"Haan" Mujhe Bhi Tujhse Pyaar Tha "Khwaish"

by khwaish on January 23, 2008, 04:12:15 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 19670 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
aaj bhi mera dil mujhse yeh puchta hai,
kya woh sakhs ko sach mein tujhse pyaar tha??

kahin yeh deewanapan to nahi,
aisa to nahi ke tu brahm ka shikaar tha??

kashtiyan tufaano se bhi guzar jaati hai,
par jo kashti beech safar mein gum hui thi,
aisa to nahi ke tu ussi kashti pe sawaar tha??

yeh baat sach hai ke,usne kabhi chaahat se inkaar na kiya,
par inkaar na kiya to kya hua?
kya uske taraf se kabhi ikraar tha??

nazro ke teer ka khel kabhi hum samaj na paaye
kuch alfaazo ke liye,yeh dil hamesha bekaraar tha..

khud se kabhi sawaal karta,khud ko jawaab deta,
sachai to yeh hai ke,in sawaal-jawaabo se "khwaish" bezaar tha..

aaj bhi uss mod ko takte hai,
jis raah pe bichde te kabhi
sochta hoon,kabhi door uss raah se woh nazar aaye,
aur kahe.....
    "HAAN,MUJHE BHI TUJHSE PYAAR THA"
Logged
punam
Guest
«Reply #1 on: January 23, 2008, 04:14:55 PM »
wow bahot hi acha likha hai..kittu ji..bahot khoob..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: January 23, 2008, 04:28:07 PM »
wowowowow!! too good khwaish ji!!! bahoot hi acha, dil se likha hai apne!! 

Kuch likhne wapis augi !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: January 23, 2008, 05:06:36 PM »
hai sawal bahoot, jinke jawab nahi milte
deta hai dil gawahi, saboot nahi milte

deewangi hai apni, ho jaate hai hum unke
jo hume dekho, kabhi akele mai bhi nahi milte

kashti se kaya shikayat, tufaano se ab kaya gila
jab unke sath humare, zazbaat nahi milte

milan hi nahi hai chaht, yah kyun na wo samjhe
sung sung chalte, nadia ke do kinare, apas main nahi milte

jhilmilati ashqo wali, najro se na khao dhoka
her khushi aor gum main, ansoo hi hai in mai sajte

apne sawalo jawabo se kyun karte ho khud ko preshan
in sawalo ke jawab to khuda se bhi nahi milte

raaho per na karo intzaar, apne hi dil se pucho
kyun uske dil ke ahsaas, tumhare dil mai nahi milte

kahte hai wo dil main, han pyar hai mujhko tumse
tamnnao ke yah phool, magar sar-e-amm nahi khilte

hai sawal bahoot, jinke jawab nahi milte
deta hai dil gawahi, saboot nahi milte...................
Logged
~princess~
Guest
«Reply #4 on: January 23, 2008, 05:29:38 PM »
awesomeeeeeeeeeeee sahi mehfill sajti hai jab bhaya aur sis milkar likhte hai......hume yun hi padate raho :D
Logged
mehhekkk
Guest
«Reply #5 on: January 23, 2008, 05:32:18 PM »
behtarin,its to good
kuch khwahishe adhuri rah jati hai
puri hone ke intazaar mein puri umar gujar jati hai
ek nazar aage to dekha hota
samne ki manzile kis aur jati hai.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: January 23, 2008, 05:37:21 PM »
Bohat acha likha hai khwaish ji aur pooja ji


Dikhakar khwab in ankhon ko..
Kehete hai woh humse mohabatt hai..

Unse hai dil seh mohabatt humko..
Aur woh kehe gayee humhe dosti hai tumse..

Dil ka dard kaise ishar karoon..
Yeh dil mein hai pyaar kaise zahir karoon..

Deh gaye ansu in ankhon mein...
Kaise chalka dun ye ansu yeh hai khaas

In me bhi to rehte ho tum..
Kabhi dil ke nazar seh dekh loh..

Yeh dil mein hai ek aag aapko pahne khi..
Yeh dard-de-dil aapse hai woh dava bhi aap ho mere
 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 23, 2008, 05:46:38 PM »
Roshu ji app bina likhe kaise gai sad5

nice honey and mehekkk
Logged
mehhekkk
Guest
«Reply #8 on: January 23, 2008, 05:52:22 PM »
bahut sahi honeyji
ansuo mein basaya tumko hamne apna samajh kar
pata na humko ye behte hi rehenge umar bhar
aag jo jalti sine mein tujhe pane ki sanam
ye ansun bhi na bujha paye usko.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 23, 2008, 07:07:27 PM »
wow bahot hi acha likha hai..kittu ji..bahot khoob..

bahut bahut shukriya punam aapka...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: January 23, 2008, 07:08:27 PM »
wowowowow!! too good khwaish ji!!! bahoot hi acha, dil se likha hai apne!! 

Kuch likhne wapis augi !!

thank you so much pooja..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: January 23, 2008, 07:10:32 PM »
awesomeeeeeeeeeeee sahi mehfill sajti hai jab bhaya aur sis milkar likhte hai......hume yun hi padate raho :D

thanx a lot roshu... aapki nazar humpe padi,hamari khuskismati...
par aapka reply kahan hai Roll Eyes
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: January 23, 2008, 07:11:42 PM »
behtarin,its to good
kuch khwahishe adhuri rah jati hai
puri hone ke intazaar mein puri umar gujar jati hai
ek nazar aage to dekha hota
samne ki manzile kis aur jati hai.

thanx a lot mehakk,bahut acha likha hai aapne
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 23, 2008, 07:13:18 PM »
Bohat acha likha hai khwaish ji aur pooja ji


Dikhakar khwab in ankhon ko..
Kehete hai woh humse mohabatt hai..

Unse hai dil seh mohabatt humko..
Aur woh kehe gayee humhe dosti hai tumse..

Dil ka dard kaise ishar karoon..
Yeh dil mein hai pyaar kaise zahir karoon..

Deh gaye ansu in ankhon mein...
Kaise chalka dun ye ansu yeh hai khaas

In me bhi to rehte ho tum..
Kabhi dil ke nazar seh dekh loh..

Yeh dil mein hai ek aag aapko pahne khi..
Yeh dard-de-dil aapse hai woh dava bhi aap ho mere
 


bahut bahut shukriya aapka...aur bahut khoob likha hai aapne..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: January 23, 2008, 07:16:14 PM »
hai sawal bahoot, jinke jawab nahi milte
deta hai dil gawahi, saboot nahi milte

deewangi hai apni, ho jaate hai hum unke
jo hume dekho, kabhi akele mai bhi nahi milte

kashti se kaya shikayat, tufaano se ab kaya gila
jab unke sath humare, zazbaat nahi milte

milan hi nahi hai chaht, yah kyun na wo samjhe
sung sung chalte, nadia ke do kinare, apas main nahi milte

jhilmilati ashqo wali, najro se na khao dhoka
her khushi aor gum main, ansoo hi hai in mai sajte

apne sawalo jawabo se kyun karte ho khud ko preshan
in sawalo ke jawab to khuda se bhi nahi milte

raaho per na karo intzaar, apne hi dil se pucho
kyun uske dil ke ahsaas, tumhare dil mai nahi milte

kahte hai wo dil main, han pyar hai mujhko tumse
tamnnao ke yah phool, magar sar-e-amm nahi khilte

hai sawal bahoot, jinke jawab nahi milte
deta hai dil gawahi, saboot nahi milte...................


INTEZAAR THA HUMEIN KE AAP KUCH LIKHENGE AUR SACH MAANIYE BAHUT HI KHOOB LIKHA HAI AAPNE,HAR EK LINE MEIN DARD AUR INSAAN KI MAJBOORI NAZAR AAYI..
SHUKRIYA AAPKE SAATH KA...
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 05:26:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer