Kis tarah ka pyar karta hai

by Pooja on December 18, 2008, 10:34:35 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 22
ReplyPrint
Author  (Read 16236 times)
Rajesh Harish
Guest
«Reply #15 on: December 19, 2008, 07:03:01 PM »
Reply with quote

Bahoot Khoob Poojaji Reply karna aur mushkil ho raha hai
sirf koshish kar raha hun...

Ye meelo ki khamosi ye sadiyo ki tanhayi...
Bevafayi ka iljam tha mujhpe,aur teri rusvayi...

Khamosh khada raha har manzil pe akela...
Nahi kahunga ke kis lamhe me teri yaad nahi aayi...

Sawalo ke javab kya dun jab khud hi uljha hun kahi sawalo me...
Mere gamo ki tanhayi me, aur teri rusvayi ke iljamo me...

Aankho se chalkte hai ashq to chipau kaise...
Jo duriya bani hai sadiyo ki bich hamari chahkar bhi ab unhe mitau kaise....

Aaj fir faslo pe tere sisakne ki sada aayi hai...
Fir me khamosh khada hun,aur mujhpe hasti huyi ye meri tanhayi hai

~Pank~
Nice Try Shivam Ji
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda Khud Pyar karta.... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 7 8 »
Mujhse bhi koi Pyar karta hai........... by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
HUMSE KOI PYAR NHI KARTA by amarhellboy in Share: Poetry of Pain
ab main nhi karta tumse pyar by likemaddy in Other Languages
Is tarah bhi koi judaa Karta..........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #16 on: December 19, 2008, 07:05:57 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Poojaji Reply karna aur mushkil ho raha hai
sirf koshish kar raha hun...

Ye meelo ki khamosi ye sadiyo ki tanhayi...
Bevafayi ka iljam tha mujhpe,aur teri rusvayi...

Khamosh khada raha har manzil pe akela...
Nahi kahunga ke kis lamhe me teri yaad nahi aayi...

Sawalo ke javab kya dun jab khud hi uljha hun kahi sawalo me...
Mere gamo ki tanhayi me, aur teri rusvayi ke iljamo me...

Aankho se chalkte hai ashq to chipau kaise...
Jo duriya bani hai sadiyo ki bich hamari chahkar bhi ab unhe mitau kaise....

Aaj fir faslo pe tere sisakne ki sada aayi hai...
Fir me khamosh khada hun,aur mujhpe hasti huyi ye meri tanhayi hai

~Pank~
Applause Applause Applause Applause

wah kaya baat hai, her naye jawab se app dil moh rahe hai... wah kaya jawab likha hai.. dil Uff, Ahh aor Wah... sab ek sath he kar gaya...such main Pank ji bahoot acha jawab likha hai apne...

Ek pyar bhari najar aor her khamoshi toot jaati
Barda dete jo ek baar bhi hath, her tanhaai door ho jaati

Kaya manjilein humari, ek dooje ke bin zindagi main
Kah dete jo dil ki baat, wahin subah humari ho jaati

Sawalo jawabo se door ab to hum nikal ayye bahoot
Samjh jaate jo dil humara, her doori wahin mit jaati

Hai faslein bahoot ab to darmiyaan humre
Bichadte jo bin ruswa kiye hume
To yah zindagi tere naam per mit jaati

pankshivam
Guest
«Reply #17 on: December 19, 2008, 08:17:32 PM »

Shukriya Poojaji!!!
Par aapke Sawaalo ke aage ye javab phikhe hain...
Jawabo ki har to tay hai,jab Sawal khud itane tikhe hai... tongue3

Dekhte hai jitane bhi,Sachhayi me badal jaye vo khwab nahi hote...
Kuch sawalo ke jawab nahi hote....

Har mausam ki khwahish hoti hai khushi dene ki hame,
Har mausam me khil jaye aaise gulab nahi hote...

Aashko ki kismat me bikhar jana likha hai,
Kaun samjhega ye bikharkar barbad nahi hote...

Aaye jab bhi mera khayal dil me tumhare,
Kaise man jau mai ke tum sisak kar nahi rote...

Is dil ke dag ko chipaya bahut maine,
Par kya kare Bevafai ke dag saf nahi hote...

Kuch Sawalo ke javab nahi hote...
Kuch Sawalo ke jawab nahi hote...

~Pank~

Shukriya Pooja ji khubsurat Sawalo
Ke liye Bahoot Bahoot Shukriya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: December 19, 2008, 08:35:08 PM »

Pank ji apke sath likhna bahoot acha lag raha hai, shukaria sath dene ke liye.. bahoot he sahi likha hai apne...Apki he likhi kavita ko najar main rakhte hue jawab likhane ki koshish..

Mere kisi sawal ka kabhi jawab tha na mila
Jab bhi kaha maine kaha, tumne chup lab sil liya

Tikhi meri juban, tikhein mere sawal
Inhi bahano se hamesha, mujhko hai chup kar diya

Kab mange gulab maine, zindagi ke safar main
Dard hai yahi ki, kyun kanto main sung na mera liya

Ashaq bikharte gaye, zakham tumse milte gaye
Kis liye kabhi, in zakhmo ko marham na tumne diya

Tha pyar to jatlaate, kabhi to sung mere atte
Her pal apne shabdo se, bas tanha tha mujhko kiya

Mere kisi sawal ka na tumne kabhi jawab diya
Jab bhi chaha maine jawab, lub chupi se sil liya……..

Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #19 on: December 19, 2008, 09:07:07 PM »
Reply with quote
bahoot khoob likha hai pooja ji aapne.
pankhshivam ji,bahut umda aapney jawaab diye hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: December 19, 2008, 09:08:06 PM »
Reply with quote
bahoot khoob likha hai pooja ji aapne.
pankhshivam ji,bahut umda aapney jawaab diye hai.

bahoot bahoot shukaria Prateek ji!!
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #21 on: December 19, 2008, 09:21:53 PM »
Reply with quote
Javab abhi baki hai :p
Likh rahe hai abhi Poojaji Jaiyega nahi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: December 19, 2008, 09:31:22 PM »
Reply with quote
Javab abhi baki hai :p
Likh rahe hai abhi Poojaji Jaiyega nahi

App chinta nahi kare Pank ji... hum yahihai,... appp jawab likhein... sawal tyaar hai  Thumbs UP
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #23 on: December 19, 2008, 09:43:39 PM »
Reply with quote
Pank ji apke sath likhna bahoot acha lag raha hai, shukaria sath dene ke liye.. bahoot he sahi likha hai apne...Apki he likhi kavita ko najar main rakhte hue jawab likhane ki koshish..Masha-Allah

Mere kisi sawal ka kabhi jawab tha na mila
Jab bhi kaha maine kaha, tumne chup lab sil liya

Tikhi meri juban, tikhein mere sawal
Inhi bahano se hamesha, mujhko hai chup kar diya

Kab mange gulab maine, zindagi ke safar main
Dard hai yahi ki, kyun kanto main sung na mera liya

Ashaq bikharte gaye, zakham tumse milte gaye
Kis liye kabhi, in zakhmo ko marham na tumne diya

Tha pyar to jatlaate, kabhi to sung mere atte
Her pal apne shabdo se, bas tanha tha mujhko kiya

Mere kisi sawal ka na tumne kabhi jawab diya
Jab bhi chaha maine jawab, lub chupi se sil liya……..

Masha-Allah
Bahoot Khoob Applause Applause Applause
Aap Toh aasani se likh rahi hai Poojaji
Hame likhne me sochna parta hai
Becoz Bevafayi hamne kar bhi li
To itane Javab kabhi nahi diye tongue3
Fir bhi Koshish karte hain

Kuch sawalo ke Jawab nahi hote..

Na diya maine kabhi saawalo ka javab,
Kiye sitam kitane hi aur chupchap sehte aap...

Aayi teri aah har sans me hamari,
Ham hi jante hai hamne ye ghadiya kis dard me gujari...

Na diya ho hamne kabhi koi gulab khushi ka,
Sawal the samne, jab tha hamare hatho me daman khamoshi ka...

Tujhe zakhm dene ka irada na tha,
Kya kare jab zindagi ka hi hamse koi vada na tha...

Tumhe raho me chhorne ka koi bahana na tha,
Khud ko kiya tha tanha hamne kyuki apni mazilo ka koi thikana na tha...

Aaj bhi yaad aata hai vo lamha intezar ka,
Meri khamoshi ka aur tere beinteha pyar ka...

Kash de pata har sawal ka jawab isi tarah fir se,
To ho jata har lamha sehra me bahar ka...

Aaj fir ashko pe tere ab mera naam aaya hai,
Dil ki gali ke har mod pe isliye khud ko badnaam paya hai...

Ham kis haal me hai khush nahi hai kyu aabad nahi hote,
Kuch sawal hote hai jinke haqiqat me jawab nahi hote...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: December 19, 2008, 10:07:53 PM »

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Wah kis khoobsurati se apni bewafaai ko saweekar kar, apne dil ka haal sunaya hai.. wah wah wah... bahoot khoob Pank ji. Ajj bahoot waqat baad yoindia per likhne ka anand aa raha hai.. Shukaria is anubhav ke liye,.. bahoot khoob..

Apka jawab lamba hai so meri kavita bhi kuch lambi he ho gai

Her sawal ka jawab mil jaaaye
Shabdo se na sahi, najaro main he dikh jaaye

Tere her dard ki ghari per, jaan main waar deti
Shayad hum he kabhi, tumhare apne na ban paaye

The sawal jo tumhare, to jawab mangte humse
Kis liye zindagi ka, samna na tum kar paaye

Iradon se na sahi, zakham to tumne diye hai
Kis liye phir kabhi, dawa na tum kar paaye

Raaho main chorr tanha, kaise chal diye tum akele
Kyun wapis laut kar bhi, tum kabhi na aa paaye

Karo ajj yaad kitna bhi tum, kaya kare ab hum
Pooja ki zindagi main to, rah gaye tanhaaio ke saaye

Mere her ashaq per, tera he naam saja hai
Mere kisi ek zakham ko, na kabhi tum bhar paaye

Tujh bin main hu adhhuri, mere bin tum adhure
Kis liye mere sawalo ke jawab na tum de paaye

Her sawal ka jawab mil jaaaye
Shabdo se na sahi, najaro main he dikh jaaye…….
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #25 on: December 19, 2008, 10:19:17 PM »
Reply with quote
Pank ji apke sath likhna bahoot acha lag raha hai, shukaria sath dene ke liye.. bahoot he sahi likha hai apne...Apki he likhi kavita ko najar main rakhte hue jawab likhane ki koshish..

Mere kisi sawal ka kabhi jawab tha na mila
Jab bhi kaha maine kaha, tumne chup lab sil liya

Tikhi meri juban, tikhein mere sawal
Inhi bahano se hamesha, mujhko hai chup kar diya

Kab mange gulab maine, zindagi ke safar main
Dard hai yahi ki, kyun kanto main sung na mera liya

Ashaq bikharte gaye, zakham tumse milte gaye
Kis liye kabhi, in zakhmo ko marham na tumne diya

Tha pyar to jatlaate, kabhi to sung mere atte
Her pal apne shabdo se, bas tanha tha mujhko kiya

Mere kisi sawal ka na tumne kabhi jawab diya
Jab bhi chaha maine jawab, lub chupi se sil liya……..

Nice Pooja Ji

Tere har sawaal ka jawaab doon may kaise
Jab bhi kuch kahna chaha tu ne hi  rok diya

Itni mitaash hai teri jubaan may rokun kaise
Khud jab chup hogayee to bas iljaam laga diya

Zindagi ke safar mein ab tera saath doon kaise
Tere kuch harkaton ne mujhe tanha bana diya

Apne zakhmon ka ilaaj nahi tujhe marham doon kaise
Khud khaye the thokar aur hame  badnaam kar diya

Pyaar itna karte the par hum ye jatate bhi kaise
Hamesha tu  kahti rahi aur hame kuch kahne na diya

Tere har sawaal ka jawaab doon may kaise
Jab bhi kuch kahna chaha tu ne hi  rok diya
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #26 on: December 19, 2008, 10:28:40 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Wah kis khoobsurati se apni befaai ko saweekar jkar, apne dil ka haal sunaya hai.. wah wah wah... bahoot khoob Pank ji. Ajj bahoot waqat baad yoindia per likhne ka anand aa raha hai.. Shukaria is anubhav ke liye,.. bahoot khoob..

Apka jawab lamba hai so meri kavita bhi kuch lambi he ho gai

Her sawal ka jawab mil jaaaye
Shabdo se na sahi, najaro main he dikh jaaye

Tere her dard ki ghari per, jaan main waar deti
Shayad hum he kabhi, tumhare apne na ban paaye

The sawal jo tumhare, to jawab mangte humse
Kis liye zindagi ka, samna na tum kar paaye

Iradon se na sahi, zakham to tumne diye hai
Kis liye phir kabhi, dawa na tum kar paaye

Raaho main chorr tanha, kaise chal diye tum akele
Kyun wapis laut kar bhi, tum kabhi na aa paaye

Karo ajj yaad kitna bhi tum, kaya kare ab hum
Pooja ki zindagi main to, rah gaye tanhaaio ke saaye

Mere her ashaq per, tera he naam saja hai
Mere her ek zakham ko, na kabhi tum bhar paaye

Tujh bin main hu adhhuri, mere bin tum adhure
Kis liye mere sawalo ke jawab na tum de paaye

Her sawal ka jawab mil jaaaye
Shabdo se na sahi, najaro main he dikh jaaye…….

Shukriya Poojaji
Ek hi baat yaad rahi hai abhi
Ham bewafa hargiz na the par ham wafa Kar na sake....

Shukriya Poojaji
Bahoot Khub Likha hai aapne
Bahoot Khub

Lute hue aarmano ko tere hisse me jane na diya,
Ki maine bawafai tujhpe koi ilzam aane na diya...

Aakar har lamhe ne mujhe chubhta raha,
Har jehar pikar bhi apna dard tujhpe jatane na diya...

Rutha hai aaj tu is kadar mujhse mere sahil,
Lahro se bhi khudko bhig jane na diya...

Nibha na saka mai vada koi tujhse,
Par kitane baar tumne bhi koi vada nibhane na diya...

Yaado ke askh bankar aankho se behte rahe,
Tujhse bevafai ki thi maine har zarre me ye dastan kehte rahe...

Kab jane ye dil apni galti ko bhul paya hoga,
Chalti rahi dhadkane sanso ne kuch bhul jane na diya...

Ki maine bewafayi koi ilzam tujhpe aane na diya...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: December 19, 2008, 10:33:47 PM »
Reply with quote
Nice Pooja Ji

Tere har sawaal ka jawaab doon may kaise
Jab bhi kuch kahna chaha tu ne hi  rok diya

Itni mitaash hai teri jubaan may rokun kaise
Khud jab chup hogayee to bas iljaam laga diya

Zindagi ke safar mein ab tera saath doon kaise
Tere kuch harkaton ne mujhe tanha bana diya

Apne zakhmon ka ilaaj nahi tujhe marham doon kaise
Khud khaye the thokar aur hame  badnaam kar diya

Pyaar itna karte the par hum ye jatate bhi kaise
Hamesha tu  kahti rahi aur hame kuch kahne na diya

Tere har sawaal ka jawaab doon may kaise
Jab bhi kuch kahna chaha tu ne hi  rok diya

Wah Rajesh ji kaya baat hai, bahoot mithaas bhara jawab main apne sare ilzaam wapis laga diye... wah kaya andaaz hai.....jawab likhne ki koshish karati hu..

Mange humne jawab, aor humne he rok diya
Yah kis tarah ki baat ko tumne bol diya

Meri meethas itani, ki ho gaye juda tum
Apni he baat ko khud, tumne morr diya

Bewafai teri per, agar ho gai humse galti
Bas itani si baat per, tanha hume chor diya

Na dete zakham jo tum, to zakham humse kyun milte
Bewafaai apni se, zindagio ko zakham-o-saar kar diya

Jatate jo tum payar, to hum kaise na maan jaate
Zid apni main, zindagio ka algaav kar diya

Mere her sawal ka jawab tum he to the
Phir kaise khud ko Mujhse, Juda tumne kar diya…
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #28 on: December 19, 2008, 10:42:33 PM »
Reply with quote
Thanks Pooja Ji

Hum to yun koshish karte hai
Par aap ka to jawaab hi nahi
Hum to tahre ek mallaha
Aur aap to Captaan hai
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #29 on: December 19, 2008, 10:43:40 PM »
Reply with quote
Wah Rajesh ji kaya baat hai, bahoot mithaas bhara jawab main apne sare ilzaam wapis laga diye... wah kaya andaaz hai.....jawab likhne ki koshish karati hu..

Mange humne jawab, aor humne he rok diya
Yah kis tarah ki baat ko tumne bol diya

Meri meethas itani, ki ho gaye juda tum
Apni he baat ko khud, tumne morr diya

Bewafai teri per, agar ho gai humse galti
Bas itani si baat per, tanha hume chor diya

Na dete zakham jo tum, to zakham humse kyun milte
Bewafaai apni se, zindagio ko zakham-o-saar kar diya

Jatate jo tum payar, to hum kaise na maan jaate
Zid apni main, zindagio ka algaav kar diya

Mere her sawal ka jawab tum he to the
Phir kaise khud ko Mujhse, Juda tumne kar diya…

Bahoot Khoob Rajesh ji Pooja Ji Bahoot Achha Reply tha
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 22
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 11:22:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer