Mamtaa jee aadaab!
Bade dino bad aapke kisi kalaam per reply kar raheN hai .....
Aapke kalaam per reply karna humare to bus ki baat nahi per hum hai naa ke gustaque karne se baaz nahi aate...

Chaliye aapki kalaam per aate hai.....
Jab bhee naghmoN me teraa naam rawaaN hotaa hai
dard aNgd.ai liye dil me jawaaN hotaa hai
Kia matla kaha hai Mamta jee bahut khoob daad hazir hai .... daad rooth kar bijali na dil par to girao dilbar
ik tabassum se hi shaad jahaaN hotaa hai
Pahela misra kuch ajeeb sa uljha hai "Naa" lafz ke bad se... aap use aur koi jagaa dijiye... sher achcha hai daad

Aik surat aisi huyi,
"Rooth kar bijali to dil par na giraao dilber"
hai khataa meri to kya deNge sazaayeN mujhko
hum se jeete bhee haiN to marne ka gumaaN hotaa hai
Dusra misra uljha hua hai jisse sher ka khayaal o mafoom saaf zahir naho ho raha hai shayad humari kam akhali ho... per jo laga hume so kah diye... apni nazareN to uthaa dekh kahaaN pyaar naheeN?
hai bahaaroN kaa sama tune jahaaN dekhaa hai
hmm sher behad umdaa hai jee.... Daad daad daad
phool hi phool khile ziqr e mohabbat me sadaa
tapte sahraa me bhee aab rawaaN hotaa hai
MisroN meiN rabt nazar nahi aayi hume.. pata nahi kyuN per jab aap pahele misre meiN mohobbat e zikra se bahaar ki baat ki hai to dusre misre ke aab ne uljha diya hai... Mamta Bajpai
Mamtaa jee gar koi gustaqi huyi ho to dil se mazarrat chahte hai.... per aapki is gazl ne hume jyada mutacir nahi kiya ......
Khair.. Likhati rahiye....
Khush O aabaad rahiye......
Khuda Hafez.......