Poems.......Kaash

by @Kaash on July 18, 2013, 01:59:25 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 3100 times)
@Kaash
Guest
Reply with quote
Bus apne hi aap me khoya hua aadmi kyun hai
matlabparasti me sab bhoola hua aadmi kyun hai


jagaya to jaata hai use jo so raha ho
jaagte hue bhi soya hua aadmi kyun hai


Basti-e-insaaniyat pashema hai paresha hai
akhlaaq ke makaano ko jalaata hua aadmi kyun hai


khudi ko bhoolke hi khuda tak pahunch sakta hai
khud ki pakad me jakda hua aadmi kyun hai


parwat taare nadi samundar bhi baat karte hain 'Kaash'
waqt ko bewaqt sa dhhota hua aadmi kyun hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghazal: kaaSh dunyaa meiN ye "kaaSh" na hotaa..! by DhavalRami in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
poems by inderjit nandan in Love Poetry in Punjabi
My poems by khumaar in Miscellaneous Shayri
Aye Kaash is tarah saveraa ho jaaye.............Kaash by @Kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
Lafz-e-kaash shayari ki duniya ka aadaab sa hai...........Kaash by @Kaash in Shairi - E - Zindagi
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: July 18, 2013, 02:05:55 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: July 18, 2013, 02:07:11 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut achcha likhe ho aap. dheroooon daaaaaad...
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #3 on: July 18, 2013, 02:08:19 PM »
Reply with quote
Hui taskeen jab dard se phir aasayishon si rahi tabeeyat



Hui taskeen jab dard se phir aasayishon si rahi tabeeyat
seecha ashkon ne aakhon ko aise,paimayishon si rahi tabeeyat


sareaam chaand bola falak se,taaron se nahi koi shikayat
gooonje alfaaz is dil me bhi,numayishon si rahi tabeeyat



na jane kaise kaise daur leke,abr hain guzre meri gali se
kisi bhi mausam na ghar se nikle,barishon si rahi tabeeyat



har zindagi ka falsafa dekhiye falsafon ki zindagaani
kahti har zindagaani yehi ki khwahishon si rahi tabeeyat



deewaron se tiki tanhaai jab to raushan aur charaag hua
mahaka alam kuch is kadar ki,aarayishon si rahi tabeeyat


taskeen- chain,sukoon
aasayish-comfort,araam
abr-badal
aarayish-sajavat,decoration



Dec 13 2010
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #4 on: July 18, 2013, 02:15:30 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
shukriya  Usual Smile
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut achcha likhe ho aap. dheroooon daaaaaad...

shukriya  Usual Smile
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #5 on: July 18, 2013, 02:21:53 PM »
Reply with quote


Mohabbat baatne se mohabbat nafrat se nafrat badhti hai
aadmi jitna bhi uth jaye,Khudai se badi na koi shay hoti hai

zindagi chaar din ki hai sabhi guzar ke chale jayenge magar
hamare baad hamari achhi aur buri baaten hi rahti hai

vaqt ko yun to chalne ke ilawa kuch bhi nahi hai aata
darakht-e-akhlaaq ke patton me hamesha khushbu palti hai

aadmi ka jazba uska nazariya uski insaniyat uski zuba se
tasavvur ki aarayish kahne se nahi khamoshi se sajti hai

written on April 30 2010
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #6 on: July 18, 2013, 02:27:00 PM »
Reply with quote
Bus apne hi aap me khoya hua aadmi kyun hai
matlabparasti me sab bhoola hua aadmi kyun hai


jagaya to jaata hai use jo so raha ho
jaagte hue bhi soya hua aadmi kyun hai


Basti-e-insaaniyat pashema hai paresha hai
akhlaaq ke makaano ko jalaata hua aadmi kyun hai


khudi ko bhoolke hi khuda tak pahunch sakta hai
khud ki pakad me jakda hua aadmi kyun hai


parwat taare nadi samundar bhi baat karte hain 'Kaash'
waqt ko bewaqt sa dhhota hua aadmi kyun hai

waaaaaaaaaah
Applause Applause Applause
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #7 on: July 18, 2013, 02:31:03 PM »
Reply with quote
   
Kahan dil-e-nadaa dard se nashaad hota hai
dard had se guzre tabhi dil shaad hota hai


thhare hue ashqon ki rangat na poochiye
har qatra hamesha taaza azaab hota hai


hai to asaan apni aakhon ko nam rakhna
par khud se hi kia vaada kharaab hota hai


dard ke kum ya zyada ki tamanna kaun kare 'kaash'
ye vo shay hai jo khud-b-khud aabaad hota hai

Sep 03 2012
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #8 on: July 18, 2013, 02:32:57 PM »
Reply with quote

waaaaaaaaaah
Applause Applause Applause

shukriya  Usual Smile
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #9 on: July 18, 2013, 02:38:33 PM »
Reply with quote
   
dard ko dard me basa rakha hai
kuch numaya kuch chhupa rakha hai

humne aadmi ki zaat se poochha
aadmi ne insaniyat kyun gawa rakha hai

aasuon ne kaha kuch bhi to nahi yun to
palkon ne phir bhi khud ko jawa rakha hai

zara sun lo besabab khamoshi to kah dun
kahne sunne me bhala kya rakha hai

dard kyun khoye khoye jaage jaage se
dil ne aakhon ko jaise paimana bana rakha hai

'kaash' inta hi chaha hasrat poori hon sabki
rafakat ne hi raqeeb sa bana rakha hai


written on sep 04 2012
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #10 on: July 18, 2013, 02:52:11 PM »
Reply with quote




Jazba-e-ishk jazbaat-e-ishk alag alag hain
rudaad-e-ishk khyaalaat-e-ishk alag alag hain



aadmi bhool jata hai dunia me Wo bhi hai
dariya-e-ishk sawaalaat-e-ishk alag alag hain



lafzon me bayaangi-e-khushbu-e-gul mumkin nahi
khumaar-e-ishk kaaynaat-e-ishk alag alag hain

Sep 23 2012
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #11 on: July 18, 2013, 02:59:17 PM »
Reply with quote
Kitaabe zindagi ke varkon me fhugaa.n lekar
vo muskurata raha aakhon me dhuaa.n lekar

varak-page
fhugaa- pain


jal jaye agar to bhi dil to dil hi rahega
raaste nahi mit.te raaston ke nishaa.n lekar


mujhko meri daleelen sabhi raas aati gayin
naraaz raha mujhse vo,mujhiko pareshaa.n lekar


us jahan me sabhi ke saath saath rahta hai surosh
khilta hai gulshan-e-akeedat gule aasmaa.n lekar

surosh: an angel.farishta
akeedat: ibadat or ibadat ka vishwaas
gule aasmaa.n:aasmaan ka phool(phoolon jaisa aasmaan)


barsaat ka mausam nahi gaya to kya hua
khush hai bahut,aahon me bahare bekhazaa.n lekar

bahaare bekhazaa.n: aisi bahaar jisme patjhad na ho

mehtaab shab bhar yun kahta raha kahaani
rista hai chasm jis tarah aabe rawaa.n lekar

aabe rawaa.n - bahta hua pani

udaasiyaan shaam ki saari samet lete hain 'kaash'
tasavvur me ek bheega hua kahkashaa.n lekar

written on 09.07.2010
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #12 on: July 18, 2013, 03:13:11 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #13 on: July 18, 2013, 03:14:24 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #14 on: July 18, 2013, 03:16:09 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Mohabbat baatne se mohabbat nafrat se nafrat badhti hai
aadmi jitna bhi uth jaye,Khudai se badi na koi shay hoti hai

zindagi chaar din ki hai sabhi guzar ke chale jayenge magar
hamare baad hamari achhi aur buri baaten hi rahti hai

vaqt ko yun to chalne ke ilawa kuch bhi nahi hai aata
darakht-e-akhlaaq ke patton me hamesha khushbu palti hai

aadmi ka jazba uska nazariya uski insaniyat uski zuba se
tasavvur ki aarayish kahne se nahi khamoshi se sajti hai

written on April 30 2010
Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 04:28:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer