Jhoote Dilaaso Se Kabhi Zindagi Nahi Chalti "Khwaish"

by khwaish on October 07, 2010, 01:44:04 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 10175 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #15 on: October 08, 2010, 04:23:18 PM »
Reply with quote
Bas Yuhi Chalte-Chalte Rishto Ke Naam Badal Gaye!!!
Yeh Bhi Waqt Ka Diya Hua Ek Ishaara Tha....

waaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhh

bahut bahut Shukriya Shah ji.. icon_flower
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #16 on: October 09, 2010, 08:53:01 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob likha hai aapne Khwaish ji... bahut hi umda aur dil se direct... aapke ehsaas bahut gehre hain... main mehsoos kar sakta hoon unhe.... bahut bahut khoob likha hai aapne...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause


Teri haar baat ko samaj kar jo chup raha
usne Bahut Mushkil se khud ko sambhaala tha

Duniya Mein Pyaar Woh hai Jo Sirf Lafzon Se Zaahir Ho!!
Par Mera Pyaar karne ka Tareekha Kuch Niraala tha

Yeh Nahi Ke mujhe Andhero mein Chalne ki Aadat Naa Thi,
Par Tu mere Liye, Har Andheri Raat Ka Ek ujaala Tha

Jhoote Dilaaso Se Kabhi Zindagi nahi Chalti Eh Dost!!!
Jo chalta Raha zindagi bhar,Dekho To Uske Paau mein Chaala Tha

Pathar Se Bhi pyaar Karoge To woh Murat ban Jaayega
Patharo ko Bhi Aakhir "Pyaar" Ne Izzat Se har jagah Sawaara Tha..

Haathon Ki Lakeeron mein Jo Naa Mil Saka Naa Sahi!!
"Khwaish" Ne To Usse Apni har Soch-Samaj Mein Dhaala Tha

                ~~~~~Khwaish~~~~~


Jo Har Baar Tujhse Teri Muskaan Puchta Raha
Kya woh Beraham Sa Koi Awaaara Tha..

Tu Shayad Uske Liye Kuch Bhi Nahi "Khwaish"
Par Woh mere Liye Ek Sitaara Tha...

Teri Har Khushi Uss Shaks Ki Khushi Se Juddi Thi
Par Usse Shayad Yeh Mehsoos Naa Hua,Isme Bhi kasoor Humara Tha

Teri Har Baat Mere  Sar-Aankhon Ke sadke!!!!
Woh Insaan Paagal Hi hai Jo Yuhi Dil Haara Tha..

"Khwaish" Ke Dil Mein Kabhi Koi Malaal Nahi Hai!!
Tu Humesha Se Uske Liye Bahut Pyaara Tha..

Bas Yuhi Chalte-Chalte Rishto Ke Naam Badal Gaye!!!
Yeh Bhi Waqt Ka Diya Hua Ek Ishaara Tha....

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #17 on: October 09, 2010, 08:55:32 AM »
Reply with quote
sundar .. atee sundar.. bahut pyaara likha hai aapne Kasak ji.. aapke in shabdon me sirf aur sirf pyaar hai.. bahut khoob likha hai aapne...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause



wowwwwwww khwaish ji kya kehne....
 Applause Applause Applause Applause Applause
aaj to aapke poems me ek alag si bechaini nazar aarahi hai....
chaliye ise thodasa fresh kar dete hain hum apne reply se....
lijiye padhke bataiye kaisi lagi hamari poem...


Jiske dil me rahi main banke Kasak
Wo tu hi to mera paagal deewana tha

Kaise bhul gya tu wo pal mere humdum
Jab dard me maine sirf tujhe hi pukara tha

Khushi me sath dene ko sab hai sath khade
Tu to meri har mushkil me mera sahara tha

Meri muskaan pe luta dena chahta that u khudko
Lekin ek pal me hi tune mujhse kiya kinara tha

Ehsaas  jo jude hon dil se ruuh se mere humdum
Unn ehsaason se to har ek rishta  haara tha

Main kya kahun k kya khwaish reh gai hai meri
Iss dil ki *kasak* ka to har khwaab hi pyaara tha…!!!






ye to pehle wali se bhi badhiya hai khwaish ji..
aapki fan to main hun hi hamesha se ab aapki ac bhi ho gai hun...
toooooo guuuddddaaaaammmmmmmmmmm
i mean mastammmmmmmmmmmmmmm reeeeeeeee....
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause

ruka hi nahin gaya likhe bina..lijiye padhiye....


Wo koi aur nahin tu hi mera deewana tha
Jiske samne maine apna har dard keh dala tha

Tu samjhega mere dil ki baat aur jazbaat ko
Yehi soch k maine dil tujhe de dala tha

Pyaar to sirf aankhon se bhi samjhaya jataa hai
Maine to tujhe sab shabdon me keh daala tha

Khudse har bar jhut kehte rahete hain sab yahan
Maine aaj khudko ek sach se saamna karwaya tha

Pathar ki murat hi ban gai hun main ab shayad
Tabhi tut k gir jane par sabne thokar me dala tha

Jise apni ruuh me basa liya hai maine khwaish
Uss pyaar ki kasak ko maine dil me bht sambhala tha…!!!

[/color]



Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #18 on: October 09, 2010, 09:13:46 AM »
Reply with quote
jhoot nahi kahunga par mujhe aapki poems me ek shikaayat hamesha se rehti hai ki aap likhte bahut gehra hain par usme ras nahi hota.... mujhe pyaar mohabbat me likhna bahut achcha lagta hai .... aur usi me aanand aata hai... sabki apni apni pasand hoti hai... to aapke poems mujhe bahut bahut achche lagte hain aur zindagi ke aas paas lagte hain.. par jis ras ki baat kar raha hoon wo in poems me dikh raha hai Khwaish ji... aapki hunar ka jawaab nahi chaahe zindagi k baare me likhe chaahe mohabbat .. aapke lekhni ka koi tod nahi.. aakhir pyaar aadmi se kuch bhi likhwa leti hai... aur bahut bahut pyaar se likhi gayi hai aapki ye rachnaaye.. main kehta hoon ras nahi hota par in poems me itna ras hai ki is se rasmalai banaa sakte hain... sach bahut jyaada pasand aaya humein aapke likhne ka ye andaaz... bahut hi khoob janaab....!!!!



Anuji, Kin Lafzon mein bataye Ke
Humein Aapki yeh Poem Aakhir Kitni Khoobsurat Lagi,
Itna Zaroor keh sakta hoon Ke baar-baar padhte raha aapki yeh poem...
bahut hi anmol jazbaatons se bharpoor yeh kavita
dil ko Chuti hai..Shukriya Aapka..



Chaahe Kitne Bhi Rang Bharlo Apni Zindagi mein
Par Kuch Tasveere Aisi Bhi Hoti hai Jo Bola nahi karti

Ishq Ek Aisa Jazba Hai Jo Mehsoos Kiya jaata Hai
Zindagi Kabhi Isse Lafzon ke taraazu mein Tola Nahi karti

Agar kisi Ka Pyaar naseeb Ho to Woh Bhi kismato Ki Baat Hai!!
Pyaar Kabhi kisi Ke zindagi mein Zehar Ghola Nahi karti..

"Khwaish" Chaahe Kuch Bhi Ho,Rishte To Umar Bhar Zinda Rehte Hai!!!
Kuch Rishte Aise Bhi Hote Hai Jinhe Naam Dekar Zindagi Tatola Nahi karti

"Khwaish" Ko yeh Ehsaaso Se bhara Rishta Bahut Pyaara hai Eh Humdum!!!
Chaaho To Padhlo Iss Dil ko Kyonki Aankhein  Bhi kabhi Kuch Bola Nahi Karti...



Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Haaye!!! Anuji, Naa Aap Mere Fan Ho, Naa A.c,Aap Mere Liye Bahuttttttttttttttttttttttttttttttt Hi Ache Dost ho..Aur huemsha Rehna..
Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Likha Hai Aapne..


Dil Ki Baaton ko Ab Ek Naya Andaaz Doon,
Jab bhi Tanha Rehta Hoon,Tujhe Hi Awaaz Doon!!!!

Sochta Hoon Apni Muskaan Tujhe Somp Doon!!!
Iss Besure Dhadkano ko Kyun Na,Ek Naya Saaz Doon

Meri Zindagi Ki Kitaab Ab Tumhaare Haath Mein  Hai!!!
Ab Bacha Hi kya Mujhe mein,Jo Tujhe Eh Mere Humraaz Doon

Hai Dua Yeh Ke Tu Har-dum Muskuraati Rahe!!
Kaash Main Tujhe Khushiyon Se bhara Akaash Doon!!!

"Khwaish" Kehta Hai Apne Dil mein Qaid Dard Se!!!
Saanson Ke pinjre mein  Kab Tak Qaid Rahoge!!
Kyon Naa Main Tujhe Ab Parwaaz Doon

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #19 on: October 09, 2010, 09:14:48 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob likha hai aapne Rahim bhai...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause

Tasveerein na bol kar bhi sab keh jati hai,
Uski yaad dila kar, mujhe bahaut rula jati hai..

Ishq ko mehsoos iss qadar kiya hai kay aj ankhein iski gawah hai,
‘Khwaish’ teri nazmein mujhe apni hi dastaan suna jati hai..

Jab tak woh shaks saath hai tab tak toh sahi hai yaaron,
Juda hone par yaadein zindagi ko tanha kar jati hai..

Har rishta zinda rehta hai umar bhar, yeh baat kuch hazam nahin hoti ‘Khamosh’,
Aksar zindagi main kuch cheezein [hadse] kayi rishton ko kamzor kar jati hai..

Jo mere dil main hai woh zuban par hai,
Chaho toh milalo nazron se nazrein kyun ki,
‘Khamosh’ ki ankhein hi sab kuch keh jati hai..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #20 on: October 09, 2010, 10:47:35 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob likha hai aapne Rahim bhai...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause

Bahaut bahaut shukriya Kapil Dost..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: October 10, 2010, 09:39:41 AM »
Reply with quote
jhoot nahi kahunga par mujhe aapki poems me ek shikaayat hamesha se rehti hai ki aap likhte bahut gehra hain par usme ras nahi hota.... mujhe pyaar mohabbat me likhna bahut achcha lagta hai .... aur usi me aanand aata hai... sabki apni apni pasand hoti hai... to aapke poems mujhe bahut bahut achche lagte hain aur zindagi ke aas paas lagte hain.. par jis ras ki baat kar raha hoon wo in poems me dikh raha hai Khwaish ji... aapki hunar ka jawaab nahi chaahe zindagi k baare me likhe chaahe mohabbat .. aapke lekhni ka koi tod nahi.. aakhir pyaar aadmi se kuch bhi likhwa leti hai... aur bahut bahut pyaar se likhi gayi hai aapki ye rachnaaye.. main kehta hoon ras nahi hota par in poems me itna ras hai ki is se rasmalai banaa sakte hain... sach bahut jyaada pasand aaya humein aapke likhne ka ye andaaz... bahut hi khoob janaab....!!!!




Naa Mohabbat Naa Dosti ke Liye
Waqt Rukhta Nahi kisi Ke Liye

Kal Jawaani Ka Hashr Kya Hoga
Sochle Aaj Do Ghadi Ke Liye

Waqt Rukhta Nahi Kisi Ke Liye...
        (N.m)

Kapilji,Sabse pehle to bahut bahut shukriya aapka jo aapne itni izzat bakshi hai.
baaki kapil ji,Khumaari Ka Ras Vaakai Bahut sukoon deta hai par insaan guzarte waqt ke saath apne jazbaaton aur apni soch mein bhi bahut tabdeeliyan laata hai.
jaise aap Mohabbat ke topic par zyaada dilchaspi rakhte ho waise hi main rozaana zindagi se juudi baaton par apna zyaada Jukaau deta hoon yeh nahi ke Mohabbat par nahi likhta,Yoindia ke pichle panho par bahut si nazmein likhi hai jo mohabbat ki khumaari par hai,koshish zaroor karunga ke woh nazmein aapke samne laau..thode din se dil kar raha hai ke Mohabbat par kuch likhoon.isliye yeh koshish kar Raha Hoon..Umeed Karta hoon Aap Yuhi Humesha Hausla-afsaai Karte Rahenge..Aapka Teh Dil Se Shukriya
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #22 on: October 10, 2010, 03:45:42 PM »
Reply with quote
Dost, apki iss nazm kay liye mere paas lavz nahin hai..Dono hi parts bahaut khubsoorat hai..Mere dil ko choo gaye iss tarha kay qaid hogaye ander..Bahaut bahaut khoob..
Yeh teen shaer bahaut pasand aye..

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Hausle-afzaai ke liye tTeh dil se shukriya Bhai rahim!!!

bas yuhi saath dete rahiyega.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #23 on: October 27, 2010, 07:15:01 AM »
Reply with quote
Tasveerein na bol kar bhi sab keh jati hai,
Uski yaad dila kar, mujhe bahaut rula jati hai..

Ishq ko mehsoos iss qadar kiya hai kay aj ankhein iski gawah hai,
‘Khwaish’ teri nazmein mujhe apni hi dastaan suna jati hai..

Jab tak woh shaks saath hai tab tak toh sahi hai yaaron,
Juda hone par yaadein zindagi ko tanha kar jati hai..

Har rishta zinda rehta hai umar bhar, yeh baat kuch hazam nahin hoti ‘Khamosh’,
Aksar zindagi main kuch cheezein [hadse] kayi rishton ko kamzor kar jati hai..

Jo mere dil main hai woh zuban par hai,
Chaho toh milalo nazron se nazrein kyun ki,
‘Khamosh’ ki ankhein hi sab kuch keh jati hai..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~

Bahut bahut Khoob Bhai Rahim!!!

Humesha ki tarah Lajawaab!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #24 on: October 27, 2010, 07:39:18 AM »
Reply with quote
kya bat he soch me dhala hai badi gehraai se khwaish bhaii..maja aaya padhkar...
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 11, 2024, 03:22:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer