EK RUPYA GHAZAL .... ZARRAA

by zarraa on June 12, 2016, 10:31:45 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 760 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
ye sach hai un ki nazroN meiN kabhi gintee naheeN dekhee
hamaare bin par un ki zindagi chaltee naheeN dekhee

falak ko tha kahaaN pindaar* apne chaaNd taaroN par
zameeN se jab talak us ne nigah uthtee naheeN dekhee
(* pride)

mere yaarooN ko mere zinda hone par hua hai shaq
ke ab to FACEBOOK par POST bhi daltee naheeN dekhee

mere chehre pe chhap jaata hai shaayad aise gham mera
ke PHOTO achchhi hai LIKE magar miltee naheeN dekhee

tarakkee kar li SOCIAL MEDIA ne ye to achchha hai
magar jo baat hoti muft meiN hotee naheeN dekhee

jo ghar OFFICE ke TRAFFIC JAM meiN baahar kabhi jhaaNkooN
to is raftaar se duniya kabhi chaltee naheeN dekhee

chhupaaye rehte seene meiN samandar ki jo gehraaye
nadee aaNkhoN se phir un ke kabhi behtee naheeN dekhee

utar aaya hooN us bazaar meiN bikne ko maiN "zarraa"
jahaaN par ek rupya bhi ghazal biktee naheeN dekhee

- zarraa
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #1 on: June 12, 2016, 11:00:17 AM »
Reply with quote
Lajawaab, bahot khooob bas waaah hi waah  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
NakulG
Maqbool Shayar
****

Rau: 63
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 23 hours and 55 minutes.
Posts: 804
Member Since: Apr 2014


View Profile WWW
«Reply #2 on: June 12, 2016, 11:29:26 AM »
Reply with quote
वाह
क्या बात है
एक rau हाज़िर है
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #3 on: June 12, 2016, 08:13:47 PM »
Reply with quote
ye sach hai un ki nazroN meiN kabhi gintee naheeN dekhee
hamaare bin par un ki zindagi chaltee naheeN dekhee

falak ko tha kahaaN pindaar* apne chaaNd taaroN par
zameeN se jab talak us ne nigah uthtee naheeN dekhee
(* pride)

mere yaarooN ko mere zinda hone par hua hai shaq
ke ab to FACEBOOK par POST bhi daltee naheeN dekhee

mere chehre pe chhap jaata hai shaayad aise gham mera
ke PHOTO achchhi hai LIKE magar miltee naheeN dekhee

tarakkee kar li SOCIAL MEDIA ne ye to achchha hai
magar jo baat hoti muft meiN hotee naheeN dekhee

jo ghar OFFICE ke TRAFFIC JAM meiN baahar kabhi jhaaNkooN
to is raftaar se duniya kabhi chaltee naheeN dekhee

chhupaaye rehte seene meiN samandar ki jo gehraaye
nadee aaNkhoN se phir un ke kabhi behtee naheeN dekhee

utar aaya hooN us bazaar meiN bikne ko maiN "zarraa"
jahaaN par ek rupya bhi ghazal biktee naheeN dekhee

- zarraa
kyaa baat hai waah hee waah bas waaaaaaaahhhhhhhghhhhhhhhh!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
                        Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: June 13, 2016, 05:06:03 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah waah kyaa ehsaas hain, kyaa bayaani hai, alag hi andaaz mein aapki yeh rachnaa bahut bahut pasand aayi, dil se bas waah waah aur waah nikal rahi hai....!!!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: June 13, 2016, 08:32:28 AM »
Reply with quote

Zarra Sahab Aadaab...!

WaaH janab Waah Masha Allaah...!
Behad umdaa kalama kahi hai janab... Haal par haal ke lafzoN ko lekar aik umdaa kalaam ka inteqaab kiya hai aapne...

Bade hi laa jawaab aur umdaa khayaalaat ko lafzoN meiN badi hi khoobsurati se piroya hai aapne.. Is laa jawaab kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...


Likhate rahiye.. aate rahiye...

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #6 on: June 13, 2016, 09:13:21 AM »
Reply with quote
ye sach hai un ki nazroN meiN kabhi gintee naheeN dekhee
hamaare bin par un ki zindagi chaltee naheeN dekhee

falak ko tha kahaaN pindaar* apne chaaNd taaroN par
zameeN se jab talak us ne nigah uthtee naheeN dekhee
(* pride)

mere yaarooN ko mere zinda hone par hua hai shaq
ke ab to FACEBOOK par POST bhi daltee naheeN dekhee

mere chehre pe chhap jaata hai shaayad aise gham mera
ke PHOTO achchhi hai LIKE magar miltee naheeN dekhee

tarakkee kar li SOCIAL MEDIA ne ye to achchha hai
magar jo baat hoti muft meiN hotee naheeN dekhee

jo ghar OFFICE ke TRAFFIC JAM meiN baahar kabhi jhaaNkooN
to is raftaar se duniya kabhi chaltee naheeN dekhee

chhupaaye rehte seene meiN samandar ki jo gehraaye
nadee aaNkhoN se phir un ke kabhi behtee naheeN dekhee

utar aaya hooN us bazaar meiN bikne ko maiN "zarraa"
jahaaN par ek rupya bhi ghazal biktee naheeN dekhee

- zarraa


bahot khoob janaab Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #7 on: June 13, 2016, 05:16:55 PM »
Reply with quote
ye sach hai un ki nazroN meiN kabhi gintee naheeN dekhee
hamaare bin par un ki zindagi chaltee naheeN dekhee

falak ko tha kahaaN pindaar* apne chaaNd taaroN par
zameeN se jab talak us ne nigah uthtee naheeN dekhee
(* pride)

mere yaarooN ko mere zinda hone par hua hai shaq
ke ab to FACEBOOK par POST bhi daltee naheeN dekhee

mere chehre pe chhap jaata hai shaayad aise gham mera
ke PHOTO achchhi hai LIKE magar miltee naheeN dekhee

tarakkee kar li SOCIAL MEDIA ne ye to achchha hai
magar jo baat hoti muft meiN hotee naheeN dekhee

jo ghar OFFICE ke TRAFFIC JAM meiN baahar kabhi jhaaNkooN
to is raftaar se duniya kabhi chaltee naheeN dekhee

chhupaaye rehte seene meiN samandar ki jo gehraaye
nadee aaNkhoN se phir un ke kabhi behtee naheeN dekhee

utar aaya hooN us bazaar meiN bikne ko maiN "zarraa"
jahaaN par ek rupya bhi ghazal biktee naheeN dekhee

- zarraa


outstanding ghazal,sir




falak ko tha kahaaN pindaar* apne chaaNd taaroN par
zameeN se jab talak us ne nigah uthtee naheeN dekhee  ..........rau for this sher,sir
(* pride)
Logged
sarfira
Guest
«Reply #8 on: June 13, 2016, 06:21:16 PM »
Reply with quote
lajawaaabbbb ghazal sirji..
behad umdaah

daad daad daad sahab dher sari daad
Logged
sbechain
Guest
«Reply #9 on: June 16, 2016, 10:41:07 PM »
Reply with quote
ye sach hai un ki nazroN meiN kabhi gintee naheeN dekhee
hamaare bin par un ki zindagi chaltee naheeN dekhee

    ye chaand ye sitaare mere saath chale !
    tu naa chalaa per nazaare mere saath chale!! icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!





falak ko tha kahaaN pindaar* apne chaaNd taaroN par
zameeN se jab talak us ne nigah uthtee naheeN dekhee
(* pride)

waah waah aur waah icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!


                  kyaa  khabar thi  mujhe apni  shakhsiyat ki!
                  chhod kar gulaab ko jo ghhera mujhe khaar ne!! icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

mere yaarooN ko mere zinda hone par hua hai shaq
ke ab to FACEBOOK par POST bhi daltee naheeN dekhee

haan ji ab to saare rishte naate dosti yahin tak bandh ke rah gaye hain crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2!

mere chehre pe chhap jaata hai shaayad aise gham mera
ke PHOTO achchhi hai LIKE magar miltee naheeN dekhee

waah waah kyaa khoob sher hai kayi matlab nikal sakta hai apni apni nazar ke hawaale se khoob gahraai hai iss sher me.n  icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

tarakkee kar li SOCIAL MEDIA ne ye to achchha hai
magar jo baat hoti muft meiN hotee naheeN dekhee

khudgarz rishte khudgarz duniyaa nazar aati hai!
 paise me.n biki hui mohabbat ki khabar aati hai!! icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent!



jo ghar OFFICE ke TRAFFIC JAM meiN baahar kabhi jhaaNkooN
to is raftaar se duniya kabhi chaltee naheeN dekhee

ji bilkul sahi machinii zindagi ho gayi hai icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent!

chhupaaye rehte seene meiN samandar ki jo gehraaye
nadee aaNkhoN se phir un ke kabhi behtee naheeN dekhee

waah waah aur waah icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!


                      muskuraao to pooche zamanaa ke ghumm kyaa hai!
                      rote hue ke aanso.on ko koi ghaur nahin kartaa!!

utar aaya hooN us bazaar meiN bikne ko maiN "zarraa"
jahaaN par ek rupya bhi ghazal biktee naheeN dekhee

shaayar sahab ab aapki naubat ye aa gayi hai chalo 2 rupee me.n main khareed leti hoon Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!

- zarraa

                   andaaz-e-zarra   bhi khoob kahtaa hai!
                   hai tanhaa per mehfil me.n rahtaa hai!!



Rau baad me.n insha allah icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Sps
Guest
«Reply #10 on: June 17, 2016, 08:09:30 AM »
Reply with quote
bahot bahot khoob, sach me aajkal ki zindagi aisi hi hai, aur ham usi tarah har cheez ka faisla kar lete hai, likes, share aur comments se. Samne itni batein nahi hoti jitni virtual life me!!
Logged
sbechain
Guest
«Reply #11 on: June 20, 2016, 07:37:08 PM »
Reply with quote

                   andaaz-e-zarra   bhi khoob kahtaa hai!
                   hai tanhaa per mehfil me.n rahtaa hai!!



Rau baad me.n insha allah icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!


aap kaa rau hazir hai ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 02:42:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.195 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer