~Muskurakar bhi jeeta raha~ by Rahim

by dead heart on November 19, 2010, 07:46:55 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1538 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Ek ganna hai 'koi chala jaa raha hai..' Bas issi gaane kay yeh line 'koi chala jaa raha hai' se inspired hoke kuch likh raha hoon..Zindagi se seekha hai kay bas chalte raho, zakhmi hona toh ek riwayat hai..

Har sabab-e-ghum, har andheri raat kuch na kuch seekha jati hai..Jo uss sabak main khushian dhundle, wohi kamyab hai yahan..

Yahan koi muskurakar bhi rota jaa raha hai,
Yahan koi toot kar bhi jeeta jaa raha hai..

Zindagi ki raahein hai khatam hone kay liye bani,
Phir bhi insaan isse manzil samaj chalta jaa raha hai..

Mahelon kay maalik yahan shikayat karte phirte hai,
Ghareeb toh ek waqt ki roti par bhi palta jaa raha hai..

Khuda se zidd ki thi maine aur Woh usne puri bhi kar di,
‘Khamosh’ uss khwaish kay liye aj bhi khud ko kosta jaa raha hai..
 
Zindagi ka dastoor hai kay wohi kayi roop badalti hai,
Sukhi wohi hai jo har roop ko apnata jaa raha hai..

Haath choota apne mehboob ka toh koi apne apko kho deta hai,
Kisika jaanam guzar gaya; woh phir bhi muskurakar jeeta jaa raha hai..

Kuch yaadein, kuch ashk aur apni tanhai kay sang aj ae Khuda,
‘Khamosh’ teri dikhayi gayi raah par bas khamoshi se chalta jaa raha hai..

Toot kar bhi muskurakar jeeta jaa raha hai..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: November 20, 2010, 10:34:43 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Rahim bhai
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: November 20, 2010, 01:12:43 PM »
Reply with quote
Arey wah Rahim bhai bahut khoob,heart touching creation,excellent,hats off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: November 20, 2010, 10:03:36 PM »
Reply with quote
Shukriya Bekarar bhai aur Madhu di..
Khush rahiye.!
Logged
zarra
Guest
«Reply #4 on: November 21, 2010, 06:58:13 AM »
Reply with quote
bahaut khoob rahimji. dard, dawa aur dua teenon hi ka ehsaas hai. umda jazbaat hain.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: November 21, 2010, 03:34:39 PM »
Reply with quote
Shukriya Zarra jee..!
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #6 on: November 21, 2010, 05:40:18 PM »
Reply with quote
muskura kar hi jeete raho tum,
gham ke kaale badalon se hamesha duur hi raho tum..
****God bless u Rahim ji***
bahut badhiya kalaam..superb
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: November 21, 2010, 05:47:43 PM »
Reply with quote
Shukriya Killbill jee..
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 08:07:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.168 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer