"Kuch To Khaas Hai Mere Naseb Me....." GUMboy......

by GUMboy on September 29, 2011, 08:11:12 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1392 times)
GUMboy
Guest
Reply with quote
Yu To Pehle Har Waqt Naseeb Ko Tokta Rehta Tha,
Naa Jaane Aaj Kyu Taarif Kar Raha Hu,
Kuch To Khaas Hai Mere Naseeb Me,
Issiliye To Aaj Rote-Rote Hass Raha Hu....

Gumsum thi Jo Yeh Zindagi,
Ab Khushiyo ke Pyale Pee Raha Hu,
Kuch To Khaas Hai Mere Naseeb Me,
Jo Aaj Har Pal Me Zindagi Jee Raha Hu...

Meri Jaan Ka Waapis Aana Yakeen Nahi Hota,
Iss Pyar Ke Samundar Me Firse Dubne Laga Hu,
Kuch To Khaas Hai Mere Naseeb Me,
Jo Aaj Nayi Zindagi Ka Jashn Mana Raha Hu....

-GUMboy.....-Murjha Ke Khila Hua Gulab....
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #1 on: September 30, 2011, 02:38:34 AM »
Reply with quote
Chalo Kisi Ka Gum To Dur Hua, icon_flower

Humari Khwaish HAi Aap Humesha Khush Rahe icon_flower icon_flower

Aap Ki Jaan Humesha Aap Ke Paas Rahye icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: September 30, 2011, 08:56:24 AM »
Reply with quote
G B Jee Aadaab!

Bahut khoob khayaal kahe hai janab ...
Khas kar is line is behad achcha laga hume..

"Kuch to Khaas hai Mere Naseeb MeiN"

Bahut khoob ... daad hazir hai janab..
Likhate rahiye... Aate rahiye..

Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez...
Logged
GUMboy
Guest
«Reply #3 on: September 30, 2011, 11:18:41 AM »
Reply with quote
Shukriya kaash ji... Ha ab main khush hu jo pehle nahi tha.. Baaki sab to aapko maalum hi hai..
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #4 on: September 30, 2011, 11:20:49 AM »
Reply with quote
Khuda Kare Neel Tum Humesha Khush Raho

Bahut Dinoo Baad Dekhe Ho Aate Raha Karo
Logged
GUMboy
Guest
«Reply #5 on: September 30, 2011, 11:22:10 AM »
Reply with quote
Aapka bhi dil se shukriya parwaaz ji.. Yu hi sahanrte rahiye.. Khush rahiye.. Khud ka Khayal kijiye..
Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: September 30, 2011, 02:58:03 PM »
Reply with quote
baht khoob Janaab GumBoy ji--
positive thought bht bhaate hain hume Usual Smile

aur hansta hua chehra aur khushiyon bhari baaten to sabko lubhaati hain--

acha hai yunhi khus rahie
aabaad rahie--

kuch nahi bahot khaas hai aapka naseeba--
har kisi ke naseeb me uska pyar dubara laut kar nahi aata Usual Smile

daad daad aapke khayalon aur nagme par --
Usual Smile
Logged
GUMboy
Guest
«Reply #7 on: October 01, 2011, 03:50:44 PM »
Reply with quote
Khuda Kare Neel Tum Humesha Khush Raho

Bahut Dinoo Baad Dekhe Ho Aate Raha Karo
shukriya bhai... Jara kaam me busy rehta hu.. Aana jara kam hua hai..
Logged
GUMboy
Guest
«Reply #8 on: October 01, 2011, 05:10:23 PM »
Reply with quote
baht khoob Janaab GumBoy ji--
positive thought bht bhaate hain hume Usual Smile

aur hansta hua chehra aur khushiyon bhari baaten to sabko lubhaati hain--

acha hai yunhi khus rahie
aabaad rahie--

kuch nahi bahot khaas hai aapka naseeba--
har kisi ke naseeb me uska pyar dubara laut kar nahi aata Usual Smile

daad daad aapke khayalon aur nagme par --
Usual Smile
Shukriya sarfira ji...
naseeb to kya hai chand sapno ka jahaan hai,
Apne to karm par likha hai,
Kis sapne me tera jahaan hai...

-GUMboy......
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 02:54:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer