aaj tujh ko jo falak par hain bithaane waale (zarraa)

by zarraa on September 08, 2012, 08:53:55 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1629 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
aaj tujh ko jo falak par haiN bithaane waale
dekhna kal wahee aaNkhhoN se giraane waale

aaj uth’te haiN jo seene se lagaane ke liye
saNg ik roz wahee haath uthaane waale

log do chaar baha deNge ashk bhi do chaar
tujh se kitne haiN gaye kitne haiN aane waale

in parivash ko kabhi aaeenaa-e-dil n dikha
aks bas dekh ke apna haiN ye jaane waale

dil ki mehmaan-nawaazi to ye kar leNge qabool
ghar n apna ye kabhi ismeiN basaane waale

hum n jab hoNge tere dil ko dukhaane ke liye
yaad aayeNge wo ro ro ke manaane waale

har gile par tere duniya se adaawat bhi kareiN
har adaa par bhi haiN sar phorh’te jaane waale

phir uthaate huwe sar aankh pe paaoge humeiN
jitna bhi keh leiN sitam ab n uthaane waale

zindagi ne bhi humeiN kya se bana kya hai diya
ab n itne bhi bure lagte zamaane waale

wo bulaate hi naheeN haiN to ye kehta maiN phirooN
hum bulaane se kahaaN laut ke aane waale

phir kahaaN paayeNge aagosh-e-sanam meiN ye sukooN
rab! salaamat raheiN ye jee jo jalaane waale

har ahed yooN bhi n hota hai nibhaane ke liye
yooN bhi hote n sabhi ahed nibhaane waale

mujh se kyooN poochhh rahe ab ho sabab bikne ka
mujh ko baazaar ka r’sta o! dikhaane waale

tujh se maine thi kari chaaraagharee ki ummeed
haal par mujh ko mere chhorh ke jaane waale

zikr bhi tark-e-wafaa ka n gawaaraa hai tujhe
khaar raah-e-wafaa ke roz ginaane waale

ab bulaayeiN bhi to kis muNh se jinheiN door kiya
unki khaatir jo kabhi paas n aane waale

baat “zarraa” ko hi kuchh karni parhegi ab to
baat karte hi naheeN baat banaane waale

- zarraa
Logged
mkv
Guest
«Reply #1 on: September 08, 2012, 09:09:06 AM »
Reply with quote
Bahut umda kalaam.
qaafiyon ki khoobsurti dekhte hi banti hai..
ek ek ihsaas..wah wah
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: September 08, 2012, 09:12:28 AM »
Reply with quote
aaj tujh ko jo falak par haiN bithaane waale
dekhna kal wahee aaNkhhoN se giraane waale

aaj uth’te haiN jo seene se lagaane ke liye
ek din saNg wahee haath uthaane waale

log do chaar baha deNge ashk bhi do chaar
tujh se kitne haiN gaye kitne haiN aane waale

in parivash ko kabhi aaeenaa-e-dil n dikha
aks bas dekh ke apna haiN ye jaane waale

dil ki mehmaan-nawaazi to ye kar leNge qabool
ghar n par apna kabhi ismeiN basaane waale

hum n jab hoNge tere dil ko dukhaane ke liye
yaad aayeNge wo ro ro ke manaane waale

har gile par tere duniya se adaawat bhi kareiN
har adaa par bhi haiN sar phorh’te jaane waale

phir uthaaye huwe sar aankh pe dekhoge humeiN
jitna bhi keh leiN sitam ab n uthaane waale

wo bulaate hi naheeN haiN to ye kehta maiN phirooN
hum bulaane se kahaaN laut ke aane waale

phir kahaaN paayeNge aagosh-e-sanam meiN ye sukooN
rab! salaamat raheiN ye jee jo jalaane waale

har ahed yooN bhi n hota hai nibhaane ke liye
yooN bhi hote n sabhi ahed nibhaane waale

mujh se kyooN poochhh rahe ab ho sabab bikne ka
mujh ko baazaar ka r’sta o! dikhaane waale

tujh se maine thi kari chaaraagharee ki ummeed
haal par mujh ko mere chhorh ke jaane waale

zikr bhi tark-e-wafaa ka n gawaaraa hai tujhe
khaar raah-e-wafaa ke roz ginaane waale

ab bulaayeiN bhi to kis muNh se jinheiN door kiya
unki khaatir jo kabhi paas n aane waale

baat “zarraa” ko hi kuchh karni parhegi ab to
baat karte hi naheeN baat banaane waale

- zarraa


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Zarraa Ji..Har Ek As'haar Samundar ki Gehrai Liye Hue Hai..bahut Kam Hi Mujhe Yoindia Mein Aise Kalaam Padhne Milte Hai..

Bahut Bahut Aur Bahut Khoooooooooob!!!!

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: September 08, 2012, 10:28:36 AM »
Reply with quote
Zarra Sahaab Aadaab!


bahut khoob janab badi hi umdaa tehreer kahi hai...
Gazab ke ahsaas O khayaal aur behad gehri fikr kasi
hai sabhi ashaaroN meiN... Usual Smile

Is khoobsurat kalaam par humari hazaaroN dili daad O
Mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
Qais
Guest
«Reply #4 on: September 08, 2012, 11:14:20 AM »
Reply with quote
bahut khoob , zarra saheb .
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: September 08, 2012, 12:29:36 PM »
Reply with quote
Zarraa bhai logon ne doghazlaa bhee kahaa hai meree ek ghazal men ek baar 42 sher ho gaye tab maine use 7 alag alag ghazlon me todaa agar aap is khoobssorat ghazal ko do ghazlon men alag alag post karte mazaa dobala ho jataa khair meree dheron da qubool karen
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: September 08, 2012, 01:22:29 PM »
Reply with quote
zarra  saheb . bahut  achhi  ghazal  hai . lekin  main   bhi
aapko  yahi  salaah  dena  chahunga  ki  itni  lambi   ghazal
ki  jagah  aap  2  ya  3  ghazlon  mein  break  kar  ke  pesh
karein   to   itne   khubsurat   ashaar   zyada  tawajjo  aur
dilchaspi  se  parhe  jaayeinge.
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 19 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #7 on: September 08, 2012, 01:38:47 PM »
Reply with quote
Bahut khoob, dhero dad
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #8 on: September 08, 2012, 03:17:43 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: September 08, 2012, 05:59:00 PM »
Reply with quote
Bohat Achcha Kalaam Hai, Yunhi Likhte Rahe,.
Logged
suman59
Guest
«Reply #10 on: September 09, 2012, 12:01:18 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause

very nice  Thumbs UP Usual Smile
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #11 on: September 09, 2012, 03:25:29 PM »
Reply with quote
mkv ji ... ine dil se mehsoos karne ka aur daad dene ka bahaut bahaut shukriya

Bahut umda kalaam.
qaafiyon ki khoobsurti dekhte hi banti hai..
ek ek ihsaas..wah wah
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: September 09, 2012, 03:26:40 PM »
Reply with quote
khwaish ji .... ye bas apki inayat hai ki apne is qadar pasand kari ye ghazal. apki daad sar ankhon par aur apka tah e dil se shukriya.


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Zarraa Ji..Har Ek As'haar Samundar ki Gehrai Liye Hue Hai..bahut Kam Hi Mujhe Yoindia Mein Aise Kalaam Padhne Milte Hai..

Bahut Bahut Aur Bahut Khoooooooooob!!!!


Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #13 on: September 09, 2012, 03:28:33 PM »
Reply with quote
Parwaaz ji .... aap jis mohabbat se hausla afzaaee karte hain ... bahaut saahas aur utsaah milta hai. apka tah e dil se shukrguzaar hoon sahab.

Zarra Sahaab Aadaab!


bahut khoob janab badi hi umdaa tehreer kahi hai...
Gazab ke ahsaas O khayaal aur behad gehri fikr kasi
hai sabhi ashaaroN meiN... Usual Smile

Is khoobsurat kalaam par humari hazaaroN dili daad O
Mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile


Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: September 09, 2012, 03:29:03 PM »
Reply with quote
bahaut bahaut shukriya qais ji

bahut khoob , zarra saheb .
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 07:03:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer