha
“hmmm kaisa pyaar chahiyye aapkooo”……..jinnnat ne mujhe ghurrte huye kaha
“aisaa ki saccha pyaarr ho jaise mainnne ek bbar kiyaa lekin dhokhaa milaa”………..maine dukhhi hokar kaha
“maaf karnaa insaan ke zazbaati cheezon ko main de nahi sakta.a…lekin pyaar ki zarurat zarur puri kar sakta hunnn”………jinnat ke is kathor awaaz se main thodhi gussa ho gayii

“kyu ? tumne tohh kahaa tha tum mujhe kuch bhi de sakte ho ye naam shourhat sabkuch toh diyaa tohh ek pyaar karne waala nahi de sakte..main is akele haveli akeli dolti rehti hoo koi mera nahi hai naa papa naa maaa koi nahiii”………maine rote huyee oos berehem shaks ke saamne kaha jo shayad khud aag ka paidaa hai jiske andar emotions tohh hoti hi nahiii

“maaf karna..par main aapki ye khwahish puri karne ka qabool nahi kar sakta….lekin aap kuch aur maangne main de sakta hun”………jinnat ne muskurakar kaha
Haaannnn haannnn mujhhhe pyaar nahi chahiyyyee pyaar ne meriii zindagii tabaahhh kar daaliii main chain se nahi jee saktiii…main kisi ko pyaar karnne nahi dungiii kabhii nahiii……cheekhte huye rupaali ne paas rakhkee oos vase ko liyaa aur sidhe sheeshe par de maara…sheeshe ke tutkar bikharte hi oon tute sheesho mein rupaali ke andar ek rahasmayi junoon sawaar ho gaya tha…ab oosne thaan liyaa tha kiii wohhh oonka jeena haraam kar dengi jisne ooski zindagi barbaad ki

Aur oosmein pehlaa naam thaa…amar ki girlfriend anjali ka jiski wajah se amar ne rupali ko chodhaa tha…anjali jald hi apne ghar pahuchiii….serial ki shoot se thaki haari huyi wohhh apne kamre meinnnn aakar bistar par lait gayiii

Bahar ghanaaa sanantta chaaya huaa tha….anjaliii ne nahane ko sochaa aur oosne kapre utaarkar bathroom ke andar jaakar nahane lagii….shower ke on hote hi chap chap karta huaa paani oospar girane lagaa….wohhh binaa kisi anjaam ke parwaah kiye nahane lagiiii jismo par paani gir raha tha wohhh khud ke jism ko haath se saf karne lagiii achanakkk jaise oosne piche mudhkar dekhaa tohh ek khauffnakk chehra oose ghurrta huaa paaya

“aaaaaaaaaah”…….anjalii cheekh pariii aur oosne jaldiii se darwaja kholaa aur bahar ki or bhagiii…khacchh khacch….”aaahahh”…….ekdummm se dum ko saandkar anjaliii bistar par baith gayiii

Ooske pao par kaanch chubby they aur taaza khoonnn oske pao se niche farsh par tapak raha tha….pao par kaafi sheeshe chubb gaye they jo paas ke sheeshe tutkar farsh par bikhare huye they apne haatho se wohh kaanch nikaalne lagiii lekin dard ko bardaasht karnaa ooske bas mein nahi thaa

Achanakkkk oose lagaa jaise kisii ne bistar ko hilaaya ho anjalii dard ko bhulaayiii dheere dheere bistar ke niche ulte munh jhaakne ki koshish karne lagi…pura jism chehra pasine se bheega huaa tha dheere dheere khauff bhari nigaahon se jaise bistar ke niche jhaankaa….wahan koi nahi tha….

Anjalii ekdummm se jaise upar ki or uthiii……achanak se saamnee kharee jinnat ko dekhkar wohh cheekh pariii…….anjaliii ne bhaagna chaha…..lekinn ooske lambe haath ne oose ek hi baar mein aisa dhakelaa ki who sidhe paas ke tute sheeshe se jaa takraayii….aur ooske saath hi farsh par gir parii ooske chehre uar haath se khoon nikal raha tha jagah jagah par zakhmm they…anjalii khauff bhari nazaro se oose dekh rahi thii…woh dheere dheere kadmo se kareeb aa raha tha anjali ooske khauffnak chehre aur kad kaathi ko dekhkar cheekh rahi thi….aur bas cheekhen jaa rahi thi

Ooske ghunto se niche tak latakte lambe haath anjali ke gale par kass gaye..aur oosne behad kasske anjali ke gale ko daboch daala..anjaliii ko saans lene mein taqleef hone lagiii oosne bahut koshishein ki…lekin shayad anjalii ooske haatho ko apne gale se chudhwaa nahi paa rahi thi…kuch dair takkk anjali tadaptiii rahiii aur ooske baadd ooska jism thanda padh gayaa..harqat karna chatapatana band kar gaya ooski khuli aankhen bas khuli oos jinnat ko dekhkar teher gayiii……anjali marr chukiii thi

Raat kareeb 2 baj chukaa tha..rupali apne balcony par khariii raat ki hawaa ko mehsus karte huyee khari thii….achanakkk se oosne jab apne bagal ki or mudhkar dekhaa toh paaya…..ki jinnat khaamosh hokar kharaa tha

“toh tum aa gaye”…..rupali ne jinnat ki taraf dekhte huye kaha
“haannn ooski rooh ko nikaal daala maine”…….jinnat ne muskurakar bhayank nazro se rupali ki or dekhaa
“perfect”…..itna kehkar rupali kamre mein chali gayiii

Aur jinnat bhi ooske peeche peeche chalaa gaya…balcony ka darwaja apne aap band ho gaya…agli subahhhh pure sheher mein ye khabar fail gayii…..tv actress anjali kashyap ka katal….news waale press media…har kisi ne anjali ke ghar mein ghussne ki koshish ki lekin kadi police security team ki wajah se koi andar nahi jaa paaya….is news ko sunkar amar bhi bhauklaa chukaa tha

“hmmm laash ke ird gird haatho ke nishaan hai matlab saaf hai gala ghontkar waar kiyaa gaya aaur kisi saqt haatho se gala ghontaa gaya”…..inspector dhanraj ko ye case saunpa gayaa tha
“aur sirr yahan dekhiye tute kaanchhh sheesha tutaa huaa ek udhar kamre ki daayi or lage sheeshe ka bhi iska matlab saaf hai pehle haatha paayi huyi ooske baad zor se anjali ko sheeshe par dhakelaa gaya aur ye dekhiye sir yahan par anjali ke kate pao ke zakhm ka khoon hai…jo yahan ke sheeshe par lagaa huaa hai”………..constable ne dhanraj ko puriii tarike se byaan karte huye kaha

“case saaf haiii khoon ka maamla hai…anjali tv soap opera ki actress thi aur jald hi co-actor amar khanna se shaadi karne waali thi…..is amar ko bulaao shayad wohh is khoon se judhaa huaa hai”……..inspector dhanraj ne constable ko order diyaa

Kisi ko nahi pataa tha…ki khoon kisi insaan ne nahi balki mere gulaam ne kiyaa tha…apni khwahishon mein ek khwahishhh ki muraad maine ye maangi thi…jald hi police ne amar ko hiraasat mein le liyaa..aur oosse puchtaach karne lagii…shaq ki suyi par mujhpar kahin se bhi nahi aane waali thi….police case ki gutthi ko suljhaane mein lagi huyi thi…lekin wohh is tarah uljhe they ki koi suraag nahi bahar aa saktaa tha

Forensic reports ne inspector dhanraj ko mushkil mein daal diyaa…..”sir is larki ki maut yakeenan gala ghotne se huyi par iske organs ki jaankari paate huye ye pata chala hai ki maut ka dusra kaaran heartattack hai”….doctor ne dhanraj ko hairaan kar daala
“kaise doctor?”……….inspector dhanraj ne reports padhaa
“kisi aise cheez ko behad khauffnakk cheez ko dekhkar is larki ki maut huyi hai dekhiye iski dono aankehn ekdum khuli ki khuli hai maano kuch aisa dekh liyaa ho ki khauff aankho mein aa gaya hai”……..doctor ne dhanraj ko samjhaate huye kaha
“matlab jo bhi khooni tha oose dekhkar ye itni darr gayiii ki ise dil ka daura padh gaya”……..inspector dhanraj ko kuch samajh naa aaya
“point to hai sir..lekinnn khooni itna khauffnakkk darawanaa dekhne mein haiii jisse itni kam umar ki larkiii ko heartattack uth jaaye…azib baat hai sir naa hi ise kisi tarike ka zeher diya gaya hai naa hi koi nashaa…mautt ekdum brutally huyi hai maano dushmani nikaali gayi ho”……..doctor ki baton ko sunn dhanraj chakkraa gaya tha
“pata nahiiii kuch samjah nahi aa rhaaa”……inspector dhanrajj ka sar dard karne laga

Idhar meri khwahisheinn din par din badhti gayii…..ab main itni successful top heroine thii..ki mujhse har koi link banana chahtaa tha….jald hi mere maa baap ne mujhse contact karaaa…maine oonhein kaahaa ki wohh delhi chodhkar ab mere paas aakar rahein..is baat ko sunkar mere maa baap aur meri behan mere saath aakar rehne lagi baraa ghar aisho aaram ye sab dekhkar mere parents ekdum hairaan they itne kam waqt mein itna kuch paa liyaa tha maine…lekin shayad chand lamho ka chalawa tha wohhh….jinnat sirf mujhe dikhta tha jald hi wohh tufaan bhi aa gaya jab jinnnat ko meri behan sonali mehsus karne lagiii

Aur ek din wohiii huaa..shoot se aane ke baad apni chakhachaund bmw se nikalte hi jab ghar mein enter huyiii tohh sidiyo se bhuklaayi sonali ko dekh maine oose wohi pakadh liyaa…
“sonalii sonali what’s wrong kya huaa baby?”……main sonali ko relax karne lagi
Sonali pasine pasine ho rahi thi ekdum bhauklaayi darri nazaro se baar baar upar ki or ishara kar rahi thi…main sonali ke munh se sunna chahti thi ki aakhir baat kya hai aur jo oosne bataya wohh sunkar mujhe yakeen ho gaya

"wwwwaa.....waahannnn kisi kaa saaya dekhaa?".....sonali ne rupali ko pakadhte huye kaanpte haatho se oos andhere ki taraf ishaara kiyaa
"kisskaa?"........rupaali ne sehemi nazaro se kaha

Dheere dheere main sidiyo se chadhti huyi oos andhere ki or badhne lagi sonali ne mere haath ko kasske pakadaa huaa tha…ek taraf ghanaa sannataa chaaya huaa tha….”ddiiddiii wohh wohii haiii wohhh s.hakkss kaafi lambaa saa aadmi hai wahan parr kharaa mujhe dekh raha tha main cheekhti huyiii wahan se bhaagii tab talak aap aa gayii”…….sonali ne mujhe saari baat bataa daali

Lekin mujhe is baat ka khauff tha ki jinn ne mujhe kaha tha ki wohh sirf mujhe dikhega lekin wohh meri behan ke saamne kyu aaya? Jab maine oos andhere ke wahan light on ki..toh wahan kuch nahi tha….khair maine shonali ko ye tassali de daali ki ooska wehem haii par wohh manne ko tayyar hi nahi thi..parentss kahin gaye huye theyyy oonke aane ke baad…maien ooska mann ka wehem bataakar oose kisi tarah manaa liyaa…

Dair raat ko apna kamra band karke maine jinn ko apne saamne aane ka hukam diyaa…ooske saamne aate hi…mere saamne apne dono haath bandhein kharaa tha…”tum meri behan ke saamne kyu aaye ? jaante ho? Kitna baraa bawaal mach jaata?”…….maine sar uthaakar ooski chehre ki or dekhte huye kaha
“hahahahaa tum khaamokhaah darr rahi ho rupaliii apni baarein mein socho abhi tumhari aur bhi kayii khawahishein baaki hai….main is haveli mein ghumta hoo ab tumhari behan saaf dil ki hai oosne mujhe dekh liyaa tohh kya huaa?”………ooski khauffnak hassi ke baad bhaari awaaz se main thodhii sehem gayii

“theek haii lekin is baar tumhein meri behan ke aankho ke saamne nahi aana…ab meri baat gaur se suno amar ke sapno mein oose itna daraao itna daraao ki wohhhh pagalll ho jaaye ooske baad oose jaan se maar daalo”………is aadesh ko sunkar jinnnat hasstaa huaa kab dhuyee ki aadh mein gayab ho gayaa pataa hi naa chalaa

Amar ki serial band ho chuki thi…amar ne serial karna chodh diyaa…anjali ke maut ke gam ka sadma oose lagaa huaa tha…upar se din raat police ki puchtaach se who pehle se hi kaafi pareshaan thaa…raat 2 baj chukaa thaa…daaru ki bottle khaali karke..larhkharataa huaa amar apne bistar mein laitkar sone lagaa

“aaaaaaaaaaaaah”……..oos cheekh ko sunne ke baad….amar bhaukla uthaa..”kk..kauunnn haii?? Kaunnn haiii?”…..amar ne chillate huye kaha

Achanakkkk ho ho karti hawaao ki awaaz ke saath balcony ke bahar kisi ki parchaayi dikhii…..amar dheere dheere kadmo se bahar ki or jaane lagaa…chehre par pasinaa aankho mein darr….jaise hi wohh bahar jhaankaa…ek larkiii ko kharaa paayaa….jo ro rahi thi….ooski dabi royi awaaz sunkarr….amar dheere dheere ooske kareeb jaane lagaa

“kkk..kaunnn hoo  tumm?”…….amar dheere dheere khuli darwaaje ke bahar balcony mein jaane laga..jahan wohhh larkiii andhere ke saaye mein kharii roye jaa rahi thi
“kk..kaunnn ho tumm? Anjaliiii anjaliiii”…….amar larkharata huaa anjaliii ke chehre ko dekhkar hairaan ho uthaa

Anjaliii ne rona band kar diyaa aur amar ke kareeb aane lagiii…..”anjalii tum zindaa kaise ho? Tumm tohhh marr.!”……….amar khauff se darr gaya
Anjalii ekdum se hassein jaa rahi thi ooski hassii badhti gayiii aur achanakk ooski gulaabi aankhen laal ho gayiii aur ooska chehra badalne lagaa…amar ye sab dekhkar ekdum thithak gayaa…achanakkk se ooske saamne ek 8ft kaa lamba chaudha jinnat garhgarhaakar kharaa ho gaya gulaabi safed aankhhh khud ko ghurrti jab paayiii tohh amar chillataa huaa bahar ki or bhaagna chaha

Lekinnn oos lambe haath ne ooske taang ko kasske dabocha aur oose ek hi saans mein uthaakar patak diyaa..dhadhhh…amar ko gehri chot lagiii thi….jinnat ne ooske gardan ko pakdaa aur ooske gale ko madhodhne lagaa
“aahh..aahhh aaahhh aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhh”………dard mein tadaptaa huaa jinnat buri tarike se amar ke gardan ko madhodh chukaa tha

“hahhahaahaha haahhahahaahahhahahahaaa”……….dhuye mein tabdil hota huaa jinnat rupali ke saamne kharaa ho gayaa…..rupaliii ne shaitani muskurahat dii…aur is muskurahat ke saath saath jinnat bhi zoro se hassne lagaa..ooski bhaari awaaz pure kamre mein gunzz rahi thiii

"maut itni dardnaak huyi hai ki hamare khud ke hosh udh gaye".........constable ne laash ki or dekhte huye kaha
"matlab kisi insaan ka kaam nahi"..........inspector dhanraj ne hairaani or se kaha
“ye amar kaa khoon bhi anjali ki tarah huaa haii….lekin iss baar khooni ne is tarah ise maar daala maanoo jaise ye kisi jungle jaanwar ne kiyaa ho itni brutal murder I don’t believe this”……..dhanraj ka sar ghum gaya lash ko dekhkar

Jald hi police ne kaafi chaanbin karii..kaafi koshishein karii..puchtaach karaa…lekinnn oonke haath kuch naa laga aur jald hi case band ho gaya media press reporters sabne is murder case ko unsolved mystery case ka naam de diyaa par main janti thiii ye kaam jinnat kaa tha insaan ka nahii..tohh insaan kyaa sabut ikhhataa kartaa kaise pakadhtaa ek rahasmayi kaatil ko

Meri khwahish ki hawas khoon mein tabdil ho chuki thi…do khoon kar diye theyyy jinnat ne mere liye..mujhe gehraa sukoon thaa…oon dono ki maut se main itni khush thi ki main byaan nahi kar sakti thi…lekinn jald hi ye azab si khushi aur bhi khatarank hote jaa rahi thi….dukh ka paahadh mujhe is tarah tabaah kar dene waala tha ki main soch bhi nahi sakti thi

Jab bhi main subah uthtiii aur apne shoot ke liyee nikalti..toh har koi mere chehre ko gaur se dekhtaa…maano jaise kayi sawaal ho oonke dil mein..main samajh nahi paati thi
“mam maine aapka itna makeover karaa hai butt aapka chehra itna sukh sa kyu gaya hai?…gale ke niche ke dono haddiyaa saaf dikhti hai..mam aap dubli ho gayii hai kyaa aapne apna ilaaj karaya?”…..makeup woman ki baatei nsunkar maine oose wohinn daant diyaa

Lekin ye baat maine sabhi logo ke munh se notice kit hi…har koi meri khubsurati ki tareef kartaa tha..lekin oonke chehre pe maano azib sa bhaav hotaa tha jaise main koi nashaa karti hoo yaa fhir main dikhne mein oonhein bhyanak lagti hoo..aur ye sach tha…jin logo ke saamne meri bezzati huyi thi aaj oonke saamne main apni bmw ki car mein jaati thi…oon sabse barii sucesfull highest paid actress lekinn khubsurati meri barkarar thii…au asliyat mein main apni asliyat kho rahi thi…din par din mere aankho ke niche kaale ghere hone lage….patli hone lagii..meri khubsurati maano fiki padhne lagii…main kuch samajh nahi paa rahi thi….har raat ki tarah is baar bhi maien apne jinnnat ko apne saamne haazir kiyaa

“ye sab kya ho raha hai??? Main dikhne mein itni khubsurat thi kyaa ho gaya hai mujhe??? Mujhe aur khubsurat bannna hai mujhee aur dikhne mein nihayatt haseen banna hai”………jinnat ke saamne maine ye muraad maangi

Oosne muskurakarrr meri ye muraad bhi puri kar di….main khudd ko dekhkar ekdummm pagal si ho gayiii main itni khubsurat ho gayi thi…..jinnatt apni bhayanak nazaro se mujhe dekhkar muskuraaye jaa raha tha….

Main jaanti thiii ye khubsurati do pal kit hi…shaitaniii chalawa tha wohh sab…main ye nahi jaanti thi oos waqt ki jo khubsurati oosne mujhe di jab wohh mujhse cheen li jaayegi tab main khud ko aayene ke saamne dekh bhi nahi paungii…dheere dheere mera wazan kam hone lagaa…har subah uthkar main khudd ko itnaa kamzor mehsus karti…meri ek ek khoon bund har din sukhte jaa rahi thi….lekin ek raatt..

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #3 on: April 25, 2014, 11:47:04 PM »
Rupali ki maa ko neend nahi aa rahi thi…wohh dabey pao baahar nikalkar paani ka jug dhundhne ke liye nikali thi…ki achanak se ooski nazar apni beti ke saamne waale kamre par pariii andar se shayad mombatiiyo ki roshni dikh rahi thi…
“itni raat gaye? Is larki ne mombattiii kyu jalayaa? Light tohh hai”……..rupali ki maa dheere dheere kamre ki or badhiii…aur jaise jaise kamre ki or badhiii oose kisi bhaari bharkam dabii awaaz sunaayi dene lagiii jaise kayi log ek saath bol rahe ho

Rupali ki maa dheere dheere….kamre ki or badhne lagiiii oosne kamre ke darwaaje ko sataa huaa paaya..oosne thodhi awaaz kesaath darwaja khol daala….lekin oose kuch dikhaayi naa diyaa wohh paas hi baithkar sunne lagii
“hahahahaha hahahhaaa tum nihaayti itni khubsuratt ho gayii ho ki insaan ka kya kisi ka bhi dil tumpar aa jaaye”…….itni bhaari awwz mein hassii maano kisi ne soundbox ka volume itna badhaa diyaa ho ki lag raha hai jaise koi zor zor se hass raha hai

Rupali ki maa ko shaq ho gaya..ki itni raat gaye koi bhaari awaaz waala aadmi ooski beti ke kamre mein…wohh dheere dheere jhaankar dekhne ki koshish karne lagi….lekin jab oosne jhaankar dekhaa toh paayaa ooski betiii kisi aur se nahi balkiii ek lambe chaudheeee rakshas jaisaa dikhne waala ek azib saa aadmi se baat kar rahi haiii..rupali ki maa ki chekh nikal gayiii

Achanakkk se rupali ki maa dabe pao daudhtiii ek jagah chupp gayiii awaaz ab zoro se aa rahi thi…”huhhh koi hamari baat sunn raha haiii tumhari maa kamre ke bahar mauzud haiii oosne humhe dekh liyaa haiii ooska rehnaa ab waazib nahiii”………jinnnat ne dahaadhte huye kahaa
“nahiiii jinnnn nahiii tum mat jaooo tum kuch nahi karoge tum mere hukam ke gulaam ho”………rupali ne zor se kahaa

Rupali ki maa tezi se daudhte huye kamre ki or aayi..oosne dheere dheere darwaaja kholllaa…darwaaja band tha…”nahii nahiii ye shonaliii shonali ke papaa darwajaa kholooo plsss”…….itni gehri neend mein behosh kar diye gaye they dono ki kisi ne rupali ki maa ki awaaz nahi suni

Rupaali ki maa ne ekdummm se piche ki or dekhaa..grr grr karta huaa darwaja khul gaya..rupaaliii ki maa ekdummm bari bari aankho se khauff bhari nigaahon se dekh rahi thiii mombatii ki roshniii aur dhuo mein kisi ka aks aane lagaa….aur jaldd hiiii wohhh jinnatt ooske saamne kharaa ho gaya

Wohh dheere dheere kadmo se bhayanakkk aankho se rupaali ki maa ke nazdeek aa raha tha…rupaali ki maa cheekh rahi thi….chilla rahi thi…lekin naa rupaali saamne aayiii aurr naa hi parivaar ka koi shaks….”mmujhhhee alaggg karreegiii tuuu ruppaaliii seee jaanntiii nahiii mainnn ooskaa saaayyaa hooo”……bhari awaaz mein khud ko ghurrtaa wohh jinnat…rupaali ki maa ko daraaye jaa raha tha

“nnn..nnnn”…rupaali ki maa khauff se itna darr gayiii oosne apne seene par haath rakh liyaa….grr grr ki awaaz ke saath rupaali ki maa wohiinn gir pariii…..oos khaufnak chehreee ko dekhkar….ooska dil ki dhadhakan itni zoro se chalne lagiii ki munh se khoon ka katra behane lagaa…aur jaldd hiiii rupali ki maa ka jismmm ne tadapnaa shuru kar diyaa….kuch der ki is tadapahat ke baad….oonke jism ne harqat karna band kar diyaa….khuli aankhen teher gayiiii aur jismmm wohiii thanda padh gaya

Agle dinnn rupaali ko ek baraa jhatkaa lagne waala tha….rupali apni maa ki death se puri tarike se tut chukii thi…oose wishwas nahi ho raha tha ki ooski maa ne apna dum todh diyaa..lekin rupali ko samajh naa aa sakaa…jald hi laash ko jaanch ke liye le jaaya gaya…case mein koi murder ka naam nahi tha…heartattack huyiii thii…police ne rupali ke ghar ki chaanbin ki rupali ko interrogation ke liye apne baba aur choti behan shonali ke sath le jaaya gaya..par koi khaas sabut nahi milaa…rupali ekdummm sunn padh chukii thiii

“tumnne maaraa meri maa ko tumnnee tum ho meri maa ke kaatil? Kyuu kar rahe ho tummm aisaa bolo”……….rupaali cheekhte huye jinnat se sawaal kar rahi thi
“maine oonhein nahi maara….mainnn oonheiinnn samjha raha tha….lekinn wohhh tumhari khwahishon ko nakaar rahi thi…tummheiinnn kaamyaabiii ke jine par chadhtte huye nahiii dekhhh rahii thi…wohhh tumhariiii  tabaahi chahtiii thiii”………jinnnatt ke oonnn lavzzoo ne mujhe naa jaane kaisee samhhoitt saa kar daala

Main ooski har baat par aankh mundkar yakeen karne lagiii..aur mujhee is baat ka guilty bhi nahi lagaa ki meri karamo ke kaaran meri maa ki jaan gayiii..balkiii main apne khwahishoon aur shaitani amal mein itnaa zyadaa kho chukii thi ki bas mujhe apni kaamyabi aisho aaram shourhat dikh raha tha…jinnat ne mere dimaag par kaabu kar liyaa tha jaise ki ab main ooski gulaam thi aur wohh meraa

Jinnnattt humhe aisho aaram dete haiii hamari khwahishennn Kabul karte haiii lekinn wohhh jitna lete hai ootna cheen bhi lete haiii….wohh insaan ke dushman hote haiii aur insaan ko tadpaane mein oonhein mazaa aata hai…dekhte hi dekhtee mere papaa meri maa ki maut ka sadmaa bardhaasht naa kar sake….aur ek car accident mein mare gaye main aur meri behannn shonaliii bachii huyiii thi…ab main apni behan ko khona nahi chahti thi

Upar se aayedin rozz phone par phone calls aane lage…itne movies ke roles aane lage ki ab agar main ek ko naa kartiii tohh mujhe croro ka nuksaan hotaa….main ab thak chuki thi apne in khwahishon se ab mujhee jo chahiyee thaa wohh mil chukka thaa…lekinn ab ye sissilaa ruk nahi raha tha…directors producers ne mujhe itna pagal kar daalaa ki ab oonke filmon pe kaam karna meri mazburi si ban gaiii thi….main itni amir ho gayii thi beshumaar paisa thaa jise main akele mein bhi khatam nahi kar sakti thi…meri behan bimaar ho gayii maa baap ke chale jaane se oose ek gehra sadmaa lagaa tha….upar se wohh baar baar rozz raat ko chillati thi kehti thi ki koi lambaa aadmi ooske bistar ke paas aakar kharaa ho jata hai

In sab ko dekhte huye maine thaan liyaa ki main jinnat ko apne zindagi se hamesha hameshaa ke liye dur kar dungiii…lekinnn

“tum meri zindagi se dur chalee jaooo main nahi chahtii ki ab tumhara saaya mere saath raheinnn plss main tumhare haath jodhti hoo chale jao meri zindagi se mujhe kuch nahi chahiyee main akelii padhh gayiii hoo mujhee ye haveliii ye shourhat ye sab kaatne ko daudhta hai main chain se jee nahi paa rahi mujhe azaadi chahiye main khuli hawaa mein saans lena chahti hoo mera is haveli mein dum ghuntta haii plss mujhe chodhkar chale jao chale jo”……..maine rote huyee oos nirdayii jinnat se guzaarish ki

Lekinnn wohhh berehemmm jo ki insaan hi nahi aag hai ooske aage meri guzaarishhh jalkar bhaap ki tarah udh gayii…oosne apne khauffnak nigaahon se dekhte huye shaitani muskurahat di “hahaha ek baar jiska main ho jauuu ooski zindagii se lekar ooski rooh takk mera saath hota hai..ab main tumhare jism se alag nahi ho sakta kabhi nahi kabhi nahiii”……..ooski hassii ooski baat ne mujhe daraa daala

“nahiiii nahiiiii plss theek haiii main ye hukam karti hoo ki tummm mujhe chodhkar chale jaoogee saath samundaar paar dur”…….maine chillate huye kaha
“hahhahahahaaaa maaf karnaa main tumhari ab koi aisi khwahish Kabul nahi kar sakta….kisi kaa khoon maangoo shourhat mango daualat mango main dungaa….hahahahhaaaa azaadiii tohh tumhare paas haii hi”……ooski bhaari awaaz aur shaitani tahaaako waali hassii ne mujhee daraa daala ab mujhe oosse khauff hone lagaa tha

“daulatt shouhrat kaamyabi in sabki keemat hoti hai aur wohh keemaat ab tumhe adaa karni hai...”………jinnat ne saqt chehre ke saath apni bhaari awaaz mein kahaa
"nahiiiiiiiiiii"..........rupaali cheekh pariiiiii…..rupaaliii kaanpte huye dur bhaagne lagiiii oosne darwaja kholaa aur bahar bhaag gayiii

Pichee kamre meinnn kharaa jinnnn zordaar tarike se hassne lagaa..ooski tahaako ki awaaz se puraa kamra gunzne lagaa….”hahahahaaa hahahahaaahahhahaaa....rupppaaliii....tummm apne kismat se bhaaggg nahi sakti ho rupaaliiii......"……jinnnat ne hasstaa huuaa dhuaa mein tabdil hokar gayab ho gayaa

Main shonaalii ke paas pahuchiii shonaali bhauklaakar mujhee dekhkar ekdumm se hil parii..”kyaa hua didi?”…….shonalii ne mujhe sehemi nazro mein dekhta hua paaya
“shonaliii chaloo zyada sawaal mat karo..hum aaj hi ye jagah chodhkar chale jaayenge is haveli mein nahi rukenge chaloo chalooo”……..maine shonalii ko uthaate huye kaha shonalii ekdummm hairaan ho uthi
“kyu didi? Aise achanakkk kyu?”………shonaliii sawaal pe sawaal karein jaa rahi thi

“maine kahaa naa hum is haveli mein nahi rukengee…chaloo jaldi se saaman pack karoo”……maine bag nikaalkar jaise taise kapro ko daalna shuru kar daala.”……shonali hairaani se mujhe dekh rahi thi sawal kar rahi thi

“didi aakhirr baat kyaa haiii?? Didii jawaabb auu auuuu diiddiiii”….itna kehkkar shonaliii farsh par girkar apne gale ko pakree khassne lagiii….main shonaaliii ko pakadke oose uthaane lagiii…lekin samajh nahi aa raha thaa

Oose kya ho raha tha?achanakk se khaaste huyee wohhh wash basin ke paas jaakar ultiyaa karne lagiii…..lekinnn mera darr tab badh gayaa…jab oose khoon ki ultiyaa hone lagii..main ekdumm bhaukllaa si gayiii..main samajh nahi paa rahi thi aakhir shonali ko kya hone lagaa?

“shonnalii shonnaliii kya ho gaya tujhe?”…..shonaalii behosh si hokar zameen par gir parii wohh thook rahi thi aur ooske munh se khoon ki laar nikal rahi thi main kuch samajh nahi paa rahi thi dil dhak dhak karne lagaa

Jald hi doctor ko maine phone karaa…….maine apne saare shooting schedule cancel kar daalein…shonali ko admit kar daala gayaa….x-ray reports aayiii lekin oose koi bimaari nahi thi naa hi koi blood cancer fhir achanak oose khoon ki ultiyaa kaise shuru ho gayii??? Main jaanti thi ki ismein jinnat ka haath thaa…wohh mujhe khudd se naa alag hone degaa aur naa shonalii ko kyunkiii jab bhi main aisa koi kadam uthaaungi wohhh sayaa bankar hamare peche hi rahegaa

Jinnat ne ab mujhpar haavi hona shuru kar daala…..wohh mere saamne ghumttaa tha…mujhe oosse darr lagne laga..a.din par dinn mera khoon sukhte jaa raha tha..main bimaar si hone lagii….film banana bhi mera kam ho gaya….itne bare khubsurat haveli mein akeli beshud zindaa laash ki tarah padhii rehtii lekinnn abb keher ginna shuru huaa tha band nahiii

“mujhhee jaan se maar kyu nahiii dete? Tumm meri ye khwahishhh hai ki tum mujhe jaan se maar daalo aur meri behan ko apne saayein se alag kar do”……maine rote huye beshudd bistar par laitii oos khauffnak chehre ki or dekhte huye kaha

“hahahahahahahaa mautt aur zinddagiii hamare haathoo mein nahi hotii…..maangoo kuchhh aur maanggo main puriii karungaa tumhari khwahishhhh bolloo obolloo”……..jinnat ne garazte huye bhaari awaaz mein chillakar kahaa
“nahiiiii chaiyyyee mujhe kuchhh sunaa tumnneinnn nahiii chahiyeee gett outtt of my sigghttt u bloodddyyy baasttardd”……..maine paas rakhhe oos vase ko uthaaya aur sidhe oos jinnat par faikh daala..lekin kisi hawaa ki tarahh wohh vase ooske aar paar hokar zameen par jakar tutkar bikhar gaya

“hahahhaaa apne saayein ko taqleef nahi pahuchaa saktiii tummm…yaad karoo tumne kya kahaa tha? Ki tum apni zindagi dekar bhiii apni khwahishen-e-muraad ko puri karna chahti ho ab mere paas tumhari zindagi ki keemat haiii ab tumhare zindagi par meri hukumat haiii main jo chahunn wohh kar sakta hunnn “……jinnat ne dabii bhaari awaaz mein kaha

Main tharr tharr kaanpp rahii thi..mainn jantti thiii wohh mujhe jaan se nahi maaregaa..lekin wohh mujhe til til karke roz aise hi taqleefein dengaa jisse mazburan meri maut tohh nahi hongi par main tadapti rahungiii..zindagi mein bahut galtiyaa ki aur jinnat ko paalkar maine sabse baraa gunaah kiyaa…jis gunaah ki sazaa ab main bhugat rahi thi

“tumhari zindagi abbbb meriii haiiiii aurr abbb isspar puraa haqq haiii meraaaa puraaa hahahahaha hahahahaha hahahahahhahahahahaa”…..ooski bhaariii khauffnak chehraa aur tahaaka lagatii hassiii pureee kamre mein gunzz rahi thiiii

Wohhhh ekdumm se meri bistar ko hilaane lagaa aur merreee razaaii mein ghuss gayaaa….main apne haath pao ko uthaa nahiii paa rahi thiii…..aur oosne mujhee ewohhh dardnaakk taqleefein deni shuruur kar dii jo maine sapnne mein bhi nahi sochaa thaa….main kaafi cheekhiii par merii cheekhennn meri behan ke kaano tak bhi nahi pahuchi hongii…oosne mere gale ke awaaz ko baitha diyaa tha…meri behan ek kamre mein bimaar parii thi aur dusre kamre mein main bebas laachar bistar par oos jinnat ke berehem taqleefo ka shikaar ho rahi thiii

Wohh har raaattt mere saath balatkarr karnee lagaaa….mujhe din par din kamzor kar daalaa…..kisi tarahhhh 10 dino ke baad maine himmat jutaakar bistar se uthiii….apne chadhar ko dhone ke liye jab maine uthaaya tohh oospar betahashaa khoon ke dhabbe lage huye they…main oon waaqyo ko yaad karke rone lagiii apne upar huye ise bebasi par..mujheee ab bhi calls aa rahe theyyy filmon ke liye directors ke lekinnn main ek zindaa laash si ban chuki thiii..itni shourhat daulat ke bawjud main kaid ho chuki thi is haveli meinnn lekinnn mujhee apni behannn ko bachanaa tha is darinde se …main nahi chahti thiii ki jo taqleefein main jhel rahi hoo wohh meri behan ke saath ho

Main apni behan ko ek second ke liye ghar par nahi chodh sakti thi isliye maine faislaa kiyaa..ki main sirf modeling ramp shows karungiii..taaki main apni behan ke paas reh saku…mere is decision se sab khilaaf theyyy lekin aakhirkaar jeet mere faisle ki huyi sheher se dur is bari haveli mein raat ke baad sannata jab hotaa tha…toh main apne kamre mein dubakkkarrr is baat ki duaa karti thii ki kaashhhh kaashhh jinnat naa aaye..lekinn 12 bajte hiii mere saamne aakar kharaa ho jaataa tha….aur mazburaannn mujhe ooske har faisle par raazi honaa padhtaa tha..agar naa kartii thiii tohhh wohh mujhe taqleefein detaa tha…main oos dard se nikalna chahti thi joo wohh har raat mujeh detaa tha…oos raatt oosne jo baat kahaa oosse mainnn ekdummm sann reh gayiii

“huhhh huhhhhh tumhharrriii behannnn kaafi khubsuraatt haiii aisi khubsuratii maine aaj tak nahiii dekhiiii”……..jinnat ke is shaitani muskurakat ko dekhh mere khoon mein aag lag gayiii
“khabardaar jo meri behannn ke paas bhi gaye tohhhh wohhh meri behann haiii tumne mere maa baap ko maar daala…mujhhee bhi zindaa laash banaa dala hai tumnee jitnaa tumnein nahi diyaa oootna tumne mujhse cheen liyaaa main khush thiii kyuu maine tumse muraad maangiii sach meinnn khudaa mujhe kabhi maaf nahi karegaa kaashhh oonhein maine aaj maana hota”……..meri iss baat ko sunkar aagbabula ho gaya wohh jinnatt

Oosne kasskar ekkk thappad mere chehre par de maara…..mere naak se khoon behane laga aur main lagbag farsh par ja giri aisa lagaa maano kisi ne sau hathodhe kaan par mar diye ho….puraa dimaag sunn par gayaa….”mainnnnn oossse paakkkar rahunggggaaa ooosse paakar rahunggga hahahahahhahahaaa”……..wohhh khauffnakkk hassii ki gunzz mujhe apne kaan mein sunaayi dene lagi maine apne kaan band kar lieye

Ab mere savr ka baandh tut chukaa thaa…….ab mujhse aur bardaasht nahi ho raha tha…din par dinn ek ke baad ek nuksaan ho raha tha…kabhi meri rampshows par controversies ho jaati..kabhiii mere fans jo kal tak mujhe koi puchtaa nahi thaa wohh pagalo ki tarah mujhe milane ki koshish karne lage…evennn I need police protection…maine kaafi koshish ki main police ko bataa doo par kaun yakeen karta? Mujhe bewakuf kehte…ab mere paas sivaaye ek upaay kuch nahi thaa…main waapis oos shaitani amaali ke paas nahi jaane waali thi aaj oosi ke chalte mera ghar sansaar ujadhaa thaa…maine faisla kar liyaa ki main khudaa kii madad lungii ooska darwaja mere liye kabhi band nahi thaa chahe maine jitni bhi gumraah ke raah par chalkar gunaah kiye hoo…wohh mujhe samjhengee

Main oos dinnn apni puri himmat se jaakar mazaar gayii…..main jaantiii thii ki ek wohii meri madad kar saktaa haiii…mainnn baharr baithiii duaa karne lagiii apni bebasii par ro rokar sabkuch byaan karne lagiii…..yakeenan jinnat ka sayaa mere saath thaa…oosne mujjhe bhagwann ke paas jaane nahi dene waala tha oosne hazaar raah par kaantein bichaaye they par meri zidd aur himmat ke saath main aaj pir baba ke mazaar par apni gunaahonn ki maafi maang rahi thi oonse apni behan ki zindagi ki bheekh maang rahi thiii aur wohiii huaa

Haari bebasi main waapis aana chahti thi ki achanakk ek molvi saahebbb ne mujhe pechaan liyaa…main kaafi chuppkar mazaar gayi thi taakii mujhe koi pechaan naa lee….”gumraahh ke raaste waapis aane waalaa isliye aataa hai kyunki oose apni galti ka ahesaas hotaa haii….wohh tere saamne haiii tujhe maar dena chahta hai”…………molvi ne mazaar ke bahar kharee oos ghurttii jinnat ko dekhta huaa payaa

“aap oose dekh sakte hai”…….maine sehemi nazaro se jinnat ko dekhta huaa paayaa
“haannn betii…shaitanii jinnat haiii wohhhh kaum se gumraahhh ziddii…bereheemm…jisne teri zindagi ko tehes-e-naabut kar daala…betii tu fikar matt karr allahhh ke darr par tuuu aayi haiii tujhee wohh kuchh nahi kar saktaaaaa ye mittii le aur ye taabizz hazrat ale islaam ke suraahh ka haii ye inke aagee ye gulaamm kuch nahiii allah se baraa koi baadshah nahi …ise apne kamre ke charo or daal denaa taakii ye jinnat tere paas pahuch naa sake..ye taabizz tujhee har dam is shaitan se mehfuz rakhegaa tujhe allah har musibat se hifazat karee “…….itna kehkaarr wohhh ulte pao waapis mazaar ke andar chala gaya

Main sehemi nigaahon se jab jinnat ko waahaann dekhii tohh wohh gaayab thaa….main chahti thii ki mujhe ooski is geraft se chutakaara miley..main jaldi apne car mein baithiii aur ghar ke liye rawanaa huiiiii jald hi jab ghar pahuchiiii tab talakkk mainee apni behannn ko surakshit paaya oose khoob apne gale lagayaa..mujhe lagaa shayad gusse mein aakar jinnat ne oose maar daala hongaa lekinn oosne aisa kuch nahi kiyaa

Maine molvi saaheb ke kahein anusaar….mitti charo or daal di…kamre ke aazu bazuu..aur apni behan ke saath rahii taakiii wohhh waapis naa aa sake…mujhe ooski parchaaii dikhiii bahar wohh mere kamre ke ird gird ghum raha tha..mujhe ghurr raha tha….ooski aankho mein nihaayatiii kaafi gussaa bharaa tha ooski khaufnaak nazaro ko dekhaa tohh dekhke ek pal ke liye khauff se apni behan ko kaleje se lagaa liyaaa…wohh hum dono par naa jaane kaunnn sa pahadh daaltaa

Aakhirkaar oosnee andar aane ki koshish ki lekin jaise hi oosne pao rakhaaa…ekdummm zordaar tarike se dard se dahaadhta huaa wohhh gaayba ho gayaa…ooski is cheekh ko sunne ke baaad meri behan ekdum se darrkar mere gale lag gayiii

“huhhhhhhh nahiii choddhdunggggaaa tujhhhee nahiiii choddhungaaA”………wohh cheekhtaa huaaaaa darwaaja ko dhadhhh se kholtaa huaa naa jaane kab ghar se bahar chalaa gayaa pataa naa chaalaa

Ab toh main apne kamre se nikalne ko bhi darr rahi thi lekin mujhe is darr ka saamnaa aaj nahii toh kal karnaa hi tha….aur wohii huaa main jaanti thi shayad khuda bhi mujhse naraaz tha mere kiye gaye gunaaho ki sazaa de raah tha..lekin main chahti thi dard mujhe mile maut mujhe mile meri bekasur behan ko nahii…kuch dinnn tohh maine kamre bhi guzaareinn kuch khaane peene ko hotaa tohh chupchuppkar apne hi ghar se cheezein lekar apne kamre mein ghuss jaatiii

Ab mujhe yakeen hone lagaa ki shayad jinnat ka mere ghar se saaya uth chukaa haiii wohh darr chukaa hai…lekin shayaad zakhmi shairr do kadam piche isliye hatt ta hai taaki wohh apne shikaar par chalaang lagaakar oospar hamla kar sake….

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #4 on: April 25, 2014, 11:48:37 PM »
Ek raat yahiii huaaa….shonali ki aankh dheere dheere khuliii…raat 12 baj raha tha khat khatt karke gharii ki suyiyaa chalein jaa rahi thii…kutto ki rone ki awaaz bahar se aa rahi thi….dheere dheere bimaar beshudd shonaliii paani peen eke liye jab jug ke paas gayi oose jug nahi milaaa…..shonali ek pal ke liye ye bhul gayi thiii kamre se bahar nikalkar jaise wohh bahar jaayegiii tohh jinnat kaa saya ooske upar haavi ho jaayegaa

Shonalii dheere dheere rupali ko bistar par naa dekhkarr…khatt se darwaja kholkar bahar chalii gayii..kitchen ki or..rupali jald hi bathroom se nikaliii aur jab ooski nazar bistar ki or parii..toh ooski behannn gaayab..dekhkar rupaliii chilla pariii
“shonaaliii shonaaliiii shonnaalii baby kahan hoot umm?? Ohh no”……..rupalii kamre ka darwajaa khulaa paaya…

Shonalii dheere dheere sidiyo se niche utart huye andhere mein kitchen ki taraf jaane lagiii…..oose koi aahat apni peeche mehsus si lagii….oosne mudhkar piche dekhaa…..aur fhiirrr paani ka jug lenee table ki taraf aayii…..achanakkkk se oosne jaise hi glass ko apne haath mein uthaayaa….”haahhh”…..kisi ne ooske kaan mein zor se kahaa

“aaahhh”…..shonalii cheekh uthiii aur ooske haath se glass tutkar bikhar gaya….charo or koi nahi thaa shonali ne apnee seene par haath rakh liyaa aur lambi lambi saans lene lagiii

“didi aap ho yahan par?”…….shonali ne awaaz di lekin kisi ki awaaz naa ayii

Shonaaliii ne dekhaa..ki sidiyo se rupaaliii upar ki or bhaagii…..”didi kahan jaa rahi ho didi waiitt”……..shonalii bhi chilaati huyi sidiyo se chadhte huye upar ki or bhaagi
“didiiii diiddiii rukiiyyeee didii”…….shonali ne apni aankho se saaf dekhaa ki ooski rupaaliii chatt ke upar chalii gayiii
“didiii rukiyeee”……shonali jaise upar pahuchiii tohh wahan koi nahi thaa

Ho ho karti hawaao ka shorr upar se thandd ke sirhann se shonaali kaanp uthiii..”uhh kaunnn haii?? Didii didiii plss mujhhee darr lag raha haiii”…….shonaali ne kaanpte huye chatt par chalte huye kaha
Ho ho karti hawao ka shorr teher gayaa….charo taraf ghanaa andheraa….wohhh railing par aakar chupchaap idhar udhar dekhne lagiii

Achanakkkk se shonaliii ko kisi ka sayaa apne saamne aate huyee dikhaa..”didi wahan aap kya kar rahi ho? Didi mujhe darr lag raha haii didiiii diidii”…….shonalii oos saayein ki or jaane lagiii……wohh saayaa dheere paas aane lagaa

Shonaliii ekdummm se khaufff se wohii teherr gayiii…..gulaabiii aankhho ko dekhkar itni bari bari aankhennnn…jise oosne pehle bhi dekhaa tha…shonaalii ekdummm se cheekh pariii
“aaaahhh didiii diididid”………..shonalii tezi ke saath waapis chat se niche aane ke liye darwaaje ki or bhaagiii

Dhadhh dhadhh..darwajaa ki chitakni apne aap band ho gayiii thiii…”ddiiiddii didiii plss mujhhe bachaa looo bacchaaa loo plss didiid wohhh mujhee maar daalegaa didiid plsssss”…….khauff se shonali darwaaje ko peette huye ro rahi thiii baar baar oos saayein ki or dekhen jaa rahi thi

“"kyu kar rahe ho tum aisa? kyaaa hoo tummm?? kyaaa hooo kyuu daraaa rahe hoo humhheiinnn plsss mujhee bakshhh doo mujhee jaane do?"............shonali  ne kaanpte huye minnatein karte huye kaha
"jinnnnatttttt hahahahahaa hahahahahaahaha hahahahaa "............andhere ke saayein mein le dubaa shonali ko apne saath

Shonaaliiii ka pao apne aap kheenchtaa huaa ooss jinnat ki or aaye jaa raha tha..aur jald hi andhere mein kahannn wohh jinnat ka saayaa shonalii ko lekar gaayab ho gaya pataa naa chalaa

“sshonaaliii shonaaliiiiii”………rupaali cheekhtii huyi chatt ke darwaaje ko peetne lagiiii
Darwaja band tha…”maine shonaali ki cheekhhh suniii ohh my godd hey bhagwaan sab theek ho”…….rupaali bhauklaayi roti huyiii waapis sidiyo se niche utarkar haveli ki or dekhne lagiii

Achanakkkk se ksii zordaar awaaz ke saathhh wohh cheez zameen par aa girii…….rupaali cheekhh pariii…”sshonnnaaaaaaaalii”…….rupalii ekdum aisi kathuaa gayii…ki maano kaantoo tohh khoon nahi

Shonaaliii ke jism par naa jaane kitne kharocho ke nishaan theyyy…shonaaliii ka jsim par kapraa nahi thaaa…..rupaalii shonaali ke chehre ko apne haatho mein thaamkar oose uthaane lagiii……aakhirkaar jinnat ne apni hawas aur khwahish ka shikaar shonaali ko bana liya tha..shonali marr chuki thi..is sadmein ka jhatkaa rupaali ko buri tarah lag chukaa tha

“shonaalii aankhhenn kholoo shonaaliii babyyy plss shonaaaaliiii”…….rupaalii shonaalii ko pakrre wohii royee jaa rahi thi

Jab oosne subakte huyee chatt ki or dkehaa…toh paaya jinnnat wohiii kharaa hass raha thaa….ekdumm se wohhh rupaali ke saamen aakar kharaa ho gaya.

Meri gusse ki intehaa naa rahi…maine apni behan ko kho daala tha…oose apne hawas ka shikaar banakar oosne mera sabkuch mujhse cheen liyaa tha…ab meri zindagi ka koi wajudd nahi bachaa thaa…..mainee faislaa kar liyaa ki in saarein gunaahoo ki ek maatra wajah main thii meri hi wajah se shonaalii ki maut huyii maa baap chal baseinn.mera basaa basaya ghar mere in chand khwahisho ke chaltee cheen chukaa tha mujhe aisa naam aur shourhat nahi chahiye tha jisse mera sabkuch chalaa jaayee….aakhrikar maine faisla kar liyaa tha

Ki main khudd ko zinda nahi rukhungii..kusurwaar main thii aur apne gunaaho ki sazaa main apni jaan dekar chukaaungii main kamre mein aakar churaa dhundhne lagii churrii milate hi mainee faislaa kar liyaa ki main khudd ki jaan de de dungiii is daastan ko maine janam diyaa tha aur ab meri maut ke saath ye daastan khatam hongii……..maine wohh kitaab dhundhi jisne ye tabaahi shuru karii thi ooske ek ek pannnee ko fhaadh daala jalaa daalaa…..ab maine apne paitt parrr churaa rakhhh liyaa tha…ab main apni maut ko Kabul karne ke liye tayyar thi

Achanakkk se wohh jinnat mere saamne aa gayaa aur cheekhh uthaa..”nnnahaiiii”…….ooski khauffnakkk awaaz se jhummar palanggg puraa ghar hil saa gaya sheeshe kaanp utheyyy
“tunnne meri zindagiii mujhse cheeennn li main is duniyaa main rahungiii nahii rahungiiii mujheee tumse azaadi chahhiyeyyee mujhee tumse azaad ichahiyyyeeeeee”…..jab churae kozor se apni pait par maarna chahaa

Tohhh churaa is tarahh sunn padh gayaa maano oosmein dhaarr hi naa ho maine kaafi apne hatheelii ke nasso par pagalo ki tarah ragadaa par kuch nahi farakh paraa…jinnat ko muskurtaa dekhhh main churaa wohii faikhkar bhaag uthiii…..achankkkk se dabe paoo waapiiss bhaagna chahaa tohh dekhaa ki saarein darwaaje bandd ho gayee hai….khidhkiya apne aap band ho gaiiii haiii

Jinnnat mujhe ghurrta huaa mere kareeb aa raha tha…mainnn sunn si padhhh chukiii thiii…achanakk mujhee khyaalll aayaaa ki mujhe kyaa karnaa tha…main lagbhag bhaagtii huyii waapis apne kamre ke andar aa gayiii aur daraaz se cheezein bikharne lagii…mujhee wohh taabizz nahi mil raha tha…main ekdumm darr si gayii…achanakkk kisi ne mere baal ko zor se kheencha hoo

Aur ek hi baar mein oosne mujhe uthaakar bistar par patak diyaa…mera sar chakraa gayaa…main bas apne upar hone waale keher ko dekh saktii thi…wohhh jinnnat ooska wohh khauffnnaak chehra meri saansien tez kar raahtha…wohh ekdumm mere chehre ke nazdeek aa chukaa thaa mere chehre par apna haath fhair raha tha ooska bhaari saqt haath jab mere chehre se touch huaa tohh lagaa maano mera chehra chill sa jaayegaa

Ooski garam saanseinnn jab mere chehre par pariii tohhh main ekpal ke liye saanson ko rokeinnn oose ghurrne lagiii mere aankho se aansu girne lage..main apni maut chahti thii bas meri mautt ho jaaye bass achanak ooske saqt haath jab mere gale par pahcuheyyy tohh wohhh aise cheekh paraa..maano kisi garam cheez ko chu liyaa ho mere gale par latki oos tabeez ko dekhkarr wohhh ekdummm zor se dahahadh paraa

Wohhh bistar se girtaa huaa kisi zakhmi shair ki tarah ghurrane lagaa…oos jaise jaanwar ko maine kabhi pehle nahi dekhaa tha..main khauff se ooski or dekhii to paaya mere gale eke taabiz ka yeh karishma tha maine wohh taabeez jo oos movli saaheb ne diyaa tha meri allah ne duaa sunnn lit hi….yakeenan galti se hi sahi jab mere haath par aaya hongaa dhundhte waqt toh ye apne aap mere gale fass gaya thaa

Jinnat khauff bhari nigaahon se mujhe dekh raha thaa..maine wohh tabeez ko utaar daala aur sidhee oos jinnat ko upar zoro se faikh daala…wohh itni dardnaakk cheekhne lagaa…ki wohhh uth nahi paa raha tha ooske haath paoo se dhuaa nikal raha tha maine khud apni aankho se dekhaaa…..”aaahhh aaaahhhhhhh bakssshhh dooo mujhheyyyy rupaaliiii rupaalii baksshhhh dodooo aaaaahh haaaaaaaaaaaaaaaaahhhh”……wohh jinnnat cheekhta huuaaa wohii tadapne lagaa

Khaulte tezaab ki tarah osoke jism ko ubalta huaa dekhaa aur jaldd hi ooske pure jism par aag lag gayiii..main oose tadapte huye marte huye dekhkar sukoon se hassein jaa rahi thi oose jalta huaa dekhkarr mujhee jitani khushi mil rahi thi main byaan nahi kar sakti thi main pagalo ki tarah itni khush thi jitna mujhe apni khwahish milane par bhi nahi huyi thi aakhirkar mujhe azaadi mil gayyii aakhirkaar main jinnat ke changul se chutt gayi ooske zulmo se ooske saayein se mujhe nijaat mil chuki thi

Jinnnatt jaldd hi jalkar dhuaa ho gaya tha…maine apni aankho se dekhaa lagaa hi nahi koi jala ho sabkuch gaayab ek pal ke liyee main wahan naa rukii aur bhaagti huyiii haveli se nikal gayiiii…..daudhte daudhte naa jaane kab main behoshi ke aalam mein sunsan sadak ke kinaarein gir parii mujhe hosh nahi aayaa

Agli subahh jab hosh aayaa…toh khud ko hospital mein paaya…police waale mnedia har koi meri is haalat ka jaayeza lena chahta tha aakhir oos raat mere saath kya hua tha? Lekin maine ksii ko kuch nahi batane ka faisla kiyaa tha aur batati bhi kiya kaun meri baat par yakeen kartaa….jald hi mujhe apni behan ki laash mil gayiii..police case banaa meri behann ki izzat lutii gayi thi ooska rape huaa tha….aur oosne is sadmein mein aakar chatt se jaan di thi…lekin ooska balatkar karne mein kiska haath thaa aur jiska haath tha kya oosse main juddi huyi thi..lekin main in logo ko kaise yakeen dilaati? Ki ye sab oos shaitan ka kiya dharaa tha oosne meri behan mujhse cheen lit hi

Khair aakhir oonhein koi suraag naa milanee se mujhpar mukadamaa chalayaa gaya,..main hassein jaa rahi thi pagalo ki tarah behave kar rahi thi oonhone mujhe 2 saal ke liye mental asylum bhej diya…mera career jhooti shourhat shaann sab kuch khatam ho chukaa tha…..main baar baar cheekh uthti mujhe oos shaitan ka sayaa dikhtaa…lagtaa wohh ab bhi mere kareeb hai aas paas hai

Psychaterest ne mera ilaaj karaa…oonhone meri is baat par yakeen nahi kiyaa…lekin oonhein lgaa ki meri behan ki maut se main pagal ho gayi hoo aur iss baat ko depression ka naam de diyaa gaya oonhein kuch pills mere ghar se baramad huye jinhein oonse oonhein yakeen ho gaya ki meri depression ki wajah ye haii…lekinnn wohh ye nahi jaant they ki main pagal nahi thii…aakhirkaar 2 saal ke baad main jab azaad huyii

Tohh mujhee kuch pataa nahi main ab kis raaste jauu mera parivaar ab nahi bachaa tha..kis raah par ab main jauuu? Aakhirkaar maine apni identity chupaate huye police ki madad se sheher chodhne ka faisla kar liyaa…maine indiaa chodh diyaa….aur hamesha hameshaa ke liyee kahin dur chalii gayii jahan se main dobara kabhi nahi aa paungi apni behan ka antim sanskaar karwaane ke baad…maine India chodh diyaa aur ek gumnaam shaksiyat ke sath hhindustan ke bahar chalii gayiii taaki kisi ke nazaro emin dobara naa aa pauu

Aaj oos haadse ko kahinnn saal ho gaye lekin jab bhi nazaro ke saamne aata hai tohh ek baar aisa lagta hai maano aaj hi huaa ho….oos haadse ko main kabhi nahi bhulaa saktiii ek bahut gehra zakhm diyaa hai oos haadse aur is baat ki seekh bhi ki jis khwahish ko hum chahte haii wohh hum khudaa se dua karenge maang sakte hai oonhone humhe banaaya haiii na hi kisi aise se jo aag ka banaa huaa ho aur khudd koi khuda anahi balki shaitan ki raah par chalne wala khud ek shaitan ho..jinnat chahe accha ho yaa buraa insaan ke saath wohh kabhi nahi reh sakta…wohh jis haath se deta hai oos haath se aapka sabkuch cheen bhi leta hai…mainee khudaa ko andhwishwas kahaaa…..andhwishwass cheezo par yakeen karkee maine galat raah ka sahara liyaa….aaj oosi khudaa ne meri jaan bakshiii…..maana maine kaafi gunaah kiyaa jinki sazaa mujhe apni behann maa baapp aur aaj meri jhooti shourhat ko khokar milaaa ..

Oos haadse ke baad rupaali na jaane kahan gum ho gayii? Naa ooska koi pata haii…naa hi ye ki wohh ab kis haal mein hai?....is daastan ko sunne ke baad sirf humhe khauff nahi hotaa balki is baad ki bhi seekh milati hai ki andhwishwas hamare andar hota haiii….yakeen humhe karna haii..lekinn khudaa ki taqat ke aage ye jinnat shaitaannn ye sab andhwishwas haii ek chalawa haii…yakeen karta hun ki ye daastan agar kal aapke saath ho toh yakeenan aap apni muraad aag ke bane in jinnato se nahi maangenge aur is bat ki dua karte hai jo haadsa rupali ke sath huaa wohh aur kisi ke saath naa ho…

The end….


Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: April 26, 2014, 01:53:33 PM »
god bless u
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #6 on: April 27, 2014, 04:21:33 AM »
Great Work.............
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 05:59:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.158 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer