khubsurat morr de kar chorr dena acha

by Pooja on September 18, 2009, 07:50:38 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 17200 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Mere ek dost ne kuch din pahle mujhe sms kiya in lines ke sath

"Jise anzaam tak laana na ho mumkin
Use ek khubsurat morr de kar chorr dena acha"

aor kaha ki main is per kuch bhi likhu...
waqat ki tangi ki wajah se maine dhayan nahi diya.. magar ajj abhi najar parri to kuch lines man mai aa gai.. Likhne ja rahi hu:

Jise anzaam tak laana na ho mumkin
Use ek khubsurat morr de kar chorr dena acha!..!!

Chorna kabhi khubsurat ho nahi sakta
Bichadna kabhi khubsurat ho nahi sakta
Jis morr ke baad, aye ansoo ki barsaat
Wo barsaat ka mosam acha ho nahi sakta

Dard rahta hai dil main, morr kitne he paar ho jaaye
Sathi ke bichudne ka dard, kabhi khatam ho nahi sakta
Shabdo ka jaadu hai, jadugari se behka do
Koi bhi behak jaana, umarbhar chal nahi sakta

Saalo baad bhi tees uthati hai aor ankhein ro deti hai
Ankhon ka dard main rona, kabhi acha ho nahi sakta
Judai ka zakham, her khushi main bhi Rulata hai
Khushio ka dukh main badal jaana, khubsurat ho nahi sakta

Bichardna kabhi khubsurat ho nahi sakata…

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TUM KHUBSURAT HO by BHONDU in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Qatl Gaah Chorr Gaye.. by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
**Chorr ke kyun gaya** by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
~Haath chorr chala~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Chorr gaye sab yaar by Iftakhar Ahmad in Miscellaneous Shayri
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: September 18, 2009, 07:56:11 PM »
Reply with quote
Wow Pooja ji bahut khoob,hamesha ki tarah wonderful creation.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: September 18, 2009, 09:17:52 PM »
Reply with quote
Sunil Dutt, Ashok Kumar aur Mala Sinha ki movie thi, GUMRAAH jis main song tha:

"Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayen Hum Dono"

Uska last para tha ye..

"Taarruf Rog Ho Jaaye, To Usko Bhoolna Behtar
Talluq Bojh Ban Jaaye To Usko Todna Achcha
Wo Afsaana Jise Anjaam Tak Laana Na Ho Mumkin
Use Ek Khoobsurat Mod De Ke Chorhna Achcha"

Pooja,
Aaap ka to jawab hi nahin.......Aapne bohot hi khoobsurat likha hai, ek nayi soch ke saath  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #3 on: September 18, 2009, 10:02:34 PM »
Reply with quote
Mere ek dost ne kuch din pahle mujhe sms kiya in lines ke sath

"Jise anzaam tak laana na ho mumkin
Use ek khubsurat morr de kar chorr dena acha"

aor kaha ki main is per kuch bhi likhu...
waqat ki tangi ki wajah se maine dhayan nahi diya.. magar ajj abhi najar parri to kuch lines man mai aa gai.. Likhne ja rahi hu:

Jise anzaam tak laana na ho mumkin
Use ek khubsurat morr de kar chorr dena acha!..!!

Chorna kabhi khubsurat ho nahi sakta
Bichadna kabhi khubsurat ho nahi sakta
Jis morr ke baad, aye ansoo ki barsaat
Wo barsaat ka mosam acha ho nahi sakta

Dard rahta hai dil main, morr kitne he paar ho jaaye
Sathi ke bichudne ka dard, kabhi khatam ho nahi sakta
Shabdo ka jaadu hai, jadugari se behka do
Koi bhi behak jaana, umarbhar chal nahi sakta

Saalo baad bhi tees uthati hai aor ankhein ro deti hai
Ankhon ka dard main rona, kabhi acha ho nahi sakta
Judai ka zakham, her khushi main bhi Rulata hai
Khushio ka dukh main badal jaana, khubsurat ho nahi sakta

Bichardna kabhi khubsurat ho nahi sakata…
Bichardna kabhi khubsurat ho nahi sakata…

Bohat acha likha aap ne DEE its really touchyyyyy bilkul sahi kaha aap ne bichadna kabhi khubsoorat ho nahi sakta....bohat khooooob.... Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: September 19, 2009, 03:46:04 AM »
Reply with quote
Wow Pooja ji bahut khoob,hamesha ki tarah wonderful creation.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

thanks dear!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: September 19, 2009, 03:47:13 AM »
Reply with quote
Sunil Dutt, Ashok Kumar aur Mala Sinha ki movie thi, GUMRAAH jis main song tha:

"Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayen Hum Dono"

Uska last para tha ye..

"Taarruf Rog Ho Jaaye, To Usko Bhoolna Behtar
Talluq Bojh Ban Jaaye To Usko Todna Achcha
Wo Afsaana Jise Anjaam Tak Laana Na Ho Mumkin
Use Ek Khoobsurat Mod De Ke Chorhna Achcha"

Pooja,
Aaap ka to jawab hi nahin.......Aapne bohot hi khoobsurat likha hai, ek nayi soch ke saath  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot dino app se koi comments mile... dil ko bahoot acha laga.. hamesha ki tarah bas wo he likha jo dil ne kaha.. tahe dil se shukaria ki apko yah pasand ayya.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: September 19, 2009, 03:48:16 AM »
Reply with quote
Bohat acha likha aap ne DEE its really touchyyyyy bilkul sahi kaha aap ne bichadna kabhi khubsoorat ho nahi sakta....bohat khooooob.... Applause Applause Applause Applause Applause

koi bhi bichurna kabhi bhi khubsurat ho nahi sakta.. kiatni he najakat barto.. kitna he pyar dikhao.. judai hamesha dil dukhati hai...
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: September 19, 2009, 03:57:50 AM »
Reply with quote

Khwaabon Se Juda Hona, Asaan Nahin Hota,
Judaai Ka Ghum Seh Jaana Asaan Nahin Hota,
Koi Kaise Muskura Ke Kahe Alwida Bolo,
Kaanch Sa Dil Pathhar Kabhi Ho Nahin Sakta
Bichadna Kabhi Khoobsurat Ho Nahin Sakta !

Jin Raahon Pe Chale The Door Tak, Humraah,
Tanha Nazar Aaate Hain Wahi Raaste Sahra,
Pal Pal Ki Yaadain Satati Hain, Rulati Hain,
Yaadon Se Khaali Ye Daaman Ho Nahin Sakta

Anjaam Mohabbat Ka Judaai Hai Bhala Kyun,
Aankhon Main Ashkon Ki Lagti Hai Jhadi Kyun
Kyun Talwaar Si Hoti Hai Rasm-e-Zamaana,
Bhool Jaayen Use Muskura Ke, Ho Nahin Sakta
Bichadna Kabhi Khoobsurat Ho Nahin Sakta !

Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #8 on: September 19, 2009, 03:58:42 AM »
Reply with quote
Mere ek dost ne kuch din pahle mujhe sms kiya in lines ke sath

"Jise anzaam tak laana na ho mumkin
Use ek khubsurat morr de kar chorr dena acha"

aor kaha ki main is per kuch bhi likhu...
waqat ki tangi ki wajah se maine dhayan nahi diya.. magar ajj abhi najar parri to kuch lines man mai aa gai.. Likhne ja rahi hu:

Jise anzaam tak laana na ho mumkin
Use ek khubsurat morr de kar chorr dena acha!..!!

Chorna kabhi khubsurat ho nahi sakta
Bichadna kabhi khubsurat ho nahi sakta
Jis morr ke baad, aye ansoo ki barsaat
Wo barsaat ka mosam acha ho nahi sakta

Dard rahta hai dil main, morr kitne he paar ho jaaye
Sathi ke bichudne ka dard, kabhi khatam ho nahi sakta
Shabdo ka jaadu hai, jadugari se behka do
Koi bhi behak jaana, umarbhar chal nahi sakta

Saalo baad bhi tees uthati hai aor ankhein ro deti hai
Ankhon ka dard main rona, kabhi acha ho nahi sakta
Judai ka zakham, her khushi main bhi Rulata hai
Khushio ka dukh main badal jaana, khubsurat ho nahi sakta

Bichardna kabhi khubsurat ho nahi sakata…
Bichardna kabhi khubsurat ho nahi sakata…

Simply Fantastic.. Full of emotions... Sach mea Di.. Dard Bare ehsaaso ko bakoobi lafzo ka roop diya hai... Hamesha ki tarah Bahoot Hi laajawaab !

Mohabaat k raste hamesa Muskil hote hai
Bichne ka ehsaas kabhi ,Kabi aasaan nahi hota
Dil Rota hai aaj bhi Usko raat kar raato mea
Yaado mea raat Guzarna , Yun aasaan nahi hota

Mehfil mea jab Koi leta apni Mohabbat ka naam
Apne Dard ko , Lafzo mea daalna itna aasan nahi hota
Bhul jaaye koi apni Mohabbat ko kisi k liye yun
Magar Tanhai mea Unn Yaado lo Bulana aasan nahi hota

!Divya!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #9 on: September 19, 2009, 04:00:19 AM »
Reply with quote

Khwaabon Ke Juda Hona, Asaan Nahin Hota,
Judaai Ka Ghum Seh Jaana Asaan Nahin Hota,
Koi Kaise Muskura Ke Kahe Alwida Bolo,
Kaanch Sa Dil Pathhar Kabhi Ho Nahin Sakta
Bichadna Kabhi Khoobsurat Ho Nahin Sakta !

Jin Raahon Pe Chale The Door Tak, Humraah,
Tanha Nazar Aaate Hain Wahi Raaste Sahra,
Pal Pal Ki Yaadain Satati Hain, Rulati Hain,
Yaadon Se Khaali Ye Daaman Ho Nahin Sakta
Bichadna Kabhi Khoobsurat Ho Nahin Sakta !

Bahoot bahoot Khoob Talat di.. bahoot Khoob !  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: September 19, 2009, 04:03:32 AM »
Reply with quote
Bahoot bahoot Khoob Talat di.. bahoot Khoob !  Clapping Smiley Clapping Smiley

Thanks Sophi, I added one more para !
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: September 19, 2009, 04:04:17 AM »
Reply with quote

Simply Fantastic.. Full of emotions... Sach mea Di.. Dard Bare ehsaaso ko bakoobi lafzo ka roop diya hai... Hamesha ki tarah Bahoot Hi laajawaab !

Mohabaat k raste hamesa Muskil hote hai
Bichne ka ehsaas kabhi ,Kabi aasaan nahi hota
Dil Rota hai aaj bhi Usko raat kar raato mea
Yaado mea raat Guzarna , Yun aasaan nahi hota

Mehfil mea jab Koi leta apni Mohabbat ka naam
Apne Dard ko , Lafzo mea daalna itna aasan nahi hota
Bhul jaaye koi apni Mohabbat ko kisi k liye yun
Magar Tanhai mea Unn Yaado lo Bulana aasan nahi hota

!Divya!

Bohot Khoob Divs
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #12 on: September 19, 2009, 04:05:58 AM »
Reply with quote

Anjaam Mohabbat Ka Judaai Hai Bhala Kyun,
Aankhon Main Ashkon Ki Lagti Hai Jhadi Kyun
Kyun Talwaar Si Hoti Hai Rasm-e-Zamaana,
Bhool Jaayen Use Muskura Ke, Ho Nahin Sakta
Bichadna Kabhi Khoobsurat Ho Nahin Sakta !

Kya baat hai Talat di bahoot Khoob!.. Waah waah waah,. Daad Kabool ho!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #13 on: September 19, 2009, 04:06:26 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Divs

Thank you So much Di
Logged
salil2002
Guest
«Reply #14 on: September 19, 2009, 04:09:12 AM »
Reply with quote
bahut achche didi
magar aapne sach main bicchhadne ko khoobsurat bana diya hai
bahut bahut khoob

humein intzaar raha uska jo ghar nahin aaya
jiski yaad main har raat palkon ne maatam manaya
uska kehna tha kii kii woh lautega,main intzaar karoon
uski oos baat ka jaado ab tak hai mere jehan par chhaya
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 02:56:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer