**Log badalte jaa rahe hai** by Rahim

by dead heart on September 11, 2009, 04:55:09 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4137 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Salaam..

Yeh meri pichli ghazlon se thodi thodi match karti hogi soch main par lavz alag hai...Bas itna kehna chahunga: padne se pehle aur padne ke bad khud ki zindagi par gaur kijiyega aur dekhiyega kitni cheezein similar hongi iss ghazal main aur apki life main...Koi galti hui ho toh iss nadan ko maaf kar dijiyega...


Maafi chahunga length ke liye...

Zindagi ke woh khubsoorat lamhe kahin khote jaa rahe hai,
Jo kal apne the woh aaj paraye hote jaa rahe hai,
Kabhi maa ke haath ki roti sabse swadisht lagti thi,
Aaj toh bas Mcdonalds ko hi chunte jaa rahe hai,
Shayad log badalte jaa rahe hai...

Ek waqt tha jab beta baap ki godd main soya karta tha,
Baap ki dant sunkar root jaya karta tha,
Phir baap bhi usse mohobat se manaya karta tha,
Aaj toh hum maa-baap ko hadkate jaa rahe hai,
Shayad log badalte jaa rahe hai...

Ek waqt tha jab hum Khuda ko yaad kiya karte the,
Sahi waqt par namazein adda kiya karte the,
Khud ke liye hi nahin balke sabke liye duaein manga karte the,
Aaj toh bas paison ko aehmiat dekar hum uss parvardigar ko bhulte jaa rahe hai,
Shayad log badalte jaa rahe hai...

Ek waqt tha jab sab dost yaar sham ki chai saath peeya karte the,
Chai ke saath dilchasp baatein bhi kiya karte the,
Hum saab rais hone ki tamanaein kiya karte the,
Alam ab yeh raha ke sab yahan Rahim ko chorr agey badte jaa rahe hai,
Shayad log badalte jaa rahe hai...

Apni tanhai ko dekh aaj ghazlein likte jaa rahe hai,
Jo chorr gaye hume unpar ilzam lagate jaa rahe hai,
Duniya se mile ghumon se jane anjane toot'te jaa rahe hai,
Waqt ke iss tez raftar se hum apnon se pichadte jaa rahe hai,
Shayad log badalte jaa rahe hai...

Duniya main gul kar akhrat ko bhulte jaa rahe hai,
Hum hi apne aap ko badalte jaa rahe hai,
Khuda ki qayanat se khilwad karte jaa rahe hai,
Apni safed rooh par kalik pot'te jaa rahe hai,
Shayad log badalte jaa rahe hai...

Koi hume chorre toh gawara nahin toh phir Khuda ko kyun chorrte jaa rahe hai?
Yeh saab dekh kar ek rote hue kalam se likta hai Rahim,
Shayad log badalte jaa rahe hai...

~Rahim~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: September 11, 2009, 05:08:24 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Rahim..

Bahut Ache jazbaat Pesh Kiye Hai Aapne..

Too Good Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: September 11, 2009, 05:11:46 PM »
Reply with quote
Arey Khwahish jee apko bata nahin sakta kitni khushi hui apki tariff dekh kar...Sach bataun toh apka bahaut bahaut bada fan hoon...
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #3 on: September 11, 2009, 05:17:47 PM »
Reply with quote
bahut bahut bahut khoob Rahim ji.....sachaai se ru-b-ru karwaaya hai aapne.....
behtrin peshkash........ Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
kameeney
Guest
«Reply #4 on: September 11, 2009, 06:34:15 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut khoob rahim sahab
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: September 11, 2009, 11:10:20 PM »
Reply with quote
Wah wah Rahim ji kamaal ki creation aur sachaai bhi,bahut khoob.mindblowing.
 Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:excellent
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #6 on: September 12, 2009, 04:13:54 AM »
Reply with quote
Rahiiiiiiiiim Bhai.. Kya Baat hai Yaaaaaaar.. Bahut Bahut Hi Lajawab Rachna Pesh Ki Hai Yaaar.. Apni Soch Ko Aur apne Jazzbaaton Ko Bakhoobi Bayan Kiya Hai aapne.!! Mujhe Aapki Yeh Rachna Bahut Pasand aaye.. great One.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: September 12, 2009, 03:53:12 PM »
Reply with quote
Shukriya Nikhar jee, Kameeney jee, Madh jee aur Vikas bhaijan...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 09:24:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer