Main Jeena Chaahti Thi.. "Ek Pukaar" "Khwaish"

by khwaish on August 26, 2010, 09:13:32 AM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 28750 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #15 on: August 29, 2010, 06:25:11 PM »
Reply with quote
khwaish ji........
kuch kehna possible hi nahin iske liye...

ye feling hi apne aap me sharmindgi bhari hai k hamare aas pas ye ho raha hai aur hum ise rok nahin pa rahe...

kuch nahin keh paungi....

Kuch Naa Kehkar Bhi Aapne Sab Kuch keh Diya..

Anu ji..Aapka Teh Dil Se Shukriya Jo Aapne Apna Waqt Diya..
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #16 on: August 30, 2010, 09:21:49 AM »
Reply with quote
Wah Khwaish Ji wah wah
Kya soch hai, kya haqeeqat hai
Aaina dikhaya hai aapne, wah
SARVESH RASTOGI
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: August 30, 2010, 10:03:44 AM »
Reply with quote
Speechless............Mook

Sajid Bhai,aapne Apna Keemti waqt diya.teh dil se shukriya aapka
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #18 on: August 30, 2010, 11:42:19 AM »
Reply with quote
Khwaish ji aapke ye sachai padke sirf main nahi sabhi dosto ne ro diya hoga.dil ko cheer ke rakh diya aapke kavita.aapki soch aur likhe ka ek alag andaaz hai . Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! icon_salut icon_salut icon_salut Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #19 on: August 30, 2010, 01:58:05 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Bahut Shukriya Kapil Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #20 on: August 31, 2010, 01:11:36 AM »
Reply with quote
So Kyon Manda Aakhiye
Jis Jamme Rajaan!!!!

Dhan Guru Nanak Dev Ji Ne Yeh Anmol Bachan Uchaare The Ke Hum Usse Kaise Bura Keh sakte hai Jo Ek Janani hai,Yeh Insaan Ko kabhi nahi Bhoolna Chahiye Ke Bade-Bade Raje-Mahraajo,Peer-Paighambar,Sant-Avtaar Ko Janam Dene Wali Ek Aurat Hi Hai..


Aaj Ka Sach.....

“She was Thrown in the garbage dump outside the village for dogs that ate her.

Her only fault — she was the fourth girl born in a poor family,” said By
 paediatric doctor here, recalling the first time she witnessed discrimination against female infants.

Even today In Modern Times Birth of girl child is viewed as a bad investment for future..

India’s female to male ratio is 100 males to 93 females compared to a world average of 100 males to 105 females......

Yeh Hai Aaj ke daur Ka Ghinona Sach..Main Iss Kavita Ko Kavita Naa Maankar Sirf Ek Pukaar ka Darja Dunga,Ek Aisi Pukaar Jo Ek Ladki Apni Maa,Apne baap se Kardi hai Ke Aakhir Kyon Usse Hi Janam Milne Se Pehle Maar Diya Jaata Hai..

Iss Kavita Par Comments dena Na Dena,Shayad Zaroori nahi  hai Par Iss Kavita Ke Dard Ko,Ehsaas Ko Samjhna Bahut Zaroori Hai,Agar Yeh kavita Kisi Ke dil Mein Dard paida kar sake,Aur Hum Yeh sab Hone Se  Rok sake Jisse Jeev Hatya Ya Female Infanticide Kehte Hai to Bas Wahi Ek Anmol Inaam Hi Iss Kavita Ka..Shukriya..

Maa Teri saanson se meri saansein chalti Rahi
par pata Nahi kyon aaj saanso Ka Aana Band sa ho gaya
Ek Rooh Thi Main Tere Jism Ki
Par pata Nahi Kyon Aaj Iss Rooh Se Jism Hi Juda Ho Gaya

Maa Main Tujhse Kuch Kehna Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Jaane Kyon Mujhe Woh Tera Pyaar Naa Mila
Teri Balayen, Tera Woh Dulaar Naa Mila
Maa Main Teri Aanhkon Ka Tara Bankar Jhilmilana Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Maa main thi To ek Beti Par Kisi Bete Sa Kam naa Thi
Ek Baar Sach Kehna,Mujhe maarne Par Kya Teri Aankhein Nam Na Thi..
Maa Main Bhi tere Kadmon se Kadam Milakar chalna Chaahti thi
Maa Main Bhi Jeena Chaahti Thi...

Ek Beti ko Hi kyon Har baar Parkha Jaata Hai
eK jageh par janam Dete waqt Kehte Ho ghar Ki laxmi Ne Janam liya
Aur Dusre Hi pal usse paraya Dhan Kaha Jaata Hai
Maa Meri teri Dost, teri sakhi, Tera Hi Roop Bana Chahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Betiyan To Papa ki Laadliyan Hoti hai
Betiyan to papa Ke Liye Jaan Se Pyaari Hoti hai
Main Aap Dono Ki Izzat Bankar Duniya Mein Rehna Chaahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi..

"Khwaish" Kehta Hai Har Ek Jeev Ko haq Hai Zindagi Ko Jeene Ka
Kisi Ke haq Ko Cheena gunaah hai,
Ek masoon Si Jaan Ka Qatl karna, Kya Woh Insaan Hai??

Beti To Ek Phool Bankar Ghar-Aangan Mein Khilna Chaahti Thi..
bas..Uski Pukaar Yehi Thi...Maa Main Jeena Chaahti thi...


                     ~~~~~Khwaish~~~~~


Good one Khwaish Ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: September 05, 2010, 08:37:12 PM »
Reply with quote
Marvellous Creation Khwahish Ji...

Very Nice Feelings...

Aaj Ke Samaaj Ke Ghatanaaon Par Aina Rakhne Ka Aapke Koshish... Dil Bhar Aaya..

Aapka Tehhhh Dil Se Shukriya Jo Aapne Apna Waqt Diya Manju Ji..

Bas Yuhi Saath dete Rahiyega icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #22 on: September 15, 2010, 11:51:38 AM »
Reply with quote
Mashallah Bohat Achcha LIkha Hai Khwaish Bhi,.

its very touching

Bahut Bahut Shukriya Bhai Azeem!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #23 on: September 16, 2010, 04:24:04 PM »
Reply with quote
Bahut khoob khwaish ji bahut hi gehri aur sahi baat kahi hai apne..aksar log aese topics pe sochte tou hai per likhte kuch nhi apne kuch benaam se ehsaso ko itni khubsuarti se naam diya hai..apki kavita kaabil-e-tareef hai...bahut khoob...

Bahut Bahut Bahut Shukriya Geetji, Jo aapne apna waqt diya..

bas yuhi Hausla-Afzaai Karte Rahiyega.. icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #24 on: September 19, 2010, 02:19:23 PM »
Reply with quote
Kapil Dost ne mujse ek kavita par ek bada pyaara jumla kaha tha jo aj apko kehna chahta hoon Dost..

"Kuch nazmein parri nahin jaati..Mehsoos ki jati hai.."

I felt the vibration of this poem dear friend..Beautifully written..bahaut ache, nek, saaf ehsaas..ek sacchai par likhna wakei muskhil hota hai aur jabke woh sachayi ap par na biti ho..
Auron pe likhne wale bahaut bade dil kay malik hote hai..

Bahaut bahaut bahaut bahaut khoob Dost..I salute your poem.!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Bhai rahim, Aapne Iss Nazm ko Dil Ki nazron s epadha, aapne isse mehsoos kiya..yeh Nazm agar kisi ke dil mein ek dard le aaye to bas wahi iss nazm ki Khwaish hai.. main yehi chaahta hoon ke log isse padhe aur yeh sab hone se band kare..

aapka teh dil se shukriya bhai icon_flower
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #25 on: October 03, 2010, 01:53:48 PM »
Reply with quote
So Kyon Manda Aakhiye
Jis Jamme Rajaan!!!!

Dhan Guru Nanak Dev Ji Ne Yeh Anmol Bachan Uchaare The Ke Hum Usse Kaise Bura Keh sakte hai Jo Ek Janani hai,Yeh Insaan Ko kabhi nahi Bhoolna Chahiye Ke Bade-Bade Raje-Mahraajo,Peer-Paighambar,Sant-Avtaar Ko Janam Dene Wali Ek Aurat Hi Hai..


Aaj Ka Sach.....

“She was Thrown in the garbage dump outside the village for dogs that ate her.

Her only fault — she was the fourth girl born in a poor family,” said By
 paediatric doctor here, recalling the first time she witnessed discrimination against female infants.

Even today In Modern Times Birth of girl child is viewed as a bad investment for future..

India’s female to male ratio is 100 males to 93 females compared to a world average of 100 males to 105 females......

Yeh Hai Aaj ke daur Ka Ghinona Sach..Main Iss Kavita Ko Kavita Naa Maankar Sirf Ek Pukaar ka Darja Dunga,Ek Aisi Pukaar Jo Ek Ladki Apni Maa,Apne baap se Kardi hai Ke Aakhir Kyon Usse Hi Janam Milne Se Pehle Maar Diya Jaata Hai..

Iss Kavita Par Comments dena Na Dena,Shayad Zaroori nahi  hai Par Iss Kavita Ke Dard Ko,Ehsaas Ko Samjhna Bahut Zaroori Hai,Agar Yeh kavita Kisi Ke dil Mein Dard paida kar sake,Aur Hum Yeh sab Hone Se  Rok sake Jisse Jeev Hatya Ya Female Infanticide Kehte Hai to Bas Wahi Ek Anmol Inaam Hi Iss Kavita Ka..Shukriya..

Maa Teri saanson se meri saansein chalti Rahi
par pata Nahi kyon aaj saanso Ka Aana Band sa ho gaya
Ek Rooh Thi Main Tere Jism Ki
Par pata Nahi Kyon Aaj Iss Rooh Se Jism Hi Juda Ho Gaya

Maa Main Tujhse Kuch Kehna Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Jaane Kyon Mujhe Woh Tera Pyaar Naa Mila
Teri Balayen, Tera Woh Dulaar Naa Mila
Maa Main Teri Aanhkon Ka Tara Bankar Jhilmilana Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Maa main thi To ek Beti Par Kisi Bete Sa Kam naa Thi
Ek Baar Sach Kehna,Mujhe maarne Par Kya Teri Aankhein Nam Na Thi..
Maa Main Bhi tere Kadmon se Kadam Milakar chalna Chaahti thi
Maa Main Bhi Jeena Chaahti Thi...

Ek Beti ko Hi kyon Har baar Parkha Jaata Hai
eK jageh par janam Dete waqt Kehte Ho ghar Ki laxmi Ne Janam liya
Aur Dusre Hi pal usse paraya Dhan Kaha Jaata Hai
Maa Meri teri Dost, teri sakhi, Tera Hi Roop Bana Chahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Betiyan To Papa ki Laadliyan Hoti hai
Betiyan to papa Ke Liye Jaan Se Pyaari Hoti hai
Main Aap Dono Ki Izzat Bankar Duniya Mein Rehna Chaahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi..

"Khwaish" Kehta Hai Har Ek Jeev Ko haq Hai Zindagi Ko Jeene Ka
Kisi Ke haq Ko Cheena gunaah hai,
Ek masoon Si Jaan Ka Qatl karna, Kya Woh Insaan Hai??

Beti To Ek Phool Bankar Ghar-Aangan Mein Khilna Chaahti Thi..
bas..Uski Pukaar Yehi Thi...Maa Main Jeena Chaahti thi...


                     ~~~~~Khwaish~~~~~


Bahut hee jaandaar 'rachnaa' hai yah, Khwaish ji!
Waaqiyee aisee soch kee is 'samaaj' ko bhaaree zaroorat hai! Aisaa soch is desh ki hi nahin waqt ki bhi pukaar hai!

Main ney bahut pahile aik gazal likhee thee jiskaa 'matlaa'   kuchh yuun thaa:

Dilon key beech banee khaaiyon sey dartaa huun!
Main abaabeel huun: neechaaiyon sey dartaa huun!!

Is gazal kaa aik sher, aapki yah 'kavita / nazm' padhh kar mujhey yaad aa rahaa hai (isey main 'yo' par qaafee pahiley post bhi kar chukaa hun):

Lailiyaan qatl kareyn jo milaad key pahile:
Sang dil aisee sabhee daaiyon sey dartaa huun!


Ham jiskey wuzood sey wuzood mein aaye hain: usey qatl karney ki soch bhi kaisey leytey hain: samajh key baahar hai! Male kaa hissa, apnee aulaad mein naam bhar kaa hotaa hai! Shaayad 2-3 kilogram key 'naojaat' tifl mein, aik bataa aik arab gram sey bhi kam. Yah jo insaaniyat aaj tamaam kaainaat mein phailee hai, uskee paidaaish mein lagbhag sou feesadee hissaa aurat kaa hi hotaa hai! Usee key haad-maans sey ham sab baney hain - mard kaa hissaa aham to hai, par, hai 'naam-maatra' kaa hee!
Aapko 'aisey bahut hi achchhey 'wichaaroun' key liye 'haardik saadhuwaad'!
WOH aapko tanturustee sey bharpoor lambee umra ataa karey!

- abd bundeli


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #26 on: October 24, 2010, 08:13:58 AM »
Reply with quote
Khaawish sahab aadab ,,


wah kya talq haqeeqath bayan ki hai apne .. ap beeti chor jagbeeti jo bayan kare shayad wohi shaair hai ..dad hazir jazbat se labrez is takhleeq pe khobool karen .. allah apko khush rakhe ..


khadim

qadeertoopchi

Tehhhhhhh Dillllllllll Se Shukriya Qadeer Bhai, jo Aapne Iss kavita Ko padha Aur Isse Pasand farmaya..Yeh bas ek koshish thi ke yeh padhkar shayad koi Maa aisa karne se apne aap ko roke..

Bahut bahut Shukriya Bhai icon_flower
Logged
apriya
Guest
«Reply #27 on: December 16, 2010, 05:40:23 PM »
Reply with quote
srishti ki sabse uttam kriti
prakriti ke srijan ka aadhar hai naari
apne aanchal me samete mamta apaar
bhagwaan ka uphaar hai naari

sehanshilta ki adbhut murat
harsambhav tyag karne ko taiyar hai naari
maryada aur laaj ki pritimurti
bhagwan ka shaswat pyar hai naari

annapurna ke guno se yukt
har ghar ki shutradhaar hai naari
jhuk gaya hai sar tere sajde me
tujhko pranam barambar hai naari......
Logged
Raja Harish
Guest
«Reply #28 on: December 16, 2010, 09:40:37 PM »
Reply with quote
Good one Anand Ji
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #29 on: January 31, 2011, 03:11:25 PM »
Reply with quote
Khwaish jee! antarmann kee gahan vedanaa aap kee lekhni me is had tak utar gayee hai jisko paRh kar har sudhijan kee aatmaa cheetkaar kar uthee hai...samaaj kaa ye kutsit or veebhats sach srishti ke bhoutiki santulan ko dwast karne kee dishaa me kis qadar sahaayak hai iskaa anumaan kisi ko naheeN... aaj kaa boyaa kal kaatnaa hee padegaa...aap ko janmanas ko hilaa dene wali utkrisht rachnaa likhne ke liye sadhuwaad.....
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 06:11:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer