Jaane-Pehchaane Se Ajnabi "Khwaish"

by khwaish on August 16, 2010, 08:49:47 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3681 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
Reply with quote
Kehte Hai Zindagi Mein Agar Do Log, Jo Ek Duje Ko Chaahte Hai,Par Kuch kaaran Ek Duje Ke saath Nahi Reh Paate To Phir Uss Rishte Ka Koi Mol Nahi Reh Jaata..Dosti Ki Bhawnayen Pyaar Mein Badal Sakti hai Par Pyaar Kabhi Vaapas Dosti ki Surat nahi Le Paata..Bichadne Ke Baad Woh Do Log Sirf Ek Duje ke Liye Kuch Jaane-Pehchaane Se Ajnabi Bankar Reh Jaate Hai..Iss Soch Par Kuch Likh Raha Hoon..Umeed hai Aap Sab Zaroor Padhenge..

Naa Jaane Kyon Kuch Ajnabi Se Ho gaye Hai Hum
Kareeb The Dil Ke Phir Kyon Door Ho gaye Hai Hum

Dil mein Ek Dard Sa Jaga Hai,Aankh Se Kuch Ashq sa Baha Hai
Guzarte Waqt Ke Haathon Kyon Majboor se Ho gaye Hai Hum...

Kuch Sawaal mere mann mein Hai Kuch Sawaal Tere Mann Mein Bhi
Ek Duje Se baat Bhi naa Kar Sake Itne Kyon magroor Ho Gaye hai Hum...

Ek Duje Ki Zaroorat bankar Jee Rahe The
Par Waqt Ke Mutaabik Zaroorate Bhi badal Jaati hai!!!!
bahut Khoobsurat tha Zindagi Meri!!!
Ab Kyon benoor Se Ho gaye Hai Hum....

bahut Nazdikiyan Bhi Kabhi-Kabhi Dooriyan Paida kar leti hai
"Khwaish" ko Yeh yakeen Kyo Hai ke Phir Ajnabi zaroor Ho gaye Hai Hum...

Jaane-Pehchaane Se Ajnabi, jaane-Pehchaane Se Naam!!!!
"Khwaish" Milna-Bichadna To dastoor Hai Zindagi ka
par Dilon se Kyon Itne Door Ho gaye Hai Hum....

                ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #1 on: August 16, 2010, 08:59:47 AM »
Reply with quote
dil k bht kareeb rahegi aapki ye rachna khwaish ji......

tearyeyed tearyeyed

kuch kehna hai...par kuch der me...

Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #2 on: August 16, 2010, 09:08:16 AM »
Reply with quote
bilkul sahi kaha aapne khwaish ji....
bahot hi umda likha he.... Clapping Smiley

 Applause  Applause  Applause  icon_thumleft
Logged
Rancho-D-Idiot
Guest
«Reply #3 on: August 16, 2010, 09:30:20 AM »
Reply with quote
Jinhein chaha bahut humne, magar apnaa nahi bana paye
Bahot ankhon ne barish ki, mujhe woh yad jab aaye

Bade daawe karte the hum tum se, juda ho kar bhi jee lain gey
Magar ek lamha bhar ki hum, judai seh nahin paye

Main jin ki rah takta hun, na janey kitne arsaye se
Koi un se zara pochhe, woh milne kyon nhi aaye

Na janye kab se apne aap ko hum to badal baithe
Yeh Qismat ke sitaarye kyon badalne ko nahi aaye

Aay Dil tum kaho unse jake, woh yaad karna chhod dain
Woh jab se door chale gaye, tab se hum bhi so nahi paaye

Jo kehtey hain mohabbat kuch nahin hoti zamanaye mein
Woh khud bhi to muhababt ke bina kyon reh nahi paaye
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #4 on: August 16, 2010, 09:33:48 AM »

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Rancho ji..Aapka Yeh poetry Dil ko chukar Guzri..

Jitni Tareef karoon Kam hai..Lajawaab
Logged
Rancho-D-Idiot
Guest
«Reply #5 on: August 16, 2010, 09:37:15 AM »
Reply with quote
sukriya Khwaish ji....

jahapna tusi gr8 ho, tohafa kabool karo... laughing4
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #6 on: August 16, 2010, 03:22:48 PM »
Reply with quote
bilkul sahi kaha aapne khwaish ji....
bahot hi umda likha he.... Clapping Smiley

 Applause  Applause  Applause  icon_thumleft

Thankyou Soooooooooooooooooo Much For Appreciating!!! icon_flower
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: August 16, 2010, 06:05:57 PM »
Reply with quote
Kwahish jee Aapke tehreer e khayaal kuch aise lage jaise humare hi dil se nikle ho aur aapne unhe lafzoN meiN kaid kiya ho.... Usual Smile

Behad sahiN kaha hai aapne ke Pyaar vapas Dosti ki surat nahi le pata......

Is lafzoN ke umdaa khayaal ke liye dil se daad ......

Likhate rahiye...
Khush rahiye....
Khuda Hafez......
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: August 16, 2010, 11:23:11 PM »
Reply with quote
Aj salaam bhi nahin karta hai woh shaks 'Rahim',
Jo kabhi mujse baat karne ko tarasta rehta tha..

Apki iss nazm kay bare main hum kya kahein Khwaish Dost..Aisa laga kay haal-e-dil apne humara kagaaz par uttar liya..Behad khubsoorat dil ko choone wali lines likhi hai apne..Bahaut sach kaha kay dosti mohobat ban sakti hai, mohobat dosti nahin..
Yeh kalam mere dil kay behad kareeb raha..Zindagi yun bhi rand dikha ti hai kay jo dil ki dhadkanon ki tarha mujse kareeb tha, aj us'se mera rishta zameen aur asmaan ki tarha hai..ek dusre kay samne rehte hai, mager paas nahin..!
Salutes to your poem.!
 tearyeyed tearyeyed
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: August 16, 2010, 11:24:28 PM »
Reply with quote
dil k bht kareeb rahegi aapki ye rachna khwaish ji......

tearyeyed tearyeyed

kuch kehna hai...par kuch der me...

Apke jawab ka mujhe bhi bahaut intezar rahega Anamika di.,!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: August 16, 2010, 11:26:19 PM »
Reply with quote
Jinhein chaha bahut humne, magar apnaa nahi bana paye
Bahot ankhon ne barish ki, mujhe woh yad jab aaye

Bade daawe karte the hum tum se, juda ho kar bhi jee lain gey
Magar ek lamha bhar ki hum, judai seh nahin paye

Main jin ki rah takta hun, na janey kitne arsaye se
Koi un se zara pochhe, woh milne kyon nhi aaye

Na janye kab se apne aap ko hum to badal baithe
Yeh Qismat ke sitaarye kyon badalne ko nahi aaye

Aay Dil tum kaho unse jake, woh yaad karna chhod dain
Woh jab se door chale gaye, tab se hum bhi so nahi paaye

Jo kehtey hain mohabbat kuch nahin hoti zamanaye mein
Woh khud bhi to muhababt ke bina kyon reh nahi paaye
Bahaut khubsoorat likha hai apne Dost..! Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #11 on: August 17, 2010, 12:08:59 AM »
Reply with quote
Bohat Achche Khwaaish Bhai Har Baar Ki Tarah,.

And Nice One Rancho Ji,.
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009

View Profile
«Reply #12 on: August 17, 2010, 07:21:51 AM »
Reply with quote
Kehte Hai Zindagi Mein Agar Do Log, Jo Ek Duje Ko Chaahte Hai,Par Kuch kaaran Ek Duje Ke saath Nahi Reh Paate To Phir Uss Rishte Ka Koi Mol Nahi Reh Jaata..Dosti Ki Bhawnayen Pyaar Mein Badal Sakti hai Par Pyaar Kabhi Vaapas Dosti ki Surat nahi Le Paata..Bichadne Ke Baad Woh Do Log Sirf Ek Duje ke Liye Kuch Jaane-Pehchaane Se Ajnabi Bankar Reh Jaate Hai..Iss Soch Par Kuch Likh Raha Hoon..Umeed hai Aap Sab Zaroor Padhenge..

Naa Jaane Kyon Kuch Ajnabi Se Ho gaye Hai Hum
Kareeb The Dil Ke Phir Kyon Door Ho gaye Hai Hum

Dil mein Ek Dard Sa Jaga Hai,Aankh Se Kuch Ashq sa Baha Hai
Guzarte Waqt Ke Haathon Kyon Majboor se Ho gaye Hai Hum...

Kuch Sawaal mere mann mein Hai Kuch Sawaal Tere Mann Mein Bhi
Ek Duje Se baat Bhi naa Kar Sake Itne Kyon magroor Ho Gaye hai Hum...

Ek Duje Ki Zaroorat bankar Jee Rahe The
Par Waqt Ke Mutaabik Zaroorate Bhi badal Jaati hai!!!!
bahut Khoobsurat tha Zindagi Meri!!!
Ab Kyon benoor Se Ho gaye Hai Hum....

bahut Nazdikiyan Bhi Kabhi-Kabhi Dooriyan Paida kar leti hai
"Khwaish" ko Yeh yakeen Kyo Hai ke Phir Ajnabi zaroor Ho gaye Hai Hum...

Jaane-Pehchaane Se Ajnabi, jaane-Pehchaane Se Naam!!!!
"Khwaish" Milna-Bichadna To dastoor Hai Zindagi ka
par Dilon se Kyon Itne Door Ho gaye Hai Hum....

                ~~~~~Khwaish~~~~~

KHAWAISH JI BEHTREEN LIKHA HAI...ISS PAR MUJHE APNA EK SHER YAAD AAYA ARZ HAI...

            DOORIYAN ITNI NA BADHAA KE..,
            TAKLEEF HO PAAS AANE MEIN..!
            QAREEB RAH KAR FAASLE RAKHNA.. KAHIN ACHCHA...!!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #13 on: August 17, 2010, 07:41:21 AM »
Reply with quote
khwaish ji....aapse kaha tha k kuch likhne ki koshish karungi lijiye kuch likha hai...bataiye kaisa laga.... Feared.

Apke jawab ka mujhe bhi bahaut intezar rahega Anamika di.,!

rahim bhai ye lijiye aapka bhi intezar pura hua...kuch koshhish ki hai maine.. icon_flower.

 love9 love9 love9 love9

Kitna tha pyaar tumhe humse kuch roz pehle tak
Aaj kya sochkar nazar se utar gaya hein hum

Dekhe bina lagta nahin tha dil tumhara kahin
Aaj kyun teri awazz sunne ko taras gaye hain hum

Har pal nazar jami rehti thii chehre pe mere teri
Aaj kyun teri ik nazar ko tadap rahe hain hum

Chalna tha bht lamba safar hume sath me hum kadam
Aaj kyun iss doraahe pe akle reh gaye hain hum

Jaan pehchaan ko tumne hi dosti ka naam diya tha
Aaj kyun teri usi dosti ko taras gaye hain hum

Dosti me dil milte hain aur pyaar ka ehsaas hota hai
Hai nahin ye pyaar tumhe samjhate rahe hain hum

Kuch tum bhi na bol sake jo baat chubhti rahi tumhe
Aur tumse kuch na kehne ki kasam kha chuke the hum

Aaj na pyaar raha na dosti rahi na koi apnapan hi raha
Dekho kaise anjane se rishte me bandh gaye hain hum

Chhod dun ye gurrurr ye mahobbat ye deewangi main
Issme ulajhkar sab kuch apna kho rahe hain hum

Fir na mil payenge kabhi ajnabeeyon ki bhi tarah
Gar ruth kar tumse kabhi kahin chale gaye jo hum…!!!
 love9 love9 love9 love9
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #14 on: August 17, 2010, 07:54:54 AM »
Reply with quote
Jinhein chaha bahut humne, magar apnaa nahi bana paye
Bahot ankhon ne barish ki, mujhe woh yad jab aaye

Bade daawe karte the hum tum se, juda ho kar bhi jee lain gey
Magar ek lamha bhar ki hum, judai seh nahin paye

Main jin ki rah takta hun, na janey kitne arsaye se
Koi un se zara pochhe, woh milne kyon nhi aaye

Na janye kab se apne aap ko hum to badal baithe
Yeh Qismat ke sitaarye kyon badalne ko nahi aaye

Aay Dil tum kaho unse jake, woh yaad karna chhod dain
Woh jab se door chale gaye, tab se hum bhi so nahi paaye

Jo kehtey hain mohabbat kuch nahin hoti zamanaye mein
Woh khud bhi to muhababt ke bina kyon reh nahi paaye

rancho ji bht hi pyara likha hai aapne....
kuch aapke reply me ji......hamari taraf se..

Taraste rahe jinki nigaahon me apne liye pyaar dekhne
Aaj wahi humse kehte hain k hum unhe chahte kyun nahin

Jinki aarzoo karte beetai humne apni jawani
Wahi humse aaj kehte hain k hum unhe pehchaan nahin paye

Jinke sapne dekhte hi bitayee hai humne apni raatein
Wahi keh rahe hain k tumhare karan hum so nahin paye

Jinke liye mangi dua humne apni har ibaadat me
Wahi kehte hain k wo kabhi hume apna nahin paye

Kehne ko to har sawaal k jawabb hain hamare pas bhi sanam
Lekin kya Karen tere saamne hum kabhi kuch bhi keh nahin paye…..!!!

Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 10:19:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer