abhi ji sabse pehle to is sundar rachhna ke liye daad kabool kijiye.ye humaare liye garv ka vishey hai ki itne bhavuk aur samvedansheel shayar is yoindia pariwar ka hissa hai.ishwar aapki kalam ko shohrat bakhshey.par is rachhna ke liye jo prashtbhumi aapne di hai usse me sehmat nahi hu.jis waqyat ka jikr aapne kiya wo maine bhi pada hai.par mujhe nahi lagta ki us baat ke liye hume unki saarvjanik aalochhna karni chahiye.likhte samay wo thoda rude jarur hui.agar unhone apni baat thodi mitaas se kahi hoti to hm sabhi ko jada khushi hoti.aur fir is manch ka sahi uddheshey hi yahi hai ki hum nishpakhsh ho kar comments de.aapki vyaktigat rai par tippadi karne ka muje koi aadhikar nahi hai par aapko chhota bhai mante hui ye sab likhna ka sahas kar rahi hu.dekhiye abhi bhai hum sab yaha apni uljhane bhul kar sukun ke liye aate hai bus is mauhaal me koi kisi ke liye gile shikwe na rakhe bus yehi ishwar se prathana karti hu.pls ise vyaktigat na le.khush rahiye likhte rahiye.
poonam di namaskaar,
apne chhota bhai mana bada achha laga..
asal me maine kisi par tippani nahi ki ye mera khud ka experience tha kai saal pehle jab maine likhna shuru kiya tha tab kisine mujhe samjhane ki jagah mujhe ye comment diya tha..
achanak yaad a gaya so likh diya ...
vishwas rakhiye me bahut zameeni insaan hu na kisi ki burai karta hu na sunta hun...kabhi kisi par vyaktigat tippani nahi karuga~