Naina

by naina_panu on January 25, 2008, 10:09:16 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1924 times)
naina_panu
Guest
Reply with quote
Uss shaam wo rukhsat ka samaan yaad rahega
wo shehar wo koocha wo makaan yaad rahega

wo tees ki ubhri thi idhar yaad rahegi
wo dard ke uthaa tha yahaan yaad rahega

hum shauq ke shole ki lapak bhool jaayenge
wo shama-e-fasurda ka dhuaan yaad rahega

kuch meer ke abyaat thhey kuch faiz ke misre
ek dard ka tha jin mein bayaan yaad rahega

jaan bakhsh si thhee uss gulbarg ki taraawat
wo lams-e-azeez-e-do-jahaan yaad rahega

hum bhool sake hain na tujhe bhool sakenge
tu yaad rahega hamein haan yaad rahega.
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #1 on: January 25, 2008, 10:12:16 AM »
Reply with quote
Saans chalty rahi, waqt katta raha
Hum bhi chaltay rahay, dil bhi jalta raha

Din badlay hain, badlay zamanay yahan
Tu jo kehty rahi main woh kerta raha

Tujh ko paney ki umong mein sokon lott gaya
Tu chalaty rahi aur main chalta raha

Phool toda hoa bhi murjha jata hay
Main tujh se biched ker bhi hansta raha

Khoot tujh mein hay, meri wafa mein nahi
Main kinaray ko manzil samjhta raha
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #2 on: January 25, 2008, 10:13:33 AM »
Reply with quote
Jo khushi tumharay kareeb ho
wo sada tumhain naseeb ho

tujhe wo khulos milay ke jo
teri zindagi pe muheet ho

jo mayaar tujhko pasand ho
jo tumhare dil ki umang ho

teri zindagi jo talab kare
teray hamsafar ka wo rang ho

jo khayaal dil main aseer ho
or dua main bhi taseer ho

teray haath uthtay hi Khuda karay
teray saamne tabeer ho

tujhe wo jahan milay jidhar
ghamon ka koi guzar na ho

jidhar rooshni ho khuloos ki
or nafratoon ko khabar na ho...............
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #3 on: January 25, 2008, 10:15:15 AM »
Reply with quote
Udaas Shaamain , Ujaar Rastay , Kabhi Bulain To Lout Aana
Kisi Ke Aankhoon Main Rat-Jagoon K Aazab Aain To Lout Aana

Abhi Nayi Wadiyun, Nayay Manzaron Main Reh Loo Magar MEri JAANA
Yah Saaray Ek Aik Kar K Jab Tum Ko Chore Jain To Lout Aana

Nayay Zamaanon Ka Kurb Orrhay Zaeef Lamhay Nidhaal Yaadain
Tumharay Khawabon K Band Kamroon Main Lout Aain To Lout Aana

Ager Andheeron Main Chore Ker Tum Ko Bhool Jain Tumharay Saathi
Or Apni Khatir He Apnay Apnay Diyay Jalaain To Lout Aana

Meri wo Baatain To Jin Pe Bay-Ikhtiyaar Hansta Tha Khilkhila Ker
Bicharnay Walay Meri Wo Baatain Kabhi Rulain To Lout Aana
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #4 on: January 25, 2008, 10:16:04 AM »
Reply with quote
Sahil,rait,samundar,lahrein,basti,jangal,sahra,khushbo,
Mausam,phool, dareechay, badal, sooraj, chand, sitaray
Aaj yeh sab kuch naam tumharay.
Khuwab ki batein,yad k kissay, soch k pehlu,
Neend k lamhay, dard k ansu, chand k naghmay,
Urtay waqt k behtay dharay, aaj yeh kuch naam tumharay
Rooh ki aahat,jism ki junbish, khoon ki gardish, sans ki larzish,
Aankh ka pani, chaht k unwan yeh saray, aaj yeh sab kuch naam tumharay
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #5 on: January 25, 2008, 10:18:14 AM »
Reply with quote
Sham honay say pehlay laut ana
Kisi k naam honay say pehlay laut ana
Hum tere intezar mein hain
Anjan honay say pehlay laut ana
Subha shaam rehti hai tere dedar ki umeed
Din khatam honay say pehlay laut ana
Agar na laut paao to bas itna kar dena
Meri zindagi khatam honay say pehlay laut ana.
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #6 on: January 25, 2008, 10:19:38 AM »
Reply with quote
Ab sher-e-jahan loutany ki khawahish nahi rahi
Phir say aana gawany ke khawahish nahi rahi
Kitny ajeeb mor paybichary hain ab k huM
Ab to kesi bahanay ke khawahish nahi rahi
Kuch es tarha hath say muqaddar phisal gaya
Phir say ussay uthany ke khawahish nahi rahi
Ab tuM pallat k aany ke khawahish ko maar do
Ab tum ko aazmany ke khawahish nahi rahi
Ab k khuda say bhi nahi maanga usy hm nay
Ab sar kahin jhukaanay ke khawahish nahi rahi
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #7 on: January 25, 2008, 10:21:03 AM »
Reply with quote
Bikher Rhi Hai Meri Zaat Usey Kehna..
Kabi Mile To Yehi Baat Usey Kehna..
Wo Sath Tha To Zamana Tha Hamsafar Mera..
Mgr Ab Koi Nhi Mere Sath Usey Kehna..
Usey Kehna K Bin Us K Din Nhi Katata..
Sisk Sisk K Katati Hai Raat Usey Kehna..
Usey Pukaarun K khud Hi Pohnch Jaun Us K Paas..
Nhi Rahe Ab Wo Haalaat Usey Kehna..
Agr Wo Phir B Na Lotey To Ae Mehrban-e-Qasid..
Hmaari Zeest K Haalaat Usey Kehna..
Her Jeet Us K Naam Kr Rahi Hu Me..
Me Maanti Hu Apni Haar Usey Kehna
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #8 on: January 25, 2008, 10:22:06 AM »
Reply with quote
Mera derd phir sai ghazal buney
Kabhi gunganao tou iss trha
Merey zakham phir sai gulab hon
Kabhi muskarao tou iss trha
Meri derkhanain bi tou larz uthain
Kabhi chot Khao tou iss trha

Jo nahi tou phir barey shoq sai
sabhi rabtey sabhi zabtey
Kabhi dhoop chaoon mein tor do!
Na shakast-e-dil ka sitam saho
Na suno kisi ka azab-e-jaan
Na kisi sai apni Khalash kaho
Yunhi khush phiro'Yunhi Khush raho

Na ujer sakain Na sanwr sakain
Kabhi dil dukhao tou iss trha
Na simat sakain Na bikher sakian
Kabhi bhol jao tou iss trha
Kabhi tor jaan sai guzer sakain
Kabhi Yad aao tou Iss trha!
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #9 on: January 25, 2008, 10:22:47 AM »
Reply with quote
Kaisay Wo Lout Aaye K Fursat usay Nahin
Dunia Samjh Rahi hay Mohabbat Usay Nahin

Lagta Hay Aa Chuki Hay Kami Uski Chaah Main
Kaafi Dino Say Mujhsay Shikayat Usay nahin

Dil Ki Zameen uski Banjar Hay Isi Leay
Jazbon Ki Barishon Ki aadat Jo Usay Nahin

har Cheez Ikhtiyaar Main Rakhta Hay Wo Magar
Dil Say Rihaai Panay Pay Qudrat Usay Nahin
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: January 25, 2008, 06:51:59 PM »
Reply with quote
Nice collection naina_panu
Logged
mehhekkk
Guest
«Reply #11 on: January 26, 2008, 07:04:23 AM »
Reply with quote
very nice,tu yaad aayega hume sada sada dewano ki tarah
tab tab naina se nir bahenge barsato ki tarah.
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #12 on: January 26, 2008, 11:59:49 AM »
Reply with quote
apne hoontoon pe sajaana chaahta hoon
aa tujhe main gungunaana chaahta hoon


koi aansoo tere daman par gira kar
boond ko mooti banaaana chaahta hoon

thak gaya main karte karte yaad tujh ko
ab tujhe main yaad aana chaahta hoon

chaa raha hai saari basti main andhera
roshni ko ghar jalaana chaahta hoon
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #13 on: January 26, 2008, 12:00:45 PM »
Reply with quote
Ek haseen khwaab tha ki hakeekat kaise jaanon main,
Apni saanson mein teri khushboo ab tak pehchanoon main.

Tum is tarah mujhme samaayi thi ki jaise koi faasla na raha,
Sone do thodi der aur ab khud ko kyun aaj ab jagaoon main.

Kuch lamhe kaise beet gaye ehsaas na hua,
Apne badan se alag tujhe kyun pehchanoon main.

Teri zulfen mujhse aaj bhi lipat ke yun sawaal karti hain,
Tumhare paas bhi jawaab na hoga ye ab jaanoon main.

Kyun is tarah tumne mujhe jaane diya ye gawaara nahin mujhe,
Chupa ke rakh leti mujhe agar, tab teri diwaanagi ka kaha maanoon main.

Koi khushnaseeb pal yun guzra tha mujhe choo kar aise,
Ek ehsaas apni dhadkan mein aaj tak behta janoon main.

Kaash wo raat wahin thahar gayi hoti kuch pal tham leta main,
Ab agli raat ki bekaraari main apna samay guzaaroon main
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #14 on: January 26, 2008, 12:01:21 PM »
Reply with quote
jo ruke to koh-e-giran the hum'jo chale to jan se guzar gaye
rah yaar hum naye kadam kadam tujhe yadgar bana deya
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 09:58:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer