"Haan" Mujhe Bhi Tujhse Pyaar Tha "Khwaish"

by khwaish on January 23, 2008, 04:12:15 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Author  (Read 19669 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: February 12, 2008, 07:11:38 PM »
Pyar mai door hokar bhi doori ka ahsaas kaha
Pyar mai najdik hokar bhi najdiki ka ahsaas kaha

Ajeeb ahsaas hai yah tere pyar ka mujh per
Pass ho ya ho door mujhse, mujhe her pal ab chain kaha

Such kahe isse ab dunia ya kahe koi dhoka
Haan mujhe bhi tujhse pyar hai, ab iske agge hosh kaha
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #31 on: February 12, 2008, 07:20:15 PM »
KUCH BAATEIN PHIR DIL KO SOCHNE MEIN MAJBOOR KARTI HAI
WOH KYA JAANE,DIL MEIN APNE KYA GUZARTI HAI...

BINA KUCH KAHE ,BINA KUCH SUUNE KOI CHAL PADHTA HAI
EH DOST,SUUN KE JAANA YEH BAAT
WAQT BHI ISSE KABHI NA KABHI  NA MANZOOR KARTI HAI...

WAISE HI JUDAAI KA GHAM INSAAN KO TOD DETA HAI
AUR PHIR DOST SE BHI KUCH ZAKHM MILE
TO ZINDAGI APNE AAP KO BENOOR KAR DETI HAI...

KUCH SOCH HUMEIN BHI MAJBOOR KAR DETI HAI....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: February 12, 2008, 09:04:11 PM »
Socho mai ghir kar phans jaoge
Such kahte hai, apni hi socho main mar jaoge

Dil torr nahi sakta kabhi koi tumahara
Jab apne hi jazbaato ko tum samjh jaoge

Sun leta hai dost her sada tumhari
Waqat ke sath yah bhi samjh jaoge

Benoor ho kar bhi jo noor sa rahe
Ek din aise bhi tum ho jaoge

Juda insaan se kabhi koi ho nahi sakta
Yaadon mai uski her pal tum rah jaoge
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: February 25, 2008, 10:06:33 PM »
Kahte hai ki pyar ho jaaye to mitaya nahi jaata
Na jaane kyun is baat per ab vishwaas nahi atta

Dil ne chaha jise, ajj kyun ussi se dar kar baitha hai
Wo hi vishwaas ajj kyun khud mai laaya nahi jaata

Pal pal rahta tha intzaar jiska aor yah dil bechain
Kyun ajj ussi ki raahon mai yah dil thahraya nahi jaata

Her baat per jhagra her baat per kadwahat,
Pyar mai to kabhi kisi ko nicha dikhaya nahi jaata

Pyar ka roop koi bhi ho sakta hai itna bhayanak
Haqiqat mai dekh kar bhi, yakin dilaya nahi jaata

Kahte hai ki pyar ho jaaye to mitaya nahi jaata
Na jaane kyun is baat per ab vishwaas laya nahi jaata
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #34 on: February 25, 2008, 10:19:25 PM »
BAHUT KHHOB POOJAJI...BAHUT GEHRAAI SE LIKHA HAI AAPNE...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: February 25, 2008, 10:23:22 PM »
shukaria khwaish ji !!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #36 on: February 25, 2008, 10:23:58 PM »
JO TASVEER MEIN SACHAI NA HO
USSE HI AAJ KAL BANAI JAATI HAI

JO SHAKS WAISE HI APNI MAJBOORIYON SE
PARESHAAN HO, USSI PE HI UNGLIYAN UTHAI JAATI HAI

EK WAQT AISA AATA HAI KE WOH SHAKS HAR EK KI
NAZARO MEIN MASIHA HOTA HAI,PHIR BAAD MEIN
USKI HI HASTI KO MITAAI JAATI HAI...

YEH DUNIYA AKLAMAND LOGO KI HAI "KHWAISH"
YEH SACH KO JHOOT AUR JHOOT KO SACH BANAI JAATI HAI...

TOOTE HUE SAPNO KO YAAD KAR KUCH NAHI HAASIL "POOJA"
SACH TO YEH KE ZINDAGI HAMESHA RULAI JAATI HAI...

KUCH AJEEB SI KADWAHAT HAI YEH ZINDAGI KI
GHAMO MEIN BHI YEH SIRF ZINDA REHNE KI SAZA SUNAI JAATI HAI....
AUR YEH SITAM YAHA KHATAM NAHI HOTA "POOJA"
INSAAN JEE BHI NA SAKE, ISLIYE HAR EK UMEED KA CHIRAAG
YEH KHUD HI BHUJAI JAATI HAI...

BAHUT SASTI HO GAYI HAI MOHABBAT AAJ KE DAUR MEIN
MOHABBAT SIRF USSE KARO JISSE TUM PAA SAKO
AAJ USKE ROOP MEIN JISSE MAIN CHAAHTA HOON
YEH DUNIYA MUJHE APNA FAISLA SUNAI JAATI HAI

JAANTA HOON UNKE KUCH SAWALO KA JAWAB NA THA MERE PAAS
PAR KABHI SOCH KAR DEKHNA EH DOST,
AAINA WAHI HOTA HAI AUR CHEHRA BHI WAHI
PAR PHIR BHI HUMLOG AAENE SE ISLIYE RUBAROO HOTE HAI
KE APNI PARCHAI HUMEIN HAMESHA SE LUBHAAI JAATI HAI...

MAANTA HOON KABHI-KABHI SACHAI BHI BAHUT CHOT DE JAATI HAI
PAR SACH KEHNE KE LIYE BHI BAHUT HIMMAT JUTAAI JAATI JHAI

PAR PHIR BHI...BIN SOCHE-SAMJHE, PYAAR NAHI HO SAKTA
YEH WOH HUMEIN AAJ BHI SAMJHAI JAATI HAI...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #37 on: February 25, 2008, 10:36:32 PM »
wah wah wah.. koi shabd hi nahi mil rahe hai jinse main bata saku ki  kitna acha likha hai apne!! ek ek shabd apne app mai such hai aor zindagi ki kadavi suchai ko bayan kar raha hai.. bahoot khoob Khwaish ji!!
apki yah lines to rula gai khwaish ji..

KUCH AJEEB SI KADWAHAT HAI YEH ZINDAI KI
GHAMO MEIN BHI YEH SIRF ZINDA REHNE KI SAZA SUNAI JAATI HAI....
AUR YEH SITAM YAHA KHATAM NAHI HOTA "POOJA"
INSAAN JEE BHI NA SAKE, ISLIYE HAR EK UMEED KA CHIRAAG
YEH KHUD HI BHUJAI JAATI HAI...

Ek koshish meri taraf se...

Insaan ke sath sath uski tasveer badal jaati hai
Hone ko kaya nahi hota, karmo se taqdeer badal jaati hai

Unglia uthate rahe jitni bhi yah dunia wale
Ishaq mai kaha kab kisi ki baat suni jaati hai

Akalmand bhi kaya karga deewani ke agge
Her ek ki baat yaha akar jhukai jaati hai

Toote hai sapne, phir unka sung acha lagta hai
Her baar yahi baat sabko samjhai jaati hai

Saza ban jaaye zindagi ya ban jaaye kuch aor
Dil main ek hi murat sajai jaati hai

Umeend-o-chiraag to kab ke bujh gaye yaha
Phir bhi ahsaas ki low timtimaye jaati hai

Muhobat kare to Kaise kare Pooja kisi se
Yah shama sirf ek baar hi to jalaai jati hai

Aaina bhi kabhi kabhi kah deta hai jhooth tumse
Usmain bhi kai baar, khud ki nahi, uski parchai paai jaati hai

Such kah kar torrate rahte hai dil sabka
Per jhooth per kitane din, koi jyot jalai jaati hai!!!



Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #38 on: February 25, 2008, 10:53:08 PM »
BAHUT BAHUT KHOOB POOJA...YEH JO MAINE POETRY LIKHI THIU..YEH BAHUT EMOTIONAL HO KAR LIKH GAYA THA...AAPNE UTNA HI KHOOSURTI SE JAWAAB DIYA...SHUKRIYA..

KISI KE AANSUO MEIN KHUD KE BHI AANSU PAA LETE HAI
ZINDAGI KUCH AISI HAI KE BAS SAMJHO JEE LETE HAI....

ZAKHM AISE BHI HOTE HAI JISKI KOI DAWA NAHI
BAS...KABHI-KABHI APNI MAJBOORIYON KE DHAAGE SE USSE SI LETE HAI....

DEKH KAR DUNIYA KE YEH RANG-TAMAASHE
APNE ASHKO KO PI LETE HAI...

JAHAN PAR SHIKAYATEN HO DIL MEIN, WAHAN RISHTO MEIN  MEHAK NAHI HOTI
PAR ZINDAGI BHI MILTI HAI SIRF EK BAAR ISLIYE JEE LETE HAI....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #39 on: February 25, 2008, 11:04:05 PM »
bahoot bahoot shukaria khwaish ji!!! GOOD ONE FROM YOU TOO!!

Kitna bhi ro lo ab Chaín nahi hai is dil ko atta
Ek gussa rah jaata hai bheetar jo baher nahi atta

Dil karta hai maaru cheekhein aor jaan meri nikal jaaye
Per hai kuch jaise gale main, awaz mai wo dum, baher nahi atta

Chup baithi dekhu asmaan, na jaane kaya kaya sochu
Murd kar phir wo hi raahein, koi rasta najar nahi atta

Pal beete, ghanto main, ghante beete dino main
Saalo mai bhi dekho koi jawab lout kar nahi hai atta

Kitna bhi ro lo ab Chaín nahi hai is dil ko atta
Ek gussa rah jaata hai bheetar jo baher nahi atta


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #40 on: March 19, 2008, 06:22:32 AM »
BAHUT KHOOOB POOJAJI....

DIL MEIN HAMESHA KE LIYE KISI KA PYAAR RAHEGA
JAB YAAD KARENGE HUM JUDAAI KE WOH PAL KO
DONO KI NAZRO MEIN SIRF WAQT HI GUNEHGAAR RAHEGA..

KUCH PALO KO ITNI KHUSHIYAN DE GAYA THA "KHWAISH"
KE SOCHTA HOON,WOH BEETA HUA HAR EK PAL BHI
"KHWAISH" KA KARZDAAR RAHEGA...

JO PAL SAATH NA BEETA SAKE,
USSE YAAD KAR KYA HAASIL??
JO PAL SAATH BEETAYE HAI,ZINDAGI KE IS SAFAR MEIN
WOH PAL YAADGAAR RAHEGA...

ZINDAGI TO APNI RAFTAAR MEIN CHALTI REH JAAYEGI PAR...
HAAN,MUJHE HAMESHA TUJHSE PYAAR RAHEGA....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #41 on: March 19, 2008, 04:41:11 PM »
bahoot khoob khwaish ji!!! bahoot hi achi lines likhi hai apne!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #42 on: May 12, 2008, 07:41:09 PM »
bahoot khoob khwaish ji!!! bahoot hi achi lines likhi hai apne!!!

bahut bahut shukriya poojaji..par aapne kuch nahi likha??
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: May 12, 2008, 08:43:08 PM »
jalad hi koshish hogi khwaish ji.. ajj kuch kaam mai busy ho gai hu!!
Logged
guruu
Guest
«Reply #44 on: May 15, 2008, 05:20:06 PM »
aaj bhi mera dil mujhse yeh puchta hai,
kya woh sakhs ko sach mein tujhse pyaar tha??

kahin yeh deewanapan to nahi,
aisa to nahi ke tu brahm ka shikaar tha??

kashtiyan tufaano se bhi guzar jaati hai,
par jo kashti beech safar mein gum hui thi,
aisa to nahi ke tu ussi kashti pe sawaar tha??

yeh baat sach hai ke,usne kabhi chaahat se inkaar na kiya,
par inkaar na kiya to kya hua?
kya uske taraf se kabhi ikraar tha??

nazro ke teer ka khel kabhi hum samaj na paaye
kuch alfaazo ke liye,yeh dil hamesha bekaraar tha..

khud se kabhi sawaal karta,khud ko jawaab deta,
sachai to yeh hai ke,in sawaal-jawaabo se "khwaish" bezaar tha..

aaj bhi uss mod ko takte hai,
jis raah pe bichde te kabhi
sochta hoon,kabhi door uss raah se woh nazar aaye,
aur kahe.....
    "HAAN,MUJHE BHI TUJHSE PYAAR THA"




Buhat hi bhariya khwaish G ! Nice
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 05:22:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer