A ! NAZAR SE NAZAR MILAAO NA

by waquif ansari on July 16, 2010, 11:50:17 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2016 times)
waquif ansari
Guest
Reply with quote
A ! nazar se nazar milaao na
Tirchhi nazroN se gul khilaao na

Tum ko apna bana liya hum ne
Tum bhi apna hameiN banaao na

Door tak haath thaam kar mera
Ishq ki rasm kuchh nibhaao na

Dekho taRpeNge raat bhar yooNhi
Is qadar zulm dil pe Dhaao na

Aa gaye ho hamaari khwaboN meiN
Zindagi meiN chale bhi aao na

Ab mulaaqaat phir kahaN hogi
Chupke chupke mujhe bataao na

Door kyuN ho hamaari nazroN se
Aao WAQUIF qareeb aao na
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: July 16, 2010, 12:00:06 PM »
Reply with quote
 Applause Applause  fir se bahoot umda waquif sahab....dad kabool karen
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: July 16, 2010, 12:16:50 PM »
Reply with quote

aakne jo gazalpesh ki hai kuch usi andaaz me kehna chahungi kuch.....

rasmon ko chhod k tod k tum
mujhe ab apne ghar le jao na

mujhe mang lo zaalim zamane se
na maane zamana to isse lad jao na

ye  paak mahobbat hai mere sanam
aaj iski ibaadat tum kar jao na

khuda ki neymat se mile ho tum mujhe
ab karo na ruswa aao mere ban jao na...!!
[/color]
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: July 16, 2010, 12:49:14 PM »
Reply with quote
Wah bahot hi khoob kaha hai Waqif sahab. Aapka ye andaaz pahli baar dekhne ko mila. Bahot hi umda ghazal nawaza hai is me mehfil ko. Afreen sad afreen.

Mujhko dar lagta hai andhere se
Jald koi diyaa jalaao na


 
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: July 16, 2010, 02:04:47 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aapne Waqif ji... aur Kasak ji aapke jawaab ka bhi jawaab nahi...!!!
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #5 on: July 17, 2010, 04:55:03 AM »
Reply with quote
A ! nazar se nazar milaao na
Tirchhi nazroN se gul khilaao na

Tum ko apna bana liya hum ne
Tum bhi apna hameiN banaao na

Door tak haath thaam kar mera
Ishq ki rasm kuchh nibhaao na

Dekho taRpeNge raat bhar yooNhi
Is qadar zulm dil pe Dhaao na

Aa gaye ho hamaari khwaboN meiN
Zindagi meiN chale bhi aao na

Ab mulaaqaat phir kahaN hogi
Chupke chupke mujhe bataao na

Door kyuN ho hamaari nazroN se
Aao WAQUIF qareeb aao na


Very Impressive creation.....ansari sahab ! dil se daad !
Logged
drpandey
Guest
«Reply #6 on: July 17, 2010, 08:04:09 PM »
Reply with quote
A ! nazar se nazar milaao na
Tirchhi nazroN se gul khilaao na

Tum ko apna bana liya hum ne
Tum bhi apna hameiN banaao na

Door tak haath thaam kar mera
Ishq ki rasm kuchh nibhaao na

Dekho taRpeNge raat bhar yooNhi
Is qadar zulm dil pe Dhaao na

Aa gaye ho hamaari khwaboN meiN
Zindagi meiN chale bhi aao na

Ab mulaaqaat phir kahaN hogi
Chupke chupke mujhe bataao na

Door kyuN ho hamaari nazroN se
Aao WAQUIF qareeb aao na


Waah ! WAQUIF Sahab aapka ye sadghi aur shararat ka naya andaaz behad khoobsurat laga... Hazaron daad hazir karta hun kabool farmayen.

Jinko chaha ho toot kar tumne
Raaz-e-dil unse ab chhupao na

Fir mulaqaat ho 'Adab' apni
Aisa ek silsila chalao na..



Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: July 17, 2010, 09:08:04 PM »
Reply with quote
Wah wah W,ansari ji bahut baddiya.lovely lines by Pandey ji. icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #8 on: July 19, 2010, 08:51:48 AM »
Reply with quote
Janab e Man Bekarar Saheb! Aap ne apni khoobsurat aara se nawaaza is ka bahut bahut shukriya janab.

(Waquif Ansari)

Applause Applause  fir se bahoot umda waquif sahab....dad kabool karen
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #9 on: July 20, 2010, 09:44:43 PM »
Reply with quote
bahot bahot khoob wah wah waquif sb...riyaz sb ki baat se mein bhi ittefaq dikhata hoon yehi ke aap ka yeh andaaz pehli baar dekhne ko mila..hazaro daad
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: July 21, 2010, 07:09:58 AM »
Reply with quote
Bahut shukriya Kasak Ji aur shukriya is baat ka bhi k aapne apne andaaz meiN is ghazal ki tarjumaani ki, achchha laga.

(Waquif Ansari)

aakne jo gazalpesh ki hai kuch usi andaaz me kehna chahungi kuch.....

rasmon ko chhod k tod k tum
mujhe ab apne ghar le jao na

mujhe mang lo zaalim zamane se
na maane zamana to isse lad jao na

ye  paak mahobbat hai mere sanam
aaj iski ibaadat tum kar jao na

khuda ki neymat se mile ho tum mujhe
ab karo na ruswa aao mere ban jao na...!!
[/color]
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #11 on: July 21, 2010, 07:13:09 AM »
Reply with quote
Riyaz Saheb! Ye andaaz to bas Ms Kasak Dik Ki (Ms Anamika Saheha) ne paida karwa diya. Unki aik tehreer paRhi aur hum apne ko rok nahiN paaye. Aapne jis andaaz se is ghazal ki tareef ki hai uske liye aapka shukriya ada karta hooN.

(Waquif Ansari)

Wah bahot hi khoob kaha hai Waqif sahab. Aapka ye andaaz pahli baar dekhne ko mila. Bahot hi umda ghazal nawaza hai is me mehfil ko. Afreen sad afreen.

Mujhko dar lagta hai andhere se
Jald koi diyaa jalaao na


 
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #12 on: July 21, 2010, 07:14:56 AM »
Reply with quote
Janab klaskar Ji! Adab!
Ye sab Ms Anamika Sahe ki mehrbaani hai jinhoNne aisa likhwa diya. Aapki muhabbatoN ka shukriya janab.

(Waquif Ansari)

bahut khoob likha hai aapne Waqif ji... aur Kasak ji aapke jawaab ka bhi jawaab nahi...!!!
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #13 on: July 21, 2010, 07:16:14 AM »
Reply with quote
Janab Anshumali Saheb. Aapki muhabbat aur nawazisoN ka bahut bahut shukriya.

(Waquif Ansari)

Very Impressive creation.....ansari sahab ! dil se daad !
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #14 on: July 21, 2010, 07:29:46 AM »
Reply with quote
Janab Dr. Pandey Saheb! Adab!
Jaisa ke maiN upar arz kiya hai ke is ghazal ke peechhe Ms Anamika Saheba ki tehreereN haiN. Jinki tehreeroN ko paRhkar maiN khud ko nahiN rok paaya aur ye ghazal kahni paRi. Aapke dono sher khoob hi nahiN bahut khoob haiN. Isi tarah apni muhabbatoN se nawaazte rahiye. Main to ye kahta hooN:

Dil hi jab unke paas hai apna
Kya chhupaaooN tumheeN bataao na

HaaN ! "Adab" se yahi guzaarish hai
Phone par sher gungunaao na

(Waquif Ansari)

Waah ! WAQUIF Sahab aapka ye sadghi aur shararat ka naya andaaz behad khoobsurat laga... Hazaron daad hazir karta hun kabool farmayen.

Jinko chaha ho toot kar tumne
Raaz-e-dil unse ab chhupao na

Fir mulaqaat ho 'Adab' apni
Aisa ek silsila chalao na..




Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 01:33:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.153 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer