Apne Anjaam Ko Dekhega To(Riyaz)

by riyaz106 on April 18, 2010, 02:58:10 PM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2247 times)
Talat
Guest
«Reply #30 on: April 23, 2010, 02:11:10 PM »
Reply with quote
GHAZAL
Apne anjaam ko dekhega to dar jayega
Rait ka ghar na bana pal mein bikhar jayega
Thokrein khake tu mohtaat bana le Khud ko
     Mohtaat = Precautious
Thokron se jo sabaq lega sanwar jayega             
Raat lambi hai magar subha bhi aayegi zaroor
Gham ka darya bhi ye ek roz utar jayega
Jo hasad karta hai apna hi bura karta hai
          Hasad = Jealousness
Apni hi aag mein jal jal ke wo mar jayega
'Ashna' kufr hai mayoos khuda se hona
              Kufr  = Deny or doubt in power of Allah
Hoke mayoos khuda se tu kidhar jayega


Riyaz Ashna

Waah, bohot khoob Riyaz Ji, bohot hi haseen ghazal likhi hai aapne, aur bohot gehri baatain keh daali hain... bohot bohot khoob.....Ittefaq dekhiye, isi qaafiye aur radeef pe maine bhi ek ghazal tahreer ki hai, jise aaj ghazal section main post kar rahi hoon....!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khushboo Ka Safar Dekhega Kaun ??? by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
kaho apne dil ki baat apne YoIndian friends se by deepika_divya in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 ... 15 16 »
Ghazal---(Riyaz) by riyaz106 in Ghazals
neelgold
Guest
«Reply #31 on: April 24, 2010, 12:20:52 AM »
Reply with quote
ARee !!!!!!!!!
AIse kya baat hai ji ...
Ur alwyz vry WC........

 Welcome Smiley
Neel ji aapka bahot saara shukriya ke ghazal ko aapne pasand farmaaya. Main hamesha koshish karta hun ke aasaan words ka istemaal karun. Lekin jab kabi hard words aa jaate hain to unka meaning bhi likh deta hun. Thanks again for liking.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #32 on: April 30, 2010, 12:46:42 PM »
Reply with quote
Karam, nawazish,shukriya Talat ji ke aapko meri ye creation achhi lagi.
Waah, bohot khoob Riyaz Ji, bohot hi haseen ghazal likhi hai aapne, aur bohot gehri baatain keh daali hain... bohot bohot khoob.....Ittefaq dekhiye, isi qaafiye aur radeef pe maine bhi ek ghazal tahreer ki hai, jise aaj ghazal section main post kar rahi hoon....!!
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 06:56:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer