Naina

by naina_panu on January 25, 2008, 10:09:16 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1914 times)
naina_panu
Guest
«Reply #15 on: January 26, 2008, 12:02:28 PM »
Reply with quote
wo thaka howa mairi banhon may zara so gaya tou kya howa
Abhi daikha mainay chand bhi kisi shakh-e-Gul pay jhuka howa

Mairay sath sath sada raha mairi nazar say chupa howa
Yeh ajeeb hijar-o-wisal hay naa kabhi mila na juda howa
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #16 on: January 26, 2008, 12:04:15 PM »
Reply with quote
yah dard mit gaya tou pher??
yah zakam sil gaya tou pher?
bichar k sochta hon main .
wo pher say mill gaya tou pher?
main titlion k sheher main
rahoon tou muj ko fikar hai.
wo phool jo khila nae.
wo phool jhil gaya tou pher?
tumhain b kuch nae mila.
mujay b kuch nae mila.
tamam umer k liyay yah dard mil gaya tou pher?
main is liay tou aaj tak sawal b na kar saka.
agar meray sawal ka jawab mil gaya tou pher?
yah theek hai k lot kar meray hi dil main aao gay.
magar yah soch lo zara
badal yah dil gaya tou pher??
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #17 on: January 26, 2008, 12:07:44 PM »
Reply with quote
Jo Musht-e-Khak Howa Is Khakda Ki Baat Kero
Zameen Pay Rah Kay Na Tum Asmaan Ki Baat Kero

Kisi Ki Tabish-e-Rukhsar Ka Kaho Qisa
Kisi Gaisuye Ghabar-e-Fisha Ki Baat Kero

Nahi Howa Jo Tulu-e-Aftaab To Filhaal
Qamar Ka Zikar Kero Kahakasha Ki Baat Kero

Rahyga Mashgala Yaad-e-Raftagar Kaab Taak
Guzar Raha Hai Jo Is Karvaan Ki Baat Kero

Yehi Jahan Hai Hangama Zar-e-Sood Weeza
Yahi Kay Sod Yahi Kay Zaya Ki Baat Kero

Aab Is Chaman May Na Siyad Hai Na Gulchay
Kero To Aab Sitam-e-Baghbaan Ki Baat Kero
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #18 on: January 28, 2008, 12:06:21 PM »
Reply with quote
Mujhey Deewana samajhtey hain terey sheher ke log
Merey daaman se ulajhtey hain terey sheher ke log

Main gaya waqt hoon, wapas naheen aaney wala
Kiun meraa raasta taktey hain terey sheher ke log

Jab bhi aata hey meraa naam terey naam ke saath
Meri qismat pey sulagtey hain terey sheher ke log

Aur kiyaa doon tujhey main apni wafaaon ka suboot
Ab merey haal pey hanstey hain terey sheher ke log
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #19 on: January 28, 2008, 12:11:32 PM »
Reply with quote
woh khaloos tha ke khumar tha
woh janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zaman laga
mujhey munzilon ne bhoola diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya

kai humsafar kai rahguzr
mujhey rastey mein miley magar
meri tushnagi kuch aur hai
meri justajoo koi aur hai

woh jo roshni ki tarha barhey
magar ansuon mei sama sakey

jo subha ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbaton ki ravaytein
laho ki bali se sanwaar de
mujhey us wafa ki talaash hai
mujhey us wafaki talaash hai

magar is jahan-e-kharab mein
yahan khahishon ke saraab mei
mujhey kaun de aisy wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanon mein ghira hua
yehi sochta mein chala gya
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #20 on: January 28, 2008, 12:24:21 PM »
Reply with quote
Kisi soorat namood-e-soz-e-pinhaani nahin jaati
Bhuja jaata hai dil, chehray ki taabaani nahin jaati

Nahin jaati, kahaan tak fikar-e-insaani nahin jaati
Magar apni haqeeqat aap pehchaani nahin jaati

Sadaaqat ho to dil seenon se khich-nay lagtay hain waa-iz
Haqeeqat khud ko manwa leti hai, maani nahin jaati

Jisay ronak teray qadam-on nay day kay cheen li ho
Wo laakh aabaad ho, us ghar ki weeraani nahin jaati

Nahin maloom kis aalam mea husan-e-yaar dekha tha
Koyee aalam ho laykin dil ki hairaani nahin jaati

Mohabat mean ik aisa bhi waqt aata hai insaan par
Keh aansu khushk ho jaatay hain, tagh-yaani nahin jaati
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #21 on: January 29, 2008, 01:06:49 PM »
Reply with quote
Bichra to dard rooh ki gahraiyun main tha
Ho k juda bhi tu meri tanhaiyun main tha

Deewangee ko meri ishq mantay hain sab
Ruswa tu bhi saath meri ruswaiyun main tha

Ankhon say ansu'on k sath arman nikal gaye
Yeh kaisa dard aaj in shehnaiyun main tha

Tujh ko Pa k dil ko kabhi chain na mill saka
Kitna sakoon haye un judaiyun main tha

Fursat milay to dekh kabhi meri simt bhi
Aasra tha tujh pay, teri khudaiyun pay tha

Ban kay deewana aaj jo phirta hai darbadar
Hai yaad kya tujhe tere shaidaiyun main tha

Raton say main daron k neendon main a na jaye
Subah bhi meri dhoop ki parchaiyun main tha

Nibraas tu jis ka naam dill main basaye hai
Badnaam wo gali gali harjaiyun main tha
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 09:27:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.187 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer