Ab kuch baaqi nahin ......... !!!!!!!!!!!!!!!!

by Talat on July 24, 2005, 10:55:54 AM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 21
ReplyPrint
Author  (Read 18515 times)
Pooja
Guest
«Reply #165 on: October 31, 2005, 05:23:57 PM »
Reply with quote
Thanks!! sabhi ne bahoot acha likha hai!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuch toot gaye kuch baaqi hain!!!! by Talat in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~~~~ ///***((( KUCH BHI TU NAHIN )))***///~~~~ by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
KUCH BHI TU NAHIN by fakharenaveed in SMS , mobile & JOKES
Sirf aahen hain aur kuch nahin .... !!!!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #166 on: November 01, 2005, 12:00:44 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
Thanxxxxx  Talat..........  nice  reply  Talat.....  bahot khoob.......

thi  aarzoo  mujhe  bhi  aise  dost  banane ki
aisa lagta  hai  wahi shaks tum  ho
main zameen per ghana andhera hoon
aasmano ki chandi tum ho, ab aur koi aarzoo baaki nahi.....


bhoo khub wahid ji.

baharen is kadar pahale na kabhi yun ayyi yhi,
aap aaye bahar ayi hai aur kuch baaqi nahi.
Logged
Talat
Guest
«Reply #167 on: November 06, 2005, 12:51:08 PM »
Reply with quote
Very nice Waheed...Bharat (Its really good !!!) and Bekarar !!!

Na jaane kis mod pe aa kar thahar gayi hai zindagi
Andheron me ghira hai wujood, dikhti nahin lau koi
Tapta hai suraj aur jalti hai paanv ke neeche zameen
Iss andheri zindagi main roshni ab koi baaqi nahin !!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #168 on: November 09, 2005, 11:19:28 AM »
Reply with quote
Thanxxxxxx  Pooja...Bekarar........Talat......very  nice  Bharat........Bekarar.........Talat........

usi  mod   per  maine  tujhe  paaya  hai
har  sajde  mein  khuda se  tujhe maanga hai
tum  bhi na  usi  mod  per  mujhe mat chordna
lut chuka hai mera saara jahan, ab kuch bhi baaqi nahi..........
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #169 on: November 09, 2005, 04:19:58 PM »
Reply with quote
na mano meri to ghar ki mere talashi lelo,
buniyadon ko khod lo deeware gira ke dekh lo
sab nishniyan lauta chuka hun teri yadon ko chodakar,
iske siva hisab me tere aur kuch baaqi nahi
Logged
Bharat
Guest
«Reply #170 on: November 10, 2005, 03:03:21 AM »
Reply with quote
Talat, Waheed, Bekarar.................
very nice writing all............

wo ho gaye bewafaa aur jal gaye dil ke sare armaan  
ab in aankhon main koi sunahara khwaab baaqi nahin

sawal kare to kaise kare, purani baaton ko dohara ke
khayal hai hume ki unke paas koi jawaab baaqi nahin!
Logged
natural
Guest
«Reply #171 on: November 10, 2005, 04:45:38 AM »
Reply with quote
Quote from: "Bharat_Desai"
Everybody has written very well.............Thanks.

bhatak rahe hai yahan se wahan, bina kisi manzeel ke
ek chhota sa ashiyana banaye aisa shahar baaqi nahin

khushnaseeb hai banjare, jo ghumte hai kaarwahn main
tanha rasto main jo saath de wo humsafar baaqi nahin

bechaini ka aalam hai aur gujarta hai din besabari main  
do pal ke liye neend aaye, raat ka wo pahar baaqi nahin

hum pe jo sitam kiye logo ne, wo kuch kum to na the
aur uspe kismat ka dhaya huaa koi kahar baaqi nahin

kabhi na kabhi to samandar ki mauje milti hai kinaro se
hum wo saheel hai jiske liye ek lahar tak baaqi nahin

duaa ke liye uthe huye yeh hath, sirf maut hi mangte hai
hamari jindagi ko khatm kar de, wo zahar baaqi nahin!!!


Wow Bharat Bahut achha likha hai....... Aur Talat tumhari to baat hi kuchh aur hai..... Usual Smile
Bekarar , Bharat aur Waheed sabhi ne bahut khoob likha hai.......... Usual Smile  Keep writing :wink:
Logged
Bharat
Guest
«Reply #172 on: November 11, 2005, 03:26:52 AM »
Reply with quote
Quote from: "natural"
Quote from: "Bharat_Desai"
Everybody has written very well.............Thanks.

bhatak rahe hai yahan se wahan, bina kisi manzeel ke
ek chhota sa ashiyana banaye aisa shahar baaqi nahin

khushnaseeb hai banjare, jo ghumte hai kaarwahn main
tanha rasto main jo saath de wo humsafar baaqi nahin

bechaini ka aalam hai aur gujarta hai din besabari main  
do pal ke liye neend aaye, raat ka wo pahar baaqi nahin

hum pe jo sitam kiye logo ne, wo kuch kum to na the
aur uspe kismat ka dhaya huaa koi kahar baaqi nahin

kabhi na kabhi to samandar ki mauje milti hai kinaro se
hum wo saheel hai jiske liye ek lahar tak baaqi nahin

duaa ke liye uthe huye yeh hath, sirf maut hi mangte hai
hamari jindagi ko khatm kar de, wo zahar baaqi nahin!!!


Wow Bharat Bahut achha likha hai....... Aur Talat tumhari to baat hi kuchh aur hai..... Usual Smile
Bekarar , Bharat aur Waheed sabhi ne bahut khoob likha hai.......... Usual Smile  Keep writing :wink:


Hi Natural,
Thank you for appreciating.
Logged
Talat
Guest
«Reply #173 on: November 11, 2005, 03:28:33 PM »
Reply with quote
Thanks Waheed Bharat and Jags !!! Nice everyone !!

Sahra me chalte chalte ye gulshan jo mil gaye hain
Meri aankhon ke aansu moityon me dhal gaye hain
Tere kaandhe pe sar rakh ke jo band kar li ankhen
Sadiyon se thi wujood me ab thakan wo baaqi nahin!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #174 on: November 11, 2005, 04:10:14 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Thanks Waheed Bharat and Jags !!! Nice everyone !!

Sahra me chalte chalte ye gulshan jo mil gaye hain
Meri aankhon ke aansu moityon me dhal gaye hain
Tere kaandhe pe sar rakh ke jo band kar li ankhen
Sadiyon se thi wujood me ab thakan wo baaqi nahin!!!!


Thanxxxxx  Alot  Bharat........  Natural........Nice  Bharat...... Talat......bahot hi  Accha   tumne  likha  Talat..........

ab to hum  khud  apni  haathon ki  lakeeron  ko dekhte hain
apne  ashkon mein  uski  tasveer  talash karte  hain
thak  gayee  aankhen  bhi meri  rote rote  ab
bikhar  gaya sab kuch mera ab kuch bikharna baaqi nahi !!!!
Logged
Bharat
Guest
«Reply #175 on: November 13, 2005, 02:42:31 AM »
Reply with quote
Talat,
Very nice....beautiful.............

Waheed,
Very nice writing.............


tuut chuki hai wo dor, jo hum dono ko bandhe huye thi
unke sath baaton aur mulakato ka silsila baaqi nahin

unke bagair jina sikh liya hai humne, in tanhaiyon main
unse to kya, ab hume kismat se bhi koi gila baaqi nahin!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #176 on: November 14, 2005, 01:28:28 PM »
Reply with quote
tujh pe nahi ilzam sitam aur bewafai ka,
tujh par nahi ilzam tagaful aur judai ka,
jamane walon ko samajha dunga mai,
khud ki tassali ke liye koi bahana baaqi nahi
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #177 on: November 14, 2005, 06:29:58 PM »
Reply with quote
Thanx  alot  Bharat....Too good reply  Bharat... Bekarar..........
Logged
Bharat
Guest
«Reply #178 on: November 15, 2005, 05:44:11 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
Thanx  alot  Bharat....Too good reply  Bharat... Bekarar..........



Shayari pasand karne ke liye shukriya..........thanks..........
Logged
anitha
Guest
«Reply #179 on: November 16, 2005, 05:40:50 AM »
Reply with quote
hum ab aap sab ki shaayari ka kya kahein.....

wah wah kehna ab lagtha hai dard dena shaayaron ko
jo likthe hain apne dil ke daastanon ko

phir bhi hum kehna chaaheinge kuch
is raaste hai saare na kush

arz hai......

Jo degayaa saare ilzaam humein is pyaar mein
woh kargaya sab kuch, par gunhegaar tehraa gaya hume
ab karein bhi tho kya karein, ussne tho chod diya hume
gila na shikhwaa baakhi ab zindagi mein
na bachi aas koi jeene ka is zindagi mein
rahe woh abaad, lekhe ye aarzoo dil mein
ab chahte hain, choote naata is jahaan se
na jeepaayenge uske binaa, sirf yaadon ke sahaare
Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 21
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 17, 2024, 11:18:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer