khamoshi ki nazar (NM)

by vb on September 23, 2010, 05:20:47 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3105 times)
vb
Guest
Reply with quote

Monitors r requested to plz delete.............

*---------------*

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
viiraanaa thaa nazar me.n jahaa.N tak nazar ga_ii by qakhs in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
nazar ko pehchaan le wo nazar chahiye by neha17 in Shayri for Dard -e- Judai
Nazar ko Pehchaan le wo Nazar Chaiye by adnan_armaan in Shayri for Khumar -e- Ishq
Teri Nazar...Meri Nazar by KOYAL46 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Halaat pe zara tu,apni nazar karde..(nazar ghouri) by nazar ghouri in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
praful1
Guest
«Reply #1 on: September 23, 2010, 07:40:38 PM »
Reply with quote
App itna achha likte hai, hamesha john eliya sahab ka aks lagta hai.Your pen has impact straight on the nerves
keep writing
God bless you
p.v
Logged
anokhiladli uzma
Guest
«Reply #2 on: September 23, 2010, 11:45:56 PM »
Reply with quote
dil jalay achay bhalay khamosh thay
shair perh kay berh gaein tanhanyan

again a good one creation vb shb
Logged
arunmishra
Guest
«Reply #3 on: September 24, 2010, 04:17:19 AM »
Reply with quote
एक अच्छी नज़्म|वाह...!
-अरुण मिश्र
Logged
saans
Guest
«Reply #4 on: September 24, 2010, 03:36:16 PM »
Reply with quote

...saari nazmein parhi hain aapki, bahut hee umda, mature, sangeen, sensitive shayari, real bhi lagti aur nostalgic bhi...
and other shayars are amazing too, in their own different ways...

...as a reply to this one, shayd hamein parhnay mein samajh kam aya ho, aik baat kehni hogi ke...jab koi khushnuma shayari ka paigaam de, tu ho sakta hay woh khush rehnay ke salaah de rahay hone...

aksar dekha hay, log ghamgeen shayari parh ke udaas ho jatay hain, kuch kar nahin saktay dukh baantnay ke liye etc., wapis likh nahin saktay shayari mein kuch, iska maslan yeh hargiz nahin lena chahiye as a shayer ke...unhein sirf khusnuma taranay pasand hain...
Logged
saans
Guest
«Reply #5 on: September 24, 2010, 05:50:21 PM »
Reply with quote

u r w...agar sabhi admirers kee tareefein hee shayari/Qalam ko chalta rakhnay ka aik maatar zariya hain, tu ham taQeed karenge, ke yeh silsila chalta rahay, log parhtay and pasand kartay rahein and aap likhtay rahain...

ham samajh saktay hain ke mushkil hota hay shabadon ke zariye byaan karna scenario ko, but yeh kala bakhoobi nibhatay hain...ho sakay chiragh jaltay rakhiye...

ham aapki kalambazi wala keemti wakt sawal poochnay mein nahin zaaya karwayenge...woh wakt likhnay mein lagayiyega, log parhtay hain, jab jab time milta hay and zaroori nahin ke har baar comment bhi chorh paayein
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: September 26, 2010, 01:08:41 AM »
Reply with quote
Vb ji apke har geet ki tarha ye bhi hamaare dil ko chhooti hui si lagi... yahaan bahut se shayar aise hain jo likhne k rules nad regulations k baare me sochte hain... main na to kabhi khud sochta hoon na dhyaan deta hoon... aapki poem mujhe hamesha apne dil k kareeb lagi hai. ek alag hi kashish hai aapne geeton me padho to bas padhte hi jao. ek baar, baar baaar.

yahaan shayad bahut kam log honge jnke poem padhne k baad mera mann karta hai ki taarif me bas likhta jaun. aapke liye jab comment likhta hoon to meri ungliyaan rukti nahi hain. bas likhte rahun yahi mann karta hai. bahut achcha likhte hain aap, aur har baar ki tarha aapki ye geet bhi bahut khoob hai...!!!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: September 27, 2010, 02:48:04 PM »
Reply with quote
VB ji aapki iss nazm ne ..iss geet ne dil me hulchul si macha di...aur apne aap hi ungliyan keyboard par chal di..jo feelings aai inhe padhker kuch iss tarah aai....aapke samne rakhti hun umeed hai pasand aayegi.......

Haan chup hun kuch din se main
Kyun hun ye bhi na samjh pai hun

Likhe geet tere padhti hun iss mehfil me
Unhe padhte hue ashk main bahati hun
Maayuus ho jati hunt ere kalaamon se
Kiss tarah main tujhe dard ye de jati hun

Har ek aashar tere padhte padhte main
Tere ishq ki gehraai me ulajhti jati hun
Jitna bhi padhti hunt ere kalaamon ko
Main aur bhi gumsum hoti jati hun

Tere har lafz me pyaar hi chalakta hai
Har sher mujhse izhaare dard karta hai
Jab tu apni mahobbat ki duhaai deta hai
Main samjhkar bhi nasamjh si ban jati hun

Haan kai hain likhne wale iss mehfil me
Par unke geeton me wo baat nahin
Jo dard chalakta hai tere geeton me
Main usme khudko dooboti jati hun

Tere ye geet mere liye anmol ban gaye hain
Inko main khazane sa sanjo k rakhti hun
Ye mere liye zindagi ki amnol dharohar hai
Main inme tumhe mehsus karti jati hun...!!!

Logged
saans
Guest
«Reply #8 on: September 27, 2010, 03:43:09 PM »
Reply with quote

Ji...admirers and taareefein...sabhee...saamnay hain...log apnay kalaam aik nayee post kee bajaye reply mein chorh jayein, is say barhkar kya ho sakta hay...

...

jinkay liye words bhi kam hone kuch kehnay ke liye, woh kya samjhayen ke itna asaan nahin hota sab samjhana...aap is fann mein ameer hain, aap kya jaanein...

koi bhi geet zay'ya nahin, koi nazam tanha nahin...har martaba speechless bhi kehna mushkil hota hay, shayad isliye auron ko mauka diya gaya ho, tareef/tanQeed ka...ya phir, zubaan un k kaabil na ho...kuch bhi mumkin hay

aapkay is behatreen shayer ke shaan mein yehi kahenge...

" Jabhi Sajda Karte Hi karte Gayi
Haq-E-Bandgi Hum Adaa Kar Chale

Parastish Kiya Tak Ke Aye Butt Tujhe
Nazar Mein Sabonki Khuda Kar Chale"
(n/m)
Logged
saans
Guest
«Reply #9 on: September 28, 2010, 04:12:03 PM »
Reply with quote

g...har likhnay waley ka aik andaaz-e-bayaan hota hay...jis pey unhein mukammal command haasil hoti hay, and yehi reason unhein readers say connected rakhta hay shayad

taajub hay ke likhnay walay khud apni feelings apni marzi say bayaan nahin kar paatay, tu jo karna chahtay hain, us mukaam tak pahunchay hee nahin, likhnay tak ka ilm nahin tu unka sochiye zara...yeh daad haasil hay aapko, iska sahi istemaal kartay rahiye...sadayein gar sahi disha (direction) mein hongi tu yakeenan rang layengi

raatein khooni nahin, zaalim, khamoshe, gehri ya darkness mein chupay har rang si ho sakti hain, warna aisey nagmay kabhi anjaam tak na pahunch paayein
waisey bhi, geet saath nahin chorhenge, inspirations badalti rahengi lekin is fann ka andaaz shayad badal jaye...

Meer taki saheb kee original ghazal ka koi comparison nahin, share karnay ka shukriya...

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 01:19:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer