~*~ 'Khamosh' .. Kash tera bhi koi hota..~*~ by Rahim

by dead heart on July 22, 2011, 10:54:19 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2481 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Ek khayal aya tha yunhi kay 'Khamosh..Kash tera bhi koi hota..'
Main jo likhna chahta tha, waisa toh nahin likh paya mager yeh
kalam bhi bas..dil se likha hai..
Bahaut pehle ek kalam likha tha jisse maine kaha tha, khichdi bani
hai..Aj dobara kahunga, Kuch khichdi si pak gayi hai..!

Kanp kapane layak fizaein aksar kehti hai mujse,
Iss bheed bharri duniya main kash koi tera bhi hota..

Aisa koi jo tere naam ki tasbiyan parrta,
Tere liye sari duniya se bhi larrta,
Kay ager Khuda tujhe sabse unchi chhoti pay rakhta,
Toh woh uss chhoti tak haste haste charrta,
Baarish se bheegi mitti ki mahek kehti hai mujse,
Iss baarish main tere saath woh bheegta,
Ae ‘Khamosh’ kash tera bhi koi aisa hota..

Aisa koi jo mohobat ki sari haddein par kar jaye,
Nam ho teri ankhein toh us’se bhi muskuraya na jaye,
Kay ager Khuda tujhe aag kay dariya kay ek kinare par rakhe,
Toh woh ek orre se dusri orre muskurate muskurate ter jaye,
Kabrastan main basi qabron ki khamoshi kehti hai mujse,
Tujh main aur hum main kya fark hai ‘Khamosh’,
Aur dil bas yehi kehta hai..kash tera bhi koi hota..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
sarfira
Guest
«Reply #1 on: July 23, 2011, 09:41:11 AM »
Reply with quote
wah wah lajawab post bhai
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: July 23, 2011, 01:50:15 PM »
Reply with quote
wah wah lajawab post bhai
Teh teh dil se shukriya Sarfira jee..
Khush rahiye..!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: July 23, 2011, 03:15:28 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoooooooooob Rahim Mere Dost.... Ek Behtreen aur Umda Peshkash hai aapki... Daad Kubool karen.. Applause Applause

**~** Mann **~**
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #4 on: July 23, 2011, 06:59:02 PM »
Reply with quote
Hum Jaan Na Chahte Hain Humara Comment Kyon Delete Kiya Gaya?
Kya Yahan Apni Dil Ki Baat Rakhne Ka Huq Nahi Hai Kisi Ko?
Kya Monitors Yun Hi Apni Manmaani Karenge? Hume Reason Chahiye
Jisne Bhi Delete Kiya Hai?
Logged
khujli
Guest
«Reply #5 on: July 24, 2011, 05:38:55 AM »
Reply with quote
Hum Jaan Na Chahte Hain Humara Comment Kyon Delete Kiya Gaya?
Kya Yahan Apni Dil Ki Baat Rakhne Ka Huq Nahi Hai Kisi Ko?
Kya Monitors Yun Hi Apni Manmaani Karenge? Hume Reason Chahiye
Jisne Bhi Delete Kiya Hai?

 icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: July 24, 2011, 07:44:32 AM »
Reply with quote
Kisi ka bhi comments delete karna buri baat hai.i agree with you Niha ji. sad7
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: July 24, 2011, 11:33:00 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoooooooooob Rahim Mere Dost.... Ek Behtreen aur Umda Peshkash hai aapki... Daad Kubool karen.. Applause Applause

**~** Mann **~**
Teh teh dil se shukriya Vikas bhaijan..
Khush rahiye..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #8 on: July 24, 2011, 02:19:14 PM »
Reply with quote
Ek khayal aya tha yunhi kay 'Khamosh..Kash tera bhi koi hota..'
Main jo likhna chahta tha, waisa toh nahin likh paya mager yeh
kalam bhi bas..dil se likha hai..
Bahaut pehle ek kalam likha tha jisse maine kaha tha, khichdi bani
hai..Aj dobara kahunga, Kuch khichdi si pak gayi hai..!

Kanp kapane layak fizaein aksar kehti hai mujse,
Iss bheed bharri duniya main kash koi tera bhi hota..

Aisa koi jo tere naam ki tasbiyan parrta,
Tere liye sari duniya se bhi larrta,
Kay ager Khuda tujhe sabse unchi chhoti pay rakhta,
Toh woh uss chhoti tak haste haste charrta,
Baarish se bheegi mitti ki mahek kehti hai mujse,
Iss baarish main tere saath woh bheegta,
Ae ‘Khamosh’ kash tera bhi koi aisa hota..

Aisa koi jo mohobat ki sari haddein par kar jaye,
Nam ho teri ankhein toh us’se bhi muskuraya na jaye,
Kay ager Khuda tujhe aag kay dariya kay ek kinare par rakhe,
Toh woh ek orre se dusri orre muskurate muskurate ter jaye,
Kabrastan main basi qabron ki khamoshi kehti hai mujse,
Tujh main aur hum main kya fark hai ‘Khamosh’,
Aur dil bas yehi kehta hai..kash tera bhi koi hota..

Kanp kapane layak fizaein aksar kehti hai mujse,
Iss bheed bharri duniya main kash koi tera bhi hota..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~

bahut bahut Khooob Mere Dost Rahim...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Hi Khoobsurat Nazm Likhi Hai Aapne...Aapne Beshak Light Mood Mein Yeh Baat Kahi Hai Ke Kuch kichdi Si Pakk Gayi Hai Par Aisa Kuch Nahi, Jo Jazbaat aapne Likhe hai woh auron tak asaani se Pahunchte hai..
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: July 24, 2011, 03:04:02 PM »
Reply with quote
bahut bahut Khooob Mere Dost Rahim...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Hi Khoobsurat Nazm Likhi Hai Aapne...Aapne Beshak Light Mood Mein Yeh Baat Kahi Hai Ke Kuch kichdi Si Pakk Gayi Hai Par Aisa Kuch Nahi, Jo Jazbaat aapne Likhe hai woh auron tak asaani se Pahunchte hai..

Apka teh dil se shukriya dost jo apne lavzon ko SAHI SAMJHA..
Iske liye khaas khaas shukriya..
Khush rahiye..!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #10 on: July 26, 2011, 10:51:49 AM »
Reply with quote
niha khan kaa comnt kyn delete hua--?
kya sirf tarifen karne ke lie hi comnt chaiye--?
ek post padhke kon kaisa feel karta hai agr usko cmnt me likhne ki manahi hai to title page par mention kiya jaye--

kisi ka cmnt delete na kia jaye
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009

View Profile
«Reply #11 on: July 26, 2011, 12:08:28 PM »
Reply with quote
Ek khayal aya tha yunhi kay 'Khamosh..Kash tera bhi koi hota..'
Main jo likhna chahta tha, waisa toh nahin likh paya mager yeh
kalam bhi bas..dil se likha hai..
Bahaut pehle ek kalam likha tha jisse maine kaha tha, khichdi bani
hai..Aj dobara kahunga, Kuch khichdi si pak gayi hai..!

Kanp kapane layak fizaein aksar kehti hai mujse,
Iss bheed bharri duniya main kash koi tera bhi hota..

Aisa koi jo tere naam ki tasbiyan parrta,
Tere liye sari duniya se bhi larrta,
Kay ager Khuda tujhe sabse unchi chhoti pay rakhta,
Toh woh uss chhoti tak haste haste charrta,
Baarish se bheegi mitti ki mahek kehti hai mujse,
Iss baarish main tere saath woh bheegta,
Ae ‘Khamosh’ kash tera bhi koi aisa hota..

Aisa koi jo mohobat ki sari haddein par kar jaye,
Nam ho teri ankhein toh us’se bhi muskuraya na jaye,
Kay ager Khuda tujhe aag kay dariya kay ek kinare par rakhe,
Toh woh ek orre se dusri orre muskurate muskurate ter jaye,
Kabrastan main basi qabron ki khamoshi kehti hai mujse,
Tujh main aur hum main kya fark hai ‘Khamosh’,
Aur dil bas yehi kehta hai..kash tera bhi koi hota..

Kanp kapane layak fizaein aksar kehti hai mujse,
Iss bheed bharri duniya main kash koi tera bhi hota..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~

rahim sahab aap ek behtreen shayar hain.beshak. magar aapki iss nazam ki khuch line per main ittefaq nahin rakhta.

 main aapko PM kar ke apna kyaal rakhna chahoon ga .agar aap ijaazat dein to.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: July 27, 2011, 06:46:30 PM »
Reply with quote

rahim sahab aap ek behtreen shayar hain.beshak. magar aapki iss nazam ki khuch line per main ittefaq nahin rakhta.

 main aapko PM kar ke apna kyaal rakhna chahoon ga .agar aap ijaazat dein to.

Beshak ap PM karein..! Hume intezar rahega..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: July 27, 2011, 06:47:35 PM »
Reply with quote
niha khan kaa comnt kyn delete hua--?
kya sirf tarifen karne ke lie hi comnt chaiye--?
ek post padhke kon kaisa feel karta hai agr usko cmnt me likhne ki manahi hai to title page par mention kiya jaye--

kisi ka cmnt delete na kia jaye
Main iske bare main itna hi kahunga kay comment poem kay bare main ho toh man sakte hai mager comment, poem kay bare main nahin tha..!
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 01:15:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.163 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer