Kis tarah ka pyar karta hai

by Pooja on December 18, 2008, 10:34:35 PM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 22
ReplyPrint
Author  (Read 16353 times)
Pooja
Guest
«Reply #120 on: December 30, 2008, 07:07:05 PM »
Reply with quote
Aaapne Har line pe ilzam lagaya , to hamne koshish ki, i aapko reply de sake, but aap rukne walo me se nahi hain, ilzam pe ilzam laga rahi hai tongue3

zindagi ke zakhm jitne gahre hai
utne he sawal juban per thahre hai
her dard pi jaati pooja agr sath rahte mere
dard yah kaise sahu, jab yah dard tere hai

apki poem ka jawab thori der main apke samne hoga
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda Khud Pyar karta.... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 7 8 »
Mujhse bhi koi Pyar karta hai........... by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
HUMSE KOI PYAR NHI KARTA by amarhellboy in Share: Poetry of Pain
ab main nhi karta tumse pyar by likemaddy in Other Languages
Is tarah bhi koi judaa Karta..........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #121 on: December 30, 2008, 10:01:13 PM »
Reply with quote
shukriya Poojaji

Meri bewafayi beshaq abb meri zingadi ka hissa hai,
Bayan nahi kar sakta ye kis kadar ab is dil me samayi hai...

Tere dard ka ehsah utna hi gahara hai
Jitani is dil me mere zakhmo ki gahrayi hai...

Tujhe yaad hai darad ka aalam hai ab shayad,
Mera pyar bhul gayi ho shayad jiski jagah ab sirf Bewafayi hai...

Har mukam pe rota hun sisak kar yad karke tujhe,
Par ya karu ab tujhe yad karne ke siva, jab meri kismat me tanhayi hai...

Teri raho pe phool ki tarah sanse bhichi thi meri,
Aaj sari rah pe sirf in sanso ki rusvayi hai...

~Pank~

Tere dil se jo ek bhi wafa ka sila milta
na judaai ka kabhi koi rasta dikhta

Tere dard main hoga shayd mera dard bhi shamil
magar mere dard ko nahi koi karaar milta

Tere pyar ke sahare to abhi zinda hu
warna tere zakhmo ka nahi koi nishan milta

meri raho se ho sake to le ja apni yaadein
in yaadon se nahi koi chutkara milta

Mujhe laga ki shayd sab yah arth na samjh sake is liye likh rahi hu:

warna tere zakhmo ka nahi koi nishan milta = agar tere pyar per bharosa nahi hota, to kyun tujhse itne zakham khati

Logged
pankshivam
Guest
«Reply #122 on: December 31, 2008, 10:30:56 AM »

Bahoot Khoob Poojaji
Aapke ilzam sar aankho pe

Hmne to apni oor se wafa nibhayi thi,
Tum bhool gaye us pyar ko jiske baad meri bewafayi thi....

Na tha irada kabhi tumhe zakhm dene ka,
Shayad hamare sath har pal kahi gamo ki parchayi hai...

Par kya kare is tarah se ab ham
Jab har zakhm ne hi meri wafao ki yaade mitayi thi...

Roya bhi jab tujhe yaad karke jagate se khawabo me,
Teri yaade,teri surat meri aakho me muskurayi thi...

Naam tab mera badnaam ho chuka tha teri khatir,
Dil ki unn raho me sirf duriyo ki ghata chhayi thi...

Na de saka mai thi tujhe sada dil se shayad,
Aur na kabhi teri koi aawaz is dil tak aayi thi...

Milo ke koi mayane nahi the apne pyar me,
Duriya to dilo ke bich thi apne,
          The kareeb kitne par kitani lambi judayi thi....

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #123 on: December 31, 2008, 05:11:29 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Pank ji.. bahoot himmati shayr hai app... ek se bad kar ek jawab hai apke pass.. bahoot khoob!!!  Applause Applause Applause

bhoolna chaha is dil ne jab sab,
 wo pyar na hum bhoola paaye

kitane sawan roi yah ankhia
yah izhaar bhi na kar paaye

iradein kaya the, yah main kaya jaanu
jab kabhi tum apne dil ki na kah paaye

badnaam to dono he hue
ek dooje se koi insaaf na kar paaye

na de sada ab is dil ko mere
jab zakhmo per marhum na rakh paaye

Milo ki doori ho jaati ek pal main khatam
Bas Tum Ek Awaz Na De Paaye

Logged
pankshivam
Guest
«Reply #124 on: December 31, 2008, 08:19:21 PM »

Shukriya Khoob Poojaji
Aap to kai kadam aage hai hamse

Rahe kitane arman is dil me, jo dil me na sama paye...
Dekhe kai khwab aaise bhi jo zindagi ki sachhayi chipa na sake...

Rahe bekhud teri aashiqi me khuda ko bhul kar,
Jab aaya waqt kayamat ka toh khuda ko bhi pa na sake...

Roye teri yaad meri sisak sisak kar tanhayi me,
Aaise zakhme diye tujhe ke khud kabhi muskura na sake...

Zindagi ne di aaisi khushiya gamo ki parchayi ke sath,
Ke sadiyo ki zindagi lagi, lamho me khushiya la na sake...

Lautna chahate the manzilo ki tamnna me teri ummid karke,
Par zindagi se wada nibha na sake...

Khud bewafa ho gaye jab dekha dard teri aakho me,
Kyun tujhpe ham ilzam laga na sake...

Khoya ek baar tujhe apne dil ke chain ki keemat pe,
Likha ek baar tera nam dil pe, jise aaj tak is dil se mita na sake...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #125 on: December 31, 2008, 09:00:36 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Pank ji.... chah kar bhi naye saal ke pahle din main us bewafa per koi ilzaam nahi laga pa rahi hu....bas yahi kahugi uske liye main..

Dua ajj dil se meri yahi aaye
jis ke liye chora mujhe, wo tujhe mil jaaye

hum jee lage, kuch mili khushio ke palo main
tujhe jeevan ki sari khushia mil jaaye

ho sake to na ab kisi ka dil dukhana
tere dard ka her ek pal mujhe mil jaaye

badi kismat se milte hai dunia main chahne wale
dua meri, tujhe koi chahne wala mil jaaye

Dua ajj dil se meri yahi aaye
jis ke liye chora mujhe, wo tujhe mil jaaye
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #126 on: December 31, 2008, 09:19:57 PM »

Sach me Poojaji Aapne bahoot achha likha hai dil ko chhu liya aapne is post se

Bat lo khushiye meri to aaitraz nahi,
Mere gamo ka tujhe koi hissa na aaye...

Duniya se chala jau sau ilzam leke tujhse,
Par mere kisi gunah ka dard tujhe na mil jaye...

Hokar juda tere dard na baat saku, ye dard hai mera,
Khuda ke liye mera ye dard kam ho jaye...

Aane wale palo ki khusiya behisab ho teri zindagi me,
Har khushi ka lamha tere hotho pe zindagi bhar muskuraye...

Bs yahi aarman hai ab dil se dil ke liye,
Ke tere dil ka sara dard is dil me chala aaye...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #127 on: January 02, 2009, 07:07:20 PM »
Reply with quote

Bahoot khoob Pank ji, soch main thi ki naye saal mai ab yaha likhu ya nahi,... magar likh he gai...apne jawab bahoot acha likha hai... ussi ko najar main rakhte hue kuch likhne ki koshish kar rahi hu

na ab koi khushi tere sung, na he dukh bantaana hai
main hu meri zindagi, apne gumo main jiye jaana hai

ilzaam per tujh per ek he mere dil ne lagana hai
qatil hai mere bhawnaao ka tu, marte dum tak, yujhe yaad dilana hai

Juda the mujhse, tabhi to juda aise ho gaye
phir ab kis judai ka, dard tumne sunana hai

Na pahle the kabhi sung tum, na ab ane wali zindagi main hoge
tanha thi yah zindagi, tanha he jiye jaana hai

na suna koi armaan, her armaan jhootha sa lage
mere dil ka dard, rahne de baatein, tune sirf ise badate jaana hai
Logged
dead heart
Guest
«Reply #128 on: January 02, 2009, 07:30:15 PM »
Reply with quote
tu bhale hi jeele apne ghumon ke saath par meri yaad tujhe hamesha tadpaegi,
jab niklenge khoon ke ansu teri nazuk palkon se toh unhe kaise chupaegi???

tu khali ilzam laga sakti hai par ilaaj karna janti nahin,
tere tukde kiye hue dil ko tu kahan se silaegi???

haan shayad hoon qatil main teri bhawnaon ka,
par tere daman pe lage bewaffai ke daag tu kaise mitaegi???

khush hoon main tere se juda rehkar kyun ki dard bhari cheekein nahin sunai deti hai,
par tere bewaffa dil ki cheekon ko tu kaise rok paegi???

Pooja jee...humne kuch likhne ki koshish ko hai apke lines ke jwab main...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #129 on: January 02, 2009, 07:41:54 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob DH ji...'

Teri he ek yaad hai, jante hai, umar bhar rulayegi
her ek ansoo tadpega, beete dino ki yaad ayegi

zakham hai dil ke, jo tadap kar shabd ban jaate hai
ilzamo ki gunjaish kaha, karmo ki gati sab, samjhayegi

Logged
dead heart
Guest
«Reply #130 on: January 02, 2009, 07:44:41 PM »
Reply with quote
shukriya aur bahaut khoob!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #131 on: January 02, 2009, 08:53:05 PM »
Reply with quote
Shukaria DH JI
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #132 on: January 03, 2009, 03:13:44 AM »
Reply with quote
Bahoot khoob Pank ji, soch main thi ki naye saal mai ab yaha likhu ya nahi,... magar likh he gai...apne jawab bahoot acha likha hai... ussi ko najar main rakhte hue kuch likhne ki koshish kar rahi hu

na ab koi khushi tere sung, na he dukh bantaana hai
main hu meri zindagi, apne gumo main jiye jaana hai

ilzaam per tujh per ek he mere dil ne lagana hai
qatil hai mere bhawnaao ka tu, marte dum tak, yujhe yaad dilana hai

Juda the mujhse, tabhi to juda aise ho gaye
phir ab kis judai ka, dard tumne sunana hai

Na pahle the kabhi sung tum, na ab ane wali zindagi main hoge
tanha thi yah zindagi, tanha he jiye jaana hai

na suna koi armaan, her armaan jhootha sa lage
mere dil ka dard, rahne de baatein, tune sirf ise badate jaana hai

Bahoot Khoob Poojaji

Meri bewafayi tere gamo ka paimana hai,
Aahato me teri, meri khwahisho ka zamana hai...

Na bata mujhe koi jasbaat apne,
Dil to aaj bhi tera hai, jiske hisse me dard hi aana hai...

Dekhta hun aaj bhi tujhe khud se dur jab bhi,
Sochta hun aabhi kitanea aur imtehan dilana hai...

Ruthe khwab man jate gar manane se,
To ye na kehte, apni toh fitrat hi ruthe khwabo ko manana hai...

~Pank~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #133 on: January 03, 2009, 08:34:39 AM »
Reply with quote
tu bhale hi jeele apne ghumon ke saath par meri yaad tujhe hamesha tadpaegi,
jab niklenge khoon ke ansu teri nazuk palkon se toh unhe kaise chupaegi???

tu khali ilzam laga sakti hai par ilaaj karna janti nahin,
tere tukde kiye hue dil ko tu kahan se silaegi???

haan shayad hoon qatil main teri bhawnaon ka,
par tere daman pe lage bewaffai ke daag tu kaise mitaegi???

khush hoon main tere se juda rehkar kyun ki dard bhari cheekein nahin sunai deti hai,
par tere bewaffa dil ki cheekon ko tu kaise rok paegi???

Pooja jee...humne kuch likhne ki koshish ko hai apke lines ke jwab main...
Bahoot Khoob DHji
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #134 on: January 03, 2009, 08:39:24 AM »
Reply with quote
wah bahoot khoob DH ji...'

Teri he ek yaad hai, jante hai, umar bhar rulayegi
her ek ansoo tadpega, beete dino ki yaad ayegi

zakham hai dil ke, jo tadap kar shabd ban jaate hai
ilzamo ki gunjaish kaha, karmo ki gati sab, samjhayegi

Bahoot Hi Dil ko Choo lene wala Reply hai Poojaji
Thanx for this post.....
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 22
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 18, 2024, 10:33:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer