Baazicha-E-Atfaal Hai Duniya Mere Aage Hota Hai Shab-O-Roz Tamasha Mere Aage

by BOZDARJAAN on November 19, 2011, 08:48:15 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 10602 times)
BOZDARJAAN
Guest
Reply with quote
Baazicha-E-Atfaal Hai Duniya Mere Aage
Hota Hai Shab-O-Roz Tamasha Mere Aage

Ik Khel Hai Aurang-E-Sulemaan Mere Nazdeek
Ik Baat Hai Ejaaz-E-Masiha Mere Aage

Juz Naam Nahin Surat-E-Aalam Mujhe Manzoor
Juz Vaham Nahin Hasti-E-Ashiya Mere Aage

Hota Hai Nihaan Gard Main Sehraa Mere Hote
Ghistaa Hai Jabin Khaak Pe Dariya Mere Aage

Mat Pooch Ke Kya Haal Hai Mera Tere Peeche
Tu Dekh Ke Kya Rang Hai Tera Mere Aage

Sach Kahte Ho Khudbin-O-Khudaara Hoon Na Kyun Hoon
Baitha Hai But-E-Aaina Seema Mere Aage

Phir Dekhiye Andaaz-E-Gulafshaani-E-Guftaar
Rakh De Koi Paimaana-E-Sahabaa Mere Aage

Nafrat Ka Gumaan Guzre Hai Main Rashk Se Guzra
Kyun Kar Kahoon Lo Naam Na Us Ka Mere Aage

Imaan Mujhe Roke Hai Jo Kheenche Hai Mujhe Kufr
Kaaba Mere Peeche Hai Kalisa Mere Aage

Aashiq Hoon Pe Mashooq Farebi Hai Mera Kaam
Majnu Ko Bura Kahti Hai Laila Mere Aage

Khush Hote Hain Par Vasl Main Yun Mar Nahin Jaate
Aai Shab-E-Hijraan Ki Tamanna Mere Aage

Hai Maujzan Ik Qulzum-E-Khoon Kaash! Yahi Ho
Aata Hai Abhi Dekhiye Kya-Kya Mere Aage

Go Haath Ko Jumbish Nahin Aankhon Main To Dam Hai
Rahne Do Abhi Saagar-O-Meena Mere Aage

Hampesha-O-Hammasharab-O-Hamraaz  Hai Mera
‘Ghalib’ Ko Bura Kyun Kaho Achcha Mere Aage
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aasma se aage kahi,.......... by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
}}}}}}....AAGE PASS KARO....{{{{{{ by Dr.Saira999 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
peeche dhoka aage bewafaii by NABROY in Shayeri for Dard -e- Bewafai
" Mere Aage " by Roja in Ghazals « 1 2  All »
aage koi aasmaan nikle......... by SURESH SANGWAN in Miscellaneous Shayri
BOZDARJAAN
Guest
«Reply #1 on: November 19, 2011, 08:49:23 AM »
Reply with quote
Bahut Sahi Gam-E-Geti Sharaab Kam Kya Hai
Ghulaam-E-Saaqi-E-Kausar Hoon Mujhko Gam Kya Hai

Tumhari Tarz-O-Ravish Jaante Hain Ham Kya Hai
Raqeeb Par Hai Agar Lutf To Sitam Kya Hai

Sukhan Main Khaama-E-Ghalib Ki Aatash Afshaani
Yakeen Hai Hamko Bhi Lekin Ab Us Main Dam Kya Hai
Logged
BOZDARJAAN
Guest
«Reply #2 on: November 19, 2011, 08:51:09 AM »
Reply with quote
Be-Aitadaaliyon Se Subuk Sab Main Ham Hue
Jitne Ziyaada Ho Gaye Utne Hi Kam Hue

Pinhaan Tha Daam Sakht Qarib Aashiyaan Ke
Udne Na Paaye The Ki Giraftaar Ham Hue

Hasti Hamaari Apni Fanaa Par Daleel Hai
Yaan Tak Mite Ke Aap Ham Apni Qasam Hue

Sakhti Kashaan-E-Ishq Ki Pooche Hai Kya Khabar
Wo Log Rafta-Rafta Saraapa Alam Hue

Teri Wafa Se Kya Ho Talaafi Ki Dahar Main
Tere Sivaa Bhi Ham Pe Bahut Se Sitam Hue

Likhte Rahe Junoon Ki Hikaayat-E-Khoon Chakaan
Harchand Is Main Haath Hamaare Qalam Hue

Allah Re! Teri Tundi-E-Khu Jis Ke Beem Se
Azzaa-E-Naala Dil Main Mere Rizqe-Ham Hue

Ahal-E-Hawas Ki Fatah Hai Tark-E-Nabard-E-Ishq
Jo Paanv Uth Gaye Wo Hi Un Ke Alam Hue

Naal-E-Adam Main Chand Hamaare Supurd The
Jo Waan Na Khinch Sake So Wo Yaan Aake Dam Hue

Chodi ‘Asad’ Na Ham Ne Gadaai Main Dil Lagi
Saail Hue To Aashiq-E-Ahal-E-Karam Hue
Logged
BOZDARJAAN
Guest
«Reply #3 on: November 19, 2011, 08:52:06 AM »
Reply with quote
Bas Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona
Admi Ko Bhi Mayassar Nahin Insaan Hona

Giriya Chaahe Hai Kharabi Mere Kashaane Ki
Dar-O-Deewar Se Tapke Hai Bayabaan Hona

Waa-E-Deewangi-E-Shauq Ke Har Dam Mujh Ko
Aap Jaana Udhar Aur Aap Hi Hairaan Hona

Jalwa Azbas Ke Taqaaza-E-Nigah Karta Hai
Jauhar-E-Aaina Bhi Chaahe Hai Mizagaan Hona

Ishrat-E-Qatlgah-E-Ahal-E-Tamanna Mat Pooch
Eid-E-Nazzara Hai Shamshir Ka Uriyaan Hona

Le Gaye Khaak Main Ham Daag-E-Tamanna-E-Nishaat
Tu Ho Aur Aap Basad Rang-E-Gulistaa N Hona

Ishrat-E-Paara-E-Dil, Zakhm-E-Tamanna Khana
Lazzat-E-Rish-E-Jigar Garq-E-Namakdaan Hona

Ki Mere Qatl Ke Baad Us Ne Jafaa Se Tauba
Haaye Us Zodpashemaan Ka Pashemaan Hona

Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat ‘Ghalib’
Jis Ki Qismat Main Ho Aashiq Ka Garebaan Hona
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 05:11:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer