Kaisi baat kar rahe hain aap Rahim bhai... kisi ko bura kyu lagega ? bahut achcha likha hai aapne. Aur bahut sundar shabdo me sach aur sirf sach likha hai. Jo aapne bayaan kiya hai wo Jeewan Satya hai. Sach me " Ibadat se badi duniya me koi daulat nahi hoti".
Bahut khoob Rahim bhai bahut khoob...!!!

Salaam sabhi ko...
Bahaut dino bad kuch post kar raha hoon...Main mafi chahunga ager kisi ko bhi ko baat iss ghazal main buri lage...Ibadat se badi duniya main koi doulat nahin hoti,
Ager hota insaan itna hi paq toh Khuda ki azmaish nahin hoti,
Aur sache ashiq hone ke dave karne walo sunlo meri baat,
Khuda se badkar kisi se mohobat nahin hoti...
Yeh har roz duniya ke maslon main apna dimag lagana,
Namazon ko bhulakar apne mehboob se milne jana,
Nabion ko bhulkar celebrities ko yaad rakhne walon sunlo meri baat,
Maherban nahin hota Khuda mera toh aaj in celebrities ki koi hasti nahin hoti...
Yahan[duniya main] chahe jo karlo koi kuch nahin kahega,
Mager akhrat main mera rabb tumse hisab zaroor lega,
Yahan tum insaanon bhale maaze se sharab peena,
Mager yaad rakho maut ke badd bhi tumhari rooh ko hai jeena,
Yahan honge tumhare saath tumhare maa-baap, bhai aur behna,
Mager wahan azab akele hoga sehna,
Mazjidon ko bhulkar mahel banane walon sunlo Rahim ki baat,
Jannat se khubsoorat koi basti nahin hoti...
~Rahim~